Thanks for the likes & comments! Over to.. Part 49
Arnav: Main yaheen rahunga,tumhare paas!
He kisses her forehead & hugs her.
Khushi(thinks): Hey Devi Maiyya! Ab.. kya hoga?.. Arnavji ko hum.. wahaan kaise le jayenge? Aur.. itni raat gaye hum amma-babuji se bhi nahi keh sakte ki woh kahin aur chale jayen. Ab.. kya karenge hum..?
Subconsicously she gripped Arnav's shirt tightly in her fists.
Arnav: Khushi..? kya baat hai?
Khushi(looks at him): Ji?..
Arnav: Tum.. kisi baat ko lekar tensed ho?
Khushi: Haa.. woh.. hum soch rahe the ki..
Arnav: Kya?
Khushi: Aap.. waapis chale jaiyye,aaj hi!
Arnav(shocked): Kya? Magar kyun..?
Khushi: woh.. aap agar 6 dino tak yahaan rahenge toh.. aap kaam par asar padega naa? Aur.. jijaji wahaan par akele kitna kuch sambhalenge? Aur.. aise waqt me,jab jiji ko unki zaroorat hai,unhe toh.. zyada se zyada samay jiji k saath bitaana chahiye.. Aur..
Arnav(interrupts): Relax! Akash manage kar lega.Aman hoga naa usk paas.. Aur ab toh mamji bhi aa gaye hain.
Khushi: Haa.. magar.. aapki gairhaazri me unpar zimmedaari badh jayegi naa? Aur phir.. jab hum Paris jayenge tab bhi jijaji ko hi sab kuch sambhaalna padega? Toh.. aap aisa mat kariye un k saath! Dekhiye,aap yahaan aa gaye, hum dono ek doosre se mil liye..Ab hum saath khana kha lenge toh.. us hi bahaane humein thoda aur waqt mil jayega.. Itna kaafi hai!
Arnav: Nahi Khushi! Itna kaafi nahi hai! (cups her face) Main tumhare saath aur zyada time spend karna chahta hoon.. Tumse baatein karni hai mujhe aur tumhari baatein sunni bhi hai! Ammaji,babuji aur buaji se milna bhi hai. And besides, main yahaan ek kaam se aaya hoon.
Khushi(confused): Aapko yahaan par kya kaam hai?
Arnav: Woh main tumhe baad me bataunga. Filhaal tumhe reassure karne k liye main tumhari baat Akash se karva deta hoon.
Khushi: Areh nahi! Aap khaamakha jijaji ko kyun pareshaan karna chahte hain?
Arnav: Wait a minute!
He calls Akash from David's mobile & puts the phone in loudspeaker mode.
_________________________________________________________________
Akash(concerned): Is everything ok,David?
Arnav: Akash its me,Arnav..
Akash(surprised): Bhai.. aap David k cell se..
Arnav(interrupts): Mere phone ki battery down ho gayi hai toh..
Akash: Ok.. Is everything ok,bhai? Aap aur.. Khushiji theek hain naa?
Arnav: Main toh theek hoon but.. Khushi's worried for u.
Akash(surprised): Worried for me?Y?
Arnav: Coz use aisa lagta hai ki mujhe yahaan 6 dino tak nahi rehna chahiye. Aisa karne se tumhara workload badh jayega. Aur tum Paayal toh time nahi de paoge.. Actually,She's worried for u both..
Akash: Aap meri unse baat karva sakte hain?
Arnav: Tum bolo,she's listening.. Phone speaker par hai.
Akash: Khushiji sabse pehle toh aap yeh bataiyye ki aap hain kaisi?
Khushi: Hum.. theek hain,jijaji. Aur.. aap?
Akash: Main bhi theek hoon aur Paayal bhi theek hai. a.. khushiji main.. aapko kuch bataana chahta hoon.
Khushi: Ji.. kahiye?
Akash: Itne saalon me,jabse bhai ne AR designs ko establish kiya,tabse lekar aaj tak,ek din bhi aisa nahi gaya hai jis din bhai ne kaam na kiya ho! Chaahe ho ghar par ho,chaahe chopper me ho ya flight me ho,bhai hamesha kaam karte rehte hain! Ek din bhi unhone kaam se completely chhuti nahi li hai. Aap dono ki shaadi k baad bhi bhai ko ek bhi din kaam se fursat nahi mili! Aaplog honeymoon par bhi nahi jaa paaye kyunki tab Switzerland se humare clients aaye huye the.
Aapki shaadi k baad jab bhi bhai Delhi se baahar gaye toh woh sirf kaam ki wajah se hi gaye hain!Dont u think he deserves a holiday?
Khushi looked at Arnav & realized that what Akash was saying was true.
