Kuchh Rang Pyar ke Aise bhii - RaiNa ff thread 1 - Page 87

Created

Last reply

Replies

951

Views

82k

Users

52

Likes

1.4k

Frequent Posters

Avinanda120 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
Hii
Di
Exlent.
The way u describe hole part totally blown me.
Nice di.
But clear their misunderstanding very soon
Thanks for the pm
Cutie_Princezz thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Nyc update dear...
Bt I hope ragini won't create any other problems...
Clear every misunderstanding between Raina...
Love that part when Raj hold naina in front of ragini...
All in all fantastic update dear...
Eagerly waiting for nxt update ...
Update soon...
Thanks for pm...
RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Plzzz update soon
Eagerly waiting for it
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
hiii everyone... as my net is not working properly... m not able to reply on individual's comment as my system not qouting... n loading the comment... so big sorry for that...
so thanks alot all of u for liking and commenting on part 23... here is part 24... read n enjoy... love...


rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
*** Kuchh Rang Pyar Ke Aise bhi...***

Part 24

ragini:- i lost... i lost everything... tumne mujhe ek aas di thi naina... aur aaj meri ummeed bhi cheen li... (ragini party hall se

chali jati hai...)

party aise hi chalti rahi... sirf ragini ko dikhane ke liye hi sahi par rajveer naina ke kareeb tha... usne naina ko kuchh nahi kaha... naina ko

kuchh samajh nahi aa raha tha ki rajveer aaj itna achha kyun behave kar raha tha... par jaise hi rajveer ne ragini ko jate hue dekha... wo

naina se door ho gaya... rishabh aur naveen ne naina ko rok lia... aur rajveer bhi maan gaya kyuki wo abhi akele rehna chahta tha... sab

nikal gaye par rajveer abhi tak ghar nahi pahuncha tha... yahan rajveer road pe chal raha hai... uski aankhein num thi... unme gussa bhi

tha... dard tha...

kuchh rang pyar ke, aise bhi...
kuchh rang pyar ke, aise bhi...
kuchh rang pyar ke, aise bhi...
kuchh rang pyar ke, aise bhi...
ahhhaaa... aaa...aaa haa...
ahhhaa... haaa... ha...
aaa... aaa...aa...aa...aa...
(rajveer bas apne ateet ki yaadon me khoya hua sa apne ghar ki taraf badh raha hai... use hose nahi tha ki wo kar kya raha hai... uske aur

agini ke sath bitaaye hue pal aaj use had se jyada takleef de rahe the...)

aluhwalia house...

naina apne room me khidaki me khadi hai... wo bas pichle ek month me hue apne zindagi ke sawalon aur jababo me uljhi thi... reh reh kar

use rajveer ka totally changed nature yaad aa raha tha... jab se rajveer ne naina ko apna sach bataya tha... wo naina ko pareshaan karne

ka ek mauka nahi chhodta tha... par naina ka kya... wo to rajveer ke saamne uske pariwaar ke saamne normal rehti hai... par ander hi

ander wo toot rahi thi... kyuki jis insaan ko naina ne jaan se jyada chaha wo insaan usse nafarat to karta hi hai... par use naina ka pyar ek

fareb lagta hai... jis pyar ke dam pe naina kareeb ek saal se jee rahi thi... aaj wahi pyar saboot ka mohtaaz ban gaya tha... naina apne

aanshun pochti hai... aur naveen ke room me jati hai...

naveen's room...

naveen apne room me baitha tha... ritu room me nahi thi... naina ander jati hai...

naina:- bhaiya...

naveen:- are naina... kya hua bachha... neend nahi aa rahi...?

naina( serious tone):- mujhe aapse kuchh baat karni hai...

naveen:- itani raat ko... kal baat karte hai... abhi ja araam kar...

naina:- nahi abhi...

naveen:- kya baat hai... tu... koi problem hai... tere ghar me...

naina:- koi problem nahi hai mujhe... bas aapse ek sach janna hai... yeh sach sirf aapse nahi mere apno se bhi juda hai...

naveen:- kya bol rahi hai...? kaisa sach...?

naina:- aapke aur shalu di ke beech kya hua tha...? unki yeh haalat kaise...? (naveen was shocked)...

naveen:- yeh tu... (naveen turned his face naina jakar uske saamne gusse se khadi ho jati hai...)...

naina:- kya ha... iska matalab... jo aapne mujhe pehle bataya tha woh ek jhuth tha... hai na...? bolo bhaiya sach kya hai... plzz bhaiya

batao... (naina naveen ka hath apne sir pe rakhti hai...) agar aaj aapne mujhe pura sach nahi bataya to mera mara muh dekheinge...

naveen (hath hata kar):- naina... theek hai... tujhe sach janna hai na... to sun... us din maine tujhe jo bataya tha... woh jhuth tha... main

teri baat ko talna chahta tha...

