Dil ke baat zubaan par aaye,
Ek dhage ne baandh diye humare saaye ,
Din raat ab tum paas ho humare,
Har raaste mein tum saath ho humare,
Aanken kholi toh unka chehra nazar aaya,
Saath mein muskaan who humare mukh par laaya,
Har din unki, har raat humari,
Nahi chupi hai koi baat ankhi adhoori,
Khushiyaan ab hain daaman mein
Sari duniya se nahi chupani hain fizaayon se,
Ab nahi dar lagta hai,
Ab man nahi ghabrata hai,
Saari duniya se ladkar humne,
Paa liye apne aur kuch sapne…
710