Akash continued: Infact,u both deserve some quality time together! Bhai k London se aane k baad aapdono ko waqt hi kahaan mila? Agle hi din aapko wahaan jana pada. Yeh toh achchha hua ki di ne yeh idea suggest kia aur bhai aaj aapk paas aa paay! Ab jab woh wahaan aa gaye hain,toh plz.. unhe rehne dijiye wahaan! Woh apna laptop bag saath lekar gaye hain,toh unka kaam wahaan se jaari rahega. And I assure u,mujh par bilkul extra workload nahi hai! Bhai ne aise arrangements kiye hain ki mujhe naa toh office me overtime karne ki zaroorat hai aur naa hi kahin tour par jaane ki zaroorat hai. Main yaheen hoon,Paayal k paas! Aur Paayal ko aisa bilkul nahi lagta hai ki main use kam time de raha hoon. Aapko meri baat par yaqeen naa ho toh aap apni jiji se baat kar lijiye..
Paayal: Khushi,tum yahaan ki bilkul chinta mat karo! Humein Akash se koi shiqaayat nahi hain! Woh apna kaam aur humein, dono zimmedaariyon ko bahut hi achchhe se nibhaa rahe hain! Aur jab woh office me hote hain tab di,maaji, dadiji,Lavanyaji,NKji- sab hote hain naa ghar me humare paas. Hum khush hain! Tum hum dono ki chinta chhodo aur.. apni chinta karo!Kya tumne.. amma, babuji aur buaji ko bataya ki.. Arnavji waheen.. rehne wale hain?
Khushi(realizes): Areh haan! Yeh toh humne socha hi nahi tha!
Paayal: Ha! Toh.. unhe bataa do,taaki.. woh bhi.. taiyyaar rahe..haa?
Khushi: Ha jiji!
Paayal: Ab hum rakhte hain. Tum apna dhyaan rakhna. Aur.. sab kuch sahi hoga. Chinta mat karna!
Khushi: Haa jiji. Tum bhi apna,jijaji ka aur bachchhe ka dhyaan rakhna!
She gave the phone to Arnav.
Arnav: Satisfied?
Khushi: Ji..
Arnav smiled.
Khushi(thinks): Hey Devi Maiyya! Ab.. toh Arnavji ko bataana hi hoga! Ab.. aur koi chaara nahi hai!
Arnav: Toh ab.. agar tumhare saare apprehensions door ho gaye ho toh.. kya main tumhe kiss kar sakta hoon?
Khushi: Nahi!
Arnav: Kyun? Kya hua..?
Khushi: woh.. Arnavji..
Arnav: Bhook lagi hai?
Khushi: Nahi! Waat lagi hai!
Arnav(confused): What?Kya lagi hai?
Khushi: Aap Salmanji ki picturein nahi dekhte naa,isiliye aapko nahi pata!
Arnav: Toh tum bata do!
Khushi: Humein.. aapse kuch kehna hai..
Arnav: I know! Mujhe bhi bahut kuch kehna hai! Aisa karte hain,pehle khana kha lete hain phir baatein kar lete hain! Phir.. (smirks)baaki sab! Hmm?
Khushi: Jaisa aapko sahi lage..
Arnav: Chalo.. Main tumhe cabinet tak le jata hoon. Tum.. apne gifts bhi dekh lo aur khana bhi nikaal lo!
__________________________________________________________________
Khushi is beyond stunned upon opening the cabinet.
All her favourite goodies were tucked inside it.
Khushi couldnt help but drool.
Khushi: Golgappe,jilebiyaan,rasgulle,Mathura k pede,Agre ka petha.. kalakhatta, shikanji!...
Arnav: Yeh toh starters,mocktails aur dessert hain! Main course wahaan hain!
He pointed to the top most drawer of the cabinet.
Khushi(opens it): Poori aaloo!
Arnav: Nani ne banaaaye hain,tumhare liye! Aur di ne.. yeh bheja hai..
He uncovered a melamine casserole and Khushi squealed with delight.
Khushi: Gobhi k samose!
Arnav: Meethi chutney aur hari chutney bhi bheji hai!
Khushi: Itna sab kuch..
Arnav(interrupts): Tumhi ko khana hai! Kha paogi naa?
Khushi: Nahi kha paaye toh?
Arnav: Toh wapis ghar jayega!No compulsions! Jo khana hai,jitna khana hai kha lena!Pehle..
Khushi(holds his hand): Arnavji! Humein baat.. karni hai..
Arnav: Baad me karna! Pehle batao-khana khaogi ya gifts khologi?
Though she was very hungry & the dinner was as per her liking,Khushi didnt feel like eating.
Khushi(thinks): Arnavji sunne ko hi taiyyar nahi hain! Kaise bataaye unhe? Aur nahi batayenge tab tak chain nahi padega humein! Waise.. bataane k baad chain padega iski koi guarantee nahi hai!
She sighs audibly.