naina:- pura sach kya hai...?

naveen:- jab main college me tha... shalini wahan meri junior thi... i fell for her... main uske liye pagal ho gaya tha... kisi bhi keemat pe

use pana chahta tha... but use mujhme koi interest nahi tha... main bas uske sath rehne ka bahana dhundhta... mere frnds kehte ki main

shalini ko kabhi apne liye nahi jhuka paunga... maine zid pakad li thi ki shalini ko paa ke rahunga... dheere - dheere maine usse dosti ki...

wo bahut achhi thi... uski duniyan uske ma papa aur bhai se suru hokar unhi pe khatam ho jati thi... shalini humesha mujhe apne bhai veer

yani tere raj ki shararto ke kisse sunati... aur main tere kisse use batata... aise hi humari frndship ho gayi... par dheere- dheere mere frnds

mujhe provoke karte ki main shalini ke sath apni relationship ke next level pe nahi ja paunga n all... humare hi grp me ek joy nam ka ladka

tha... uski shalini pe galat nazar thi... dheere - dheere shalini bhi mujhe chahne lagi... aur mujhe bhi yeh ehsaas hua ki how much i love

her... we both were really happy with each other... papa aur viren uncle bhi ek dusre ko jante the... so hume yakeen tha ki humari shadi

ho sakti hai... finally humari PG ki farewell thi... shalini ke batch ne mere batch ko party di thi... us rat maine apne frnds ke sath milkar

saraab pi li thi... aur hum sab patte bhi khel rahe the... i lost everything... aur akhir me joy ne meri drink me kuchh drugs mila diye... aur

aakhir chaal mujhse shalu pe bet lagwa di... (naveen closed his eyes... n bade wale dhamake on naina's face...)... and i lost... aur fir

shalini mujhe dhundhte hue... humari us jagah aa pahunchi... aur main tab tak behose ho gaya tha... aur joy ne shalini ka... ( naveen ki

jubaan ladkhada rahi thi...) r... rape kia... (Again dhamaake on naina's face)... main wahi behal pada tha... drugs ke karan kuchh kar

nahi paya... aur un logon ne shalini ko sach bhi bata dia ki i lost her in a bet... jisse shalini toot gayi... use shock lag gaya tha... next day

jab mujhe hose aya to maine shalini ko dekha... wo waise hi wahi baithi thi... main use uske ghar lekar gaya... sach jankar viren uncle ne

mujhe jaan se marne ki kosis ki... phir ishita aunty ne mujhse shalini se shadi ke liye request kia... maine yeh bat papa ko batai... papa

nahi maane... us samay business ke wajah se papa aur viren uncle me bhi problem chal rahi thi... aur ritu ke papa bhi us guzar gaye the...

mere hath se sab nikal gaya tha... viren uncle ne papa ke saamne bheekh tak mangi lekin papa nahi mane... aur shekhwat aur aluwalia

rivals ban gaye... aur shalini ki haalat kharab hone lagi... jab use pata chala ki main ab usse shadi nahi kar sakta tha... tab usne gadi nikali

aur rash driving karne lagi... tabhi saamne se koi drink kiye hue truk aaya aur usne shalini ki gadi ka accident kar dia... shalini koma me

chali gayi aur jab se use hose aaya... aaj tak waisi hi hai... (naveen naina ko face kiye bina yeh sab keh raha tha... dono ki hi aankhon

me aanshun the... naina ki aankhon me gussa bhi tha... naina ne naveen ko turn kia aur use kheech kar chanta mara... naveen shocked

tha... kyuki aaj uski chhoti behen ne use thappad mara tha...)

naina:- aaj mujhe aapse nafarat ho rahi hai mr naveen singh aluwalia... (dhamake on naveen's face)... aaj... aaj ehsaas hua hai mujhe raj

ke dard ka... aapne jo unki behen ke sath kia... uske aage unhone mere sath jo kia wo kuchh bhi nahi tha...(again dhamake)...

naveen:- k... kya kia usne tere sath... ( held her...) bol naina... bata... rajveer tere sath sahi to hai na...

naina:- bilkul sahi hai wo mere sath... kyuki aapme aur meri pati me fark jo hai... par yeh bhi sach hai ki aapne us din sirf shalu di ki

zindagi nahi barbaad ki... aapne unke sath apni khud ki behen ki zindagi bhi barbaad kar di... dekhiye na... kya khoob sila mila hai mujhe

aapki behen hone ka... ki main shadi suda hokar bhi suhagan nahi... (dhamake )... raj ne mujhse shadi isliye nahi ki wo mujhse pyar karte

hai... balki unhone mujhse shadi isliye ki kyuki wo mujhse aapse humare ghar se be -inteha nafarat karte hai... (again dhamake...)... taki

wo aapko ehsaas dila sake ki behen ka aur beti ka gam kya hota hai... aapne jo di ke sath kia... uske aage... unhone to mere sath kuchh bhi

nahi kia... bas mujhe yeh afsos rahega... ki wo mujhe kabhi nahi apnayenge... unhone mujhe barbaad karne ke liye khud ki zindagi bhi

barbaad kar li... lekin aapne kya kia... di ki zindagi barbaad karke aapne bhabhi ke sath apni zindagi basa li...

