Top ten dialogues of SaAz

Suvika. thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 7
Posted: 10 years ago
#1
As you all know the 100th episode of Humsafars is just round the corner. But it is going to be bitter sweet because the show would end soon after that. Still... doesn't mean we don't celebrate the century, right??
So.. as a part of that I am compiling the best dialogues of SaAz here. I will start with my top three. Please add on your top choice of top three. I will put them all together and send them across to Vandy who is in charge of the celebration thread.



1. Arzoo to Sahir - Zindagi jab zyaada der tak tedi lakeeron par chalti rahe toh tedi lakeren bhi seedhi lagne lagti hain.

2. Sahir to Arzoo - Tum mera saath dogi na toh hamesha muskurata rahunga. Dogi mera saath?

3. Arzoo to Sahir - Aankhen hamari hain lekin aasoo aapke hain. woh kya hain na..aap Sahir Azim Chaudhary hain. kitna bhi dard ho aap ro nahi sakte.Har ghum ka apne hisse ke aansoo par haw hota hain. Aaj aapke hisse ke aansoo humaari aankhon mein hain.


I need to give her the list by 17th Feb IST.. so think fast SaAz baazis and type faster.

Created

Last reply

Replies

15

Views

8.8k

Users

13

Likes

76

Frequent Posters

947708 thumbnail
Posted: 10 years ago
#2
Arzoo to sahir- zindagi ki pareshani ek school bag ki Tara hai .

Sahir to arzoo- kabhi kabhi zuban se kahna zaroori pad tha hai kya patha ankheen kya hai is me fareeb...


Arzoo to sahir - kabhi kabhi sabhnam bi .. Chandni bi haat jala Dethi hai

Chandni rooz badtha hai aur rooz gadtha hai fir be asman me rehta hai par aap ki mizag ek rooz zamin par saat ve ashman par

So many dialogues are so good I can make a list but let others write .

Sorry few are incomplete in my list
sho-shweet thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#3
I fell in love with them when Aarzoo asked him,"Aap hamen ignore kr rage hn?" Ans Sahir said,"Nahi ma luggage rakh raha hn ignore bad ma karna shuru karunga".Though there have been so many romantic and emotional conversations between these two but this still remains my favourite.
prettypri thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 10 years ago
#4
Sahir to himself..

Mai Arzoo ke saath khel khel raha hoon ya mera dil mere saath khel khel raha hai...
Jab Mai Arzoo ke saath hota hoon tab usse mohabbat karne KA dikhawa karta hoon ya jab mai uske saath nahi hota hoon tab usse mohabbat na karne KA dikhawa karta hoon...

Arzoo sahi keh rahi thi..mujhe khud nahi pata ki mere Andar kitne Sahir hain...Magar Aisa kyun lagta hai ki har Sahir ke DIL me ek hi Arzoo hai...

Sahir to Arzoo...

Yeh Sahir Azeem Chaudhry KA vada hai...tumhaari gaanth ki tarah nahi jise jab chaha bandha aur jab chaha khol diya.

Sahir to Arzoo...

Maine mohabbat mein beimaani Bhi imaandari se nibhaai...

Sahir to Zaki...

Saazishon ki saazish me khud ulajh gayi hai saazish...

Arzoo to Sahir...

Apna dard humare saath baant ne ke liye shukriya..aaj se hum humsafar hone ke saath saath humdard Bhi hain...
Edited by prettypri - 10 years ago
madhu31 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#5
sahir to arzoo- jab kale badal chaate hai, tab yeh chaand, sabse pehle yeh chaand humara saath chodta hai, zindagi meinaisa koi rishta nahi aisa koi saath nahi jiski umr na ho. raat khatam, chaand kasaath khatam.

sahir to arzoo- mujhe tumhari aadat par jaayegi, aur main nahi chaahta ki mujhe tumhari aadat pare. kyunki kuch aadaton ko chodna apne jaan dene se bhi zyaada mushkil hai...

sahir to aarzoo- tum kuch bhi karlo, tum kabhi zeenat ki tarah nahi ban sakti, kyunki tum to arzoo ho. tumhari acchai, tumhari sacchai, tumhari himmat tumhe duniya mein sabse alag banati hai, sabse upar. aur agar tum kisi aur ki tarah banne ki koshish karogi to tumhe neeche aana parega; aur aisa main hone nahi dunga..

tum jaisi ho, meri ho, acchi ho😳



And this-
Arzoo to sahir-hum koi fb ka status hai? Jo like karte phirenge
Edited by madhu31 - 10 years ago
SabrinaMalik thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#6
Aarzoo to Sahir:

"Agar Allah hame ek khoon maaf karta, toh hum aapka murder karke murderbaaz ban jaate."

