FF - Pyar Impossible or I'm Possible Pt 37 in New Thread - Page 33

Created

Last reply

Replies

979

Views

175.3k

Users

71

Likes

1.8k

Frequent Posters

Chulbuli_Annu thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago

Originally posted by: Chutkijulienite

pad nhi paati aapke stries bt i kno 1 thng ur d bst writer i hv seen...lv ur wrk!


jb pta hai to padh bhi le 😉

I will be happy
shona14 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: chulbuliannu


agar in sab ki harkate aisi hi rhi to afsana hi banega 😆😆😆

and m ready to read that kyunki unka afsaana to tu hi likhegi mummy😆
Piya_Malik thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
likhe jo kaht tune
vo meri yaad me
1000 O rang ke najare ban gye

phir teri yaad aai ...lol
Piya_Malik thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
taki-taki -taki ry
jab s tu aankh me jhaki😉
shona14 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 12 years ago

Originally posted by: lizadavidmm

likhe jo kaht tune

vo meri yaad me
1000 O rang ke najare ban gye

phir teri yaad aai ...lol

lol mummy teri beti pagal ho gayi hai sambhal isko😆
Chulbuli_Annu thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago

Originally posted by: shona14

lol mummy teri beti pagal ho gayi hai sambhal isko😆



haan tum dono behane ek jaisi ho 😆😆😆 pgal


aur haan afsana to main hi lkhungi but kaise iska to mujhe bhi idea nhi ahi 😉
shona14 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 12 years ago
aur kab tak mujhe tadpayegi tu ...meri mummy update leke kab aayegi tu ...chali aa tu chali aa🤣🤣
Chulbuli_Annu thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
PART 14

Naina to herself : isne mujhe darpok bola...main kya darpok hu... khud police wala hai naa...to ise sab hi darpok lgte hai...pr main sabit kr hi dungi ki main darpok nhi hu...soch naina kuch soch...kaise prove karegi ki tu darpok nhi hai...ek to dii bhi ghar pr nhi hai...kya karu...ek kaam karti hu...pehle main ice-cream khane bahar jaati hu...ice-cream khaungi tabhi dimag chalega...(naina ice-cream khane k liye ghar se nikalti hai..pehle sochti hai car lekar jaaye but baad me paidal jaane ka faisla krti hai as ice-cream parlour uske ghar se zyda dur nhi hai aur use sochne ka aur time mil jayega...aur arjun apne room me hai...wo file padhne ki koshish kr rha hai pr uska sara dhayan naina aur masi ki call ki taraf hai...)

Arjun to himself : ye ladki bhi naa... aur dusri taraf sam...pta nhi wahaan kya chal rha hai...sam ka phone bhi nhi lag rha hai...aur masi k call se to tension aur badh gyi hai...kuch samjh nhi aa rha kya karu...ek kam karta hu naina se aisha ka number lekar call karta hu...Sam Aisha k sath hi hoga...masi ne pakka aisha ko hi dekha hoga...akhir mujhe bhi to pta chale akhir chal kya rha hai...

(Arjun sare ghar me naina ko dhundta hai pr naina use nhi milti )

Arjun to himself : ab ye ladki kahan chali gyi...(Arjun maid se puchta hai pr maid ko kuch nhi pta hota...fir wo guard se puchta hai...guard use batata hai..k naina bahar ki taraf gyi hai...Arjun bhi usi side jaata hai jahaan guard ne bataya hota hai...Arjun naina ko kafi dhundta hai pr naina usse nhi milti...dhundte dhunte wo ice-cream parlour pahuch jata hai...but use naina wahaan bhi nhi milti...arjun ka gussa kafi badh jaata hai...wo ice-cream parlour se bahar nikalata hai naina ko idhar udhar dhundta hai...thoda dhundne k baad use naina dikhai deti hai...arjun naina ko awaz lagane ki koshish krta hai but naina uss se kafi durr hai aur rush bhi hai...Jab tak arjun naina k pass tak pahuchta...Naina ek blind man ko road cross karwate huye road k dusri taraf chali jati hai...Arjun full form me naina ko awaz lagta hai...Naina use dekh bhi leti hai..)