naveen:- naina iska matalab... rajveer ko...

naina:- sab pata tha unhe... sab kuchh...

naveen:- tu ab us ghar me nahi jayegi... wo tere sath kuchh bhi...

naina:- wo aapke jaise nahi hai bhaiya... wo mujhe takleef dene ki kosis jarur karte hai... par unke liye... unke dil me mere liye nafarat se

jyada apne pariwaar ke liye pyar basa hai... are shadi ke itne dino ke baad bhi unhone mujhe chhua tak nahi... aur baat kar rahe hai... ki

we mere sath kuchh bhi...

naveen:- matalab tum dono ke beech...

naina:- humare beech ek pati - patni wale koi bhi sambandh nahi hai... aur aapne jo meri di ke sath kia hai... uske liye raj to badi door ki

baat hai... main aapko kabhi manf nahi karungi... aur main abhi apne ghar ja rahi hu...

naveen:- naina dekh... tu kahin nahin jayegi... tujhe mujhse nafarat karni hai na... karle... par wo insaan tere liye sahi nahi...

naina:- jaise bhi hai... wo mere pati hai bhaiya... aur unka ghar mera ghar... aur ha... tab tak to main laut kar nahi aaungi... jab tak shalini di

ko theek nahi kar deti... us ghar ki har ek pareshani ki jad aap hai... aur ab main wahan reh kar har ek musibat ka saamna karke... us ghar

ke har ek dard ko mita kar hi lautungi... aur ha papa se keh dena... aaj se unki naina mar gayi... (dhamake on naveen's face... aur naina

itna keh kar ghar se nikal gayi... par in dono ko nahi pata tha ki ragini ne inki sari baatien sun li...)...

naina beech road pe chal rahi thi... uska chehra pura aanshun se bheega tha... uske dimaag me kabhi rajveer ke sabd kabhi naveen ka

sach to kabhi shalini ka surkh chehra ghoom raha tha... wo bina kisi manzil ke raahi ki tarah beech road me chal rahi thi... chalte -

chalte wo usi jagah pahuch jati hai... usi cafe ke bahar jahan road pe hi naina ne apne dil ki baat rajveer ko batai thi...

yahi woh jagah haiii...
yahi wo fizaayeinnn...
yahi par kabhiii...
aap humse mile the...
(us jagah pahunch kar naina ko apne aur rajveer ke wo khubsurat pal yaad aa gaye... jo naina ke dil me aaj bhi zinda hai... yahin par to

naina ne rajveer se apne man ki baat kahi thi...)

yahi woh jagah hai... yahi wo fizaayein...
yahi par kabhi.. aap humse mile the...
( yeh wahi jagah thi jo raina ke confrontation ki gawaah bani thi... jahan rajveer ne use ha kaha tha...)

inhe hum bhala... kis tarah bhool jaaye...
yahi par kabhi.. aap humse mile the...
(naina is jagah ko kabhi nahi bhool sakti kyuki rajveer ke liye bhale hi sab ek fareb raha ho... par naina wo to jee rahi thi un palon ko...)

yahi par mera hath... me hath lekar...
kabhi na... bichhadne ka wada kia tha...
(naina ko yaad aata hai... jab rajveer ne naina ka hath pakad uska sath dene ka wada kiya tha... )

sada ke liye... ho... gaye, hum tumhare...
gale se laga kar... humein yeh kaha tha...
(naina ko wo pal yaad aate hai... jab rajveer naina ek dusre ki bahon me the...)

kabhi kam na hogi... humari wafaayein...
yahi par kabhi.. aap humse mile the...
(naina ko wo pal yaad aaya jab rajveer ne yeh kaha ki naina ka pyar fareb tha... but naina janti hai ki kitani siddat se usne apne raj ko

chaha hai... aur yeh chahat kabhi kam nahi hogi...)

yahi par wafa ka... naya rang bhar ke...
banayii thi... chaahat ki.. tasveer tumne...
(naina ko wo pal yaad aaya,... jab apni first date se lautane ke baad raina barish me bheeg rahe the...)

yahi ki baharon se.. phulon ko chun kar...
sawaarii thi... ulfat ki takdeer tumne...
(naina ko wo pal yaad aata hai jab dono ek dusre ki bahon me the,,,,, jab rajveer ne naina ko apni bahon me bhar lia tha...)

