Chapter 50
The day before anniversary
At morning
Indira subah uthkar ready hoke aayneke samne khadi rehkar ek pure roomki taraf dekhti hain, "Bas do din aur, parso me iss ghar se chali jaungi" uski najar ek wall piece pe jati hain, use uss wall piece ko leke INSHI ka jhagda yaad aata hain, "Kaise jhagad rahe the hum tab iss wall piece ko lekar, tab shayad yeh bhi nahi socha tha ki insari batonko aise yaad karungi, tab yeh sab majak lag raha tha, tab har baat pe mujhe Rishipe gussa aata tha par ab wahi wo sare pal hain jo mujhe humesha yaad aayenge, iss pure ek saal me mujhe wo pyar mila hain jiske liye me kahina kahi tadapti thi" wo lambisi saans leti hain, "Lekin ab me chahkar bhi yeh sare pal wapas jee nahi sakti aur nahi me in sabke saath reh sakti hu, ab me in sari cheezonse bahot dur janewali hu" uski aankhome pani aata hain. Wo khudko sambhalkar kitchenme jati hain.
Rishi humeshake tarah uthkar Indirako awaj lagata hain par Indira nahi aati. Rishi uthkar AC off karta hain, Indira Rishika awaj sunkar waha aati hain, "Rishi uth gaye tum? Mujhe laga tumne mujhe awaj di isliye me yaha...
Rishi : Haan awaj toh di thi, par tabhi mujhe ehsaas hua ki ab aagese toh tum roj nahi aanewali ho toh isliye mujhehi mere kaam karne ki aadat dal leni chahiye, isliye mainehi... aur dono ek dusreke taraf dekhte hain. Rishi eye lock todkar me... me nahane jata hu aur wo washroom me jata hain. Indira washroom ke taraf dekhti hain, "Achhi baat hain Rishi, tum bhi apni aadatein badalo aur me bhi..." uski najar Rishike towel pe jati hain, wo towel lene jati hain tabhi Rishi waha aata hain, "Wo towel..." wo towel lekar chala jata hain, Indira fade smile deti hain.
Shamko Indira apna saman packing karna shuru karti hain. Rishi officese wapas aata hain, "Yeh kya kar rahi ho Indira?"
Indira : Wo me saman pack kar rahi hu.
Rishi : Itni jaldi kyun?
Indira : Itna sara packing karneme bahot time lage gana aur fir kal gharme party hain toh pura din usmehi chala jayega aur parson toh...
Rishi : Hmmm...sahi keh rahi ho. Yaadse sab achhese pack kar lena warna kuch reh gaya toh tumhe problem aayegi.
Indira : Haan aur mujhse jyada tumhe aayegi agar kuch reh gaya toh me tumhe phone karke pareshaan jo karungi, dono haste hain.
Rishi : Indira maine kabhi tumse kaha nahi par I will miss you, tumhe yeh baat sunkar pata nahi kaise lagega par me tumhe bahot miss karunga, pata hain tum wo ek aisi ladki ho jisse maine apne almost sare secrets share kiye hain, tumhari har baat mani hain, I will miss you a lot.
Indira : Me bhi tumhe bahot miss karungi Rishi. Tum apna achhese dhyan rakhna, barish me jyada bhigna mat, thandi cheezonse thoda durhi rehna, chhoti chhoti batonpe gussa mat hona aur haa sabse important baat kabhi bhi apne dil aur dimag ki batonme confused huye na toh dil ki baat bhi sunliya karna kyunki practically jeena galat nahi hain par uske sath dusronke emotions ka bhi khayal rakhna jaruri hota hain, samjhe? Rishi usse confuse look deta hain, Indira usse meaningfully smile dekar packing karne lagti hain.
Rishi wardrobese do packets nikalta hain, "Indira". Indira uske taraf dekhkar, "Yeh kya hain Rishi?" Rishi usse packet dikhakar, "Yeh wo tumhare liye gift laya tha...wo kal humari wedding anniversary hain na toh uske liye...dekhna shayad tumhe pasand aaye.." Indira gift lekar, "Thank you so much. Par kal ke liye laye the na toh aaj kyun de rahe ho?"
Rishi : Wo maine socha abhi de deta hu isliye...kholke dekho na... Indira packet kholti hain, Rishi usse Indiraki DFke sath khichi hui sari pictures ki collage banayi hui frame deta hain. "Rishi yeh...yeh sab..."
