FF: Kriya made for each other part16 updated PG#3 - Page 2

Created

Last reply

Replies

39

Views

6.8k

Users

4

Likes

65

Frequent Posters

abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#11



Krishna aur pratigya baarish ka mazaa le rahe hain...

Krishna: "Ye Baarish bhi kitni pyari hoti hai na pratigya...baarish ki boondein jab insaan par padti hai...to wo insaan baarish me ekdam madhosh ho jata hai...aur bhale hi uske andar kitna bhi gam ho ya kitni bhi takleef,,,,wo apne saare gam bhula deta hai...aur barish ka mazaa leta hai..."😳

Pratigya: "Haan krishna sahi kaha tumne...ye baarish hoti hi itni pyari hai...esiliye to mujhe baarish bahut pasand hai..."😛😳

Krishna: "really!!😛 Tumko bhi baarish me bhigna acha lagta hai!!! "😳

Pratigya: "Tumko bhi matlab!!!! 😕Tumhe bhi ???"😳

Krishna: "Haan mujhe bhi...lekin mujhe lagta hai ki baarish ka mazaa tabhi aata hai jab kisi apne ka saath ho...aur uska hath pakadkar, usko bahon me bharkar, uske saath jhumkar jo mazaa ata hai...wo zindgi ka sabse khoobsoorat ehsaas hota hai..."😳

Pratigya: "Tumhe kaise pata ki kisi apne ka saath hone par hi baarish ka mazaa aata hai...tumne kabhi aisa mehsoos kiya hai pehle???"😛😳

Krishna: "Haan...bahut baar mehsoos kiya hai maine..😳.jab jab baarish me main akela bhigta hun...aur dusro ko bahon me bahen dale hue dekhta hun tab tab lagta hai ki mera bhi koi hota jiske sath me bhi bahon me bahen dalkar baarish ka mazaa le sakta..."😉😳

Pratigya krishna ki taraf bade pyar se dekhti hai ,...

Pratigya: "Krishna...lao apna ek haath do..."😛😳

Krishna: "Haath!! Kyun???"😕

Pratigya: "Tumhara haath jo thamna hai mujhe..😳.apna haath aage badhao..."😳

Krishna apna haath pratigya ki taraf badha deta hai..

Pratigya krishna ka haath kaskar pakad leti hai...

Pratigya: "Ab tum mujhe apni bahon me lo..."😳

Krishna pratigya ke haath ko apni taraf khinchkar use apni bahon me le leta hai...

Pratigya: "Ab kaisa lag raha hai tumhe kisi apne ka saath pakar...!!" 😳

Krishna pratigya ki aankho me khud ke liye khub saara pyar dekhta hai...use yakeen ho jata hai ki pratigya usse sachcha pyar karti hai...

Krishna: "Aisa lag raha hai jaise mujhe meri manjil mil gayi hai...sach me ye bahut hi jyada khoobsurat ehsaas hai..,aur main meri manjil ko aur es ehsaas ko hamesha apne saath rakhna chahta hun..."😊😳

Pratigya sharam ki wajah se red red ho rahi thi...lekin pratigya kuch kehti usse pehle krishna bolne lagta hai...

Krishna: "Pratigya...will u marry me!!!!"😳

Pratigya krishna ke proposal se itni khush ho jati hai ki wo apni jubaan se haan bhi nahi bol pati,,,,sirf sar hilakar haan me jawab deti hai...

Krishna: "To thik hai main abhi tumhare ghar chalkar shadi ki baat kar leta hun.,."😃

Pratigya: "Nahi krishna...abhi nahi,,.,abhi tumhare jane se baat banne ki bajaye bigad jayegi,...me DAD ka sahi mood dekhkar unse baat karti hun.."😳

Baarish bhi band ho jati hai...

Krishna: "Tum shayad thik keh rahi ho..,.mere abhi jane se baat bigad bhi sakti hai...me ek kaam karta hun ..tumhe apna number de deta hun ...jab bhi tumhare DAD ka mood acha ho tum unse baat karlena...aur phir baad me mujhe call kar bata dena ki tumhare DAD es rishte se razi hai ya nahi..."😳

Pratigya: "Hmm,..thik hai...tum mujhe apna contact number de do...jo bhi kuch hoga...main tumhe call kar bata dungi,," 😊

Krishna apna contact number pratigya ko de deta hai,,,

Krishna: "Chalo pratigya main tumhe tumhare ghar chhod deta hun...ab to ye baarish bhi band ho gayi ...ab yahan es sunsaan raste par rukne ka koi fayeda nahi..."😊

Pratigya: "chalo krishna..," 😊

Krishna aur pratigya bike par baithkar sunsaan raste se singhaniya mansion ki taraf nikal jate hai...



Raj: "Mom, aaj to hamare badke bhai aur tumhe laadle bete ane wale hai,,unke welcome ke liye aaj apne kya kya soch rakha hai.."😉

Anjali: "Socha to beta maine bahut kuch hai uske liye...lekin me tujhe abhi nahi bataungi...kyunki tujhe bata diya to surprise surpise nahi rahega...esiliye tu sirf apne bade bhai ka intezar kar samjha na.." 😡

Raj: "Samajh gaya mom!!!" 😊

Pratigya apne ghar aa jati hai...aur seedhe apni mom se lipat jati hai...

Anjali: "pratigya...beta kya hua tujhe...tu itni khush nazar aa rahi hai...itni khush to maine tujhe kabhi nahi dekha..."😛

Pratigya: "haan mom...aaj baat hi kuch aisi hai ki main apni khushi ko jaahir karne se rok hi nahi pa rahi hun.."😃😳

Raj: "Mom Aaj film dekhkar aayi hai na ye esiliye khush ho rahi hai ye .."😛

"Mujhe pata hai ki ye itni khush kyun hain" 😳

Sabki nazar bahar darwaje par padti hai...
sabke muh khule ke khule reh jate hai...