wo din aapko... yaad kaise dilaaye...
yahi par kabhi.. aap humse mile the...
(naina ko rajveer ki nafarat bhari nigaahein to kabhi wo ek tarfa pyar ke pal yaad aa rahe the... wo rajveer ko samjhana chahti hai... ki how

much she loved him but in vain,... rajveer ko sab dhoka jo lagta hai...)

yahi woh jagah hai... yahi wo fizaayein...
yahi par kabhi.. aap humse mile the...
(naina apne aankhon se behene wale aanshun ko pochhti hai... aur pure confidence ke sath kehti hai...)...

naina to herself:- bhaiya... galti to aapne ki hai... main yeh nahi kehti ki rajveer puri tarah sahi hai... par wo galat bhi nahi hai... in chand

dino me main itna to jaan gayi hu ki raj ki duniyaa unka pariwaar hai... apne aap se jyada unke pariwaar ki khushiyaan matter karti hai

unke liye... i promise u raj... n i promise to my self... sab theek karke rahungi... nafarat karte hai na aap mujhse... kariye... jitani nafarat ho

sake aap kijiye... aur main apne pyar ka farz nibhaungi... ab tak main sach se anjaan thi... par ab nahi... main humare pariwaar ki har ek

khushi ko wapas lakar rahungi... di ko insaaf milega... unhe theek karke rahungi... papa viren papa se manfi bhi mangenge... aur di bhaiya

ko jo saza dengi... bhaiya ko wo saza bhugatani hogi... aapko aapki khushiyaan lautaungi... aapki har ek galat fehmi ko ab door karke

rahungi... fir... aapki zindagi se chali jaungi humesha ke liye... kyuki aapko dekh kar aapse door reh nahi paungi... aur

zindagi bhar aapki nafarat seh nahi paungi... bcz i love u... i love u more than i love myself...

shekhawat vila...

yahan rajveer apne room me khidaki me khada hai... use pal - pal wo sab yaad aa raha tha jo usne party me kia... ragini ke liye nafarat

naina ke sath kareebi... sab kucch... aaj fir ragini ne aakar rajveer ke dil ke zakhmo ko kured dia tha... aaj fir rajveer ko ghutan ho rahi

thi... aaj fir wo rona chah raha tha... uske dimaag me aaj naina ki bewafai se jyada ragini aur naina ka uske liye rishta matter kar raha

tha...

rajveer in his mind:- kyun... kyun laut kar aayi tum ragini... jitna tumhe bhulne ki kosis karta hu... jitna sochta hu ki ab aur nahi... ab

ragini ka meri zindagi me koi wazood nahi hoga... utna un yaadon me kho jata hu... jinhone mujhe dard ke siwa kabhi kuchh bhi nahi dia...

to hell with you ragini... tumne mujhe jitne dard dene the de diye... ab aur nahi... nahi fark padta mujhe tumhare hone ya na hone sa...

tumhara hona ya na hona ab mere liye barabar hai... mujhe pata hai... tum sirf yahi dekhna chahti rahi hogi ki main dukhi rahu... par aisa

hoga nahi kabhi nahi... main aage badh chuka hun... ha badle ki aag me hi sahi... ab main naina ke sath hu... aur ab tumhare liye i m

happily married with her... aur ab tum kya sochti ho... kya nahi i dont care... ( rajveer inhi baton me khoya hua tha ki kisi ki

awaaz se wo turn hua dekha to naina thi...)

rajveer:- tum yahan kya kar rahi ho...?

naina:- sayad aap bhool rahe hai ki yeh kamra mera bhi hai... (ignoring him aage jane lagti hai )

rajveer:- oh helllo dont act oversmart ha... mera kya matalab hai tum achhe se janti ho...

naina:- toh... ab main jaaun... mujhe aapke sawaalo ke jawaab me koi interest nahi hai...

rajveer:- wait...n listen... dont talk to me like that ha... warna...

naina:- warna kya ha... fir se mujhe AC me bina razai ke sona padega... by the way... now u listen to me... (rajveer ke kareeb jati hai...)

aaj aapne party me kya harkat ki...?

rajveer :- maine kya kia...?

naina:- oh really... ragini ke saamne aap mujhse itna chipak kyun rahe the...

rajveer:- main... main... main aisa kyun karunga... aur wo tumhari frnd koi president of india hai kya... jo uske saamne... tumhari soch me

hi problem hai... ( jane lagta haii...)

naina:- what meri soch me problem hai... mr shekhawat... aap mere sath wo sab harkate kar rahe the... mujhe problem hai... aur ha

dont do it again...

