Originally posted by: Sandhya.A
I'll help with some.Jalal: khayal teek hone se kya fayda jodha begum? Anjaam dekhiye. Aapki wajah se kitne sipaahiyon ne jaan di hai. Kitnonke ghar ujad gaye hain? Ek Khaibar ko bachaane ke liye aapne kinne jaan li hai. Aur aapne tho Khaiber ki bhi jaan le li aakhir. Sochiye zara. Aap mughal saltanat ko waaris dene wali hai aur un bachon ka bhi aapko khayaal nahin raha raat ko kgaibar ko chudane ke liye jaate waqt? Na bachchon ka khayaal raha na mughal khaandan ki shaan ka. Jaanti hain aap aawaam mein kya afwayein feil rahi hai. Log keh rahe hain ki aap khud apni marzi se gayi thi us darinde ke saath. Aapne logon se use bachaaya aur uska haath pakadkar bhaag chali. Nahin. Nahin jodha begum. Aap har baar sahi nahin ho sakthi.Jodha: kya aap humpar sandeh kar rahe hain Shahenshah?Jalal: yahan hamare yakeen ya shak ka sawaal nahin hai Jodha Begum. Sawaal hai ligon mein apni saltanat ki begum ki izzat ka shaan ka jise aapne mitti mein mila di hai. Aapne ek Shahenshah ku hukum ki bhi nafarmani ki hai. Ek sazza paye mulzim ko chudana mughal kanoon ke khilaaf hai.If it is anything less than this I'll be thoroughly disappointed.