Originally posted by: kirti123
amazing story
mahi is superbloving the ffthanks for the pmsorry just read the entire ffand enjoyed reading it đ
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread-8 Sept 2025| Teams DT note P.58
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 8, 2025 Episode Discussion Thread
BHAGODI MAIRA 8.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 9, 2025 Episode Discussion Thread
Anupamaa 08 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
BALH Naya Season EDT Week #13: Sept 8 - Sept 12
The ba****ds of bollywood trailer
Kareena Kapoor in London/ Birmingham for Malabar Gold and Diamonds
SUPER HEROO 9.9
Game over for Param Sundari at the box office
Originally posted by: kirti123
amazing story
mahi is superbloving the ffthanks for the pmsorry just read the entire ffand enjoyed reading it đ
CHAPTER-5
[ 2 WEEKS LATER ]
"Ye roz roz aisi ajeeb si awaaz kaha se aati hai?"Maahi asked Sneha while they were sitting inside their classroom.From past few days,some strange sounds were coming from behind the school.Sneha replied,"Arey maine na vo chowkidaar uncle se pucha tha to unhone kaha ke hamaare school ke peeche jo vo bari si khaali zameen hai,vaha ek bohot bara resort ban raha hai,ye usiki awaaz hai."Maahi made a face and asked,"Ye resort kya hota hai?Koi ghar hai kya?"Sneha nodded her head and replied,"Vo to mujhe bhi nehi pata."Maahi thought for sometime and said,"Thik hai main mummy se puch lungi.Meri mummy ko sab pata hota hai."
During the recess,Maahi as usual waited outside the staff room for Indira.Within sometime,Indira returned from her classroom and went inside the staff room.She again came outside with Maahi's lunch box.Indira gave it to her and Maahi said,"Aaj aapne phir se paraathe to nehi daale hai na?Mujhe ye roz roz lunch mein paraathe khaana ab aur achcha nehi lagta."Indira said,"Paraathe nehi hai beta aaj noodles banaa kar diye hai."Maahi happily said,"Oh tab thik hai."Indira was about to return to the classroom when Maahi grabbed her hand from behind and asked,"Mummy ye resort kya hota hai?"Indira confusingly looked at her and asked,"Resort????Tujhe resort ke baare mein kisne bataaya?"She replied,"Vo mummy maine suna hai ke school ke peeche jo ek khaali zameen hai na vaha koi resort ban raha hai,isiliye pucha."Indira said,"O achcha.Resort ek bohot bara hotel jaisa hai.Jaha bare bare rooms hote hai,swimming pool hota hai,bara sa dining room hota hai,matlab vaha sab kuch milta hai."She tried to explain to the level which Maahi can understand.Maahi's eyes glittered on hearing this.She excitedly asked,"Sab kuch milta hai???Kya vaha papa bhi milenge?"Indira laughed out on hearing this.She kissed on her cheeks and said,"Arey nehi re meri nanhi pari.Papa vaha kaise milenge?Papa koi cheez thore hi hai?Vo to insaan hai na?"Maahi nodded her head and Indira ordered her to complete her lunch before going to play.
After having the lunch,instead of gong to the playground,Maahi and Sneha came to the watchman.On seeing them,the watchman asked,"Arey bachcho aap log yaha kya kar rahe ho?"Maahi replied,"Mujhe aap se kuch puchna tha."He asked,"Mujhse???Kya puchna hai?"She asked,"Hamaare school ke peeche kya sahi mein ek bara resort ban raha hai?"He replied,"Ha aur usey banaane ke liye Delhi se bohot bare bare log aaye hai.Waha ka chowkidaar bohot khaas dost hai mera,usine mujhe bola.Suna hai bohot hi shaandaar resort banega."On hearing about Delhi,Maahi said to Sneha,"Tujhe pata hai Sneha,meri mummy ne kaha ke unka ghar bhi Delhi mein hai."Maahi asked the watchman,"Chowkidaar uncle,mujhe na resort dekhne ka bara shaukh hai,kya aap hume waha le chalenge?"The watchman held his ears and bit his tongue.He said,"Arey nehi nehi vo jagah bachcho ke jaane ki nehi hai aur upar se agar Indira didi ko pata chal gaya to vo bohot gussa karengi."Maahi assured,"Mummy kuch nehi kahegi.Chalo na hume lekar."He said,"Bilkul nehi.Agar tumko jaana hai to unke saath hi jaana.Mujhse ye sab nehi hoga aur mujhe unke gusse se bohot dar bhi lagta hai."Maahi made a face and muttered,"Darpok kahike.Huh!"Saying she left from there with Sneha.