Pratigya: "Vishal bhaiya Aap!!!😲

Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#12


Pratigya: "Vishal bhaiya aap!!!! "😳

Vishal: "Maine to socha tha ki tu mere ane ki khabar se khush hai..lekin tu to mujhe yahan dekhkar shocked hai!!!"😕

Pratigya: "Aisi baat nahi hai bhaiya..wo actually mujhe kisi ne bataya hi nahi ki aap aa rahe ho..."😳

Raj: "Kya karte tujhko batakar...ghar me sabhi jante hai ki tu vishal bhaiya se kitna darti hai.."😛

Anjali: "Pratigya maine tumhe pehle esiliye nahi bataya kyunki tum apna saara kaam chhodkar apne bhaiya ko khush karne ke liye hazaro tarah ke tension apne sar par lekar ghumti..."😛

Vishal: "Meri behan mujhse itna darti hai ki mujhe khush karne ke liye apne sar par tension le leti hai...!!!!!😳

Pratigya: "bhaiya aisi koi baat nahi hai...Raj aur mom to bas meri taang khinch rahe hai...😛bhala me apse kyun itna darungi jabki maine kuch galat kiya hi nahi..."😳

Raj:" Jhoot mat bol pratigya...jab tujhe pata lag jata tha ki vishal bhaiya ane wale hai...tab tu kaise apni friend simran ke ghar rehne chali jati thi aur kehti thi ki me aur simran study kar rahe hai to me ghar nahi aa paungi...aur jab vishal bhaiya chale jate the to tu bhi ghar par aa jati thi.."😛

Pratigya raj ki baat sunkar ekdam se rone lagti hai...

Anjali: "Raj..ab agar tune phir se pratigya ke baare me kuch bhi kaha na ...sach me teri itni pitai karungi ki tu chugali karna bhool jayega..😆.rula diya na meri bachchi ko..."😛😉

Vishal pratigya ke kareeb jata hai aur uske aansu ponchhta hai...

Vishal:"Chup ho ja pagli...😆main janta hu tujhe ki tu mere saamne ane me katrati hai...😛😆aur eski wajah bhi shayad me hi hu...mene tere saath kabhi bhi bhai ki tarah behave kiya hi nahi...hamesha tere saath aisa behave kiya jaise me tera bhai nahi..DAD hun.."😳

Pratigya: "Bhaiya..me bhi aapko ek baat bata de rahi hu ki jo aap mera dar samajh rahe hai...wo mera aapke liye respect hai...aur agar aap mere saath DAD jaisa behave nahi karte to shayad main bahut bigad bhi chuki hoti...apne mujhe hamesha control kiya hai...aur ek bhai ka farz yahi hota hai ki apni behan ko sahi rasta dikhana...aur apne hamesha apne bhai hone ka farz ada kiya hai."😳

Vishal: "Aaj meri behan kitne dino ke baad mujhse khulkar boli hai...ye awaaz sunne ko me kabse taras raha tha...janti ho pratigya main london me yahi sochta tha ki meri sirf ek hi behan hai wo bhi mujhse baat nahi karti...par ab nahi..ab meri behan hamesha mujhse baat bhi kiya karegi aur raksha bandhan ke din apni farmaish bhi rakha karegi..."😃

Pratigya ke chehre par muskurahat aa jati hai aur apne bhaiya ke gale lag jati hai...

Vishal: "Kal raksha bandhan hai...behanein apne bhaiyon se bahut saare gifts ki demand karti hai...bol tujhe kya gift chahiye...main vaada karta hun tu jo bhi mangegi main tujhe wo lakar dunga..."😃

Pratigya: "Bhaiya mujhe aisa kuch nahi chahiye...yahan mere pass sab kuch hai...main bas yahi chahti hun aap hamesha khush raho aur safe raho.."😛

Vishal: "Lekin phir bhi kuch to..???"😉

Pratigya: "Ok bhaiya...aap keh rahe hai to main mana nahi karti...😛par mujhe abhi kuch nahi chahiye...mujhe jab kisi chiz ki jarurat hogi...me aapse khud mang lungi..."😛😳

Vishal: "Ok then...ab main apne room me jata hu...fresh hota hu phir aaram se baatein karenge.."😃

Vishal apne room me chala jata hai...aur pratigya wahin khade khade kisi soch me dub jati hai...

Palak paper par kuch drawing kar rahi thi ki tabhi krishna aa jata hai...palak ki nazar krishna par padti hai...wo dekhti hai ki uske bhaiya ke kapde bhige hue hain...

Palak: "Bhaiya aapke kapde to poore gile hai...jao jakar kapde badal lo warna aap bimar pad jaoge...aur aap agar bimar pad gaye to ham kal raksha bandhan kaise manayenge..!!!!"😛

Krishna: "Are baap re!! Hamari pyari palak ko kitni fikr rehti hai sabki...!!"😛

Palak: "Bhaiya aap shadi karlo...😉thodi fikr aapki biwi bhi kar liya karegi..."😉

Krishna: "Acha...to batao aapko kaisi bhabhi chahiye..???"😳

Palak: "Mujhe aisi bhabhi chahiye jo aapko bahut saara pyar kare...😳aur thoda bahut mujhe bhi..."😉

Krishna: "Aapko thoda bahut kyun...??? Main aapke liye aisi bhabhi launga jo apko khub saara pyar karegi...😳aur aapki aankho me kabhi bhi aansu nahi ane degi..."😃

Palak: "bhaiya aapne bhabhi dhundh li hai..??"😃

Krishna: "Haan...tumhare liye bhabhi de rakhi hai..."😳😉

Palak: "sach bhaiya...kaun hai..kahan hai...kab ayengi wo..??"😃

Krishna: "Bahut jald ayengi tumhari bhabhi..."😊

Krishna pratigya ke khyalo me dub jata hai..

Tabhi achanak ghar ke bahar se chillane ki awaaz aati hai...

krishna ghar ke bahar jakar dekhta hai...

ghar ke bahar ka nazara dekhkar krishna shock reh jata hai...

Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#13


Krishna ke ghar ke bahar bheed lagi hui thi...krishna bheed ko dekhkar pareshan ho jata hai...bheed me se ek aadmi bahar nikalkar ata hai aur kehta hai...

"krishna...meri beti ki jaan bacha le...meri beti bahut badi musibat me hai.."

Krishna: "Ankush... Kya hua teri beti ko...????aur ye itni saari bheed kis liye!!"

Ankush: "Meri beti es samay jindagi aur maut se ladh rahi hai...aur meri beti ko es musibat se koi bahar nikal sakta hai to wo tum ho krishna..."

Krishna: "dekh ankush mujhe kuch samajh nahi aa raha hai saaf saaf bata aakhir me teri beti ko hua kya hai..."

Bheed me se dusra aadmi bol padta hai...