Arjun (Shouting) : Naina...

(Arjun ko dekh kr Naina )

Naina to herself : ye yahaan bhi aa gya...huh...isko to lgta hai main itni darpok hu k ghar se akele bhi nhi nikal skti...ab piche piche ye dekhne aaya hai k main kahaan kahaan dari hu...isko main aaj hi sabit kr dungi k main darpok nhi hu...(naina arjun ko wahi khada rehne ka aur khud se aane ka ishara krti hai...arjun bhi han me sar hilata hai...Naina road cross krne ki koshish krti hai...suddenly naina ki wajah se traffic distrack sa hone lgta hai...arjun realised k naina apni eyes closed krke road cross krne ki koshish kr rhi hai...)

Arjun to himself : ye ladki pagal ho chuki hai...(Arjun khud ko problem me daal kr...naina ko car k accident hone se bachata hai...aur side me lakar..)

Arjun to naina : tumhara dimag kharab hai kya???? oh main to bhul hi gya tha tumhare pass to dimag hi nhi hai..fir wo kharab kaise hoga...tumhe pta hai k agar tumhe kuch ho jata to main tumhari behan ko kya jawab deta, sam ko kya jwab deta...aur khud ko kya...(arjun bich me hi ruk jaata hai...naina arjun ki taraf dekhti hai...aur arjun ko itne gusse me dekh kr uski kuch bhi kehne ki himmat nhi hoti..) aur ghar me kisi ko bina bataye...tum sair krne chali aayi...upper se aankhen band krke road cross kr rhi ho... iss se pta chalta hai tum jitni dikhti ho uss se kahi badi bewkuf ho...(naina se life me aaj tak kisi ne ucchi awaz me baat nhi ki...aur arjun road pr hi uske upper chillane lgta hai...to naina ki aankhon me ashu aa jate hai...jinhe dekh kr arjun to calm hota hai...)

Arjun in low voice : ab ghar chalo...

Naina (with tearly eyes) : mujhe nhi jaana...tum jao

Arjun : listen...road pr tamasha krne ki koi zarurat nhi hai...chup chap ghar chalo...

Naina (with tearly eyes) : main nhi jaungi...(naina dusri taraf dekhne lgti hai..arjun ko kafi gussa aata hai...wo naina ko wrist se pakad kr lagbhag khichta hua ghar lekar aata hai...Naina use apna hath chodne k liye bhi kehti hai but arjun nhi sunta...jaise hi ghar me enter hote hai wo hall me Aisha aur Sam ko dekhta hai...dekhne se lgta hai jaise wo abhi aaye ho...wo naina ko lagbhag hall me dakhelte huye...)

Arjun : agli baar aisi bewakufi ki to yaad rakhna mujh se bura koi nhi hoga... aur uss whqt mere gusse se tumhe koi nhi baccha payega...samjhi ya samjhau...

(Arjun ko itna gusse me dekh kr...aisha aur rathore jo already kafi pareshan dikh rhe the aur pareshan ho jaate hai...Naina aisha ko dekh kr...Aisha k gale lag jaati hai... wo apne tears ko control krne ki koshish krti hai...)

Aisha : kya hua Ninu...arjun itna gusse me kyun hai...(naina ka rona start ho jaata hai...naina ko rota dekh...)

Aisha to arjun : Hum log mere room me hai kuch chahiye ho to bta dena...

(Naina ko rote dekh arjun feels bad...but wo kuch nhi kehta...aisha aur naina k jaane k baad...)

Rathore : Arjun ye kya tarika hai ladkiyo se baat krne ka...aur ladkiyo ko handle krne ka...

Arjun : wo issi layak hai...bewakuff ladki...kuch ho jaata use to

Rathore : kuch ho jata se matlab

Arjun : tum mere sath aao main sari baat batata hu...(Arjun aur rathore apne room me jaate hai...Arjun Rathore ko sari baat batata hai...)

