Page 1 : kashish.. yeh naam tumhe pehchaan nahi deta,
is naam ki pehchaan tumse hai. vakie tumme aise kashish hai
ki na jaane kyon mein tunhari taraf khincha chala jata hoon.
Page 2 : aaj kashish meri zindagi mein mera pyar ban kar aaee,
kashish milee zindagi mil gayee, jeene ki wajah mil gayee.
Page 3: aaj meri zindagi Piyush ki doli mein beth kar chali gayee.
"kashish got married to piyush". kashish ko pane ki meri khwaish
adhoori reh gayee. ab to bas bhagwan se itni dua hai ki woh
jahan bhi rahe khush rahe.
Page 4: gussa hoon bhagwan se, zindagi mein sirfek hi dost diya aur
aaj use bhi mujhse cheen liya. piyush chala gaya. meri sari buraeeyan le gaya aur apni sari achhayeeyan chod gaya.
Page 5 : jiske aage sare rang pheeke pad jate hain, jiski payal ki aawaz se zindagi jee uthtee hai, us kashish se uska sringar koi
kaise cheen sakta hai. mein uska sunapan nahi dekh sakta.
jin aankhon mein sapne the, un ankhon mein aansoon nahi
dekh sakta. Jaanta hoon...... jaanta hoon sab mujhe galat
samjheenge , lekin usmeen naya kya hai.
page 6 : log marne ke baad doosra janam lete hain , lekin mein
to isee janam mein dobaara jee utha. Kashish meri ho gayee.
zindagi mein ab aur kuch nahi chaheeye sivaye iske ki mein kashish
ko hamesha kush rakh sakoon.
page 7 : Kashish O.T. mein hai, lekin meri sanson ka chalna is
baat ka saboot hai ki kuch nahi hoga kashish ko. Kashish hai to
mein hoon , woh nahi to mein nahi.
guys plz tell me how was it,sorry for any mistakes.😊