loved it
continue soon
n pm me
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 2nd September 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 2, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 03 Sep 2025 EDT
ABHEERA IN JAIL 2.9
LIFE IN JAIL 3.9
What’s the upcoming track??
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
Mrunal Thakur Called Mean Girl
I wanted Abheera’s fate for Akshara
Anupamaa 02 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
Gen 5 - Posted on Saas Bahu Official Page
Finally a beauty queen who is star material!!
Real Woman Power Farhana
New Entry : Manit Joura
A Missed Opportunity
Faridoon Giving Advice to Salman
ALL
PART -4
N to herself :- Iss se to achchi main ghar per hi thi. Koi kisi ko uske b'day per cafeteria laata hai. Ab aayi ho nupur bhushan to bhugto. Apna b'day iss aalishan cafeteria me celebrate karo wo bhi iss sadu k sath .
M to himself :- Isse le to aaya hu. Aur itni muskil se iski narazgi dur huyi hai. pta chale k kuch gadbad ho gyi hai aur yeh fir se naraz ho gyi to fir se nayi problem create ho jayegi. Kya karu kuch samjh me nhi aa rha.
M to N :- main abhi aaya
N :- ek to mere b'day per tum mujhe iss cafeteria per le aaye aur ab mujhe yahaan chod kar kahaan jaa rhe ho. Fir se yahaan bhul kar jaane ka iraada to nhi hai.
M :- Arre aisi koi baat nhi hai. aur haan main tumhe bhula nhi tha. bas mujhe thodi derr ho gyi thi
N :- thodi derr????? Pure 2 hr ho gye the.
M :- haan thik hai. Main apni galti manta hu. iske liye tumhe sorry bhi bol chukka hu. aur promise karta hu k aisi galti dobra nhi karunga. Aur kuch bhi kehna hai kya mujhe.
N :- haan. Bolte jao. Achcha lag rha hai. k mayank apni galti maan rha hai.
M :- meri galti hai to main maan rha hu. Ab kya chahti ho mujhe (with anger)
N :- dekho mujhe apna gussa mat dikhao. Aur waise bhi aaj mera b'day hai. Aur mujhe per gussa ho rhe ho tum
M :- main gussa na hau to kya karu tum kisi baat ko samjhti kyun nhi. Achcha yeh btao kya chahiye.
N :- Hmm. Promise karo k kam se kam aaj k din mujh per nhi chilaoge aur haan aaj sara din mera kehna manoge.
M :- thik hai. tum per gussa nhi hounga. Aur aaj sara din tumhara kehna maunga.
M to himself :- aaj k din me whqt hi kitna reh gaya hai
N to herself :- aaj to fas gaye mayank sharma. Aaj to tum se apni har baat manwaungi.
M :- Ab to main jaau.
N :- haan jao per jaldi wapas aana.
(2 min baad mayank wapas aata hai. Actual me wo nupur k b'day k liye kuch arrangement karta hai aur wo uss caf me hamesha se jaata raha hai isliye arrangement aaram se ho jaata hai.)
M :- tum morena me apna b'day per kya karti ho.
N :- Kuch khas nhi. Bas subah mandir jaati hu. aur apni behan k sath sare din gumati firti hu
M :- tumhari behan bhi hai ? Tumne bataya nhi.
N :- tumne pucha nhi aur maine bataya nhi.
(Itne me waiter cake lekar aata hai)
N (surprisingly) :- mayank yeh cake mere liye hai.
M :- Nhi. Wo kya hai k 6 months baad mera b'day hai. socha abhi se cake ka order de du. Syad uss whqt caf wale cake banana band na kar de. Isliye aaj hi order kar diya
N :-Mayank, tab tak to cake kharab ho jayega (In naughtiest way)
M :- to ab cake to cut karo.
N :- lekin mayank itna sara cake sirf hum dono k liye.
M :- tum kitne swal puchti ho. Cake cut karo.
N :- dekho tumne fir se datna shuru kar dia.
M :- agar meri daant se bachna hai to chup chap cake cut karo.
