NEW FF MAANEET TUJHKO JO PAAYA THD2 UPD pt17 pg113 - Page 45

Created

Last reply

Replies

745

Views

87.5k

Users

99

Likes

2k

Frequent Posters

unknown. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago
amazing part
finally dey are friends :)
luved it
cont soon

harneet <3
heycookie thumbnail
Posted: 13 years ago
wow grate updatee
love it
cnt wait 4 more
-Zahra15- thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago

oh my my...i thought ke those police officers n all were all for real...i mean i knew that the terrorist thing was not true but the officers as well...this i never thought of...hehe...so geet was the mastermind as usual...am sure ke ab that arjun learnt his lesson n will never ever want to meddle with geet...


and then geet at least sticks to her principles...i mean she did right in asking the "officers" to let arjun go n prove him innocent...else woh kahi ka nahin rehta...haha...but then this would have served him right as well... :P


n maan...as usual geet ka naam sunte hi he is present the soonest possible...waise geet wanting friendship from maan...am getting negative vibes...i mean am getting a feeling that she has her motives behind...u know what i mean...haha...


i loved maan's conditions for being her friend...he indeed is the epitome of sweetness...i love him...n then the song sequence...i loved how geet was remembering all their childhood moments n how they were communicating through their eyes...it was just awesome...


n finally precap...she will open the box...this gonna be wonderful...continue soon n thnxxx for the pm...love u piyaaa!!!!!!!!!

punam2712 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago

Originally posted by: piya-

Hello friends

We all know that Geet is going to end
Many of u were asking me whether I will stop my ffs as well
Guys I AM NOT GOING TO STOP ANY OF MY FFS ABHI TOH STORY SHURU HUI HAI
I WILL CONTINUE POSTING THE UPDATES IN THE FANFICTION FORUM SO KINDLY DO NOT WORRY
The ffs are one source through which we can keep our Maaneet alive permanently in our hearts I hope that I will continue getting your support
I WILL TRY AND UPDATE TJP TODAY
Love-Piya


IF YOU WANT WANT GEET TO STAY ALIVE IN OUR MINDS, THIS IS WHAT ALL THE WRITERS SHOULD DO AND INFACT COME OUT WITH MORE NEW STORIES
mahi.ve thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
awsm update ...loving the track
geet nd maan r nw frnds..w8ing 4 more
thanx 4 the pm
sam19_2009 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
hey dear...nyce part...thnkxx 4 da pm...cont soon..
TanuDDian thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
piya- thumbnail
Posted: 13 years ago

Thanks for your love and support

The following 137 member(s) liked the above post:

snehag10, 5armad, harikashiva25, mishtimsk, sheetalvasa, geetkamaan, nehakapoor7, magyshah, bhawna02, cutestar12, kabslocks, jyotiagarwal, attitudeshy, lovepoo, jagritimanocha, zaidi98, MONIJA78, cryskent, Bluesaffire2, shinedosss, etrika, mraj, hepzi, 123mitul, shagu123, love2_soma, Shifat, Annu8193, nibi_suchi, arul01, rajanirchandran, alankritamehta, ashvinisharma, udeshi91, LadyArwen, SONU_29, uteem, prathyusmiling, adorableyosh, diyachill, --Dia--, thendral_111, freya123, vij10, happydays30, sam19_2009, asherkhirad, kirannaryani, Miss-Riz, Dana Marie, Alamelu, crazedfan19, shreya satish, vibhashekhar, megh_piyashi, awesomepooja, fatemahamid, NH1971, khushi1022, sunshiner23, Neeju, maan_geet1, maaneetmaahi, renjini263, anisha_maaneet, Nihson, HayaShazal, nida6, kingofme, AIMAMSK, simm28, Geetmaan1234, Mishti13, srirad, jyothinajo, zohafarheen, KINGKHANFAN, disha_Maan.GC, eiya22, maanhar, _mahi.ve_, muraadlovesdd, tellyme, shalinisaran89, tamanna1391, khushboo22, payalpari, Deepanwita, smallville, kamna, i rok, sweet_mittal, aakritisri1111, Ash1991, acjanfeb1, -maankimishti-, crazydevil87, -Prithi-, Harneetluvesksg, krati5, harshithaaa, rupzloveu, maaneet5, Nazmaa, ammu5, nilu710, tushti-kiran, -knirwal-, ritzy09, abisamratgunjan, soni4eva, gurtilover, meena.., t_areeb, Iqbal Neha1, mandymore, kahkashansakina, maneetlover1, namita25, -afsha-, bhanu_rekhag, swetha10, pop77, -Nilam-, nahtani88, maaniqra, mollycoddle, minnie_tweetie, seemamary, abinash079, millie_maaneet, preethia, zaara2212, Shravya.M, todayzstar, zahra15, nosi,
piya- thumbnail
Posted: 13 years ago
Thanks for your love and support dear friends. Here is the next part I hope u will enjoy reading it
love-Piya
PART 15

