newFF(Maneet)Mere humsafar Trd 1uptd prt16 pg 138 - Page 9

Created

Last reply

Replies

830

Views

231.5k

Users

102

Likes

2.8k

Frequent Posters

siroilily thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#81
Loving it:) pls pm me wen u update
piya- thumbnail
Posted: 14 years ago
#82
piya- thumbnail
Posted: 14 years ago
#83

Originally posted by: anaum91

great start...plz add me to ur pm list...cont soon

definetly dear😛
piya- thumbnail
Posted: 14 years ago
#84

Originally posted by: simi91

awesome start

love it
thansk 4 pm

u r always welcome😛
piya- thumbnail
Posted: 14 years ago
#85

Originally posted by: swetha10

Lovely.. nice update.. maneet first encounter seems gud.. plzz continue soon

thanks swetha i will try to make their first encounter masaledar😉
piya- thumbnail
Posted: 14 years ago
#86

Originally posted by: siroilily

Loving it:) pls pm me wen u update

sure frnd😛
luckystar007 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 14 years ago
#87
speech less good writing thought. I really love it. can,t wait. please write little long. abhi shuro bhi nahi kia ke khatam ho gaya.
piya- thumbnail
Posted: 14 years ago
#88
Banner: By Shivangi (CIDManeetNaksh)
Thanks for ur lovely comments frnds. here is the next part.
PART 2

Maan comes out of his car and walks towards geet

Geet: (thinking) Chalo apni galti accept karne ki tameez tho iss bande mein hai isiliye mere paas mujhse sorry kehne ke liye aa raha hai. Good.

Maan: Kya baat hai kyun itna halla macha rahi ho?

Geet: (shocked that her prediction was totally wrong) Are waah ek tho galti karte ho aur upar se mujhe tevar dikha rahe ho.

Maan: Galti aur MSK, achha mazak kar leti ho. MSK wahi karta hai jo uska dil kehta hai aur duniya jaanti hai ke MSK kabhi galat ho hi nahi sakta

Geet: Tum MSK ho ya one room BHK I really don't care mujhe tho bus itna pata hai ke tumhe mujhe sorry kehna chahiye

Maan: (getting angry on getting compared with BHK) Ae ladki zara zaban samalkar baat karo tum jaanti nahi ke tum kisse ulajh rahi ho

Geet: Kyun nahi off course jaanti hoon main iss waqt ek behet hi batameez aur egoistic person ke saamne khadi hoon jo k khud ki galti par sharminda hone k bajaye dusaro par apna roub jamane mein vishwas karta hai.

Maan: Huh, sharminda aur main, MSK ki life ki dictionary mein "Sorry" naam ka word exist hi nahi karta aur waise bhi galti tumne ki hai aur mujhse ulajkar ab bhi galti kiye jaa rahi ho, sorry tho tumhe kehna chahiye chalo abbhi waqt hai mujhse maafi maang lo shayad mujhhe tumpar taras aa jaaye aur main tumhe maaf kar du

Geet: main kyun tumse mafi maangu maine kya kiya hai?

Maan: Itni badi badi aakhen hote hue bhi tumhe meri car nazar nahi aayi jo kaali billi ki tarah rasta kaatne ke liye beech raste mein aakar khadi ho gayi

Geet: Hey hello, ek tho tumne meri dress kharab kar di aur upar se apni saari galti mere matthe maar rahe ho aur mujhse sorry sunne ki expectations bhi rakte ho tumhara dimag tho thikane pe hai na?

Maan: Tumhare dress pe aise kaunse bheshkeemati heerejawarat lage hue the ' dekhkar hi pata chalta hai ke ye dress zaroor kisi foothpath se karedi gayi hogi 'Disgusting

Geet: (getting angry) Maine ye dress chahe kisi foothpath se kharedi ho ya phir kisi shopping mall se isse tumhe kya main tumhare paas paise mangne tho nahi aayi thi naa

Maan: That's it. Main jaanta tha ye saara tamasha tumne paiso ke liye khada kiya hai.

