Kyun aaina yeh toota hai,
Mera saaya bhi mujhse rootha hai,
Kyun ab har saans kam hai,
Kyun ab aankhein Nam hain,
Kyun bhaagun ab main unse,
Sukoon mila tha kabhi, jinse,
Darr hai unhi sawalon se,
Jo le jaate hain mujhe mere Kal mein,
Kyun yeh shaam ab bas maayusi laaye,
Kyun rangon mein bhi andhera sa chhaye,
Zinda toh hu, par jeeti nahi,
Hansti toh hu, par khushi nahi,
Lab yun muskuraate hain,
Par aankhein roye jaati hain,.
Yun thaama tha jo haath,
Kyun woh chhutha,
Har aaina ik baar jo toota,
Ki saaya bhi mujhse rootha.
Kal tak yahan raunakein thi,
Mehfillein khushiyon se bhari thi,
Sab paas the, sab khaas the,
Ab lagte hain, sabke badle andaaz se,
Jab khud ko dekhun toh pehchaan na sakun,
Yeh main hu, kya yeh hai wajood mera,
Kisse kayi sunane the, baatein kayi batani thi,
Par kahani yeh meri, mere unn bigde lafzon ki zubaani thi,
Ki keh na paaun, jo main chahun,
Shayad ab meri parchhayi ko bhi main raas na aaun
Ki puchu unse, abhi bhi pyaar hai mujhse?
Haan, bhi woh kahein toh kaise maan jaun?
Jhootha lage ab mujhe Mera Akkss bhi,
Bhi baaton pe teri main kaise yaqeen kar jaun?
Ki AAINA jo toota, bikher diya sab,
Ki le aaya mere saamne, Tera sach.
Tu nahi teri parchhayi, teri parchhayi tu hai,
Ki hai tu pura Sagar aur teri parchhayi bas ek boond,
Toh bhar saans sukoon ki, aur na ho niraash,
Yeh zindagi hai, yahan na ho koi 'kaash'.
Ki jee le ek baar mein aur rakh na koi kami,.
Tu aasman hai, aur tu hi hai zameen❤️
P. S - A piece i wrote sometime back and thought of sharing it here with you guys❤️