rajveer ( turned):- oh really... tumhe aisa lagta hai ki main tumhare pass aane ke liye mara ja raha hu... toh... (naina ke kareeb ja kar

uski aankhon me dekhte hue...)... aisa kabhi nahi hoga...tumhe chhu kar main apne aap ko ganda nahi karunga... aur tumhe chhune se

pehle main marna pasand karunga... isilye yeh faltu ki baatien sochna band karo aur ha now back to ur question... to tumse maine pehle

bhi kaha tha... jab baat mere pariwaar ki khushiyon ya unki izzat ki hogi to main kuchh bhi kar sakta hun... sabko dikhane ke liye mujhe

wahan tumhare sath hona pada samjhi... apne is chhote se dimaag me jyada zor mat dalo... fat jayega... hnnn... ( aur jakar bed me so

gaya...)...

naina:- you... you... you...

rajveer:- badbadana band karo aur so jao... warna khidki ke bahar fek dunga... (naina ko gussa aata hai... aur bed pe chad jati hai... aur

rajveer ka coller pakad kar turn karke almost uspe late jati hai... aur rajveer ko sayad ab tak sabse bada shock laga... )...

naina:- kya kaha ha mujhe chhune par aap gande ho jaoge na... toh... ( she placed her lips on his... rajveer was taken a back...

naina was smooching him... he tried to free himself but didnt successful... it was not like that naina is stronger than him... but actually he

was not trying from his heart to release himself... but finally after some seconds things were strike on his mind... and as he want to push

naina away... naina left him... he is looking her with wide open eyes and with anger... naina pointed her finger...)... never mess with

me... jaaiye aur pani ki tanki me ghus jaiye... aur apne is gande daaman ko pavitra kar lijiye... ( naina uth kar wash room chali jati

hai...)...

rajveer:- teri toh... naina... ( naina wahsroom ke ander thi...) naina open the door... tumhari himmat kaise hui... naina... ( banging the

door... tabhi koi inka main door knock karta hai... aur rajveer jakar door open karta hai...) dadi... aap...?

dadi:- khote da puttar... tenu ki ho gaya si... itani raat ko naina... naina kyun chilla raha hai... darwaja kyun peet raha hai... meri neend

kyun kharab ki... naina to apne mayke me hai... ( tabhi dadi ki nazar rajveer ke lips pe padi... aur humari smart dadi sab samajh gayi...)

naina kidhar hai...

rajveer:- washroom me... wo aa gayi hai...

dadi:- achha ab samjhi... ( bahar ki awaaz se naina bhi change karke bahar aayi...)

naina:- are dadi.. aap...

dadi:- ha puttar ji... par puttar pyar hi karna hai to itna halla kyun macha rahe ho...

rajveer - naina:- kya...?

dadi:- are ab naina ko itna yaad kar raha tha ki use mayke se tune bula lia... aur aate hi ahem - ahem... par na dusro ko disturb na ho aisa

wala pyar kia karo... aur uske baad apne aapko aayine me dekh bhi lia karo ha...good night... ( dadi left )...

rajveer :- aayine mein...? ( looks at naina...)...

naina:- mujhe kya... (then she noticed his lips... bites her tounge and left to her bed...)...

rajveer:- yeh dadi bhi na kuchh bhi... hnnn... (rajveer jane lagta hai but mirror ke saamne rukta hai... and now he noticed what dadi

refered... ) nainaaa... ( he turned and saw naina fell as sleep... ) is baat ka badla lekar rahunga... just wait n watch miss naina singh

aluhwalia...

naina ( sleepy tone):- mrs naina rajveer singh shekhawat... aur so jaiye kal office hai...

rajveer:- ahhh...

aluhwalia house...

ragini apne room me apne bed pe baithi thi... aur aaj ke incident ke baare me soch rahi thi... how she met with her love after so long and

also lost him... then she remembered naina's conversatiton with naveen which was heared by her...

ragini with herself:- iska matalab raj married with naina only for the revenge... means raj naina se pyar nahi karta... kya wo aaj bhi

mujhse... ?? ( her eyes got num)... par aaj party me to wo... oh now i get it... sirf mujhe dikhane ke liye ki tum apni life me aage badh

chuke ho... that u r very happily married with naina... tumne wo sab kia... m i right raj... tum kab badloge... khair... ab mujhe sab samajh

aa gaya hai... naina ne jo kuchh bhi mujhe paris me bataya tha... sab ka link mil gaya hai...naina told me... u loved someone... matalab

tumne naina ko yeh to bataya ki tum kisi se pyar karte the... par wo main hun... yeh naina ko nahi pata... ( with determind smile...) now i

know... mujhe kya karna hai... ( ragini yeh sab soch hi rahi thi... ki uska cell ring hota hai... it was a unknown number for her par she

recieved)... hello...

voice:- hello miss ragini...

ragini :- ji aap kaun...?

voice:- rajveer ko wapas pana chahti ho...?

ragini:- who the hell are u...? aur aapko mera number...

voice:- huda... amardeep huda naam hai mera... mera sath dogi to rajveer tumhara aur naina meri...