" Krishna...esko apni beti ke marne ka gehra sadma laga hai...esiliye ye har ghar jakar ek hi baat kehta hai,,,,ham sab subah se eske saath chal rahe hai..."

Krishna: "kya!!! Kaise hua ye sab???"

"ab kya batayein tumko krishna...tum to jante ho ki es duniye me sirf paise ka bol bala hai...paisa hai to sab kuch hai aur paisa nahi to kuch bhi nahi...ankush ki beti ki maut bhi paise ki hi wajah se hui...eski beti ko fever ho gaya tha aur isne jaldi use hospital me admit bhi karwa diya par doctor ne sabse pehle paise ki demand rakh di...bechare ankush par us waqt paise nahi the...aur doctor ne bhi uska treatment karne se inkaar kar diya...eski beti ne wahi hospital me hi apna dam tod diya.."

Krishna: "mujhe ankush ki beti ki maut ka bahut dukh hai...nanhi si jaan thi wo...usme ankush ki jaan basi hui thi...esiliye me ankush ka dard uski takleef samajh sakta hu...par ye waqt dukhi hone ya aansu bahane ka nahi hai...ye waqt hai us doctor ke khilaf awaaz uthane ka..."

"sahi keh rahe ho krishna...hame us doctor ke khilaf awaaz uthani hi chahiye jisne sirf paise ki khatir ek masoom ki jaan li...jo eski beti ke saath hua...ham kisi aur ki beti ke saath ye nahi hone denge..."

Krishna: "Thik hai aap sabhi mere saath ho to phir us doctor ko hum acha sabak sikha sakte hai...me batata hun ki aap ko kya karna hai..."

Krishna sabhi ko apna plan bata deta hai..aur sabhi krishna ke plan se khush ho jate hain...

"krishna tumhara plan sach me bahut acha hai...hame poora yakeen hai ki us doctor ko esse acha sabak milega aur wo phir kisi ke saath aisa nahi karega..."

Krishna: "thik hai jo mene bataya hai wo aap karna shuru kar dijiye...baki me dekh lunga..."

"krishna tumhara bahut bahut shukriya...acha ab ham chalte hain..."

Sab log krishna ke plan ko anjam dene ke liye nikal padte hain...

Krishna apni jeans se mobile nikal kar ek number dial karta hai...

Krishna: "Hello vicky...jaldi se mere ghar par aa aur apne saath un dono namuno ko bhi le ana..."

Krishna itna kehkar call cut kar deta hai..

Ghar me raksha bandhan ki joro shoro se tyaariyan shuru ho chuki thi...singhaniya mansion poora ka poora phoolon se saja hua jagmaga raha tha...

Anjali apne kitchen me nayi nayi dishes bana rahi thi..to wahin dusri taraf pratigya ghar ke baahar rango se khel rahi thi matlab rangoli bana rahi thi...

Anjali: "Pratigya...apne bhaiya ko jagao..aaj raksha bandhan hai aur wo so raha hai..."

Pratigya: "Mom..bas thodi der aur...meri rangoli thodi hi reh gayi hai..ise khatam karkar abhi bhaiya ko utha deti hun...tab tak bhaiya ko sone do na...bhaiya kal shaam ko bahut hi thake hue aaye the...unhe abhi aaram chahiye.."

Anjali: "Thik hai bhaiya ki chamchi..."

Pratigya: "Han ..wo to me hun hi bhaiya ki chamchi...usme kaun si badi baat hai.."

"pratigya bitiya..."

Pratigya ko peeche se kisi ne awaaz lagai...

Pratigya peeche mudkar dekhti hai...saamne pratigya ke mama the...pratigya apne mama ko dekhkar bahut khush ho jati hai..,

Pratigya: "Mamaji, ap sahi waqt par aye ho...dekho na kabse mom mujhe bhaiya ki chamchi kehkar pareshaan kar rahi hai...ab ap aa gaye ho to ap hi samjha do apni behna ko ki mujhe chamcha chamchi na kaha kare..."

Mama: "Pratigya bitiya..ye tujhse chamchi esiliye kehti hai kyunki ye khud apne bhaiya ki chamchi hai..."

Pratigya: "kya baat kar rahe hai aap mamaji!!!"

Mama: "sahi keh raha hu bitiya...teri maa mere dar se sab kaam kar jati thi...aur jab main ghar pe nahi hota tha to ghar me sabko pareshan kar deti thi...lekin us dar me bhi pyaar chhipa hua tha...jo teri maa ko mujhse tha...hamesha teri maa mera har kehna manti aur mujhe samman deti..."

Pratigya: "To kya aaj bhi mom aapse darti hain???"

Mama: "Teri maa mujhse darti hai ya nahi...ye to mujhe nahi malum par itna jarur hai ki wo mera samman karti hai..."

Pratigya: "Sorry Mama ji.,main apni nonsense baaton ke chakkar me apko baithana bhul gayi...aap yahan sofe par baithiye...main apke liye pani lekar aati hun..."

Pratigya ke mamaji sofe par baith jate hain aur pratigya pani ke liye kitchen mein chali jati hai..,anjali apna khana banane me busy thi...

Pratigya: "Mom..abhi aap thodi der pehle mujhe bhaiya ki chamchi keh rahi thi na...ab tum bahar jakar dekho wo aaye hai jiski ap kabhi chamchi thi...kya pata aaj bhi ho..."

Anjali: "ye kya bakwaas kar rahi hai tu pratigya!!!! Kaun si chamchi...kaisi chamchi!!! Kaun aaya hai baahar????"

Pratigya: "Baahar mamaji aaye hain...apko bula rahe hai..."

Anjali: "itni der se tu mere maathe mein dard kar rahi hai...seedhe seedhe nahi bata sakti thi ki baahar mamaji aye hai...!!!"

Pratigya: "Main to aapke saath thoda majak kar rahi thi...ab aap bahar jaiye aur mama se miliye...main mamaji ke liye pani lekar aati hun..."

Anjali: "thik hai..jaldi pani lekar aa aur sun apne bhaiya ko bhi jaga dena...tumhare mamaji ko ye bilkul pasand nahi hai ki koi aaj ke din der me uthe..."

Pratigya: "Ok Mom..."

Anjali kitchen se nikalkar hall me aa jati hai...apne bhaiya ko dekhkar anjali apne aansuon ko rok nahi paati..,,

Anjali ke bhaiya jo sofe par baithe hue the...apni behan ko dekhte hi uske per chhute hai...aur use apne gale lagate hai...