Rathore : bacchi hai wo...aur itna daantne ki kya zarurat thi...kitna ro rhi thi...syad uss se kabhi kisi ne ucchi awaz me baat nhi ki hai

Arjun : tabhi itni bigadi huyi hai...kuch bhi krti hai..aaj jaan bhi jaa skti thi uski...aap samjh rahe ho main kya keh raha hu

Rathore : samjh raha hu...aur dekh bhi raha hu...lgta hai Maa ko teri shikayat lagani padegi...kyunki meri to tu sunega nhi

Arjun : Maa se yaad aaya...Masi ka call aaya tha...wo keh rhi thi...k tum ghar k bahar car me kisi ladki k sath the...aur masi apko rok paye iss se pehle tum wahaan se nikal gaye...

Rathore (Shockingly) : what ????? Maa ne dekh lia...yahi hona reh gya tha aaj k din me...

Arjun : haan dekh bhi lia aur tumhe call krne ki koshish bhi ki thi but tumhara phone switch off tha..ab btao kya hua...

Rathore batana shuru krta hai...

***************************************************
2 and half an hour back

(Aisha ghar se apni meeting k liye nikalti hai...rathore bhi aisha ko jaate dekh uske piche nikalta hai...Aisha double care se khud pr dhayan rakhte huye chal rhi hai...as usne ek din pehle hi constable ko apna picha krte huye pakda hai...iss se rathore ko aisha ka picha krne me problem to aa rhi hai...but wo fir bhi aisha ka picha kr rha hai...aisha bus aur train se travel krti hai..but to rathore k liye fir bhi asan hai...but train me aisha ladies compartment me safar krti hai jiski wajah se rathore ko gernal compartment me safar krna padta hai..aur har station pr ye check krne k liye utarna padta hai k aisha kis station pr utergi...then uske baad bus ka safar...Rathore inn sab se thoda irritrate ho jaata hai...uske baad uss sponsor ka office aisi jagah hota hai jahaan aas pass industrial area hai...Aisha uss sponsor k office me enter hoti hai...

Aisha : Hi..I am Aisha Kapoor...Aapki Guru se mera matlab hai Gurmeet se baat huyi hogi...

Sponsor : Hi..I am Rahul Jaikar...Pls have a seat... haan meri Gurmeet se baat huyi thi...don't worry...mujhe ye sab kam krne ki adat hai..but gurmeet ki baato se lga nhi tha k humari mulaqat itni jaldi ho jayegi

Aisha : haan...actually Gurmeet ka show hai naa... to pehle yahi decide hua tha k uske show k baad gurmeet aur main aapse milenge...but mujhe lga itni choti si baat k liye gurmeet ko disturb krna thik nhi hai...so maine khud hi call krke meeting fix karwa li

Rahul : ye accha kia aapne...waise bhi gurmeet ki kya zarurat hai yahan pr...

Aisha : matlab????????

Rahul : kuch khas nhi aise hi bol rha tha... waise kya main apke play ek baar dekh skta hu

Aisha : sure...but iska abhi climax likhna baki hai...wo bhi jaldi hi pura ho jayega...(Aisha ek kafi badi spiral binding ki note book rahul ki taraf badhati hai...aur rahul wo note book le leta hai..Rahul play ka title padhta hai..)

Rahul : Mili Ek Ajnabi se...Nice Title...lgta hai kafi interesting play likha hai aapne...

Aisha : koshish to puri ki hai

Rahul : waise kya main padhne k liye ye apne pass kuch dino k liye rakh skta hu

Aisha : main de to deti...but ek to ye original copy hai...aur dusra iska climax main abhi tak decide nhi kr payi hu

Rahul in mind : ye to bahut tez lag rhi hai...agar iska play ye rakhne deti iss bahane iss se 2-4 meeting aur ho jaati...aur iss play ko likhne me iski itni mehnat hogi...to ye kahi bhi aane ko taiyar ho jaati

Aisha : kya soch rhe hai...

Rahul : nhi kuch nhi...okay no problem...main iski xerox karwa deta hu...(aisha kuch reply de uss se pehle rahul spiral binding me jo plastic roll lga hota hai wo cut kr deta hai..aur aisha ka play ab pages me hai...)

