Part 4
Aaj shaam ko un sabko kisi ke ghar koi utsav me jana hai.
Raj jab kaam se lauta tab Kranti rasoi me thi, Chaijee ne usse kaha ke puttar naha dhoke jaldi se taiar ho ja.
R: Jee…woh Kranti kaha hai Chaijee?
C: Woh thodi rasoi me gayi hai. Bibirani ko achanak ek chis khane ka man hua to Kranti bana rahi hai. Tu upar ja main tera chae nasta bhijwati hu.
R: jee… (woh soch raha tha Kranti uska awaz sun ke bahar ayegi)
Par woh nehi ayi…… Raj apne kamre me taiar hone gaya to buaji ne kranti se kaha ke puttar hamlog usdin jo suit laye the tere liye tu aaj woh pehen le aur mere kamre me aake taiar ho ja. Kranti jab kamre me ayi Raj nahane gaya tha…usne dekha ke Raj ne shirt-pant nikal ke rakhha hai….woh Raj ke liye ek kurta-paijama nikal ke rakhi aur buaji ke kamre me taiar hone chali gayi.
Kuch der baad….
Baki sab log niche the aur Raj ko mana rahe the ke woh bilaiti poshak chhod ke kurta paijama pehn le. Par usne kaha ek bar taiar ho gaya fir se dress nehi change karega. Bauji ne kaha arrey mera puttar to kuch bhi pehne bahat sona lagta hai. Yeah sab baat chal rahi thi tab kranti niche aayi, woh aaj gajab ki khubsurat lag rahi hai, sab to dekh hi rahe the usko… par Raj ka muh khula ka khula reh gaya, aur uski besharam nigahe kisike parwah kiya bagar apni biwi ki khubsurati ko nihar rahe the. Kranti ne usko kuch bar ishare kiye "jaise ke aise mat dekho, koi keya sochega" par Raj itne asani se manne walo me se nehi hai. Madhu ko yeah dekh kar gussa aa raha tha,
Madhu: Devrani je hum sab to keh keh kar thak gaye tum hi samjhao devar ji ko.. ke aise koi puja me jata hai keya, yeah bilayat thodi na hai.
Chaijee: Hya hya puttar tu hi samjha is pagal ko. Hamare baat to yeah sunta hi nehi upar se is ke bauji bhi kuch nehi keh rahe hai.
Bauji: Lo kar lo baat, aaj to Kranti puttar itni soni lag rahi hai ke koi Raj ko dekhega hi nehi, to keya farak parta hai ke woh keya pehna hai… main tere ko batau….
K: Chaijee Hum abhi aate hai, (Raj ke taraf dekhe ke) jara upar chalo.
Madhu ne dhire se kranti ke pas aa kar kaha koshis kar lo dekho agar tumhari baat man le.
Dono upar jane lage
Chaijee: Bhagwan dono ki jodi banaye rakhhe.
Madhu: Hya hya kyun nehi. Par devar ji ne aapki baat nehi suni par Kranti ki baat maan lenge woh? Hya hya bhai koi ma ki baat kyun sune bhala, aab man pasand biwi jo aa gayi hai.
Chaijee: Arrey puttar tu bhi keya keya sochti rehti hai.
Upar kamre me… Kranti almari se Raj ke kapde nikal rahi thi kyunke Raj ne nikale hue kapre wapas rakh diye the…aur……
K: Tum ko samajh nehi aata kaha pe keya pehne aur keya kare?
R: (muskurate huye) Pehnne ka baat to samajh aa raha hai par yeah kuch karne ki baat kaha se aa gaya bhai?
K: Hya aise ban rahe ho jaise bhole bhandari ho.
R: Nehi sach me batao na fir keya garbad kar di maine?
K: Yeah bilayat hai keya aise koi dekhta hai bujurgo ke samne aur… aur kal subhe bhi tum …(Kranti chup ho gayi)
R: Aab kal keya kiya maine….
(fir Raj ko yaad aaya kal naste ke samay pe Kranti ka hath pakarne ke chakkar me usko char glass pani pina para tha, par Kranti sharma ke lal ho gayi thi)
Ek baat bolu (Kranti ki thodi karib gaya) kal subhe tum sach me Mrs. Lal lag rahi thi.
K: Matlab?
R: Mrs. to tum ho hi, par sharma ke lal ho gayi thi (jor jor se hashne laga).
Kranti ke kan lal ho gaye the, usse gussa bhi aaya, usne Raj ko halke se dhakka de kar hataya.
K: Tum to aise hi kahoge na .. Tumhe meri parwah thodi na hai… tumhe keya faraq parta hai ke koi mere bare me keya sochta hai.
R: Kisine kuch kaha tumse? Tum mujhse sach sach bolo.
K: Nehi woh baat nehi hai par Raj tumhe yeah baat samajh na parega ke yeah bilayat nehi hai.
R: Mujhe ek baat pata hai duniya ke kahi bhi apne hi biwi ko pyaar karna koi gunhaa nehi hai, aur tum khud bhi mujhe tumse pyaar karne se nehi rok paogi.
K: Par aise sab gharwalo ke samne nehi, sab keya sochte honge.
R: Kyun mere krantikari tum gharwale se darti ho keya?
K: Aha… baat to aise kar rahe ho ke jaise tum nehi darte?
R: Hah… main to bhai sirf apni biwi se darta hu, kisi aur se kyun darne laga bhala.
(Tabhi Kulbhusan ne niche se awaj lagayi, arrey bhai tum dono ka hua keya, ya hum chale… isse pehle Raj Kranti ke kafi karib khada tha bauji ke awaj sunte hi woh piche chala gaya aur chilla ke bole hya bauji baas panch minute, abhi hashne ki bari Kranti ki thi)
(dono ke bich duriya mit chuki thi par dono me se koi jhukna nehi chahta tha, aab unke bich mithi takrar hoti rehti thi)
K: Kyun keya hua mere bilayat return himmatwale ko?