Pratigya mamaji ke liye pani lekar aa jati hai..

Pratigya: "Ye lijiye pani mamaji...aur ap apni behan se khub saari baatein kijiye...main abhi ati hun..."

Pratigya vishal bhaiya ke room me jati hai...room me jakar use pata chalta hai ki room me koi hai hi nahi...wo poora room dekh leti hai use koi nahi milta...

Pratigya[To Himself]: "ye vishal bhaiya aakhir kahan chale gaye!!!"

Pratigya pareshani me apne sar par haath rakhkar bed par baith jati hai...

Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#14



Pratigya[To Herself]: Ye vishal bhaiya bhi na...bina bataya pata nahi kahan chale gaye hai...aur wo bhi aaj ke din...raksha bandhan ke din..!!! Bhala aaj ke din koi bhai apni behan ko aise chhodkar jata hai kya !!Apni behan ke liye jara sa bhi pyar nahi hai...!! Khair chhodo ab kya fayeda...ab lagta hai mujhe mom ko vishal bhaiya ke room me na hone ki khabar de deni chahiye...

Pratigya hall me vishal bhaiya ki khabar dene aa jati hai...

Pratigya: Mom ,vishal bhaiya apne room mein nahi hai..!!

Anjali aur mamaji shocked reh jate hai...

Anjali: Kya!! Vishal apne room me nahin hain!!! Ye kaise ho sakta hai!!

Mamaji: Kyun nahi ho sakta anjali!!! Tum to apni kitchen mein busy thi na...aur ye pratigya bitiya bhi kisi na kisi kaam mein lagi hogi...aur to koi abhi ghar mein hai nahi...to kisi ko kya pata hoga ki kaun ghar se kahan ja raha hai aur kaun ghar mein aa raha hai!!!

Anjali: Nahi bhaiya...aisi baat nahi hai ...main to abhi hi kitchen me gayi thi...aur jab me kitchen mein gayi thi us waqt tak to vishal neeche nahi utra tha..aur ye pratigya to kabse ghar ke bahar rangoli bana rahi thi...

Mamaji: Are to phir use kya dharti kha gayi!!!

Pratigya: Mamaji aur mom,please aap shant ho jaiye...main vishal bhaiya ko phone karti hun...shayad kuch pata chal jaye...

Anjali: Are to phir itni der se khade khade kya kar rahi thi...ja jaldi se apne bhaiya ko phone kar aur puch usse ki kahan chala gaya bina bataye!!

Pratigya: haan mom...abhi phone karti hun..

Pratigya vishal bhaiya ko call karne ke liye number dial karne hi wali thi ki vishal bhaiya aa jate hai..

Pratigya ki nazar ghar ke bahar khade vishal bhaiya par padti hai...

Pratigya: bhaiya!!!

Anjali aur mamaji vishal ko dekhkar naraz ho jate hain...

Anjali: Kahan chala gaya tha tu bina bataye???

Vishal: Mom, me early morning hi jogging ke liye ghar se nikal gaya tha...aap sabhi so rahe the to maine kisi ko jagana thik nahi samjha...

Pratigya: Par bhaiya aap early morning jogging ke liye nikal gaye the to phir aane me itni der kaise ho gayi...!!!

Vishal: Aap sabhi thoda sa wait kijiye... Aap sabhi ko saare sawalon ke jawab khud mil jayega...Bas ye samajh lo ki mujhe kisi ko ghar tak laane me der ho gayi...

Anjali: vishal, ye tu kya keh raha hai...hamari to kuch bhi samajh mein nahi aa raha hai...aakhir kis ko laane gaya tha tu!!!


Vishal: Mom, main fresh hokar aata hu!! baad mein baat karenge ok!!
Vishal apne room me chala jata hai...sabhi log vishal ke es behaviour se shocked reh jate hain...
Mamaji: ye sab kya ho raha hai yahan!!! Ye vishal kis ko ghar lane ki baat kar raha tha!!

Anjali: Meri samajh me to kuch nahi aa raha hai bhaiya...usne kaha hai ki thodi der intezar karo...to hame intezar kar lena chahiye...

Mamaji ke mobile par ek call aati hai...
Mamaji Number dekhte hi call receive karte hai...

Mamaji: Hello beta!!

Dusri tarah mamaji ka apna beta ayushman tha...

Ayushman: Papa , ap kahan ho??? Ap jaldi se hospital aa jaiye...yahan hospital me kuch log jabardashti ghus aye hain aur keh rahe hai ki hamari wajah se unki beti ki maut ho gayi hai..

Mamaji: kya!!!! Tum chinta mat karo beta ...ham abhi hospital aate hai..

Mamaji call cut kar dete hain...

Anjali: kya hua bhaiya!!! Ap itni tension me kyun hai..??

Mamaji: kuch khaas nahi...bas thodi mamuli si baat hai...hamko abhi jaldi hospital jana hoga...to tum jaldi se hame rakhi bandh do..

Anjali: ji bhaiya...

Anjali rakhi lene ke liye apne room me jati hai...tabhi achanak wahan police aa jati hai..par mamaji es baat se bilkul anjaan hai ki unke peeche police khadi hai..

Anjali rakhi lekar room se nikalti hai...aur police ko dekhkar shock reh jati hai...

Mamaji: Are kya hua behna!!! hamein jaldi rakhi bandh do...hamein der ho rahi hai..

Inspecter: Agar der ho rahi hai to itni jaldi bhi kya hai dayanand ji...wese dayanand ji bahut dukh ki baat hai ki es raksha bandhan par ap apni behan se rakhi nahi bandhwa paoge...

Dayanand(mamaji): Kya matlab hai aapka???

Inspecter: Matlab to seedha hai dayanand ji...apke hatho me es baar rakhi nahi kanoon ki zanjeer bandhegi...aur wo hi apke hatho ki shobha bhi badhayegi..

Pratigya: Dekhiye inspecter sahab, ap mere mamaji se jara tameez se baat kijiye...inhone aisa koi jurm nahi kiya hai jiske liye ap inhe kanoor ki zanjeer se bandhne wale hai...

Inspecter: Dekhiye ,ham aise hi kisi ko bina saboot ke arrest nahi karte...hamare paas inke khilaf saboot hai to acha hoga ki ap hamein hamara kaam karne dijiye...