After the school,while returning,she said to Sneha,"Pata hai maine na tey kar liya hai ke main ye resort dekhne zarur jaaungi."Sneha said,"Ha chowkidaar uncle ne sahi kaha hai tujhe Indira mam ke saath hi jaana chahiye."Maahi stopped and said,"Tujhe kya lagta hai ke main mummy ko bolungi aur mummy mujhe lekar jaayegi?Kabhi nehi."Sneha confusingly asked,"To kaise jaayegi?"Maahi gave an evil smile and said,"Bina bole jaaungi."Sneha screamed,"Paagal hai kya?Indira mam ko agar pata chal gaya to tujhe bohot maar paregi.Dekh lena.Vo tujhe kabhi akele nehi jaane degi."Maahi said,"Main akeli nehi jaaungi balki tu bhi mere saath chal rahi hai."Sneha nodded her head and said,"Na baba na main nehi ja rahi hu tere saath.Main teri jaisi khatarnaak nehi hu."Maahi said,"Tu itna kyu darti hai?Main hu na tere saath.Vaise bhi jaaungi to main zarur aur agar tujhe aana hai to aa,nehi aana hai to mat aa.main akeli hi chali jaaungi."She started walking forward but Sneha stopped her and said,"Thik hai main chalungi tere saath.Par kab chalenge?"Maahi thought for a moment and then said,"Saturday ko half day hai na to usdin school ke baad."Sneha made a crying face and said,"Par mujhe bohot dar lag raha hai Maahi."Maahi assured her,"Kuch nehi hoga.Tu dar mat."Both then walked towards their home.
At night,after dinner when Maahi was preparing to sleep,she saw,Indira was sitting on her study table and was reading a book.Maahi went towards her and asked,"Mummy main aapse ek baat puchu?"Indira nodded her head in agreement.Maahi asked,"Mere papa dikhne mein kaise the?Mere jaise the kya?"Indira raised her eyes from the book and then tightened her jaws.She pointed towards the clock and said,"Maahi raat bohot ho chuki hai aur kal school bhi jaana hai.Jaao jaakar so jaao."Maahi didn't go and said,"Aaj main nehi jaaungi.Jab bhi main aapse papa ke baare mein puchti hu to aap aise hi hamesha meri baat ko taal dete ho.Aaj main aapki koi baat nehi sunnewaali,aapko bataana hi parega."Indira closed the book with a bang and then said,"Dekh Maahi mere paas tere in sab sawaalo ka koi jawaab nehi hai.Isliye abhi mera dimaag mat kharaab kar aur ja jaakar so ja."Maahi shouted,"Nehi jaaungi main.Aapko pata hai,jab main apni kisi friend ke birthday party ya unke ghar mein jaati hu,to sab yehi puchte hai ke mere papa kya karte hai,main koi jawaab nehi de paati.Koi unka naam puchta hai to vo bhi nehi bata paati.Mere saare friends apne papa ke baare mein kitna khush hokar bolte hai par mujhe to unke baare mein ek choti si baat bhi nehi pata jo main bol saku.Mere saare friends ke ghar mein unki family photo hai apne mummy papa ke saath par mere paas to papa ki ek bhi photo nehi hai.Kabhi agar vo mere saamne bhi aaye to main to unko pehchaan bhi nehi paaungi.Aapko puchti hu to aap gussa karti hai,daat deti hai.Aapko to papa ke naam se bhi nafrat hai.Aap itna hate kyu karti ho papa se?"Indira raised her finger on Maahi's face and grinned,"Tameez se aur awaaz neechi karke baat karo Maahi.Bhulo mat ke tum apni ma se baat kar rahi ho.Main aakhri baar keh rahi hu jaao yaha se."She was still standing like a stubborn.On seeing this,Indira too shouted,"Just go."At this Maahi shivered a bit and tears came out of her eyes.She sobbed and said,"Aap to hamesha apne mummy papa ke saath rahi ho na,aapke paas to aapke papa bhi the par mere paas nehi hai isiliye aap kabhi nehi samjhogi,aap bohot buri ho mummy,aap bilkul achchi nehi ho."Saying Maahi returned to her bed and covering upto her head started crying.
