Kaise hain sab?
Aaj ka epi????
Ummm, ..........as always achcha tha đ
Wah wah!!! Maan ki dadi ka bhi uspar asar nahi?
"Koi mujhpar zabardasti nahi kar sakta"
Hayye!!!!
Aaj ka "Tum?" to mindblowing tha
Lekin zyada zor ka nahin tha
Aur tawiz?
Tawiz andar tak kaise aaya yaar?
I mean wo to gaadi mein tha na?
Gaadi ki seat par se cupboard ke andar?
Wo bhi tissue box ke peechchu?
Aise kaise?
Hehe lagta hai tawiz bhi Maan se zyada door nahi reh sakta.
Yaar, ye har serial mein heroine ka kuch na kuch barabar hero ki taraf attract hota hai
Eg. DMG mein Riddhima ka dupatta Armaan ka peecha nahin chodta tha aur yahan Geet ka tawiz Maan ka peecha nahin chod raha hai
N ye kya?
Precap mein Maan ji formals chodkar casuals mein office mein tahal rahe hain?
Kitni ladkiyon ka bp high karne ka irada hai Maan ji?
Kitni ladkiyon ka DD? I mean dhak dhak zor se karwane ka irada hai?
Aur jab Maan ji Geet se office mein milenge, to kya action replay hoga?
"Tummmmmmmmmmm?"
Do share your views guys!