Pratigya:Agar saboot hai to dikhao...ham bhi dekhna chahte hai ki mamaji ne aisa kya kar diya jiski wajah se ap inhe arrest kar rahe hai...

Inspecter: aap log saboot hi chahte hai na to ap apna tv on kijiye ...abhi to tv par dayanand ji ke hi charche hai...

Pratigya bhagkar jaldi se hall me rakha hua tv on karti hai..

News channel par news flash ho rahi thi

'Dayanand hospital me hui ek bachi ki maut',

'Doctor ne paise ki wajah se ilaaj karne se kar diya tha inkaar'

saari Media wale dayanand hospital ke andar ayushmaan se sawal kar rahe the..

Reporter: ek pita ke pass uski beti ke ilaaj ke liye paise nahi the to kya apka ye farz nahi banta tha ki ap uska muft me ilaaj karte?

Ayushmaan: Dekhiye aap hamein hamara farz mat samjhaiye...ham ache se jante hai ki hamein kya karna chahiye aur kya nahi...aur wese bhi agar ham sabhi ka free treatment karenge to hum to sadak par aajayenge...

Reporter: To kya apki nazar mein gareeb logo ke liye koi hamdardi nahi hai!!!!

Ayushmaan: Dekhiye main jo kuch bhi karta hu wo apne papa ke order par karta hu...agar wo mujhe kisi ka treatment karne se mana karte hai...to me uska treatment nahi karunga...

Pratigya tv off kar deti hai...aur gusse se mamaji ki taraf dekhti hai...



Pratigya: bhaiya main apse kuch mangu to aap doge???

Vishal: Mangne ki jarurat nahi hai pratigya...main janta hu tum kya mangne wali ho!!!
Janna chahti ho kya!!

Pratigya: Kya bhaiya!!

Vishal: ghar ke bahar jakar dekho...koi tumhara kab se intezar kar raha hai!!!

Pratigya bhagkar ghar ke bahar jati hai...
Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#15


Anjali: Inspector sahab, Le jaiye inko yahan se..!!! Ye sirf us nanhi bachchi ke hi qatil nahi hai...ye hum sab ke qatil hai...inhone hamare bharose ka qatl kiya hai...ham nahi jante the ki hamare ghar me ek qatil khule aam ghum raha hai...

Pratigya: Sahi keh rahi ho mom!!! Aise logo ko to saza milni hi chahiye...yahi log hi corruption ko badawa dete hai...Inspecter sahab, Ap inhe yahan se le jaiye.,.inhone galat kaam kiya hai aur iski saza unko milkar hi rahegi...!!!

Dayanand: Anjali, Tum to mujhe samajhne ki koshish karo...tum to meri behan ho...meri behan hokar tum mujhe kanoon ke hawale kar rahi ho!!! Tum to kam se kam mere saath aisa na karo...

Anjali: Jab tumne sirf paise ki khaatir us bachchi ka treatment karne se mana kar diya tha tab kahan thi tumhari behan!!! Jab zara sa bhi khyal nahi aaya apni behan ka!!! Sach baat to ye hai ki tumare andar insaaniyat naam ki cheez hai hi nahi...!!!!

Inspector: Chalo dayanand ji ab bahut hua aapka drama...ab jo bhi drama karna hai na jail me karna...aur aap chinta mat kijiye aap jail me akele nahi hoge ...apka intelligent aur smart beta bhi wahan aapko company dega...!!

Police dayanand ji ko arrest kar singhaniya mansion se le jati hai...Dayanand ke jane ke baad Anjali rone lagti hai...

Pratigya: Mom, Please don't cry for god sake!!! Aapne news dekhi thi na...kis tarah se mamaji ne ek chhoti si bachi ki jaan leli wo nhi chand rupayon ke liye...aise logo ke liye aansu bahana bhi kisi gunaah se kam nahi hai...

Anjali: Pratigya, main esiliye aansu nahi baha rahi ki bhaiya jail me hai...,main to esiliye ro rahi hu ki maine aaj ke hi din bhaiya se itni oonchi awaaz me baat ki aur unhe kanoon ke hawale karwa diya...Tujhe pata hai pratigya ki maine aaj tak apne bhaiya se aankh tak nahi milayi...hamesha unse dari dari rehti thi main!!!

Pratigya: Mom, main janti hun ki es waqt aap par kya beet rahi hogi...Mamaji jaise bhi hai aakhir hai to aapke bhai na...raksha bandhan ke din behan ke pass bhai ka na hona kaisa lagta hai main samajh sakti hun...!!!

Vishal dur khada hua apne room se apni mom aur apni behan ki baatein sun raha tha...vishal ki bhi aankhein geeli thi...

Vishal apne mobile se ek number dial karta hai...dusri taraf ring ja rahi thi..

Vishal: Hello !!! Tumhara kaam ho gaya hai...police ne mamaji ko arrest kar liya hai...!!

Dusri taraf: Thanks!!!

Vishal: Isme thanks jaisi koi baat hi nahi hai...mamaji ne jo gunaah kiya hai es baat ke liye unhe saza to milni hi thi...par ye sab jo possible hua hai wo sirf tumhari wajah se...na tum media bulate...na news channel wale wo sab dikhate ...aur na hi mamaji ke baare mein mujhe kuch pata chalta...aur mujhe jab mamaji ke baare mein pata chala to maine bhi soch liya tha ki mamaji ko police ke hawale karwakar hi rahunga chahe jo ho jaye!!

Dusri taraf: Aapne sirf hamare liye apne mamaji ko police ke hawale kar diya...aap sach mein mahaan ho...Aapke liye main jo kuch bhi karun wo kam hi hoga...!!

Vishal: Mere liye kuch karna hi chahte ho to abhi jaldi se singhaniya mansion chale aao...main tumhara yahan intezaar kar raha hu...

Dusri taraf: Ok!! Main ata hu singhaniya mansion!!!!

Vishal call cut kar deta hai...aur hall me aa jata hai...

Vishal: Mamaji ko police pakadkar le gayi na..!!!

Pratigya aur anjali shock reh jate hai...

Vishal: Aap dono ko hairan hone ki koi jarurat nahi hai!! Mamaji ko arrest maine hi karwaya hai...!!

Pratigya: Bhaiya aapne!!! Aapko mamaji ke baare me kaise pata chala.???