ragini:- huda... wahi jo...

huda:- ha aaj party me mile the... naina ka dost... aisa naina ko lagta hai... par chahta hun main use... us rajveer ne mujhse meri naina ko

cheen lia... agar tum mera sath dogi to rajveer tumhara ho sakta hai...

ragini:- main tumhara yakeen kaise karun...?

huda;- do u have any other option right now...?

ragini:- hmm ok... what u want...?

huda:- itani jaldi hai... aakhir ho bhi kyun na... itna purana pyar jo hai... jo sendney ki wadio me panpa hai...

ragini:-come to the point...

huda:- waise manna padega rajveer ki kismat ko ek taraf hoor to dusri taraf noor... kya kismat paai hai tumhare raj ne...

ragini:- wo to hai hi... he is...

huda:- mera plan mil kar batata hu... kal sham tak jagah msg karunga isi number se... good night...

ragini:- hmm... ( both cuts the call...) huda... lets see...

next day...

shekhawat office...

rajveer apne cabin me baitha... ek file ko study kar raha tha... tabhi koi uske cabin me tez raftaar se aata hai... aur uske desk pe hath

rakhta hai... rajveer apni nazar file se hata kar us insaan ke hath ki taraf dekhta hai... fir uski nazar us insaan ke chehre par jati hai... wo

koi aur nahi naveen tha... jo bahut hi jyada gusse se rajveer ko dekh raha tha...

rajveer:- aap ?

naveen:- ab naatak karne ki jarurat nahi hai... tumhari asliyat se waakif hun main... isiliye ab yeh masoom banne ki acting karna chhodo

aur yeh batao chahte kya ho tum... meri behen ki zindagi...

rajveer:- hold on... ( rajveer jo ab tak sab samajh gaya...).. wo tumhari behen ab baad me hai... pehle meri biwi hai... aur ha... maine use

baandh ke nahi rakha... wo jab chahe ja sakti hai... ( naveen ke kareeb jakar)... par wo mujhe chhod kar jayegi nahi... janta hai kyun...

bcz she loves me madly... love... kuchh yaad aaya naveen... the same way my sister loved u... but u dont worry main naina ka

wo hal to kabhi nahi karunga jo meri behen ka hua... tumhari wajah se...

naveen:- dekho rajveer main manta hu ki maine galti ki thi but uski saza meri behen ko kyun...?

rajveer:- ji toh chahta hai ki abhi tumhe jaan se mar dun... meri di ke sath itna sab karne ke baad tum mujhse puchhte ho ki saza tumhari

behen ko kyun... wo isliye naveen singh aluhwalia... ki aaj main tumhari aankhon me wahi dard dekh raha hu... jo meri aankhon me itane

saalon se hai...,,,, jo main dekhna chahta tha... aaj dekho apne aap ko aayine me naina ki takleef ki tadap saaf - saaf tumhari aankhon me

hai... kuchh waise hi jo humesha se meri aankhon me thi... hai aur rahegi... aaj ehsaas hua tumhe ki kaisa lagta hai... but abhi to yeh

sururat hai... abhi to maine naina ke sath kuchh galat kia hi nahi hai... sirf use yeh sach bataya hai ki i hate her... ( dhamaake on naveen's

face)... itani nafarat jiska use andaza bhi nahi... uske saare sapne tod diye maine... apni chhoti behen nhi... beti mana tha tumne use,...

to ab tadpo... uske aanshun dekh kar... jo main use dunga... tadpo uski tadap dekh kar jo use apne pyar ke na milne pe hogi... to ab bari

tumhari hai...

naveen:- dekho... tum bahut galat kar rahe ho... meri naina ki koi galti nahi...

rajveer ( shouted) :- meri behen ki bhi koi galti nahi thi... sirf itani galti ki unhone ki tujh jaise ghatiyaa insaan se pyar kia... jo apne pyar

tak ko daav pe laga de... ( holds naveen's coller) teri peresonal property nahi thi meri behen... wo meri behen thi... rajveer shekhwat

ki... viren shekhawat ki beti aaj teri wajah se zinda laash ban gayi hai... aur tu mujhse puchh raha hai ki naina ki kya galti... naina ki galti

yeh hai ki wo teri behen hai... naina ki galti yeh hai ki rishabh aluhwalia ki beti hai... jisne mere dad ko sare-aam badnaam kia tha... mere

mom - dad ne tujhe aur tere baap ko maanf kia... isliye nahi ki wo tumhare diye hue jakhmo ko bhool gaye hai... balki isliye ki... wo apne

bete se bahut pyar karte hai... unhe lagta hai ki unka beta naina se pyar karta hai... par main kabhi manf nahi kar sakta... atleast tab tak

to nahi jab tak meri di... ( both have tears... actually aaj sach me naveen rajveer ki haalat samajh raha tha... aur inki awaaz se aalekh bhi