Geet wanted to trust him but she was still scared what if u leave me again'Maan knew her dilemma I will rewin your trust one day and I will go to any extent to get u back in my life

Meera: Wow bhai aap toh kafi achha gaate ho aur sach kahu toh itne khoobsurat lafz maine aaj tak kisi gaane mein nahi sunne

Adi: Sunti bhi kaise Meera aaj pehli baar bro ne iss gaane ko complete kiya hai warna bachpan se main toh iss gaane ki pehle do lines hi sunta aa raha hoon

Geet looked at Maan

Meera: Bhai aapne ye gaana abhi issi waqt on the spot compose kiya?

Maan: Ye sirf ek gaana nahi hai Meera ye toh mere dil ki wo aawaz hai jo kisi ki yaad mein maine itne saalo tak apne dil mein tarashe rakha tha aaj bus mere dil ki baat lafzo ka ruk iktiyaar karke bahar aa gayi

Maan: Jab bhi main ye gana gungunatha tha usse humesha apne paas patha tha yun mehsoos hotha tha k hum dono mein duriyaan kabhi ho hi nahi sakthi

Adi realized that this was the right time to tell Geet what importance she holds in Maan's life

He decided to take charge of the situation

Adi: Kaisi baate kar rahe ho bro maine toh aapki sapno ki shehzadi ko aaj tak nahi dekha phir aap itne dur rehkar bhi usse apne paas kaise mehsoos kar paate ho

Maan: Ye tumse kisne keh diya k wo mujhse dur thi uski har ek yaad ko maine aaj bhi palko par sajakar rakha hai

Adi: O common Bro itne saal guzar gaye sach bataiyega kya kabhi bhi aapko koi aur ladki pasand nahi aayi?

Maan: Iss Maan ki zindagi mein humesha se ek hi ladki ki hukumat thi aur aage bhi rahegi main toh bus apni shehzadi ka gulam hoon aur mujh gulam ki itni aukaad kaha k apni shehzadi se beimaani karke kisi aur ka khayal bhi apne mann main laa sakhu

Meera: Bhai kya aaj bhi aap apni shehzadi se utni hi mohabbat karte ho?

Maan: Yun samajlo k main uski mohabbat k dum par hi aaj zinda hoon

Geet: Pyar, ishq aur mohaabat ye sab sunne mein kafi ache lagte hai par sach toh ye hai k ye cheeze insaan ko takleef k alawa kuch aur de hi nahi sakthi

Maan: Shayad tum theek keh rahi ho Geet par kehthe haina k har sikke k do pehlu hothe hai ussi tarah agar pyar takeef pauchatha hai toh wahi pyar takleefo ko sehne ki taakat bhi detha hai

Adi and Meera decided to be silent

Geet:Ye baate kahaniyon mein achhi lagthi hai Maan asal zindagi mein inn baato ka koi mol nahi hotha

Maan: ye toh apna apna nazariya hai Geet kuch logo k liye inn baato ka koi mol nahi par kuch aise bhi log hothe hai jinke liye ye baate anmol hothi hai

Geet: Aaj kal k duniya mein bus paisa hi sabse badi daulat hai paisa hai toh sabkuch hai ye rishte naate pyar mohaabat sab dhong hai har ek insaan kisi na kisi swarth se hi rishthe banatha hai

Maan: Swarth toh hogahi Geet kyunki hum mamuli insaan hai bhagwan nahi

Geet: Toh tum maante ho k tumhare iss so called pyar k peeche bhi ek swarth chupa hua hai