N :- chup chap to main koi kaam nhi kar sakti. Main to nind me bhi bolti hu.
M (smiles) :- ab cake cut karo.
(Nupur cake cut karti hai. aur mayank ko khilati hai. Mayank ko ek ajeeb si feeling hoti hai. Per usse achcha lagta hai. tbhi cafeteria me ek phool bechne wali choti ladki aati hai jo hamesha se caf me phool bechne aati rhi hai. aur uska aaana caf me allowed hai)
G to M :- Aaj to aapko phool lene hi padenge.
M to G :- Maine tumhe kabhi mana kiya hai kya.
G :- nhi kiya. Per har baar phool main aapko deti hu aur lete samrat bhaiya hai.
M :- haan. Per aaj mere sath tumhare samrat bhaiya nhi hai.
G :- tabhi keh rhi hu. Aur aaj pehli baar aap akele hai.
N to G :- Yeh akele nhi hai. Main bhi inke sath.
G to N :- wahi to. Warna yeh hamesha apne sare dosto k sath hote hai. aur kisi ek k sath kabhi nhi hote. Aur wo bhi kisi ladki k sath. Yeh chamtkar se kam nhi hai.
N to G :- Achcha. Tumhe bahut pta hai mayank k bare me. Aur kya kya janti ho mayank k bare me. Hume bhi to pta chale.(intrupped by mayank)
M :- Mere bare me jan ne se achcha hai koi aur baat karo.
N :- tum khud to koi baat karte nhi mayank. Aur kisi aur se baat karne nhi dete.
G :- Agar maine baat shuru ki to mere phool kaise bikenge.
M :- Tumhare phool to main le lunga. Per iske baad tum ghar jaogi. Thik hai.
G :- thik hai.
(mayank ladki se uske sare phool karid kar nupur ko as uske b'day gift de deta hai. Nupur bahut khus hai boz yeh uske fav flowers hai )
N :- thanx mayank. Waise mayank wo ladki kya keh rhi thi k har baar sochte tum ho flower kharidne ki aur kharidta samrat hai.
M :- Haan. Har baar se aisa hi hota aaya hai. Samrat kehta hai k main kya karunga flower kharid kar.
N :- kya karoge matlab? Wo kya karta hai.
M :- wo hamesha flower le jaa kar gunjan ko de deta hai.
N :- Kya baat hai. Samrat ki har baat me gunjan zarur hoti hai.
M :- haan. Gunjan hai meri behan. Per mujh se zyada khyal wo uska rakhta hai.
N :- to tumhe jealous nhi hoti k tumhari behan ka tum se zyada khayal rakhta hai. (in naughtiest way)
M :- Yeh to achchi baat hai k mera dost meri behan ka khayal rakhta hai. aur waise bhi band k sabhi members mante hai k gunjan band k liye lucky hai syad isliye bhi samrat gunjan ka zyada khyal rkhta hai. aur haan apne dimag per zyada zor mat dalo. Warna thoda hai se giss gya to padhai kaise karogi.
N :- Mere pass dimag hai yeh to maine prove kar diya. Aur dimag use karne se badta hai kam nhi hota.
M :- to matlab dusro ki tarah tumhe bhi lagta hai k samrat aur gunjan k bich me kuch chal rha hai.
N :- maine aisa to nhi kaha. Waise tumhe bhi lagta hai kya.
M :- nhi. Maine dono k sath bachpan se hu. Mujhe kabhi aisa nhi laga. Aur agar aisa ho bhi jaata hai to isme burai kya hai.
N to herself :- Hmm. To mayank ko isme koi burai nhi lagti. Ab pta karna hai k samrat aur gunjan k dil me kya hai. waise bhi nupur bhushan jab se tu Mumbai aayi hai tab se kuch bhi karne k liye tere pass nhi hai. sivay iss sadu se jhagda karne k
M :- kaun se sapno me gum ho gyi.
N :- mayank tumhe itna bhi nhi pta sapne din me nhi raat me aate hai wo bhi sone k baad.
M :- Haan. Per jo jaagi aankhon se sapne dekhe jaate hai wahi sach hote hai.
