At the end of the day, when Jassi is sitting forlornly in her cabin, Nandu bursts in. She looks inquiringly at him.
Nandu: Jassi, tu aaj ghar chal rahi hai na?
Jassi: (listlessly) Kyun?
Nandu: Beauty ne kuch jewellery select karni hai….din mein toh tere paas time hota nahin hai…issliye shaam ko toh chal….sab se mil bhi lena…..
Jassi thinks, "Shayad yahi theek hai….Armaan aur mere beech jo khamoshi ka faasla ban gaya hai, wo itni jaldi paar nahin ho sakta….mujhe thode der usse door hi rehna chahiye…..
She agrees, and quietly goes to tell Armaan. He nods without even looking at her. "Theek hai….lekin zyada der mat karna…"
As she goes out, he sighs and says under his breath, "Jassi, tum mujhse door mat jao….please….ye zid chod do…."
And Jassi is thinking, "Armaan, yeh kaisi zid hai….mujhe kyun ye sapna poora karne se rok rahe ho…..tumne toh har baat mein mera saath dene ka vaada kiya tha na…"
When she arrives at the Walias' home, she tries her best to act cheerful, and cooperative in helping Beauty with her preparations. But once she is alone, sitting listlessly on the front steps, Billu comes and sits down quietly beside her.
Billu: Kya baat hai beta….?
Jassi looks at him. "Papaji….aap mere dil ki har baat kaise jaan lete hai?"
He runs his hand over her head. "Beta, tu abhi bhi meri Queen Victoria hai, jiske dil ka haal uske chehre par saaf nazar aa jata hai…kum se kum apne Papaji ke saamne toh…..ab bata, kya baat hai?"
Jassi: (sighing) Papaji, agar koi sapna do logon ne mil ke dekha ho, aur phir achanak wo sapne unn dono ke beech aa jata hai, toh kya uss sapne ko chod dena hi theek nahin hai…..aakhir sapne, uss rishte se bada toh nahin hai…?
Billu: Nahin beta…! Lekin jab sapna dono ka ho, toh usse iss tarah chod dena, apne rishte ke saath nainsaafi hoti hai…..uss sapne ko poora zaroor karo, kyunki wahi uss rishte ko phir se mazboot banayega…!
Jassi smiles suddenly and hugs him. "Thank you Papaji!" And thinks, "Main iss sapne ko zaroor poora karungi Armaan…..aur jab ye poora ho jayega, toh hum dono phir se saath saath ho jayenge…!"