Vishal: waise hi jaise tum dono ko abhi pata chala...news dekhkar!!! Jab me jogging karke ghar laut raha tha tabhi maine tv par ye news dekhi ki dayanand hospital me ek bachi ki maut ho gayi...phir maine ayushmaan ka bayan suna jisme wo keh raha tha ki jo kuch bhi hua uske peeche uske papa matlab hamare mamaji ka haath tha...aur main bina der kiye police station chala gaya...aur mamaji ke khilaf report likha di..!!!

Anjali: vishal beta...mujhe tum par garv hai..tumne aisa karke sach me kisi ko insaaf dilaya hai...bahut kam log aise hote hai jo aisa karne ki himmat dikhate hai..par tumne ye karke saabit kar diya ki duniya me abhi bhi insaaniyat hai..!!!

Pratigya: mujhe bhi apne bhai par bahut garv hai..!!

Pratigya, vishal aur anjali sabhi ek dusre ke gale lag jate hai...




Palak: bhaiya apna haath aage karo...hame aapko rakhi bandhni hai...

Krishna apna haath aage kar deta hai...

Krishna: Ye lo bandhlo hamari gudiya rani..

Palak: Hamara gift to laye ho na.!!!

Krishna: Gift to main lana hi bhul gaya.!!!

Palak: jao phir...main bhi rakhi lana bhul gayi...ab mujhe bhi pata nahi hai ki rakhi kahan rakhi hai..!!

Krishna: Arre baap re!! Itna gussa!!! Acha ab jaldi se bolo kya gift chahiye!!!

Palak: Bhaiya ab mujhe kuch nahi chahiye...Thank u!!!

Krishna:Ab gussa chhodo aur jaldi se batao kya gift chahiye aapko!!

Palak: Main jo mangugi...wo lakar doge!!!

Krishna: Mang kar to dekho ...aapke liye poori duniya lakar aapke pass rakh denge.,,

Palak: Ok..phir mujhe ek badi si car lakar do..!!!

Krishna: Acha..aapko car chahiye!!! Bas itni si baat!!! Samajh lo aa gaya aapka gift!!

Palak: Thank u bhaiya!!!

Krishna: wo to sab thik hai...par ye batao aapko car chalane aati hai!!

Palak: humko car apne liye thode hi chahiye...hum to aapke liye aur hone wali bhabhi ke liye car maang rahe hai...!!!

Palak ki pyari pyari baatein krishna ke dil ko chhu jati hai..aur krishna palak ko apne gale se laga leta hai..

Palak rakhi nikalkar krishna ko rakhi bandhne lagti hai...

Pratigya vishal bhaiya ko rakhi bandhti hai...

Pratigya: bhaiya main aapse kuch maangna chahti hu..!!!

Vishal: Maangne ki jarurat nahi hai pratigya!!! Main janta hun ki tumhare dil me kya hai!!! Aur tum mujhse kya mangne wali ho!!!

Pratigya: Aap kaise jante ho ki mujhe kya chahiye!!!

Vishal: Bas pata chal jata hai...

Vishal ke mobile par ek miss call ati hai...

Vishal: janna chahti ho ..kya hai wo cheez!!!

Pratigya: Han bhaiya!!

Vishal: Tumhara special gift ghar ke baahar tumhara inrezar kar raha hai!!! Jao jakar dekho apna gift..!!

Pratigya bhagkar ghar ke bahar apna gift dekhne jati hai...par achanak kisi ko dekhkar pratigya ke kadam ruk jate hai..

Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#16






Pratigya apne ghar ke bahar krishna ko dekhkar shock reh jati hai...

Vishal bhaiya ka wo gift krishna ke roop me dekhkar pratigya soch me pad jati hai ki aakhir vishal bhaiya ko krishna ke baare me kaise pata chala...


Krishna bhi pratigya ko dekhkar aise khush ho raha tha jaise kisi chhote se bachche ko chocolate mil gayi ho...


Krishna aur pratigya ek dusre ki aankho me aise nihar rahe the jaise ek dusre ki aankho me dub jana ho...


Pratigya: Krishna tum yahan!!!


(pratigya krishna se ye sawal aise puch rahi thi jaise use pata hi na ho ki wo vishal bhaiya ka gift hai!!!)


Krishna: Haan..mujhe tumhare bhaiya ne bulaya hai!!!


Pratigya: Kyun !!!


Krishna: Pratigya madam...ab kya saare sawal ap mujhse yahin gate par poochegi...andar nahi bulaogi...


Pratigya: oops!!! Im sorry krishna!!! Aao andar ...tum yahan sofe par baitho ..main tumhare paani lekar aati hun...


Krishna: Ok...jara jaldi aana!!


Pratigya: ok krishna..abhi aati hun..


Pratigya hall se seedhe vishal bhaiya ke room me jati hai...


Pratigya: Bhaiya aapko kaise pata laga ki me aapse kya maangne wali hun!!


Vishal: Bhai agar apni behan ke man ko achi tarah se samajh na paye to wo bhai bhai nahi hota wo ek kasai hota hai jo apni behan ki khushiyo ka gala kat deta hai...aur main apni behan ki khushi janta hu ...wo khushi aur kuch nahi sirf aur sirf krishna hai...hai na???


Pratigya: Haan bhaiya...Main krishna se bahut pyar karti hun...wo mera sab kuch hai...mujhe paisa gadi bangla kuch nahi chahiye...mujhe sirf krishna chahiye...


Vishal: Tumhare man me abhi jo sawal uth raha tha ki mujhe krishna ke baare me kaise pata laga to me tumhe jarur bataunga...


"Tumhe yaad hai pratigya...jab me kal London se ghar aaya tha tab tum mom se apni khushi jaahir kar rahi thi...aur mene tumse kaha tha ki tum mere aane ki khabar se khush ho...us waqt maine tumse jhuth bola tha...maine ghar ke bahar hi tumko aur krishna ko saath me barish me bike par bhigte hue dekh liya tha..tum dono ek dusre ke saath bahut khush nazar aa rahe the...wo tumko ghar tak chhodne aaya tha shayad..."


" jab tum ghar ke andar chali gayi tab main krishna ke pass gaya.."


Vishal: ye sab kya chal raha hai!!!


Krishna: Kya chal raha hai matlab!!! Tumhe nahi dikh raha ki hum baarish me bhig rahe hai..!!


Vishal: wo to mujhe dikh raha hai...lekin ye batao ki meri behan ke saath kya chal raha hai!!


Krishna: Kaun behan...kaisi behan!!! Main tumhari kisi behan ko nahi janta..