N :- matlab ?
M :- Kuch nhi.Tum nhi samjhogi
N :- mayank dekho aaj mera b'day hai aur tumne promise kiya hai k tum meri sari baat manoge. To batao kya keh rhe the tum.
M :- Mera jaagi aankhon se sapne dekhne ka matlab hai. jaisa k hum log sochte hai k life me yeh achieve karna hai aur uske liye mehnat bhi karte hai. aur agar success mil jaati hai to samjho wo sapna sach ho gya.
N :- samjh gyi.
M :- kya samjhi mujhe bhi to pta chale.
N :- yahi k tumhara sapna tumhara band ekdum se hit ho jaye aur band k kisi member ko professional life me band chod k jaane k zarurat naa pade.
M :- haan samjhi to tum thik ho. Per iss se bhi zyada kahi socha hai.
N :- kya?
M :- ab wo main bta nhi sakta
N :- kyun nhi bta sakte
M :- kyunki wo dikhane ki cheez hai
N :- to dikhao
M :- wo yahaan nhi hai.
N :- mujhe dekhna hai abhi k abhi. Dekho mayank tumne mujhe promise kiya tha tum meri sari baat manoge.
M to himself :- yeh to aaj main sach me fas gya isse promise karke. Chalo mayank sharma ab iski har baat man ne ki zimedari jo li hai.
M to N :- Per nupur hume bahar aaye huye kafi derr ho gyi hai aur dekho mausam bhi khrab ho rha hai.
N :- mayank syad tum bhul gye ho ghar ki keys gunjan k pass hai aur wo samrat k ghar. Aur haan mausam kharab nhi kitna achcha ho rha hai. Chalo pls hum abhi chalenge.
M :- haan yeh to main bhul hi gya tha. Thik hai chalo.
(Mayank nupur ko stadium me lekar jaata hai. Jahaan stage per le jaa kar mayank apne dream k bare me batata hai.)
M :- nupur, Yeh hai mera dream. Chahta hu k hamara band ek din iss jagah per khade hoke gaaye. Yeh Mumbai ka sabse bada stadium hai. Aur yahaan per jab bhi koi concert hota hai to lakho me nhi karodo me log aate hai. Yahaan concert hone ka matlab hi hai k aap k ander kuch hai. Jo aap yahaan concert kar rhe hai''.
(Mayank apni baat kahe jaa rha tha aur nupur uski baat bade dhyan se sun rhi thi aur mayank ko wo bas dekhe jaa rhi thi. Achanak mayank ko lagta hai k wo zyada bol gya aur wo dekhta hai k nupur kafi derr se usse hi dekh rhi hai)
M :- Aise kya dekh rhi ho. Kuch zyada ho gya na.
N :- haan. Waise zyada to ho gya. Per hamesha main hi bolti hu. Aaj pehli baar tumhe bolte huye dekh rhi hu. Aur main to bina wajah bhi bolti hu. Per dekh rhi hu tum sabke bare me kitna sochte ho. Agar band yahaan perform karega to sab music ko hi apna profession banayenge.
M :- haan yahi baat hai. Main chahta hu k mere sare dost hamesha sath rhe. Isliye band ka naam bhi "Friend Forever hi rakha hai.
N :- tum apne dosto k bare me kitna sochte ho.
(achanak barish start ho jaati hai. Jahaan nupur ko barish psnd hai wahi mayank ko barish se irritation hoti hai aur mayank barish se bachne ki koshish karte huye wahaan se jaane lagta hai per wo palat kar dekhta hai k nupur bahut khus hai aur wo barish ka maza le rhi hai)
M :- nupur tum wahaan kya kar rhi ho. Bhig jaogi chalo yahaan se
N :- Mayank. Bhig jaungi to kya hoga. Tumhe pta hai mujhe barish bahut psnd hai.
M :- per mujhe nhi psnd. Ab chalo yahaan se.
N :- nhi mayank. Per tumhe barish kyun nhi psnd.
M :- yeh sab baate hum baad me bhi kar sakte hai ab chalo yahaan se.