Rishi : Tum pure gharwalonse bahot attatched huyi ho Indira, toh maine socha yahi sare momentsko ek frame me tumhe deta hu...kaisa laga?
Indira : I am speechless Rishi...thank you...thank you so much, yeh gift mere liye sabse kimti gift hain, thanks a lot Rishi...uski aankhome pani aata hain, Rishi wo pochta hain. Indiraki najar dusre packetpe jati hain, "Yeh kya hain?"
Rishi : Wo...yeh bhi ek... Indira packet leti hain, "Yeh bhi mere liye hain na..." wo packet kholti hain usme INSHI ke sare pics hote hain, "Yeh shayad tumhe achha na laga ho Indira...mera matlab ye hum dono..."
Indira : Kaisi baate kar rahe ho Rishi, tumhare sath bitaya hua har ek pal mere liye khass hain, thank you ye bhi kum hain in dono gifts ke liye aur wo usse hug karti hain, "Thanks a lot Rishi...tumhe nahi pata ki tumne mujhe kya gift diya hain, thanks" aur wo usse tightly hug karti hain. Rishi bhi usse hug karta hain aur dono ki aankhome pani aata hain.
Next Day
INSHI uthkar ek dusreko wish karte hain aur neeche poojake liye aate hain. Dadi aur Simmi INSHI ke anniversary ke din unki married life acchese chalne ke liye pooja rakhte hain. INSHI pooja karne bethate hain tabhi Priya ka dhyan Indirake forehead pe jata hain, "Are Indira yeh kya tumne sindoor nahi lagay?"
Indira : Ji wo didi me bhul gayi, abhi aati hu lagake.
Priya : Koi baat nahi yeh lo yahi lagalo wo usse bhagwanjike passse sindoor deti hain, ek kam karo dewarji aaj aaphi sindoor laga dijiye...
Rishi : Me... par bhabhi...
Priya : Kya baat hain dewarji? Sirf sindoor laganeke liye keh rahi hu.
Simmi : Kya baat hain Rishi? Bhar dena uski maang me sindoor. Rishi ek bar Indirake taraf dekhta hain, "Wo ma...me...me wo".
Dadi : Rishi itna kyun jhijak rahe ho? Jaldi se laga do na aur waise bhi aaj ki pooja tum dono ke liyehi hain na. Rishi wapas Indirake taraf dekhta hain aur Priyase sindoor ki dibbi le kar Indira ke maang me sindoor bharta hain, sindoor lagate waqt uske hath kapne lagte hain, Indira bhi apni aankhe band karti hain.
Poojake wakt panditji unko hawanke liye bithate hain aur bhagwanjise aashirwad leneke liye kehte hain.
Rishi apne man me : Bhagwanji aap toh sab jante ho na, yeh sab hum ne kyu kiya, kis liye kiya, hum dono ko maf kar dena bhagwanji.
Indira apne man me : Yeh sab humare saath kya ho raha hain? Maine kabhi nahi socha tha ki baat yaha tak aayegi. Bhagwanji aap bhi jante ho ki hum sare pariwarwalonko dhoka de rahe hain, humne sabse jhoot bolkar bahot bada paap kiya hain, hume maf kar dijiye aur humare pariwarwalonko sachhai swikar karneki takad dijiye... Pooja hone ke bad dono badonka aashirwad lete hain.
Simmi : Khush raho bachho, tum dono apni jindagi aisehi hasi khushi ek dusre ke sath bitao. Indira Simmi ko hug karke roti hain. Kya hua Indira? Ro mat beta, me janti hu abhi tum kya mehsoos kar rahi ho, tumhe apni maa ki yaad aa rahi hain na par aise rote nahi hain me hu na aur wo uski aankhe pochti hain. Shekhar INSHI ko naye bunglow ke property papers deta hain as wedding gift.
INSHI dadi ke per chute hain,
Dadi : Sada khush raho bachho aur ab jaldise mujhe iss shaitan ki dadise pardadi bana do. INSHI embrass hokar khade rehte hain, sab log haste hain. Dadi dono ko diamond rings deti hain. Priya Sameer aakar INSHi ko hug karte hain aur gifts dete hain.
At INSHI's room
Indira : Rishi wo me...wo me ye puchna chahti hu ki hum sabko sachhai kab batayenge?
Rishi : Me bhi tumse yeh baat karnewala tha Indira, me soch raha hu hum kal hi sabko sach bata denge, waise bhi tum kal yahase jaogi aur sab sawal puchenge toh aur jhoot bolnese achha hain sabko hum sachhai bata dete hain. Indira apna sar hilati hain, "Pata nahi Rishi sab kaise react karenge?"
