updated
i never in my imagination thought that i ever will writ poems...in my childhood i was a very silent child which my mother always attached with her bcz i never do any complain nor any talk...but from that time n until now i observed things , people , feelings...n feels so much that some time i too ask myself why i feel so much...n that feelings made me a bekar poet...
yesterday when i watched the segment on khushi n garima i felt it...n felt it too much i v tears in my eyes n i wrote half of this poem yesterday n completed it without watching episode read only update...n writing this poem its really a painful experience...
writing about a mother whom daughter going to merry... her nanhi pari whom grown today as a red blooming rose...and getting her dreams tabeer...a mother will not able to watch all this with her eyes , couldnt able to do all rituals for herself...not able to see her daughter dulhan roop ...whom dreams she saw when she brought her that fateful day when her nanhi pari lost her real parents...she is a woman who sacrificed her early youth for 2 children...1 motherless and other parent less...she in her early youth called her AMMA... of 2 babies of ages of 12 and 8 yrs old...but never embarrassed...
Today she not going to attend her younger daughter's marriage...due to a sin which she never did...due to a fault which was never hers...but she getting punishment...as she not going to vidah her bitya in her prayers shades...
But she gave her daughter a gift ...a gift which is belong to her real mother and her this mother...giving her prayers and saying .bitya i wlill be somewhere else...but my heart will be here with you... and my all prayers are with you...never ever get sad meri bittya...
BECAUSE AS A MOTHER SHE WILL FEEL THIS AND THIS WILL GIVES HER PAIN...EK hasti hai aisi dunya main
jo durr reh kar bhi karti hai mehssos dukh
maa jo Khuda ka hai azeem tahufa
durr reh kar bhi apne bacho'n ki khushyo pe hoti hai khushThis song dedicated to GARIMA[YOUTUBE]http://www.youtube.com/watch?v=D8CMe0PbSOY[/YOUTUBE]
❤️A MOTHER SACRIFICE WOULD BE THE GREATEST GIFT OF ALL❤️EK MAA EK HI WAQT MAIN, DO EHSAS'ON K SAATH
DUKHI O KHUSH MAA
Ek maa apni beti ko de rahi hai tuahfa uss ki shaadi ka
aur keh rahi hai dukh se
main shamil ho na paoon gi tumhari shaadi main
Na dekh paye gi apni beti ki khushya'n
Na dekh sakey gi ji bhar kar ,apni beti ka woh roop
k jis k sapne uss din se dekhti hai maa
k jab woh nanhi pari uss k angan main utarti hai
kai khushyo'n ka payam le kr...
Apni dulhan bani beti ka roop...
K jab hojata hai uss k mathey ka teeka ulta
tou bar bar uss ko seedha karti hai woh
k jab attak jati hai uss k kano ki bali
tou uss ko karti hai duppatey se aazad
K jab kalai ki chooriyan khanakti hain uss ki
tou uss ki awaz uss k kano main ras gholti hain
K jab chalney pe uss k , payal chankti hai uss ki
tou hans k muskura k dekhti hai woh...
k apni beti ka ye surkh gulab jaisa roop
ji bhar k aakhon main khushi k aansoo liye
apne mann main utarti hai woh...
Aur bar bar balayain leti hai uss ki
logo ki buri nazro se bacchaney k liye
kai duaain parh parh k apni beti pe dam karti hai woh
jab dekhti hai apni beti ko saath uss k humsafar k
tou khushi se phooley nahi sama pati hai woh
Dono ko duaain detey , balayain letey thaakti nahi hai woh
bas khushyon k aansoo aankhon main, honto pe liye muskan
unhain takti rehti hai woh...
Jab beti ki vidai ka, yani uss k babul ka ghar chor k
kisi aur k ghar ko janey uss ko basaney ka waqt atta hai
Tou uss nanhi pari ki kai yadain uss ko yaad aati hain
K jab woh nanhey nanhey qadam utha kar
Bholi si muskan liye aa k uss ki bahon main sama jati thi nanhi pari
apni bholi meethi baton se uss ka dil bhelati thi...
apne nanhey nanhey hathon se uss ka sar dabati thi
apney pankhari se honto se, uss k galo ko choom leti thi
uss nanhi pari ko jo aaj ek khila huwa gulab hai
apni sakh se tor kar doosri tehni pe saja rahi hai uss ko
uss ko bahon main thaam kar, pyaar se mathe pe bosa de kar
khushyon ki sukh ki kai duaao'n k saath, usse rukhsat karti hai woh
*********************
GARIMA K DIL K DIL KA DARD
Tou aaj jab woh din aa pohancha hai
tou main jo ek maa hoon...
kya mera haq nahi , kya meri khuwahish nahi
k main apni k mathey ka tikka dekhuoon
jab hojaye wo ulta tou uss ko pyaar se seeha karoon
uss ki baliyon ko uss k duppetey se aazad karoon
uss k surkh gulab jaise roop ko ji bhar k mann main utaroon
uss ki balayain loon main, uss ko duaain doon main
KYUN aakhir kyun
jis mazi k andhery saye main mera koi qasoor nahi
uss ki saza kyun uss ki saza mil rahi hai mujhey
kyun tanha tanha jheel rahi hoon main
kyun main apni beti ko
apni duaaon k saye main rukhsat kar nahi sakti
kyun apne dekhey huwe khuwabo ki tabeer
apni aankho se poora hotey huwe dekh nahi sakti
kyun log itne zalim hain, k jo maa beti k k
khushyon k dushman ban rahey hain
jo maa k dil pe kai zakham laga rahe hain
meri beti k liye dukh ka saman kar rahey hain
koi mujhe bataye , koi tou mujhe inssaf dilaye
MAIN jo aaj ki majboor gham se choor
aur khushi se bharpoor , do ehsasat main ghiri hoon
dukhi hoon k main apni beti ki shaadi main shamil ho nahi sakti
laikin buhat khush hoon k meri beti ko uss ka shahzada mil raha hai
Laikin aakhir main ek maa hoon
jo apne dukhon ko chup chaap seh leti hai
apne bacho ki khushyon ki khatir
SO aaj bhi ek maa apne dukh ko chuppa kar
duaa de rahi apni beti ko
Ae meri pyaari beti tu har pal shaad o aabad rahey
sadda tera ghar tera daman khushyon k phoolon se bhara rahey
koi dukh na aye , koi gham choo na paye tujhey
tera angan kai nanhi kallyon k dam se muskurata rahey
tu meri beti sadda aabad o dil shaad rahey
***************
Nahi mujhe umeed logo se ,k wo insaaf dain ge
main ne apne RAB apne dukh ka muamla chora...
ENGLISH MEANINGtauhafa ( gift, present), shamil ho na( attend), ji bhar ( ), aangan ( veranda) , payam ( ), mathey ka tikka ( tilak on forehead of a bride), bar bar ( again and again) , ulta ( ), seedha ( ), attak ( ) , aazad (freed ), kalai ( wrist ), chooriyan ( bangles), ras gholna ( ), Channakna ( ), surkh gulab ( red rose), buri nazar ( ),