Sahir to Aarzoo:

"Tum samajhti kyu nahin ho? Door raho mujhse...door raho."

And these two in pink freakin' HAVE to be there! They were the MOST beautiful dialogues. <3

Aarzoo to Sahir:

"Tum jab gaye dard dekar,
dil ne kaha accha hua.
Ek puraane dost se
rishta jud gaya."

Sahir to Aarzoo:

"Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye,
toh aacha hai.

Is raat ki taqdeer sawar jaye,
toh accha hai.

Jis tarah thodi si tere saath kati hai,
Baaqi bhi isi tarah guzar jaye,
toh aacha hai.

Zamane ki nazar mein accha kya hai bura kya hai,
Is baat ka bojh dil se utar jaye
toh accha hai.

Waise tumhi ne mujhe barbaad kiya hai,
Ilzaam kisi aur ke sar aaye,
toh accha hai."

Aarzoo to Sahir:

"Nahin sir!! Aisi waisi gaaliyan nahin! Hum aapko shareefon waali gaaliyan de rahe the!"

Sahir to Aarzoo:

"Meri shakl jale hue toast ki tarah hai?"

I'm thinking of more. Lemme see if I can remember.
Edited by SabrinaMalik - 10 years ago
sushgirly thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
#7
>>.Sahir to Arzoo:
"Tume hifazzat karna meri farz hai, marzi hai aur haq hai"

>>. Arzoo:"Aap hame ignore kar rahe hai?? "
Sahir:"Nahi mein ab bag rakh raha hoon phir tume ignore karoonga"

>>Arzoo to sahir:

"yeh hamara vadha hai aapse,khudse aur allah se ki hum sirf aap se hi mohabbat karenge"

>>.Sahir to Arzoo:

"Humari rishta yeh chudiya ki tharah khoobsurat hai lekin itne kamzoor nahi "

>>.Arzoo:"yeh to hamare naam liye hai "
Sahir:"isiliye woh meri side hai"
(SaAz-Ashrafi scene)

>>.Sahir to Anam:
"Arzoo meri biwi hain uske beizzati karna meri beizzati hain"

>>.Sahir: "mein nahin chahta ki tum is paheli mein ulajh jao"
Arzoo:"yeh toh aap hame nikkah karne ki pehle sochna chahiye ab hum aap ki humsafar hain "

>>Sahir to Arzoo:
"humare beech arguments hoga, jagde honge aur jo bhi hoga is kamre ki andhar hoga baahar nahin . yeh hamara kamra hain"

>>Arzoo:"Is ghar me hum kis par yakin kare na kare kuch samajh me nahin aa raha hain"
Sahir:"Sirf yek dhoosre par"

>>Arzzo to Sahir:"Aap khudko dhardh pahunchne ke liye hum ijaazat nahi dhenge "

I cannot number it !!

Everything is equally good!!



Edited by sushgirly - 10 years ago
Junoonian thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 10 years ago
#8
This is not a serious one but a funny one.
After coffee is spilled on Sahir...
Arzoo to Sahir: sir aap kal se cold coffee peejiye. Girega toh bhi jalega nahin.


TeekhiMishti thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#9
Sahir azeem choudhary agar battameezi pe utar aaya na to tumhare chupne ke liye jagah kam padh jayegi.
aapki aarzoo adhuri reh jayegi sahir.

mai luggage rakh raha hun.iske baad tumhe ignore karunga 🤣
aardhan thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 4
Posted: 10 years ago
#10
Nice thread Suvi 😃

But, seriously no one wrote this one yet 😲 😲 😲


Sahir- Suno ... Kuch nahin 😉
Or just Suno...

😆 😳

Will think of more later, most of it is covered already 😃

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".