Indira kept on staring at Maahi unbelievably.She could not believe that one day Maahi will utter such words.Maahi's last words were echoing inside Indira's mind.Her eyes tossed from Maahi to her wardrobe.She slowly moved towards the wardrobe and opened it.There was a casket in the locker which she never opened past 8 years.She slowly opened the casket which contained Sameer's photograph.She took out the photo and closed the wardrobe.She unmindfully,looking at the photo,came out of her bedroom and started walking.It was a bit cold outside but that didn't affect her.She dashed on the stairs outside and broke into tears.She looked at Sameer's photo and said,"Aakhir kis baat ki sazaa di hai tumne mujhe?Mera bas itna hi kasoor tha na ke maine tumse pyar kiya?To meri galti ki sazaa meri beti ko kyu mil rahi hai?Dekho aaj tumhaare vajah se meri zindagi kya se kya bankar reh gayi hai.Meri beti..meri beti mujhse kehti hai ke main buri hu,main.main uska dard nehi samajh paati par main jaanti hu ke ye sach nehi hai.Kitni baar.kitni baar mera dil karta hai ke main usey tere paas lekar aau aur tumhe dikhaakar ye kahu ke ye dekh Maahi ye hai tere papa,par main aisa nehi kar paati,bilkul nehi kar paati.Tumhe pata hai jab bhi vo kisi bachche ko apne papa ke saath dekhti hai to uski kya haalat hoti?Kis tarah se unke taraf dekhti hai?Us waqt uski aakhe meri dil ko chalni kar deti hai aur in sab ke zimmedaar sirf tum ho Sameer,sirf tum."She wiped her tears and grinned,"Kabhi kabhi dil karta hai tumhaari jitni bhi nishaaniya hai mere paas un sabko aag laga du aur shaayd kar bhi deti par tumhaari jo sabse khaas nishaani,tumhaari beti,usko kaise alag karu?Vo to tumhaari parchaai hai.Kitna majbur bana diya hai tumne mujhe,kitna lachaar.Main peechle 8 saalo se na to tumse nafrat bhi nehi kar paayi.Maine bohot koshish ki par main kaamyaab nehi hui."She raised her eyes and said,"Kaash tum kabhi meri zindagi mein aaye hi nehi hote Sameer to shaayad mujhe aaj aisi gumnaam zindagi nehi bitaani par rahi hoti.Tumhaare vajah se aaj meri beti tumhaare hote huye yateemo ke tarah reh rahi hai.Tumhaare vajah se aaj vo ek normal zindagi nehi bita pa rahi hai,baaki bachcho ke tarah apne ma-baap ke saath reh nehi pa rahi hai,unka haath pakar kar chal nehi pa rahi hai,unke beech mein so nehi pa rahi hai.Mere saath jo tumne kiya uske liye main bhale hi tumhe maaf kardu par tumhaare vajah se aaj jo din meri bachchi dekh rahi hai uske liye main tumhe kabhi maaf nehi karungi."She was so lost in her own world that she didn't even realize that it was getting late and Maahi was alone in her room.When she returned to her senses,she hurried back to her room.On reaching her room,she found that Maahi had fallen asleep.While putting the photo,in the casket,she again looked at it and then at Maahi.She said in her mind,"Main bohot koshish karti hu Maahi ki zindagi mein tumhaari kami ko pura karne ki.Kitna pyar karti hu usse.Koshish karti hu uske har zarurat ko pura karne ki par vo mujhse bas ek hi cheez maangti rehti hai jo main usey nehi de sakti.Main uski ma to ban gayi par papa nehi ban paayi.Maahi ko tumhaari bohot zarurat hai Sameer,usey apne