aa chuka tha... jo apni num aankhon se sab dekh raha tha ) tum chahte to un logon ko saza dilwa sakte the... tum chahte to meri di aaj

tumhare sath khush hoti... pyar.. pyar karte the na tum meri behen se... aisa pyar... ? are jo insaan apne pyar ki ifaazat na kar sake wo

insaan pyar to kya nafarat ke bhi kaabil nahi... agar main hota teri jagah... aur kisi ne naina ko hath bhi lagaya hota to use jaan se mar

deta... un logon ki duniyaan palat deta jo mere pyar ko buri nazar se dekhe... apne baap to kya... puri kaaynaat aur us bhagwaan ko

mazboor kar deta apne pyaar ke sath hone ke liye... par tum... baat karta hai... ( rajveer left him... and turned... banged his fist on

his desk naveen looked at him... and placed his hand on rajveer's soulder..)...

naveen:- saayad tum sahi keh rahe ho... main chahta to bahut kuchh kar sakta tha... but main kuchh nahi kar paaya... dar gaya tha... ya

yun kaho kamzor pad gaya tha... maan chuka tha ki i lost her... apne papa ke hathon mazboor ho chuka tha... apni ma ki antim ikcchha

ko pura karne ke liye salini ka dard bhool gaya tha... sach kaha tumne kayar tha main... jo kuchh na kar paya... par tum to kaayar

nahi ho na rajveer... tum wahi sab naina ke sath kyun kar rahe ho... kyun ban rahe ho dusra naveen... mat bano... kyuki tumhe

saayad yakeen na ho... aaj bhi us baat ke liye apne aap se nazare nahi mila pata... aaj bhi ritu ka pati hu... par dil me salini ki chinta rehti

hai... na salini se wafa kar paya na ritu se... bas do rahe pe khada hu... jise manzil ka bhi pata na ho... tum apni nafarat me naina ka pyar

nahi dekh pa rahe... yakeen mano bahut pyar karti hai wo tumhe... jab use maine sach bataya to usne mujhe galat thehra dia... aur

tumhare paas chali gayi... wo chahti to keh sakti thi ki bhaiya aap ki koi galti nahi... jaise tab papa ne kia tha... par nahi meri behen ko

sahi aur galat ki samajh hai rajveer... wo aaj bhi yeh manti hai ki usne duniyaan ke sabse achhe insaan se pyar kia hai... tum naina ko

saza dete agar wo mujh jaisi hoti to sayad waazib tha... par yakeen mano aaj wo meri behen baad me... tumhari patni pehle hai...

shekhawat khandaan ki bahu pehle hai... kisi ki bhabhi pehle hai... wo mar jayegi par tum sabka bura nahi hone degi,,,,,,, tumne use us

baat ki saza di hai... jis baat ki use bhanak tak nahi thi... ( apne hath jod kar),... meri behen ke sath kuchh mat karo... uska koi dosh

nahi hai...

rajveer:- theek hai... naina azaad hai... le jaao use... ab se uska aur mera koi wasta nahi... ( naveen n aalekh both were

shocked)...

naveen:- tum jaante ho wo kabhi nahi aayegi...

rajveer:- to bas bhool jaao... mujhe mat shikhao ki mujhe meri biwi ke sath kya karna hai ... aur chinta mat karo tumhare jitna kabhi nahi

gir sakta main... par tadapne ke liye taiyaar raho... kyuki ab naina royegi... dard tumhe hoga... jab naina beizzat hogi... tab rishabh

aluhwalia ki pagdi uchhlegi... jab wo dard me hogi... to tum sabko pata chalega ki behen beti ka dard kya hota hai...

naveen:- rajveer... ( he steped out to punch rajveer but stops... aalekh also came close to them... but when naveen stoped... he

also...)

rajveer:- ruk kyun gaye... maro na...

naveen:- kash kar pata... par bhale tumhe naina ki takleef se fark na padta ho... bhale tumne use pyar na kia ho... but she dose...

wo tumhari ek kharoch bardast nahi kar payegi... fir uske sawaalon ke jawaab mere pass nahi honge...

aalekh:- bilkul sahi... but you dont worry naveen yeh naina ke sath kuchh nahi kar sakta... ( rajveer and naveen both looked at

him...) kya ha... veer kya kaha tune tu naina ko tadpayega... ek mahine se jayad ho gaya hai tum dono ki shadi ko... kya kia hai tune

naina ke sath zara bata... ( rajveer has no words...) kuchh nahi... kyuki tu kuchh kar hi nahi pata... aur koi bhi insaan apne pyar ko

dard de hi nahi sakta... tu kaise dega... ( rajveer looked at him...)

rajveer:- shut up... i hate her...

