Originally posted by: jiya.k
Hello, Hey, Adaab, Salam, Khamba Ghani to lashy sahiba n all lovely n beautiful people here 😊
Finally finished all chapters of this master piece of urs lashy...
While reading each n every chapter i was feeling like i was see ur paintings in some painting exhibition n u as A painter was describing urs paintings to us in such articulate, crisp and emphatic manner n taking us in another world...
>>>☺️ Thank you so so so much...
I m nt good in analysis like others here bt just want to write wht i feel abt khan sahib , heera n durga bai...
Akbar Mohammed Khan is an Emperor without throne & without crown.
>> 👏In one line you've said it all
Unfortunate is the throne and the crown that does not have an AMK to use its power!
Durga Bai n Harka Bai is a true examples of women's freedom n power like once Indira Gandhi said '' To be liberated, a woman must feel free to be herself, not in rivalry to man, but in the context of her own capacity and her personality."
>>Exactly!👏
One more thing while reading i was remembering many my favorite nazams, ghazals n poems n by using title of one Gulzaar sahab's nazam ( Rooh dekhi hai, kabhi rooh ko mehsoos kiya hai?), i tried to write somthing on Aidabaad's memories of khan sahib n heera 😳
>>>> ok for this... can someone PLEASE TRANSLATE this beautiful poem😭.. I want to be able to enjoy it
Rooh dekhi hai, kabhi rooh ko mehsoos kiya hai?
Chandni raat me unn pukhraaj si chamkati aankho ke aar paar jhanka tha tab kuch toh dikha tha mehsoos kiya tha, par, Rooh dekhi thi, rooh ko mehsoos kiya tha kya?
Aankho me kshitij liye jab anchahe, ankahe lafzo me ek duje ka dard sanjha karte karte, kandhe pe sar rakhe ussne aansuo se aastin ko bhigoya tha toh unn aansuo ki nami me kuch toh dikha tha mehsoos kiya tha, par, Rooh dekhi thi, rooh ko mehsoos kiya tha kya?
Maut ki dehleez se lautkar aayi zindagi ke uss pal me bheege huye jismo behake huye jazbaato ke beech uss makhmali chuhan aur kapkapati siharan me, baanho ke darmiyan sine pe sar rakhar usski dhadkano ki dhak dhak me kuch toh dikha tha, mehsoos kiya tha, par Rooh dekhi thi, rooh ko mehsoos kiya tha kya?
Thukraaye huye jazbaato, armano ke ehsaas aur tute huye dil ke dard se bojhil aankho me,dhime dhime apna kuch ya sab kuch chodkar jaate huye unn baar baar ruk kar uthte kadmo ki aahat aur dabi dabi payal ki.cham cham me kuch toh dikha tha mehsoos kiya tha, haan, uss roz Rooh ko dekha tha, rooh ko toot kar bikharkarte huye mehsoos kiya tha...
Pukhraaj = Topaz, Kshitij = Horizon
Once again Thank u very much lashy sahiba for giving us such a wonderful story 👏