Aisha : pls dhayan se...kafi mehnat ki hai maine iss per

Rahul : don't worry...ye humara roz ka kaam hai...waise ab to hamara milna milana laga hi rahega...kabhi sponsorship k liye... ab aap to janti hai sponsorship milni itni bhi aasan nhi hai...Jo bhi show sponsor krta hai badle me kuch naa kuch chahta hai

Aisha : haan to badle me...show ki tickets ki kamai ka 50% sponsors ko milega naa...aur baki ka 50% se main kya krti hu kya nhi ye meri problem hai

Rahul : show ki kamai ka 50%...ye to bahut zyda hai...aap chahe to aapko kuch nhi dena hoga...agar aap mera kehna maane to...(with playful voice.) aur kehna to aapko mera man na hi hoga agar aapko sponsorship chahiye...bus ap ki ek raat chahiye mujhe

(ye sunte hi aisha ka gussa high ho jata hai...)

Aisha (With lots of anger..apna play uthate huye) : galat fehmi hai tumhari...k main tumhara kehna manungi...ye socho k kahi main tumhe maru naa...wo kya hai naa k hamari pehli meet hai aur aakhiri bhi...aur main nhi chahti k tum apni life me ye sochte raho k ek ladki ne tumhare office me aake...tumhare staff k saamne tumhari pitai ki...so jaane do mujhe

(Tab tak rahul k staff k 2-4 log entry gate pr khade ho jate hai...Aisha ki aankhon me bilkul darr nhi hai...Aisha palat kr Rahul k pass jati hai aur use solid wala thappad lagati hai...)

Aisha : inko bolo mera rasta chode...wrna jin hatho me chudiya hai unhi hatho se maar bhi khayenge...

Rahul : bahut akad hai tum me...main tumhe aise hi jaane deta...but tumne mujh pr hath utha kr bahut badi galti ki...ab galti ki hai to punishment to milegi hi...

(Rathore's entry...dono logo ko door se ander ki taraf dakhelte huye...rathore enter krta hai...)

Rathore : right galti ki hai to punishment to banti hai...pr galti ladki ne nhi tumne ki hai to punishment k liye chup chap chaloge ya tumhe kutte ki tarah ghasit te huye lekar jaana padega mujhe...

Aisha in mind : ye yahaan kya kr rha hai...ye to baad me sochungi...kuch bhi ho accha hai... atleast main yahaan se nikal to paungi...

Rathore ko dekh kr Rahul k kuch aur log aa jate hai...but hamare rathore saheb ACP hai aur wo bhi tod fod department me expert...aur thoda bahut to aisha bhi sambhal hi leti hai...wo professional fighter nhi hai to kya hua...girls ko ladne k liye kahaan training ki zarurat hoti hai acchi khasi fight k baad Rahul akhir rathore k kabze me aa hi jata hai...pr iss chakker me aisha ka pure play k pages bikhar jaate hai...iss baat ka khayal aisha ko kafi derr me aata hai...jab tak kafi derr ho chuki hai...Aisha bikhre huye papers uthane ki koshish krti hai but she know k ab koi fyda nhi hai...Rahul k kabze me aate aate...chotu bhi aa hi jaata hai...

Rathore to Chotu : isse kutte ki tarah gasit te huye le jaana...jb iski ye halat dekhenge to iski koi izzat nhi bachegi...aur syad tab isse dusro ki izzat kaise ki jaati hai uska ehsas hoga...

Chotu : yes sir...

Rathore : iska office seal karo...(Rathore ki nazar aisha pr jaati hai...wo paper uthane me busy hai...Rathore aisha k pass jaata hai )

Rathore to Aisha : chodo inhe...kisi kaam k nhi rhe...

Aisha koi reply nhi deti...aur wo apne papers uthne ki try krti hai..Rathore ko gussa aa jata hai...Rathore use baju se pakad kr uthata hai...