Khushi(thinks): Idhar kuaa toh udhar khaai! Aaj tera doobna toh pakka hai,Khushi!Taiyyar ho jaa!
Arnav: Khushi,kya hua tumhe?
Khushi: Kuch nahi! Aaiyye.. hum tohfe kholte hain.
Arnav: As u wish!
Khushi opened the biggest gift first to find a beautiful silk saree with Kashmiri embroidery.
Arnav: Kaisi lagi?
Khushi: Bahut sundar hai!
Arnav: Yeh maine design ki thi,kuch saalon pehle,di k liye..
Khushi: Toh.. aap yeh humein..
Arnav(interrupts): Di kabhi ise pehen nahi paayi..Par unhone mujhse kaha ki main yeh saree tumhe doon.Unhe yaqeen tha ki tumhe yeh saaree bahut pasand aayegi!
Khushi: Yeh saree hain hi itni khoobsoorat toh pasand toh aani hi thi! Par.. di ne ise pehna kyun nahi?
Arnav: Its a long story.Baad me bataaunga! Abhi baaki teeno gifts kholo..
Khushi did what she was told.
The second gift was a Pierre Cardin watch with a brown leather strap,just the kind she'd wanted for herself!
Arnav: Pasand aayi?
Khushi: Ji! Shukriya!
Arnav: Saare thank u's ek saath bolna!Pehle gifts dekh lo..
She opened the third gift,which was a Cartier white gold necklace with a pearl pendant.LInk:
Arnav: Yeh pichhli baar hi lekar aaya tha,lekin.. tumhare jaane se pehle bag kholna nahi hua so.. nahi de paya.
Khushi: Bahut hi achchhi hai!
Arnav(gives a side hug): Yeh gift bilkul tumhari tarah hai-sweet,simple & elegant!
Khushi gave a small smile.
Arnav: Ab yeh dekho-Salman khan se related gift..
Khushi unwrapped the last gift which was actually 2 gifts packed together.
Both were Being Human watches,almost identical-one had a silver metallic strap while the other had a gold metallic strap.
Khushi: Do aur ghadiyaan?!
Arnav: Special occasions par pehenne k liye! Ink straps premium quality k metal se bane hain toh tumhe itching nahi hogi!
Khushi: Par do kyun?Ek hi laate naa..
Arnav: Mujhe pata nahi tha naa ki tumhe silver strap pasand aayega ya golden.. So main dono le aaya!
Khushi: Aap bhi naa! Itna kharcha karne ki kya zaroorat thi?
Arnav: Tum meri wife ho! Main tum par paise kharch nahi karunga toh kis par karunga!?
He hugged her.
Khushi hugged him back & sighed deeply.
Arnav: Kya hua Khushi?Gifts pasand nahi aaye kya?
Khushi: Nahi,aisi baat nahi hain! Saare tohfe bahut hi achchhe hain aur humein behad pasand aaye!
Arnav(cups her cheek): toh phir baat kya hai?Tumhara mood off kyun hain?
Khushi: Arnavji humne..
She lets out a huge breath.
Khushi: Humne.. aapse.. ek aur.. baat chhupaayi hai..
Arnav internally braced himself for another shock though he didnt show it outwardly.
Arnav: Aur.. woh kya hai?..
Khushi: Hum.. Sarita k.. rishtedaaron k yahaan nahi reh rahe hain?
Arnav(shocked): Kya?
Khushi nods,preparing herself for his outburst.
Arnav: Par Khushi tumne toh kaha tha ki..
Khushi(interrupts):Humne.. jhoot.. kaha tha..
Arnav: Toh itne dinon se kahaan reh rahe ho tumlog?(doubts)Kahin tumlog us hi mandir me toh nahi reh rahe the naa,jahaan se Aman ne tumhe pick kiya?
Khushi: Nahi!
Arnav: toh phir kahaan reh rahe ho?(tilts her chin)Tell me,Khushi.. Ammaji,babuji aur buaji iss waqt kahaan hain?
Khushi: Ss.. saraay.. me..
Arnav(confused): Saraay?
Khushi nods,averting her gaze to the floor.
Arnav: Saraay.. matlab.. koi hotel ya.. guest house hai?
Khushi(shakes her head): Saraay ghar.. matlab.. dharam.. shaala hai.
Arnav(super shocked): What the.. !?
Khushi: Manoj bhaiyya.. yaani Sarita k bhaiyya ne.. jab humari ticket katvaayi thi.. tab unhone humein iss hi saraay k baarey me bataaya tha. Jab.. wohlog yahaan yatra par aaye the toh.. wohlog yaheen ruke the..
She stops to release a shaky breath.
Khushi: Phir aunty mili.. aur unhone kaha ki.. woh bhi har baar iss hi saraay me rukti hain.. Toh.. humlog.. waheen..
Arnav(angry): Toh tumne mujhse jhoot kyun bola?Yeh kyun kaha ki tum Sarita k cousin k yahaan ruknewali ho?
Khushi: Taaki aap.. humare liye koi.. bada hotel book na karvaaye..
Arnav: I dont understand.. Agar tumne mujhe bataya hota aur maine tumhare liye koi 5 star book karvaaya hota toh.. kya ho jata?
Khushi: Hum apne paison se yeh yatra karna chahte the,Arnavji! Aur humare paas itne paise nahi hain ki hum 4 logon ki, 11 dino k liye,5 star hotel me booking karva saken!
Arnav: I see! Isiliye tumne yeh.. saraay choose kiya,kyunki woh cheap accomodation hai?
Khushi: Ji.
Arnav: Fine! Tumhe jo karna tha woh tum kar chuki! Ab chalo! Aaj main bhi tumhare saath us hi saraay me rahunga!
Khushi(shocked): Ji?..
Arnav: Ya.. obviously! Main tumhe wahaan chhodkar 5 star me rehne thode hi naa jaunga? Tum jahaan rahogi main waheen rahunga!
Khushi: Arnavji aap wahaan nahi reh payenge?
Arnav: What makes u say that?Agar tum sab reh sakte ho toh main kyun nahi?
Khushi: Kyunki aap kabhi.. waise.. chhote se saraay me nahi rahe hain. Wahaan aapko taqleef hogi..
Arnav: Taqleef toh mujhe tab bhi hogi agar main tumhe waisi jagah me chhodkar kisi 5 star me rahunga. Thats impossible! Aur tum mere saath 5 star me shift nahi karogi,yeh main jaanta hoon! So,the only option remaining is.. main tumhare saath saraay me rahunga!
Khushi(holds his hand): Aap kyun zidd kar rahe hain?Baat ko samajhiye naa.. Aap nahi reh payenge wahaan! Aap.. Davidji se kahiye.. woh aapko Jammu ya Srinagar tak chhod denge.. wahaan aap kisi 5 star hotel me booking karva lijiye..
Arnav: Khushi main yahaan 5 star hotel me rehne k liye nahi aaya hoon! Main yahaan apni wife aur in-laws k saath time spend karne k liye aaya hoon! Toh jahaan woh sab rahenge main waheen rahunga! Aur plz.. zidd ki baat tum naa hi karo toh behtar hoga!
Khushi: Aap aisa kyun keh rahe hain?
Arnav: Kyunki yeh tumhari zidd hain ki tum apne bachaaye huye paison se apni family ki yatra karvana chahti ho! Yeh tumhari zidd hai ki tum saraay me rehna chahti ho,5 star me nahi!Aur..
Khushi(interrupts): Shaant ho jaiyye! a.. achchha,theek hai. Hum.. chalte hain aap k saath 5 star hotel me..
Arnav: Tumne itni jaldi apna decision badal liya?How come?
Khushi: Bas! Humse.. aur kuch mat poochhiye! Hum babuji ko phone kar k keh dete hain ki wohlog samaan baand len.Aap Amanji ko unhe lene k liye bhej dijiye. Phir hum sab 5 star hotel me chalte hain..
Arnav: Nahi! Tum aisa kuch nahi kahogi!
Khushi: Kyun?
Arnav: Kyunki main dekhna chahta hoon ki aisa kya hai us saraay me jo tum mujhe usse door rakhna chahti ho? Ab toh maine decide kar liya hai! Main aaj raat waheen rahunga!
Khushi: Arnavji...
Arnav(interrupts):Ab jab tum 5 star me rehne k liye raazi ho hi gayi ho toh main Aman se kehkar kal se hum sab ki 5 dino ki booking karva deta hoon,Srinagar k ek 5 star me.
Khushi: Kal se kyun aaj se kyun nahi?
Arnav: Kyunki aaj mujhe saraay dekhna hai! Mujhe experience lena hai saraay me rehne ka aur main woh har keemat par lekar rahunga!
He calls up babuji from Khushi's phone..
Arnav: Hello babuji..(pause)Aaplogon ne khana khaya?(pause)Great! Main aur Khushi khana saath lekar aa rahe hain.Aaplog plz wait kar lijiye. Hum sab saath me khana khayenge!(pause)Ji,main waheen aa raha hoon.Aur.. aaj raat main aap sab k saath waheen rukunga. Baaki ki baat aapko Khushi bata degi..
He hands the phone to Khushi.
Arnav: Tum babuji se baat karo main tab tak David aur Aman ko wapis bula leta hoon..
He walks aside to speak to Aman while Khushi keeps looking at him.
________________________________________________________________
No precap.Kindly ignore typos n mistakes. PMs later.Translation page 111.Next update on Thursday.
Edited by Smita.M - 12 years ago
708