😆 Quite intresting update.
kahanni padhte-padhte mereko ek ghatna yaad aa gayi. Ab apke kahani se yaad aayi hai to bina bataye to chhodunga nahi.
Baat un dino ki hai jab main 12th ka student hua karta tha. Mujhe kuch reference books chahihye the, so Main apne group ke sath library me books dekhne gaya. Waha par mote mote books dekhkar dosto me shart lagi kaun sabse jyada der tak exercise kar sakta hai.
kuch der baad meri baari bhi aayi. Maine abhi suru hi kiya tha ki librarian aa pahuchi. Mere sare dosto ka dhyan meri taraf hi tha ,so librarian ko kisi ne nahi dekha, ki wo kab hamare pichhe aa gayi. Jab mam karib aayi to awaz sunkar main jhat se book khol padhne laga. Baki dost khali hath the to unhe librarian ne achhi tarah sunaya.
Thodi der baad Main wo book issue karwa kar wahan se chup chap nikal gaya. Khair wo book kafi kaam bhi aayi. Padhte hue bore hota to us se exercise karne lagta tha.
Ab story par wapas aate hue.
A great line to describe the library scene: -"heads bent over whatever they found fascinating in the black and white scrawled pages."👍🏼
And must say geet is very dedicated art lover student. Kya passion hai painting ke taraf.👏👏
And no surprise ki wo hades ke papa ko bhul gayi, aakhir uska pura dhedication to bas drawing par rahta hai. Chahe wo hades ho ya maan ka body.😆
1.2k