papa ki bohot zarurat hai."While locking the casket,she gave a last glance on Sameer's photo and the words just came out,pushing the fake barrier of hatred in her heart in the form of stammer,"III loI loveI love youSameer."She locked the casket and closed the wardrobe.After that she slept beside Maahi and stared at her for more time.She wiped the dried lines of tears in Maahi's eyes and kissed on her forehead.She tried to hug Maahi tightly and cry her heart out but she couldn't.She said to herself,"Jee to karta hai tujhe apne seene se laga kar jee bharke rolu,par tere liye mujhe apne aasuo ko dabaana parta hai.Teri ma buri nehi hai beta bas tere liye swaarthi hai."She covered her mouth with a piece of cloth and turned against Maahi and wept silently so that her pain doesn't reach Maahi.
Next morning,after making Maahi's breakfast,Indira came to wake her up.But to her surprise,she found Maahi had already woke up,completed her bath and already got ready for her school.Indira smiled and asked,"Arey vaah Maahi aaj apne aap hi kaise uth gayi?"Maahi didn't reply.She was silently packing her school bag.Indira continued,"Achcha thik hai,uth gayi to bohot achchi baat hai.Main nahaakar aati hu uske baad tumhaara breakfast karwa dungi."Saying,she took her clothes and went for bathing.When she came out,she found Maahi's bag was not there.She thought that Maahi might have gone to the dining room.
On reaching the dining room,she didn't find Maahi.Now,she became a little bit tensed.She asked Shaanti,"Maahi kaha hai?"Shaanti replied,"Vo to khana khaa kar bag uthaakar chali gayi didi."Indira confusingly asked,"Chali gayi???Aise kaise chali gayi mujhe bina bataaye?"She ran out of the dining room and ran to Joan's room.On seeing Indira in that condition,she asked,"Kya baat hai my child?Tum aisa haaf kyu raha hai?"Indira said,"Mother Maahi mujhe bina bole kahi chali gayi.Kya usne aapko kuch bataaya?"Joan nodded her head and said,"Ha usne jaate waqt kaha ke vo school ja raha hai."On hearing this,Indira understood that Maahi was angry with her.She dashed on the chair and was shedding tears.Joan rubbed her head and said,"Tum dono ka beech mein kuch hua hai kya?Varna vo to aisa irresponsible child nehi hai aur naahi vo tumse bina puche koi kaam karta hai.Phir usne aisa kyu kiya?"Indira wiped her tears and said,"Kal maine usey bohot buri tarah se daat diya mother.Mujhe uspar aise chillaana nehi chahiye tha."Joan understood the matter and asked,"Phir se usne apna papa ka baare mein pucha na?"Indira nodded her head.Joan remained silent for sometime and then took a deep breath and said,"Dekho Indira hum agar tumse kuch kahega to tum to hamaara baat sunne waala nehi hai isiliye hum bas itna hi kahega ke aisa koi kaam mat karna jiska vajah se kal ko Maahi tumse nafrat kare."Indira looked at Joan with a jerk and pleaded,"Aisa mat kahiye mother.Vo mere liye meri zindagi hai.Agar aisa hua to main mar jaaungi."Joan said,"Main jaanta hai par tum apne jagah par khara reh ke soch raha hai ek baar uska jagah pe khara rehkar socho aur phir decision lena."Saying Joan left her room leaving Indira in a confused and frustrated state.