Geet: Tamasha maine khada kiya hai ya tumne tum jaisa akdu aur batameez insaan maine duniya mein aaj tak nahi dekha.

Maan: Tumne duniya abhi dekhi kaha hai, tumhe dekhthe hi iss baat ka andaza lagaya jaa sakta hai ke tum kisi stupid se fatichar goan ko belong karti ho iss liye apne aukaad mein rehkar baat karne ki tameez tumme nahi hai.

Geet: Ae Mr. BHK ye paiso ka roub kisi aur ko dikhana samjhe

Maan: (Smiles) Kyun apni asli haisiyat ka ehsaas hone par sharmindagi mehsoos ho rahi hai.

Geet: (getting angry) Zara zaban samalkar baat karo warna

Maan: Warna (laughs) Warna kya u poor girl tum chahkar bhi mera kuch bigad nahi sakti. khair mujhe tumpar bahut taras aa raha hai. Just a second yahi thehrna main abhi aaya

He goes to his car signs a check and comes back

Maan: Ye lo pure 10 hazar ka check hai waise mere liye tho ye ek bahut hi mamuli rakam hai lekin m sure tumhare liye ye bahut hi badi amount hogi. Ye lo rakh lo shayad isse tum apne liye ek better dress afford kar pau.

Geet: Tumhe kya lagta hai ke iss duniya mein har ek cheez bikau hai?

Maan: Ismme tho koi do rahe honi hi nahi chahiye. Paisa hai toh duniya aapko jhukar salam karegi warna ye duniya aapko palatkar bhi nahi dekhegi' Khair ye lo aaj tho tumhara jackpot lag gaya samajlo warna aise bahut kam khushnaseeb hote hai jinhe ke khud MSK apne haato se paise detha ho

Geet: (takes the check) Tumne thik kaha ke tumhare liye ye paise bahut hi mamuli hai lekin jaante ho mere liye iss check ki kya aukaad hai

Maan: Waise tum jaisi small town girls ka level tho main ache se jaanta hoon lekin phir bhi tum khud hi batadu

Geet: (smiles) iss check ki asli jagah ya tho koi dustbin honi chahiye ya phir kisi gutter mein lekin filhaal iss jagah par mujhe dono bhi nazar nahi aa rahe issliye I have a better option

Saying so she tears the check into several pieces and uss check ke saare tukde maan ke chehre par geet de maarti hai.

Maan: (angry) Ae ladki teri ye himmat

Geet: Himmat tho tumne abhi dekhi hi kaha hai

Saying so, she places a tight slap on his face.

Absolute silence for a moment

Maan just couldn't believe it no one in this world had ever dared to even back answer Maan singh khurana but here was a girl who not only stood like a rock in front of him but also had the guts to slap him and that too in front of the entire crowd.

Geet: Mr Richie rich tumne bahut kuch keh diya aur main kafi der tak chup bhi rahi lekin lagta hai ke meri iss chupi ko tumne meri kamzoori samaj li hai.Tho chalo ab main tumhe tumare saare sawalo ka jawab de hi deti hoon.

Geet: Tumne kaha ke main kisi chote se fatichar gaon ko belong karti hoon aur mujhe baat karne ki tameez nahi hai. Well ye baat sach hai ke main ek chote shehar se hoon lekin mujhmein itni samaj tho hain ke agar mujhse kabhi bhi koi galti hui ho tho mujhe foran mafi maangni chahiye agar kisi ne meri help ki ho tho mujhe usse thanks kehna chahiye' apne jhoote gamand ko sahi salamat rakne ke liye kisi ka insult karna maine apne gaon se nahi seekha aur iss baat par mujhe naaz hai.

Geet: Tumne kaha ke mere dress mein kya koi heerejawarat lage the, tho main tumhe bata du apni mehnat se khareeda hua har ek cheez mere liye carodo heero se bhi zyaada anmol hain

Geet: Tumne ye bhi kaha ke tum mere jaisi small town girls ki mentality ko khub ache se pehchante ho' tho ye baat bhi aaj jaan lo mere jaisi ladki kabhie bhi kisi galat baat ka saath nahi degi aur chahe haalat ka rukh kisi bhi taraf ho humesha uska dattkar saamna karegi' apne balbute par zindagi jeena humhe bakhubi aata hai.