aalekh:- really... khair ... so mr naveen... jahan tak sawaal aapka hai... to ek baat kehna chahunga... nafarat to mere dil me bhi utani

hai aapke liye jitani veer ki dil me hai... chup hu... to sirf naina ke liye... u may go now...

naveen:- exactly... i deserve it...

aalekh:- u do... ( naveen left with treary eyes... aalekh placed his hand on rajveer's soulder... but rajveer pushed it away)...

shekhawat vila...

naina apne kamre ki window me khadi hai... garden me dekh rahi thi... jahan yudi shalini ki excercise kara raha tha... naina ko kal ke

sabhi incidents yaad aane lage...

naina remembered rajveer's some words from the convo between them:- yeh faltu ki baatien sochna band karo aur ha now back to ur

question... to tumse maine pehle bhi kaha tha... jab baat mere pariwaar ki khushiyon ya unki izzat ki hogi to main kuchh bhi kar sakta

hun... sabko dikhane ke liye mujhe wahan tumhare sath hona pada samjhi...

naina :- par wahan to humari family se koi nahi tha... na ma, na papa, na dadi... to raj kise dikha rahe the ki... wo mere sath bahut khush

hai... aakhir aisa kal kya hua tha party me jo... kuchh to hai naina... jiska tujhe abhi tak nahi pata... aisa kya hai... kya...?

shekhawat office...

outside...

naveen in his mind:- aalekh ne wo sab kyu kaha... kahin rajveer naina se pyar toh... ha tabhi to usne yeh kaha ki

{{rajveer's words:- are jo insaan apne pyar ki ifaazat na kar sake wo insaan pyar to kya nafarat ke bhi kaabil nahi... agar main hota teri

jagah... aur kisi ne naina ko hath bhi lagaya hota to use jaan se mar deta... un logon ki duniyaan palat deta jo mere pyar ko buri nazar se

dekhe... apne baap to kya... puri kaaynaat aur us bhagwaan ko mazboor kar deta apne pyaar ke sath hone ke liye... par tum... baat

karta hai...

aalekh's words:- veer kya kaha tune tu naina ko tadpayega... ek mahine se jayad ho gaya hai tum dono ki shadi ko... kya kia hai tune

naina ke sath zara bata... ( rajveer has no words...) kuchh nahi... kyuki tu kuchh kar hi nahi pata... aur koi bhi insaan apne pyar ko

dard de hi nahi sakta... tu kaise dega... }}

naveen:- to kya rajveer naina ko chahne laga hai tabhi naina ke sath kuchh galat nahi kar pa raha... ha sahi to kaha aalekh ne... agar

rajveer chahta to pichhle ek mahine me naina ki haalat kharab kar sakta tha... but usne aisa kuchh nahi kia... bhale hi wo real terms me

pati patni na ho... par rajveer chah kar bhi kuchh galat kar nahi pa raha hai... aur jitna mujhe pata hai... aalekh se jyada koi rajveer ko

nahi samajhta... aur aalekh ko yeh lagta hai ki rajveer naina se pyar karta hai... to yeh sach hoga,,,, ha... hey bhagwaan kash yeh baat

sach ho aur meri naina ki zindagi barbaad hone se bach jaaye... ( naveen finaly yeh sabb sochte - sochte apni car ke pas aata hai...

aur baith kar nikal jata hai...)

Inside...

rajveer:- leave me alone...

aalekh:- dekh...

rajveer:- aalekh ja abhi warna...

aalekh ( shouting):- warna kya ha... warna kya...? marega mujhe... le maar...

End of Part 24
press like if u really liked it
do comment
love Chandni
************************************************************
************************************************************

Edited by rkchandni - 8 years ago
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Thanks for a wonderful part...
K2kaoK2 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
U r an amazing writer.. loving ur story...update soon..
.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
Amazing part!!
Lot of revealations...
Cont soon
Thanks for the pm
Prasu1095 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
Wow!dash wala ud
Ab sab kuch clear ho gaya
Naveen ne sahi nahi kia,alekh ne kya jawab diya man jao raj tum nauna se pyaar karthe ho
An ye ragini air huda kya karne wale hai
Cont.soon
yoginisahakari thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 8 years ago
Wow both updates fantastic

Loved them.


Read the just now.

Pl cont soon

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya and Raina ff - Love me like you do

Ritik Mehra : Business Tycoon and Elder brother of Raghav Shivanya Kapoor : Doctor and Elder Sister of Naina and love interest of Ritik

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya,Ishveer,Raina,Ragsan and Vikresha ff - My love is only for u

Let's me introduced the Characters Ritik Raheja (Arjun Bijlani) : A very rich business tycoon and elder brother of Ranveer and Ragini Ranveer

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: LizzieBennet

6 months ago

Love-O-Rama's Pyar ka Trope-fest RESULTS!

Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: FFEditors

7 months ago

Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest : Closed

You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".