During the recess,in the school,Indira after the class while returning,found that Maahi was not there in front of the staff room.She thought that she might be on the way.When she came out of the classroom with Maahi's lunch box,she found that Maahi was still not there outside which never happened.She asked herself,"Mere class khatam karke aane se pehle hi to hamesha aa jaati hai.Phir aaj kya hua?"She decided to go to Maahi's class.On reaching there,Indira found that she was sitting there with a sad face on her bench.Indira cursed herself remembering what she did with her yesterday.She called Maahi outside.Maahi,at first didn't come but later on unwillingly,she got up from her seat and moved towards Indira.Indira gave her the lunch box but Maahi didn't take it.Indira,then picked her up in her arms and asked,"Tu apni mummy se itna gussa hai beta ke ek baar meri taraf dekhna bhi nehi chahti?Tumhe pata hai aaj mummy ko kitni tension ho gayi thi jo tum aise mujhe bina bole chali aayi?"Maahi still didn't reply.Indira said,"Tumhe pata hai na ke mummy tumse kitna pyar karti hai?Tum asisa karogi to kaise chalega beta?Achcha thik hai mujhse galti hui na to main maafi maangti hu.Iam really really very very sorry aur aaj ke baad mummy tumpar kabhi bhi nehi chillaayegi,I promise."Maahi was still silent.So Indira,in order to persuade her,applied the most well-known trick.She,making a fake sad face said,"Thik hai agar Maahi apni mummy ko maaf nehi karna chahti hai to kya kar sakte hai.Maine to socha tha ke aaj main apni gudiya ko.."Indira,meaningfully peeped at her and said,"Uske papa ke baare mein bataaungi.Khair chalo koi nehi."Indira was just about to put her down when Maahi spoke out,"Maine aapko maaf kar diya hai to.Main to aapse bilkul bhi gussa nehi hu."A smile appeared on Indira's lips.She asked Maahi to give her a kiss on her cheeks.Maahi did it and then she too apologized,"Iam sorry mummy,mujhe bhi aapse vaise baat nehi karni chahiye thi.Main bhi aagey se aisa kabhi nehi karungi.I promise."Indira cared her face and said,"Koi baat nehi.Kabhi kabhi aise gussa aa jaata hai.Jis tarah se mummy ko aaya tha vaise Maahi ko bhi aaya tha.Its ok."She then put Maahi down and before leaving asked her to complete her lunch.
At night,in the bed,while sleeping,Maahi said, "Mummy ab papa ki kahaani sunaao."Indira asked,"Achcha bolo kya janna chahti ho papa ke baare mein?"Maahi said,"Sab kuch.Mere papa kaha rehte hai,unke ghar mein kaun kaun hai,vo kya karte hai,mujhe sab janna hai."Indira said,"Tumhaare papa Delhi mein rehte hai aur unke paas dher saara paisa hai,bare bare ghar aur bohot saari gariya bhi hai aur unke saath tumhaare dada dadi bhi rehte hai."She asked,"Mere papa bohot rich hai?"Indira replied,"Ha beta bohot rich hai."Maahi asked,"Aap papa se kaha mili?"Indira smiled and replied,"Hum dono ek college mein parte the vahi miley."Maahi asked,"Aur unko kya kya pasand hai aur kya kya napasand?"Indira told her about Sameer's likings and dislikings.Maahi then hesitantly asked,"Aurpapa ka naam."Indira,made a stern face and then said,"Bohot baate ho gayi hai papa ko lekar.Ab so jaao."Maahi nodded her head and turned against her and thought,"Chalo mummy ne kamsekam kuch to bataya papa ke baare mein.Aise hi ek din papa ka naam bhi nikalwa lungi.Abhi ke liye itna hi kaafi hai.Goodnight papa and I love you so much."She then closed her eyes and fall asleep.