Maan: Haan main manta hoon main swaarthi hoon aur mera swarth ye hai k main uske bagair jee nahi saktha kyunki zindagi kya hothi hai zindagi k maayne kya hothe hai ye main tab samaj paaya jab main usse dur ho gaya tha

Maan: Usse dur jaakar hi mujhe ye ehsaas hua k aaj tak main kitni badi galatfaimi mein jee raha tha jab main uske paas tha tab mujhe lagta tha k uske bagair main kabhi aage nahi badh saktha par usse dur jaakar maine jaana k aage badna toh bahut badi baat ho gayi uske bagair agle din ka suraj dekhna bhi main gawara nahi kar saktha

Geet: Baate toh tum bahut badi badi karte ho Maan par tum usse chodkar dur chale gaye na aur kafi khush bhi dikh rahe ho aisa lagta nahi k tumne usse ek din bhi miss kiya

Maan: ye tumse kisne keh diya k maine apni shehzadi ko miss kiya

Geet: Toh ye baat sach hai k tumhe uski yaad kabhi bhi nahi aayi

Maan: Yaad toh usse kiya jaata hai jo aapse dur ho main manta hoon k physically wo shayad mere pas maujood nahi thi par emotionally wo humesha har ek utaar chadav mein mera haath thame mere dil k kareeb thi

Maan: Uski har ek shararathe mujhe aaj bhi yaad hai uski nazakat bhari pyari si muskaan mere dil mein kuch iss tarah se kaid hai k aaj bhi jab apne dil mein jaakkar dektha hoon mujhe uska muskuratha hua chehra nazar aata hai

Maan: Ab tum hi batau jab wo humesha hi mere paas thi aur aage bhi mere paas hi rahegi toh main bhala usse miss kaise kar saktha hoon

Meera: Bhai kya wo bhi aapse utna hi pyar karti hai ?

Maan: Ye toh wahi jaane par itna main yakeen se keh saktha hoon wo mujhe bhula nahi sakthi shayad wo mujhse pyar na karti ho par kabhi nafrat bhi nahi kar paayegi

Geet: Agar wo tumhe bhula chuki ho toh kya karoge zabardasti apne pyar ko uspar thopne ki koshish karoge?

Maan: Mera pyar mere liye kisi dua se kum nahi hai Geet maine usse pyar kiya hai aur usse bhi kahi zyada main uski izzat karta hoon

Maan: usse pura haq hai mujhe bhula dene ka par pyar koi sauda ya koi khel nahi hai Geet jismein k haar jeet ho meri khushi bus uski khushi mein hai uski khushi k liye ye Maan kayi baar haarne k liye taiyaar hai

Maan: Main bus itna jaanta hoon k chahe jo ho jaaye main humesha ussi se pyar karta rahunga maine kabhi bhi usse koi expectations nahi rakhe par haan agar wo mujhse haskar meri jaan bhi maang le toh wo bhi main uske naam kar dunga

Geet had no reply to his statements

Maan: Meri shehzadi ko main poojtha hoon Geet uski main ibaadat karta hoon . Pavitrta k saare rang mujhe mere pyar mein nazar aate hai.

Maan: Agar mera pyar sachha hai toh ek na ek din mujhe meri shehzadi zarur milegi mujhe apne pyar par bharosa hai Geet koi bhi nafrat mere pyar ki taakat k saamne thik nahi sakthi

Maan: Uss rab ki sabse anmol dhen hai ye pyar ye sirf ek jazbaat nahi hai balki ye uss khuda ki meher hai hum jaise mamuli insaano par ab tum hi batau kya khuda ki meher kabhi bhi galat ho sakthi hai nahi na toh pyar galat kaise ho saktha hai

Geet was just lost in Maan's words

Maan: Nazariye ki baat hai Geet ek baar apna nazariya badal k toh dekho ek baar apne dil ko mauka toh doh kya pata koi aaj bhi bhahe failaakar tumhara intezaar karta hua tumhe nazar aa jaaye

These words of Maan touched a chord of her heart

This is exactly what she wanted somewhere or the other this is exactly what her heart yearned for

Geet: (thinking) Tumhari baato se mujhe so sukoon mil raha hai wo aaj se pehle kabhi nahi mila kya mujhe wakai mein apne aap ko apne jazbaato ko jinhe maine bhula diya tha ek mauka dena chahiye

Geet: (thinking) Yun dekha jaaye toh mere paas khone k liye kuch nahi hai par shayad iss ek mauke se mainkuch haasil karne mein kaamiyaab ho jay

Geet: (thinking) Kyun rokh rahi hoon main apneaap ko kyun ye lag raha hai k main tumhe dubara kho dungi par maine tumhe haasil kiya hi kab tha jo main tumhe kho du?

