Jaise baajre ke khet mein bhains ghus aayi hai
……………………………………………………………
Ai husn ki mallika aur baharon ki shaan
Jai jawan jai kisan
……………………………………………………………
Joron ki baarish Makes me wonder
Is this what they call, Taste the thunder?
……………………………………………………………
Yeh aankhen hain ya neeli jheel?
Yeh aankhen hain ya neeli jheel?
So? What's the big deal?
……………………………………………………………
Dharti, taarey, pahaad, patthar
Dharti, taarey, pahaad, patthar........
Ekhathar, bahathar, chauhathar !
(tihathar is on leave)
……………………………………………………………
Door se dekha to kuchh dikha nahi.....
Dooor se dekhaaa... to kuchh dikha nahi.....
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi
……………………………………………………………
Door se dekha to Patthar dikhta tha.....
Dooor se dekha... to Pattharr dikhtaa thaa.....
Paas jake dekha to... suchmuch Patthar hi thaa...
……………………………………………………………
Door se dekha to sher tha
Door se dekha to sher tha
Is liye paas gaya hi nahi...
……………………………………………………………
Dooor se dekha to paani baras raha tha
Dooor se dekha to paani baras raha tha
Paas gaya... to bheeg gaya...
……………………………………………………………
* LITTLE SENSE SERIES *
Khudi ko kar buland itnaa....
Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche....
aur khuda tumse puche....
'Abe saale ... ab utrega kaise '
……………………………………………………………
Agar tujh mein himmat hai
To kutub minaar ko hila kar dikha,
Aur agar nahin, to mere paas baeth,
Do ghoont maar,
Aur Kutub minar ko ! hilta hua dekh
……………………………………………………………
* PYAAR MEIN DHOKHA SERIES *
Jab tak tu apne dil ki baat mujhe samjhayegi
Jab tak tu apne dil ki baat mujhe samjhayegi
meri shaadi kahin aur ho jayegi
……………………………………………………………
Maine tujhe sau-sau khat likhe,
tune kisi ka bhi jawab nahi diya;
kahin tere dil mein raddi ki tokri to nahi?
……………………………………………………………
Jise dil diya woh delhi chali gayi..
Jise pyar kiya woh italy chali gayi...
Dil ne kaha khud kushi kar le zalim...
Bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi...
……………………………………………………………
Before Marriage :
takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi milti
After Marriage :
takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi marti
……………………………………………………………
Humne bhi pyar kiya tha zindagi mein, badi joshh ke
sath !
Humne bhi pyar kiya tha zindagi mein, badi shhor ke
sath !
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath