Do Deewane-part 6
Part 6
Aamna took Rajeev into a room and just looked at him, she was feeling really angry, uski aankhon mein ghussa nazar aaraha tha Rajeev ko aur usne achanak apni nazrein hatadi.Woh uske saath nazrein nahiun milaa paaraha tha, who jaantha tha ke jo usne kiya who galath tha aur aaj use ehsaas hua jab usne Aamna ki aankhon mein chupay dard ko dekha aur mehsoos kiya.She finally spoke.
Aamna:Tumhari himmat kaise hui, maine tumhe apni birthday party mein bulaya aur tum aana nahin chahthay thay tho tum Goa bhaag gaye.How dare you.Tum mujhe itna attitude dikhaate ho lekin phir bhi maine tumhe bulaya, tum mujhe mere naam se nahin balke kashish keh ke bulaate ho jo mujhe bohat irritate karta hai lekin phir bhi maine tumhe bulaya kyunki mein nahin chahthi thi ke baaki sab log meri party pe aaen aur tum reh jao.Arre agar nahin aana tha tho tumhe tabhi manna kar dena chahiye tha, mujhe itni takleef na hoti jitni mujhe tab hui thi jab mein party par tumhara intezaar kar rahi thi aur achanak pata chalta hai kissi aur se ke tum Goa chale gaye ho. Maine socha ke tumhare baaray mein mera pehla nazariya galath tha, attitude hi sahi lekin phir bhi tum aik achay insaan ho lekin nahin, meri pehli waali raye tumhare bare mein bilkul sahi thi.I hate you, I hate you raj…..Sujal.
She began to cry. Rajeev was shocked and he was feeling guilty at the same time.He couldn't believe it,how did Aamna say all that about him. She was about to leave when he held her hand from behind and stopped her.
Rajeev: Rukko kash… Aamna, mein kuch kehna chahtaha hoon tumse.
She was shocked, he actually first time called her aamna, she felta spark of happiness inside her and just looked at him. They were looking into each others eyes and aamna noticed that rajeev's eyes were wet.
Rajeev: mein jaantha hoon ke jo maine kiya who galath tha aamna lekin iske peechay aik wajah thi, au aaj mein tumhe who wajah bataunga aamna. Tumhe pata hai, 8 saal pehle maine ghar chor diya tha aur yeh 8 saal maine akelya guzaare hain, binna kissi dost key a kissi saathi ke. Mein aik actor banna chahtha tha lekin papa is baat ke khilaaf thay kyunki who army mein jot hay, tho mein aagaya yahaan, Mumbai mein jahaan har insaan ak khwaab poora ho jaatha hai.8 saal lag gaye mujhe apne khwaab ko poora karne mein aur aaj 8 saal baad, ajb mein actor ban chukka hoon tho mujhe bohat ajeeb lagta hai kyunki mujhe independent rehne ki aadat hogayi thi. Is baar maafi maangne ki baari meri aamna, maine tumhe bohat attitude dikhaya hai aur badlay mein tumne apnapan, mujhe maaf kardo.
Aamna ko samajh nahin aaraha tha ke who usse kya kahe, ab usse kya kahe, ab who samajh gayi thi ke Rajeev aisa kyun behave kar raha tha, use akelay rehnay ki aadat ho chuki thi. Aamna was feeling guilty as she misunderstood him.
Aamna:Rajeev maafi tumhe nahin, mujhe maangni chahiye, maine tumhe galath samjha.
Rajeev:Mujhe aur sharminda math karo aamna, gallathi tumhari nahin merit hi, tumhari jagah agar koi aur bhi hota na tho usse bhi aise hi lagta after how I have been behaving with you.
Aamna: Rajeev kya hum dost ban sakte hain?
She extended her hand and they both smiled. He held her hand
Rajeev: Yeh meri khush kismati hogi aamna, thanx
Aamna:dosti ka pehla usool, no sorry and no thanx.
They both smlied at each other. Jab Rajeev ne jab Aamna ka haath pakra tho unke dil mein aik ajeeb sa ehsaas tha, unhe bohat khushi mil rahi thi aur aisa lag raha tha ke unko sab kuch milgaya jo unko chahiye tha.They did not let go of each others hands, bas aik doosre ki aankhon mein aankhein daal kar dekh rahe thay, waqt achanak ruk sa gaya aur dono chahthay thay ke yeh pal ruk jaye.
Background song:
Ji yeh chahe yeh lamhe,
Bas yahin pe ruk jaen,
Saamne tum raho aur,
Hum tumhe dekhe jaen.
Dil mein hone laggi hai,
Meethi meethi si hulchul,
Tum raho saath jaise,
Meri aankhon ka kajal.
Kuch waqt ke baad dono ko ehsaas hua ke unhone aik doosre ka haath pakra tha, they let go of each other's hands. Aamna smile karte huay wahan se jaane waali thi ki Rajeev ne usse awaaz maari peechay se.
Rajeev: Aamna….samajh nahin aaraha tumse yeh baat kaise kahun….ermm…… kya tum…… aaj raat ko……. (aamna ki dhadkan thaiz ho rahi thi)…… mere saath……dinner par chalogi!!!?
Aamna was surprised on what Rajeev just sed, she just stood there looking at him.
Rajeev:Who…… I want to make up for not coming to your birthday.
Aamna started to laugh.
Aamna:Rajeev itnay darre huay kyun ho, ofcourse I will come with u.
Aamna started to laugh again and Rajeev took a sigh of relief and joined her.They were both laughing, Rajeev laughed after a long time, he couldn't remember the last time he was happy.
Rajeev: (smiles)tho theek hai, mein tumhe 6 baje pick karlunga ghar se aur tumhe chornay ki bhi zimmedaari meri, ab mere paas bhi gaari hai.
Aamna: ok tho shaam ko milthay hain ok. Bye
Rajeev: bye
He was watching her go and as she took each step, he was waiting for her to look back just once, he didn't know why he wanted that. After a while he put his head down, and when he looked up again and he smiled, Aamna had turned around and she was waving at him. He was soo happy, he waved back and left with a smile.
Edited by kashishdabest - 18 years ago
41