Geet: (thinking) Shayad aaj bhi tum mere dil mein samaye hue ho shayad aaj bhi tumhari ek jhalak mujhe hausla dethi hai shayad aaj bhi main tumhare labho se apne naam ki sunna chahti hoon'haan ye sach hai shayad aaj bhi main tumhe uthna hi chahti hoon jitna k pehle chahti thi

Geet started smiling

Maan: Kya hua Geet kuch yaad aaya?

Geet: Pata nahi Maan par bahut dino baad ek khushi mehsoos ho rahi hai yun lag raha hai jaise k main kisi kaid se aazad ho rahi hoon

Adi: Bro kafi der ho chuki hai hume chalna chaiye

Geet: Adi theek keh raha hai hume chalna chahiye

All four of them sit in the car. Meera pulls Adi to the backseat

Geet had to sit with Maan

Adi was confused by Meera's behaviour

All four of them were silent throughout the drive

Meera: Bhai aap car yahi rokh dijiye mujhe aur Adi ko kuch books kharedne hai

Adi: Books?

Meera: Haan Adi books bhul gaye Sir ne hume kuch books kharedne k liye kaha tha

Adi: Haan haan books samaj gaya

Maan stops the car. Adi and Meera get down near a book shop

Maaneet leave

Adi: Meera hume kaunse books kharedne the?

Meera: Ofho Adi tum bhi na kabhi kabhi bevakoofo ki tarah baat karte ho itne dino baad bhai aur Geet saath saath hai aur hum dono kyun khamkha kaabab mein haddi ka role play kare issliye maine ye books ka bahana banaya

Adi: Wow Meera ye baat toh maine sochi hi nahi

Meera: Ab samje budduraam

Adi: Nice name Meera tumhare liye main budduram kya kuch bhi banne ko taiyaar hoon

Meera starts blushing

Adi: Chalo ab yaha aa hi gaye hai toh kuch books khareed hi lethe hai

Meera: Okay

Both of them enter the shop

Meanwhile,

Maan was really happy as he realized that Geet was surely changing

Geet was also at peace

There was absolute silence yet they were communicating through this silence

Maan placed his hand to change the gear exactly at that point of time Geet placed her hand on top of his hand

Their eyes meet

Maahi'Maahi'

This was not a simple touch

Maan could sacrifice his entire life for this simple touch whereas Geet was experiencing a strange blend of happiness and satisfaction with this touch

Maan changed the gear Geet removed her hand

Both were again silent

Finally they reach their house

Maan: Take care Geet

Geet: Tum bhi apna khayal rakhna. Bye

Maan: Bye

Geet enters her house she goes to her room and takes the key and without any hesitation she opens a box

Geet removes something from the box

Geet: Maine toh tumhari amanat aaj bhi samal kar rakhi hai kya tumne bhi meri amanat ko samalkar rakha hai?

PRECAP: Maan: "Geet tum kehthi ho na k itne saalo mein yaha kafi kuch badal gaya hai toh kya tum mujhe humare badla hua sheher nahi dhikaugi?"

PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT

ALL THOSE WHO WANT A PM ADD ME TO YOUR BUDDY LIST

Love-Piya

Edited by piya- - 13 years ago
Zohamaaneet thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 13 years ago
res wana to be first comment by me piya
awesoem piya maan word were like soothing to her heart
which love she was dying to be
i hope geet now ill change totally and now the story has catch fire now it will burn awesoem
love it
thanx for pm
continue soon
Edited by zohafarheen - 13 years ago

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 8 months ago

SuVeer/RUhaani TS ~ Happily Ever After (Chapter 4 upd)

[NOCOPY] Cover credits to ExoticDisaster C H A P T E R 1 After the completion of the final year exams, Mamta insisted Ranveer to come home from...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: zajedno · 3 months ago

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: MidnightLibrary · 12 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".