N :- nhi mujhe jawab abhi chahiye. Aur waise bhi adhe to tum bhig chuke ho. Pure bhig jao kya burai hai.
M :- ek baar kaha na mujhe barish nhi psnd.
N :- wahi to puch rhi hu kyun nhi psnd.
M :- iska koi jawab nhi hai mere pass.
N :- Per mere pass hai.
M :- matlab?
N :- matlab yeh k mujhe nhi pta k tumhe barish kyun nhi pasnd. Per yeh zarur hai k aaj k baad tumhe barish achchi lagne lagegi.
M :- wo kaise?
N :- Jo main kehti hu wo karo. Dekho ab mana mat karna. Aaj mera b'day hai.
M :- thik hai.
N :- thik hai apni aankhen band karo.
M :- Nupur tumhe nhi lag rha k yeh zyada ho rha hai. Tum b'day k naam per kuch bhi karwaogi kya.
N :- oh ho. Mayank kitna sochte ho tum. Jo keh rhi hu wo karo. Fikr mat karo tumhare sath kuch aisa waise nhi karungi.
M :- very funny nupur. Thik hai aaj kaha hai to kehna man na padega. Per tum bhi yaad rakho mujhe mauka mila to main bhi nhi chodne wala tumhe. Pura badla lunga.
N ;- oh ho mayank. Tab ki tab dekhenge. Abhi tum aankhen band kar rhe ho ya nhi.
(mayank apni aankhen band karta hai. per ussi whqt nupur apna balance lose kar deti hai aur nupur ka balance karne k chakker me mayank bhi apna balance kho deta hai aur dono gir padte hai. aur dono hasna shuru kar dete hai)
N :- mere sath rahoge to aise hi haste rahoge.
M ;- aur aise hi girta bhi rahuga.
N :- haan yeh bhi hai. yeh sab chodo tum apni aankhen band karo.
M :- matlab tum aise nhi maogi.
N :- nhi bilkul nhi.tum chup chap apni aankhen band karo.
(Mayank apni aakhen band karta hai)
N :- mayank ab tum jise sabse zyada psnd karte ho uske bare me socho.
M :- haan thik hai.
N :- waise tum kis ke bare me soch rhe ho.
M :- maa k bare me
N :- oh ho. Mayank maa k bare me nhi sochna hai. tum bhi na bas kamal karte ho. Kisi aur k bare me socho. Aur haan gunjan k bare me bilkul mat sochna. Aur haan band k kisi member k bare me bhi mat sochna. Arre sochna hai to kisi ladki k bare me socho jo tumhe pasnd ho.
M :- yeh mere bas ki baat nhi hai. chalo yahaan se
N :- dekho main dobra bolna nhi chahti per bolna padega k tumne promise kiya hai.
M :- haan yaad hai mujhe
N :- to thik hai baat mano.
(mayank fir se aankhen band karta hai aur sochna start karta hai. 2 min baad uske chehre per jaise hi thodi si smile aati hai, nupur uske kaan me kehti hai)
N :- waise chaho to tum mere bare me bhi soch sakte ho.
(Mayank aankhen khol leta hai0
M :- tumhare bare me ?
M to himself :- isse kaise pta k main iske bare me soch rha tha.
N :- haan. Mujhe pta hai tumhari life me mere alwa koi aur hai nhi. Isliye keh rhi hu.
M :- ab aisa karte hai ghar chalte hai. tumhari sari maange puri kar di maine. Hum barish me ab tak pure bhig chuke hai. aur agar zyada derr bahar rhe to bimar bhi pad sakte hai. Aur waise bhi bahut derr ho chuki hai. ab tak gunjan bhi aa gyi hogi.
N :- haan thik hai. ghar chalo.
TO BE CONTINUED'''''''..
part 5 pg 9
TO ALL
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
Author's Note: Based on the Prompt by @JasmineRahul in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: The alternative version of the...
Author's Note: Based on the Prompt by @oh_nakhrewaali in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Character A has body image...
Author's Note: Based on the Prompt by @Indulekha00 in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: A prompt for the mysterious lovers...
44