Rathore : samjh kya rakha hai tumne aapne aap ko...koi superwomen ho... kahi bhi jaane se ya kisi se milne se pehle uske bare me inquiry kr lene me problem hai tumhe .. tum kitni bhi badi hilter kyun naa ho...agar aaj main time pr nhi aata to tumhare sath kuch bhi ho skta tha

Aisha in anger : leave me alone...jab se tum meri life me aaye ho kuch na kuch ho hi rha hai...rahu kaal ki tarah meri life me gus aaye ho... aur tumhe kya fark padta hai mere sath kya hota hai...main maru ya jiyu uss se tumhe kya fark padta hai...chodo mujhe...(itna keh kr aisha apna hath rathore se chuda leti hai...aur jaane lgti hai...but rathore uske raaste me aakar khada ho jata hai...)

Rathore : Damn it!!!!!!!!!!!!!!!!!!!samjh k kya rakha hai mujhe aur apne aap ko...haan mujhe koi fark nhi padega...tumhare jeene ya marne se but koi aur hai jise fark padta hai aur bahut fark padta hai...(Aisha rathore ki taraf dekhti hai..Rathore full on anger me hai) tumhari behan...jiske liye tum itni pareshan rehti ho...socho agar tumhe kuch ho gya to uska kya hoga...nhi aise nhi main batata hu kaise socho...tumne arjun ko dekha hai naa...kabhi smile krte huye dekha hai use...nhi naa...maine bhi use last time smile krte huye dekha tha jab wo 10 saal ka tha...aur apne parents k sath hamare ghar aaya tha...uska hasna aur muskurana hi sari problems ka solution lgta tha sabko...pr jab uske parents wapas jaa rhe the to unka accident ho gya tha...uss accident me arjun hi bacha...wo din hai aur aaj ka din...maine aur mere parents ne sari koshishe kr li...hamare kehne pr arjun jhut muth ka muskura to leta hai...pr wo sachi muskurahat nhi hai...kyunki arjun apne parents k bahut kareeb tha...jaise naina tumhare kareeb hai...Jis naina se tum itna pyar krti ho...aur jis k shor se tumhara ghar mehakata hai...wo khamosh ho jayegi agar tumhe kuch hua...maine dekha hai apne bhai ko...nhi chahta k naina ko kabhi aise dekhu...ab soch k dekhna..tumhara jeena bhi kitna zaruri hai...😡😡😡 khud k liye naa sahi Naina k bare me socho agar tum sach me naina se pyar krti ho😡😡😡..(Aisha chup chap rathore ki baat sun rhi hai...but rathore ka gussa hai k shant nhi ho rha) ab chup chap gadi me baitho...😡😡 jab tak hum log kaam khatam nhi kr lete...

(rathore lagbhag aisha ko push krte car ki co-driver seat pr bitha deta hai..aur door band kr deta hai...aisha itna kuch sun ne k baad kafi shock me hai...use samjh nhi aa rha kaise react kre...rathore apni team k sath busy ho jata hai...thodi hi derr me rathore ka kaam finish ho jata hai...)

Rathore to chotu : main SUV le jaa rha hu...koi problem

Chotu : no sir...we will manage...😊

Rathore suv ki driver seat pr aakar baith ta hai...wo aisha ki taraf dekhta hai...aisha chup chap baithi huyi hai...rathore sochta hai k aisha kuch to bolegi but wo kuch nhi bolti ...

Rathore in mind : ye nhi sudhar skti...kuch bhi keh lo...ise pta hi nhi hai ye kitni badi problem me fas skti thi...aur isne samjh kya rakha hai...aaj to isse sab kuch bta kr hi rahunga...chahe uske baad dekhta hu kaise ye security nhi leti...chahe mujhe zabardasti karni pade...but ab iska aur drama nhi chalne dunga...😡😡

(Rathore SUV drive krna shuru krta hai...wo SUVaisha ki ghar ki taraf le jaane ki jagah..kisi aur raaste pr le jaata hai...but aisha kahi aur hi khoi huyi hai...uska dhayan hi nhi jata iss baat pr...aur ye dekh kr rathore ka gussa high ho jata hai...rathore ek ghar k bahar apni car rokta hai...jis se aisha ka dhayan jata hai...aisha kuch bole uss se pehle hi...)