Geet: tumne mere dress ko dekhkar mere character ka andaza laga liya so let me may it clear Mr. Richie rich ke insaan ki sahi pehchaan uske kapdo se nahi balki uski seerat se hoti hai' are tumhare kapdo ko dekhkar koi bhi dhokha kha sakta hai ke tum ek gentleman ho lekin sachhai tho isse bilkul hi alag hai tumhe kapde pehnne kit ho tameez hai lekin kisi ladki se baat karne ki tameez tumme bilkul bhi nahi

Geet: Tumhe apne paiso par bahut ghamand hai na aur tumne hi kaha ke agar paisa hai to sab kuch hai' itna ghamand achha nahi hai Mr. BHK pata chala ke zindagi mein tumne paise tho bahut kama liye lekin sachha humdard , sachha dost ek bhi na kama sakhe. Are aise paiso ka kya faiyda jisse ke apne hi begane ho jaaye' ab bhi waqt hai sudhar jao itne dushman na banao ke apne zindagi ke aakhiri waqt mein tumhare liye dho boond aasu bhi bahanewala koi bhi na ho.

Geet: Tum bhale hi paiso ke mamle mein bade ameer ho lekin tumhari soch ek bhikari ki halat se bhi gai gujari hai

Geet: Ek baat yaad rakhna ke duniya mein har ek cheez bikau nahi hoti' kabhi kabhi ek pyari si muskurahat wo kaam kar jaati hai jo ke paisa nahi kar paati. Sach kahu tho maine aaj tak tumsse zyaada garib insaan nahi dekha jo ke apne ameer hone ka dawa tho karta hai lekin asal mein khud andar se behet khokla hai.

Geet: Main tumhe 10 hazar ka check tho nahi de sakti lekin ye salah zaroor dungi ke ho sake tho apne andar ke insaan ko marne se pehle hi bachalo kahi paise ke peechebhagte bhagte tum khud ko hi kahikho na dho.

Geet about to leave bt then she stops and

Geet: Agle baar kisi bhi ladki se ulajne se pehle sau baar soch lena kahi next time tumhare gaalo pe haatho ke print ke bajaye kahi kisi ladki ke sandal ka print na chap jaaye.

Saying so geet leaves.

Maan was fuming in anger. This was the biggest insult of his life

Precap: Geet: "Kuch nahi dadima ek sarphira tha lekin uski akkal thikane lagakar aa rahi hoon"

Part 3 pg: 23
Edited by piya- - 14 years ago
caffeineaddict thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
#89
resd

Editing previous post!...

Now this part

Maan: uggh...hate him...so proud...ghamandi...dusht danav... and tooo ghamandi over his money and empire... argh! hate his attitude... but love it too...😳

Geet: self-dependent...that's wonderful... and Geet ne karara jawaab diya... pehle check and then woh slap...Maan deserved it...and the words by Geet that followed...were very important to be taught as a lesson to Maan... I am with Geet...and she'z not scared in front of MSK...

Loved the part... MSK... BHK!!!
wondering Maan's reaction on MSK-BHK...and am rofling...lovely...😆

🥳Eh lo...forgotten again... me first!!!🥳
Hurraah!!!! yippeee... Believe me Piya...I read your part twice and am wanting to read it once again...it's lovely...!!!

Thanks for making it so lovely
Hats Off!!!



Edited by CIDMaaneetNaksh - 14 years ago
anaum91 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#90
amazing part...wah wah apni Hoshiyarpur express toh bina saans liye hi baras padi apne one BHK pe 🤣 🤣 🤣 ...ROFL...😆 😆

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Mere Brother Ki Dulhan ~ A Jeenat Five-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @heavenlybliss in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Person A's gets alliance of...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".