Vishal: Acha!!!! Nahi jante!! Tumhari bike par jo ladki abhi baithi thi ...wo meri behan hai samjhe!!!


Krishna: k..k...k...kya!!!! Tum pratigya ke ek aur bhai ho!!!!


Vishal: Aaj ke baad meri behan ka naam tum apni gandi zuban se kabhi mat lena...aur ye ek aur bhai ka kya matlab!! Tum dusre bhai ko jante ho!!!


Krishna(himself): us kameene ko kaun nahi janega!!


Vishal: kya!!! Tumhne kuch kaha!!!


Krishna: Nahi nahi..main to ye soch raha tha ki aapke bhai raj ki kis tarah se tareef karu..wo ladka to sach me laakho me ek hai ..aisa me soch raha tha par aapko dekhkar mujhe lagta hai ki aap dono bhai croron me do ho...


Vishal: Acha !! Makkhan laga raho mujhe!!! Tumko main bread dikhayi de raha hun ...Mujhe jante nahi ho tum ..main bahut hi strict hun...mujhe koi makkhan lagaye mujhe zara bhi pasand nahi hai...


Krishna: sorry bhai...!!


V
lisha: sorry se ab kuch nahi hoga...apna phone number do jaldi se..!!

Krishna: phone number kyun chahiye aapko!!


Vishal: koi mujhse jyada sawaal kare...ye bhi mujhe pasand nahi hai...esiliye acha hoga ki tum mujhe apna number de do...


Krishna: Ok deta hu...+919045510706...


Vishal apne mobile se krishna ka number dial karta hai...aur krishna ke mobile par ring ane lagti hai..


Vishal: Naam kya hai tumhara??


Krishna: Krishnakant...par mujhe sabhi krishna krishna kehkar bulate hai..


Vishal: ok krishna.. Ab tum ja sakte ho yahan se!!!


"Krishna bina koi sawal kiye apni bike start kar wahan se nikal gaya...uske jaane ke baad main jab ghar ke andar aaya to tumhari khushi ko dekhkar meri himmat nahi hui ki me tumse kuch bhi kahu...kyunki me jaan chuka tha ki meri behan ab badi ho gayi hai...aur use bhi kisi se pyar ho sakta hai...ab meri behan sirf meri behan hi nahi kisi ki amaanat bhi ban chuki hai...bas yahi sochkar mene tumse krishna ke baare me koi sawaal nahi kiya...aur khud hi krishna ke baare me jankari nikalne laga..."


"Aur aaj jo mamaji ko police pakad kar le gayi hai na wo bhi sirf krishna ki hi wajah se...krishna ne hi hospital me media ko bulaya aur mamaji ke galat kamo ko poori duniya ke saamne lakar rakh diya..."


"pehle to mujhe krishna par gussa aa raha tha ki wo mamaji ke hospital me media ko bulakar mamaji ki ijjat ko duniya ke saamne uchhal raha hai par baad me jab me poore mamle ko jaan gaya tha to mene bhi krishna ki help karne ki soch li aur mamaji k
e khilaf report kar di..."


"To pratigya ye tha meri krishna ki mulakat ka safar..."


Pratigya: bhaiya aapko kya lagta hai krishna mere kaabil hai ya nahi!!!


Pratigya: krishna meri nazar me ek diamond se kam nahi hai...jaise ek diamond par hamesha chamak bani rehti hai bilkul usi tarah uske chehre par bhi hamesha chamak bani rehti hai aur mujhe poora yakeen hai ki wo tumko bahut khush rakhega...


Pratigya: Aapko krishna pasand hai...mujhe aur kya chahiye!!! Agar aap krishna ke liye razi ho to matlab ghar me sabhi razi ho jayenge..


"Par main bilkul razi nahi hu..."


Vishal aur pratigya ye sunkar shocked reh jate hain..


Vishal ke room ke bahar rajesh singhaniya khade hue the...



Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#17









Rajesh: Me us ladke ke liye bilkul bhi razi nahi hun!!!

Pratigya
: Dad aap meri baat ...


Vishal pratigya ki baat beech me kat deta hai...


Vishal: Pratigya, Dad ko me samjhata hun...Dad , krishna bahut acha ladka hai..wo hamari pratigya ko bahut khush rakhega...maine krishna ko bahut kareeb se jana hai...wo pratigya ke liye har tarah se kaabil hai...


Rajesh
: Maine Pratigya ko es ghar me barso se jo esho araam diya hai...kya wo esho araam krishna ese de sakta hai??? Nahi de sakta wo..kabhi nahi de sakta kyunki wo ek mechanic hai..!!

ye baat mujhe abhi abhi krishna ne khud batayi hai...tum ese insaan se kaise shaadi kar sakti ho pratigya jiska koi wajood hi nahi hai...!!

Pratigya: Main krishna se sirf esiliye shaadi nahi kar sakti kyunki wo ek mechanic hai...wah Dad!!! Aaj mujhe pata chal gaya Dad ki aap insaan ko paise ke saath tolte ho...


Vishal: Pratigya, ye tum Dad se kis tarah se baat kar rahi ho!!! Dad bhi tumhari bhalai hi to chahte hai na!!


Pratigya: Nahi bhaiya...Dad ko meri bhalai ki koi chinta nahi hai...inhe to bas apne status ki chinta ho rahi hai ki agar meri krishna se shaadi ho jati hai to duniya wale inhe kahenge ki rajesh singhaniya ka damad ek mechanic hai!!


Vishal: Pratigya, Dad aisa kyun sochenge!!! Dad ko bhi apne status se jyada apne parivaar ki fikar hoti hai..!!


Rajesh: Pratigya, tumne sahi kaha ki mujhe apne status se bahut pyar hai aur main esse kabhi bhi compromise nahi kar sakta...esiliye mera faisla yahi hai ki tum us mechanic se shaadi hargiz nhi kar sakti...acha hoga ki tum use apne dil aur dimaag se hamesha hamesha ke liye nikal do aur use bhool jao..!!


Rajesha ye kehkar room se baahar aa jata hai aur hall me enter karta hai...aur dekhta hai ki krishna abhi bhi wahin hall me sofe par baitha hua hai..


Peeche peeche pratigya aur vishal bhi room se bahar nikalkar hall me aa jate hai...


Pratigya hall me ate hi krishna ka haath kaskar pakad leti hai..
.