Next day,it was Saturday,so after the school,as pre-decided,Maahi and Sneha without seeking permission from their parents,left to visit the resort.On the way,Maahi told Sneha whatever Indira told her about her father.When they reached in front of the gate of that particular place where the resort was made,Maahi gave a smile of content that at last she reached the resort.She said to Sneha with a victorious smile and a glittering face,"Dekh aakhirkaar main aa hi gayi."Sneha nodded her head in agreement.Maahi was inspecting each and every corner of the place and suddenly her eyes fall on the banner board on the top of the gate.All her happiness and excitement slowly changed to shock and from shock to confusion.Sneha noticed her expressions and asked,"Kya hua Maahi,tu aise kiski taraf dekh rahi hai?"Without replying Sneha,she just pointed at the board.When Sneha followed her finger,she found,it was written CONSTRUCTION BY DIWAN BUILDERS.Maahi unmindfully uttered,"Diwan Builders????Diwan????Mere papa ka surname bhi to Diwan hai na?Kahi ye mere papa ko jaante to nehi hai?Mummy ne bhi to kaha tha ke vo Delhi mein rehte hai aur chowkidaar uncle ne bhi kaha tha ke ye bhi Delhi se hi aaye hai.To kya.."Sneha confusingly asked,"Ye kya bake ja rahi hai tu?"Maahi grabbed her hand and said,"Ye dekh Diwan Builders.Mujhe lagta hai iske owner ka surname bhi Diwan hoga.Mujhe inse milna hai aur ab to main inse milkar hi rahungi."Sneha said,"Ek surname ke bohot saare log hote hai is dunia mein."Maahi said,"Mujhe pata hai phir bhi mujhe jaana hai.Tu chal mere saath."Maahi then dragged Sneha inside.
When they reached inside,the watchman stopped them.He asked,"Arey aise kaise aur kaha ja rahi ho tum dono?"Maahi replied,"Hum resort dekhne aaye hai aur usey banaane waale se milne bhi aaye hai."He said,"Hamaare sahabji aise hi kisise nehi milte hai.Chalo bhago yaha se."Maahi raged in anger at the way the watchman was treating them.She put her hands around her waist and said,"Ye kya tareeka hua kisiko jaane ke liye kehne ka?Hum kya koi aire gaire hai?Main yaha jis kaam ke liye aayi hu,usey pura kiye bina yaha se nehi jaane waali."He said,"Main tumhe andar nehi jaane dunga."She grinned,"Main bhi dekhti hu mujhe kaun rokta hai."He ordered her many times to go away but she was too stubborn for him to listen.At last,the watchman took both of them to Sameer's manager.Hearing everything,the manager said,"Dekho yaha aise bachcho ka aana allowed nehi hai."Maahi instantly replied,"Maine to aisa kuch bahaar board par likha hua nehi dekha ke yaha bachcho ka aana allowed nehi hai."He said,"Aise kisi dusre ki property mein bina puche ghus jaana gairkanooni hai aur isse tumhe jail bhi ho sakti hai samjhi."Maahi said,"Main koi chori chupe thore hi ghus rahi hu.Mujhe to bas ye resort dekhna hai aur isey banaane waale se milna hai."He asked,"Tumhe unse kyu milna hai?"She replied,"Vo main aapko kyu bataau?Ye mera personal matter hai.Abhi aap itni si baat ke liye mera time waste mat kijiye mujhe ghar bhi jaana hai aur ha agar main time se ghar nehi pohochi to meri mummy yaha police lekar aa jaayegi."The manager found it useless to talk with her and took them to the site.On the way,Sneha muttered,"Tuney to kaha tha ke tu Indira mam ko bina bole aayi hai?"Maahi too muttered in reply,"Arey buddhu agar aisi dhamki nehi deti to ye log hum andar nehi le jaate.Ab chup reh."The manager,after bringing them inside,showed them the resort.At that time,Sameer was standing turning against them and talking over the phone.The manager pointed at him and said,"Ye hai hamaare boss jo ye resort bana rahe hai Mr Sameer Diwan."