Rathore : ye Mera ghar hai...main aur arjun yahi rehte hai...koi shauk nhi hai hume tumhare uss bade se ghar me rehne ka...😡😡 tum aur tumhari behan ki jaan ko khatra hai...but as usual tumhari so cold gyan ki baatein hai naa...uski wajeh se hume tumhare ghar paying guest ban k rehna pad rha tha 😡😡😡 commissioner sir aur tumhare dad k kehne pr bhi main uss ghar me hu zaruri nhi hai k log parwah dikhaye...but jo parwah krte hai unki kadar krna sikho...tum aur tumhari behan ki jaan ko khatra hai..ye baat aise hi nhi bol rha hu...maine aur arjun ne khud dekha hai...tumahre ghar k ander tak wo log ghus chuke hai kai baar...hume aate hi tumhare ghar me 2-4 bar warning letters mil chuke hai...ab tum chaho ya naa chaho...security to tumhe leni hi padegi...😡😡😡 marzi se ya majburi se...wo tum khud tay kr lena...(Aisha koi reply nhi deti)

Rathore speed me SUV aisha ki ghar ki taraf le jaata hai...

*****************************************************************************************

Arjun : tumhe aisha ko sab kuch bta dia😲

rathore : mere pass koi aur option nhi choda tha uss ladki ne...😡😡 dimag kharab krke rakha tha




bgargate thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago

Supercool... mazaa aa gaya...👏👏👏👏

Aaj to dono bhai bikul solid form mein they...😉😉😉... ekdum rough and tough...😛😛
Dono ke dialogue ekdum superb they ... 👏👏👏
Idhar Arjun ne Naina ko jhaada aur udhar Sam ne Aisha ko...😳😳😳
Par ye Sam ko apna ghar dikhane ki kya zarurat thi? ...😉😉... ab Maa ne dekh liya... ho gayi na musibat? ...
Chalo... Aisha to kuch had tak sambhal gayi...😳😳😳... ab Maa ko kaise sambhalega Sam...😕😕😕
Rahul ki dhulai...
Bechari Aisha ka play 😡😡😡... ab usey dubara mehnat karni padegi...
Edited by bgargate - 12 years ago
shona14 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 12 years ago
unres yipee sorry maaf kar dena kuch zada hi pareshan karti hun tujhe update dene k liye
coming back to the update----
😆 lolz mujhe nahi pata tha icecream khane se logo ka dimag chalta hai😆
ahaan arjun naina and sam ki bato k baare mein soch raha hai😉
aaye haye khud ki jaan khatre mein daalke naina ko bachaya i know arjun ki tum police officer ho bt naina spcl hai tumhare liye that also i know😉
itna gussa arjun naina kya main bhi darr gayi thi🤢
aww rathore is already irritated 😆
rahul jaikar(mummy bahot ashiqui2 dekh rahi ho😆)
kameena rahul😡😡

rathore ne ayesha ko bachaya wow apne acp saab kisi se kam thodi na hain😉
mujhe usne jo bhi ayesha se kaha wo sab sahi laga this was really necessary...fir wo arjun k baare mein ho ya naina ...k baare mein ...superb hardhitting baatein thi sam ki😊
zaruri nhi hai k log parwah dikhaye...but jo parwah krte hai unki kadar krna sikho..loved this dialogue and this is so true...ayesha to ab bhi shocked state mein hai...
aaj to dono bhai angry young man ban gaye😉 bt i love them😊
kya ayesha ab sam ko security k liye haan kar degi?? kya sam maa ko mana payega ye jaane k liye m waiting actually waiting...

superb update mataji👏👏👏...jaldi jaldi update karo ji🤗 thanks a lot🤗
Edited by shona14 - 12 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: zajedno

1 months ago

new morning, new day.

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: LizzieBennet

5 months ago

Love-O-Rama's Pyar ka Trope-fest RESULTS!

Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: FFEditors

6 months ago

Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest : Closed

You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: MidnightLibrary

10 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter) Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".