Rishi : Par Indira kabhi na kabhi unko sachhai accept karni padegi hi na. Kuch nahi hoga, hum dono sabse baat kar lenge. You don't worry... wo office jata hain.
At Evening
Rishi Indirake liye saree lata hain, "Indira yeh dekho me tumhare liye laya hu. Kya tum aaj partyme yeh saree pehnogi?"
Indira : Haan jarur pehnungi. Wo ek packet Rishiko deti hain Me yeh layi hu tumhare liye, wo usse suit aur wrist watch deti hain. Dono party ke liye ready hote hain.
Partyme Inder aur Dulari aate hain. INSHI unka aashirwad lete hain. Cake cut karneke bad sab log romantic song pe dance karte hain. Rishi Indirake samne hath karta hain, "Will you dance with me?" Indira apna hath uske hath me dekar sar hilati hain, dono dance karte hain.
Rishi uske kamarpe hath rakhta hain, Indira uske kandhe pe hath rakhti hain,
Hai dil ye mera
Mujhe hardum ye poochta:
Kyun hai mujhe tujhse itni wafaa..
Kyun teri hasrat
Hai har khwahish se badhkar mujhe
Kyun naam tera hi leti zubaan..
Rishi peechese usse hug karta hain, Indira apna sar uske chest pe rakhti hain aur dono apni aankhe band karte hain.
"Saathi tera bann jaaun"
Kyun hai yeh junoon!
Har aansun tera pee jaaun
Or de du sukoon
Har din tujhko chaahun
Teri raah takun
Apni baahon mein tujhko
Main salamat rakhun
Donoko unki pehli meeting, uske baad dono ne kaise shadi ka faisla liya aur unhone bitaye huye moments yaad aate hain...
Tere hi baare mein, hai ab har zikr mera
Huaa hai kaisa asar yeh tera
Koi naseehat, na chaahun main koi salaah
Jo rooh ne mere tujhe chun liya
Rishi uske samne aata hain aur dono ek dusre ke taraf dekhte hain. Indira usse hug karti hain, Rishi bhi usse tightly hug karta hain aur dono apni aankhe band karte hain
"Saathi tera ban jaaun"
Kyun hai yeh junoon!
Har aansun tera pee jaaun
Aur de du sukoon
Har din tujhko chaahun
Teri raah takun
Apni baahon mein tujhko
Main salaamat rakhun
Party ke bad sab log chale jate hain. Inder aur Dulari bhi jane lagte hain par Sameer unko rokta hain, "Rukiye uncleji, mujhe sabko ek baat batani hain.
Inder : Kya baat hain beta? Sab thik toh hain na?
Sameer : Uncleji aap please thodi der rukiye. Me sabko bataunga. Wo kisiko phone lagata hain aur jaldi aane ke liye kehta hain.
Priya : Kya hua Sameer?
Sameer : Priya tumhe yad hain tumnemujhe kaha tha ki tumhe bahot ajib si bechaini ho rahi thi, wo baichaini shayad issi baat ke sanket de rahi thi. thodi der wait karo sab pata chal jayega. Waha pe ek insaan aate hain, "Are aa gaye aap? Aayiye Advocate Chaudhari". Advocate Chaudhari ka nam suntehi INSHI shock hote hain. Indira ghabrakar Rishi ka hath tightly pakadti hain.
Shekhar : Sameer kya baat hain? Tumne inhe yaha itni raat ko kyun bulaya hain?
Sameer : Dad aap sab jan jayenge. Wo INSHI ke pass aata hain, Kya tum ldono abhi bhi chup rehnewale ho ya ab batane wale ho?
Simmi : Yeh sab kya ho raha hain Sameer? Rishi kya batanewale ho tum? Koi toh bolo.
Sameer : Maa, Dad, Uncleji me aapko kuch dikhana chahta hu, Mr. Chaudhari plzz wo papers dijiye... Advocate usse kuch papers deta hain, ye lijiye dad padh lijiye...
Shekhar papers padhke shock hota hain, Inder uske pass aakar papers padhta hain, uske hathse papers neeche girte hain. Simmi unke pass aati hain, kya hua hain aap dono aise kyun khade ho? Simmi papers leti hain aur wo padhti hain, Contract Papers... Yeh...yeh sab kya hain Rishi? Contract papers??? Ye sab sach hain? Rishi apna sar slightly hilata hain sab log unke taraf shock hokar dekhte hain.