On hearing the name,Maahi stared closely at him.A very strange storm of feelings rising inside her mind.She,hypnotizingly,started walking towards him as if she was possessing a very unknown connection with him.When she reached just behind her,Sameer completed his call and was checking something on his mobile.Maahi's hand automatically raised and clutched his shirt lightly from the back.She didn't know how and why,but her lips automatically uttered,"Papa!"At this Sameer stopped with a jerk what he was doing.He confusingly turned around to see the person who uttered the word.On seeing him,Maahi stepped behind a few steps.Sameer at first looked at her with surprise but within a few moment recognized her.He asked,"Tum???What the hell are you doing here"Maahi,on seeing him remembered that incident on the road and she totally forgot the real purpose behind meeting Sameer.She said,"Mujhe agar pata hota ke aap ye resort bana rahe hai to main yaha kabhi nehi aati."Sameer asked,"Matlab?"She replied,"Matlab ye ke mujhe aapke jaise demon ko dekhne ka koi shaukh nehi hai."Sameer asked,"Mere saamne,meri jagah par khare hoke meri hi insult kar rahi ho?"She replied,"Main to sach bol rahi hu agar ye aapko insult lag raha hai to isme meri koi galti nehi hai."Sameer asked,"Tumhe yaha ghusne kisne diya?"Maahi,with an attitude replied,"Main jaha jaati hu apni marzi se jaati hu."He grinned,"How dare you talk to me like that?"He asked the manager,"Ye dono yaha kaise aaye?"The manager replied,"Ye dono bohot zidd kar rahi thi sir resort dekhne ke liye.To isiliye.."He lowered his head and apologized.sameer asked,"Koi bhi jab chahe yaha ghuskar resort dekhne ki zidd karega to tum usey andar le aaoge?Salary tumhe main deta hu ke bahaarwaale?"Sameer was about to say him something more but Maahi stopped him and said,"Aap inhe mat daatiye,jo bhi baat karni hai mujhse kijiye."He said,"Mere paas tumhaare saath baat karne jitna faltu time nehi hai.Iam a busy man."She said,"Vo to mere paas bhi nehi hai aur aap logo ke vajah se already kitna time barbaad ho chuka hai mera."Sameer asked,"To jaati kyu nehi ho yaha se?"She replied,"Agar main aayi apni marzi se hu to jaaungi bhi apni hi marzi se.Main apni mummy ke alava aur kisi bhi aire gaire logo ki baat nehi maanti."Sameer was about to say something harsh but Maahi continued,"Khair aaj to late ho chuka hai main phir kisi din aaungi resort dekhne ke liye."She turned to go but Sameer stopped her and said,"Kisi aur din matlab?Ye kya tumhaara ghar hai jo jab chahe muh uthaakar chali aaogi?Chalo niklo dono yaha se."Maahi angrily said,"Arey ajeeb log hai sab?Jise dekho hume sirf bhagaane ki hi koshish kar raha hai aur vo bhi itne gande tareeke se.Hamaari koi izzat nehi hai kya?Aur main aapse puch nehi rahi hu,aapko bata rahi hu ke main yaha phir se aaungi."The manager muttered to himself,"Baapre!Kya larki hai?Aajtak Sameer sir se is tarah se baat karne ki kisine jurrat nehi ki.Larki mein dam hai aur to aur iske to tevar bhi inke tarah hi hai."Sameer taunted,"Kad aur umar to choti hai par zabaan do gaj zyaada hi lambi hai."Maahi made a face and started leaving with Sneha.Suddenly she stopped in her way and turned towards Sameer and said,"Ek akeli larki ghar ja rahi hai par kisi mein itni si bhi manners nehi hai ke vo ek baar lift offer kare ya ghar chorne jaane ki bhi baat kare."These words hitted Sameer with a bang because the same words were uttered by someone else many years ago.His heart bumped loudly.A face flashed in front of his eyes.He recalled those exact words line by line where someone said,"Ek akeli larki itni