Pratigya: Dad..ye maine krishna ka haath thaam liya hai...aur ab ise koi bhi nahi tod sakta...Agar humko koi juda kar sakta hai to wo hai maut...!!


Rajesh: Pratigya...kal tumhe dekhne ke liye ek ladka ane wala hai to acha hoga ki tum bachkani harkatein karna band kar do..


Pratigya: Main shaadi karungi to sirf krishna se warna me apni jaan de dungi...


Rajesh: To phir thik hai tum krishna se shaadi karna chahti ho na...kar sakti ho lekin meri bhi ek shart hai...Krishna ko es ghar me ghar jamai bankar rehna hoga...agar krishna ko ye shart manjoor hai to phir mujhe es shadi se koi problem nahi hai...


Pratigya: Lekin mujhe aapki es shart se problem hai...aapki ye kaisi shart hai!! Krishna ko kabhi bhi ye manjoor nahi hoga ki wo es ghar me ghar jamai bankar rahe...krishna ye shart nahi manega...!!!


Krishna: Mujhe ye shart manjoor hai..!!


Pratigya krishna ki baat par hairan reh jati hai...usne nahi socha tha ki krishna es shart ke liye haan kahega..


Pratigya: Krishna...ye tum kya keh rahe ho!!! Tum es ghar me ghar jamai bankar rahoge!!


Krishna
: To esme burai kya hai pratigya!!! Dad ne tumhari shaadi mujhse karane ke liye ek chhoti si shart hi to rakhi hai to mujhe Dad ki shart se kya problem ho sakti hai...Par Dad ko meri ek baat manni padegi ki shaadi ke baad me to yahan rahunga hi saath me meri chhoti behan aur meri maa bhi yahin isi ghar me rahegi...Dad ko es baat ke liye apni razamandi deni hogi...


Rajesh: Krishna...ye ghar hai...koi dharamshala nahi ki jiski marzi chahe wo yahan reh sakta hai..!!


Krishna: To hum bhi koi kathputli nahi hai ki jiski marzi chahe wo hamein apne isharon me nacha sakta hai...main pratigya se sacha pyar karta hu eske liye mujhe chahe jo bhi karna pade...me karunga par me apne zameer ko nahi bechoonga... kisi bhi keemat par nahi...


Rajesh
: To phir pratigya ko hamesha hamesha ke liye apne dil se nikal do kyunki pratigya tumhari kabhi bhi nahi ho sakti...


Krishna: Dad...Aap mujhse bade hai esiliye meri koi aukat nahi hai ki me aapse kuch bhi keh sakun par ek baat aapse jarur kehna chahunga ki aap kabhi dil se bhi socha kijiye..kyunki jab bhi aap dimaag se sochte hai hamesha hi saamne wale ko takleef hoti hai...pehle bhi kisi ko aapke dimaag se soche hue faisle ki wajah se takleef hui thi...aur uska nateeja ye hua ki usne apni zindagi se haar maan li aur khud ko khatam kar liya..


Rajesh
: Kiski baat kar rahe ho tum !!! Kisne meri wajah se khud ko khatam kar liya!!!


Krishna: Main apne bauji ki baat kar raha hu jisko aapne itna beijjat kiya ki wo aayne ke saamne khud se nazrein nahi mila sakte the..


Rajesh: Kya naam hai tumhare bauji ka??


Krishna
: Sri suryakant ..!!!!


Rajesh singhaniya ki aankhe fati reh gayi ...aisa lag raha tha jaise unhe 440 voltage ka jhatka laga ho...


Rajesh: isse pehle ki main tumhe yahan se dhakka markar bahar kar du...yahan se chup chap nikal jao...


Pratigya: Krishna akela nahi jayega...main bhi uske saath jaungi...aur koi bhi mujhe uske saath jane se nahi rok sakta..


Vishal: Pratigya me tumhari bhavnao ko achi tarah se samajh sakta hu...par tum jo karne ja rahi ho wo bhi to sahi nahi hai...Dad ne itne barso se es ghar me tumhe pyar diya...us pyar ko bhulakar tum krishna ke saath jana chahti ho...ye acha nahi kar rahi ho tum pratigya!!!


Krishna: Pratigya..Vishal bhaiya bilkul theek keh rahe hai...tum ek din ke pyaar ke liye barso ka pyar jo tumhe tumhari family se mila hai use nahi bhula sakti..,.tumko mere saath ane ki koi jarurat nahi hai...ab hamara milan tabhi hoga jab tumhare Dad hamare rishte ke liye razi honge..tab tak tum yahin rahogi...

Pratigya: Krishna...aisa kabhi nahi hoga...,Dad hamare rishte ke liye kabhi bhi razi nahi honge...wo hamare pyar ko kabhi nahi samjhenge...

Krishna: Me vaada karta hun tumse pratigya ki tumhare Dad khud mere pass chal kar ayenge tumhara rishta lekar..!!

Rajesh
: Dekhte hai krishna..!!! Me bhi us din ka intezar karunga...

Krishna ke mobile par achanak ek call aati hai...

Krishna number dekhkar call receive karta hai.


Krishna: Hello !!!

Dusri taraf se pata nahi kya kaha...


Krishna: Kya!!!! Sach !! Me abhi aata hun..!!

Krishna phone cut kar deta hai ...lekin uske chehre par muskurat bani hui thi mano jaise use jindgi ki sabse badi khushi mil gayi ho..


Edited by abhishek_kriyaa - 12 years ago
GunDaa thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#18
bhaikahe lage ho yaar?? chaloo naa vapas...jisko jo kehne hai kahe ...aap ignore maro naa bas...
abhiloveriya thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#19
nahi bhai ab me wapas nhi ja sakta...meri wahan bht insult hui he...ab nhi ja sakta..

Originally posted by: PiE-ChUcKeR_AmI

bhaikahe lage ho yaar?? chaloo naa vapas...jisko jo kehne hai kahe ...aap ignore maro naa bas...

hussainramso thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 12 years ago
#20
dhoka!!!
where is the update?

lalach day ke bolaya aur kya mila?😡
Waise main hun kahan?
Edited by meanreds - 12 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1013 page no 26

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

RiKara SS : Safed (chapter 7 updated)

[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

RiKara SS : Safed (chapter 7 updated)

[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: abavi

4 years ago

Arhi FF: Destiny Games T6 (Chapter 23.2 Updated 3rd Mar 2025)

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".