dur se sirf tumse milne aayi hai par kisime itna saleeka bhi nehi hai ke koi mere saath do kadam bhi chal sake ya ek baar mujhe drop karne ka offer bhi de."Sameer looked at Maahi with utter disbelief.Maahi put her hands around her waist and asked,"Aise ghur kya rahe hai?Chaliye."On seeing the posture,Sameer's eyes widened.He said to himself,"Ye tobilkul uskeuske jaisi hai.Thik vaise hikamar mein haath daalkaraakho se aakhe milaakar baat karti hai."Maahi again shouted,"Kya hua aapko?Chaliye mujhe der ho rahi hai."He came out of his thought and asked his manager to accompany them.Maahi said,"Main inke saath nehi jaaungi kyuki main inhe jaanti nehi hu isliye aaphiko mujhe chorne jaana hoga."Sameer yelled,"What???"She replied,"Ha kyuki yaha sirf main ek aapko hi phchaanti hu isiliye aapko hi chalna hoga."Before Sameer could react Maahi came close to him and what she did after that was totally unexpected for Sameer.With full authority,she grabbed his hand.It was for the first time that someone else except his parents fought with him and behaved with him like that.He was totally shocked at her audacity but couldn't protest at that time.Maahi almost dragged him all the way until she reached her home and Sameer was all the time staring at her.He was feeling very strange since neither he was liking all this nor he could free his hand or he didn't want to free his hand.The way Maahi grabbed his hand appeared to him as if she is his someone very close,very near and dear one and he shared a very special relation with her.Unknowingly,he too held her hand by closing the grip.Sneha was all the time like a silent spectator and was acting like a keyed doll.On reaching home,she left his hand and said,"Aa gaya mera ghar.Abhi aap ja sakte hai,aapka kaam ho gaya hai."Sameer,somewhere in the core of his heart,didn't like when she leaved his hand.He sarcastically said,"Ek thank you bolne ki manners to hai I hope tumme."She replied,"Kaisa thank you?Aap apni marzi se thore hi aaye hai vo to main aapko yaha le aayi hu."Before entering through the gate,Maahi again stopped and turned towards him.She opened her bag and took out his handkerchief and gave it to him.She said,"Aapke vajah se main to ye aapko dena hi bhul gayi.Meri mummy ne isey achche se dhokar iron karke diya hai.Mujhe pata nehi tha ke aap kaha hai isiliye main tabse isey bag mein lekar hi ghum rahi hu.Ok ab main chalti hu.Meri mummy abhi aati hi hogi.Bye."Saying,she entered inside the gate.
Sameer stared at her for sometime and then started walking back.But both before disappearing from each others sight,stopped and again turned towards each other.Maahi looked at him and with a smile waved her hand and finally disappeared inside.He,too again started walking and while he was about to put the handkerchief inside his pocket,a piece of paper fall on the road from inside it.He took up the paper and opened it and found that there was a handwritten note
"Mujhe ye aapko kehne ka bilkul bhi mann nehi hai kyuki aap mujhe mujhe bilkul achche nehi lage.Shakal se ek number ke khadoos dikhte hai par phir bhi mummy ne kaha hai isliye keh rahi hu, I AM SORRY."
All the time he was totally mad at Maahi but on reading the note,unknown to him,a light smirk appeared on his lips.He put the handkerchief and the note inside his pocket and moved forward.
awesome updateđ
choti hitler maahi ke nakhre n khadoosđ
naah maine apne dp ko dhokha de diyađOriginally posted by: -Paulomi-
thanks
tune sid ko dhoka de diya
naah maine apne dp ko dhokha de diyađ
janam bewafađOriginally posted by: -Paulomi-
sanam bewafa
janam bewafađ