R: Achha mujhe keya milega? (Raj ko abhi sirf yeah mithi jung jitna tha)
K: Kis liye?
R: Main jab sare gharwale ke samne tumse apne pyaar ka ijhaar karunga tab mujhe badle me jo chahiye woh milega? Uske baad humari duriya meetenge? Mujhe aur tumse dur nehi raha jata.
Raj ke ankhe baki sab kuch byaan kar rahi thi, usne halke se Kranti ki bah pakar rakhhe the, Kranti ne muskurate hue garden jhuka li. Kuch pal me dono ne apne aap ko samhal liya.
R: Thik hai chalo abhi.
K: Arrey yeah jo kapde nikale hai woh pehn lo pehle. Waise maine to pehle hi nikal ke rakhhe the…tumne pehne kyun nehi.
R: Mujhe kisine kuchh kaha hi nehi to main kyun pehnu…
K: Aab har baat tumko bolke samjhani paregi….
R: Hya….kyunke yeha kuchh log ankahi nehi samajhte hai……ya samajhna nehi chahte hai….
K: (Raj ke ishara samjah gayi) ... Achha thik hai is baat pe humlog laut ke bhi bahas kar sakte hai….. (sararat bhari halki muskan ke saath) kyunke baante karne ke liye aab to bahat si raat pari hai……
R: Sirf baante ……
K: (Thodi si sharmayi) hya kyunke abhi abhi kisi lawyer ne hi aisa kuchh kaha ke pehle izhaar uske baad …… (Kranti chup ho gayi)
R: Uske baad ….keya….
K: Chalo tum jaldi se taiar ho jao…..sab hamara intezar kar rahe hai.
R: Arrey thodi pyaar se bolo tab sochunga ke pehnna hai ke nehi.
K: Har kaam pyaar se kar ni koi jarurat nehi hoti.
R: Thik hai fir chalo aise hi.
K: Achha abhi tumne ek shart rakhhi maine mani, to aab tum mere ek baat manoge?
R: Kaho
K: Agar tumko yeah kapde utarne pare to tum maine jo kapde nikale hai woh pehnloge?
R: hya hya jaroor par main to apne aap isse utarne nehi wala, hya agar tum chaho to tum try kar sakti ho….
K: Hya abhi to janab bachhe hai… kapde bhi nehi samhal sakte hai …(Kranti Raj ko kamre ke ek kone me le ja rhai thi) achha abhi achhe bachho ke tarha ankhe bandh karo.
R: Yes madam. (Raj ne ankh bandh kar li)
R: Arrey rey yeah keya kiya.
Kranti ne pani ka jug Raj ke kapdo pe ulat di thi aur hash rahi thi….
K: Jaldi se taiar ho ke niche aa jao, tum pe yeah kurta bahat jachega. Aur ek baat har shart pyaar se nehi jiti jati.
Kranti kamre se nikal gayi. Raj ne apne aapse kaha par mujhe to meri shart pyaar se hi jitni hai.
Utsav ke woha Sanjay bhi aya tha. Sabhi log Kranti ki khubsurati ke aur un dono ki jodi ki tariff kar rahe the, yeah sun sun Raj ko bahat achha lag raha tha.
S: Fir se keya soch raha hai tu? Tu ne hi to kaha tere aur Kranti ke bich me abhi sab kuch achha chal raha hai, fir keya pareshani hai?
R: Nehi kuch nehi?
S: Arrey mere ishque ke mare mujhse achha koi tere bimari ka ilaaz nehi kar payega, aab jaldi se bol keya hua.
Raj ne Sanjay ko bataya ke usne chalange li hai ke gharwale ke samne Kranti se pyaar ka ijhar karega. Sab sun ke Sanjay ne kaha wah wah barkhurdar tu to mere rah pe chal raha hai. Thair mujhe jara soch ne de. Kuch der me Chaijee ne Sanjay ko bulaya, Mama aur Mamiji pehle se hi unke pas the, Chaijee ne sab ko bataya agle hapte ghar me ek puja rakhi hai aur un sab ko ana hai.
Sanjay Raj ke pas aaya aur Raj ko dhire se apna plan bataya. Raj khush ho gaya.
R: Thanks yaar, tu sach me is mamle me mujh se bahat agge hai.
S: Khush raho bachha. Par aab tu mera ek kam kar….main nikal raha hu mujhe ghar wapas ja ke Nirmal se kuchh bahat jarori baante karni hai…tu jitna der ho sake meri sasuma ko yeha rokh ke rakhna…thik hai…
R: Sab kuchh thik to hai na…
S: Not to worry yaar….everything is fine..
R: Ok then all the best…tu ja main yeha dekh lunga….
Fir baki shaam bhi achhi gujri sab ki.
Aaj hi shaam ko Raj ke ghar puja hai. Kranti subhe nahake aaine ke samne taiar ho rahi thi tab usne dekha Raj usko ektuk dekhe ja raha hai.
K: Keya hua? Tum itni jaldi uth gaye?
R: Aaaj puja hai na shaam ko.
K: Hya par tum is liye subhe subhe uth gaye, achhi baat hai.
R: Tumhe yaad hai na?
K: Keya?
Raj kranti ke samne aa kar jhukke ke bola jab shart jit jaunga tab mujhe mera man chaha inaam milega na.
Kranti man hi man sharma gayi par boli tum subhe subhe keya le kar baith gaye, aur dekho tum aaj sare logo ke samne kuch tamasha mat karna.
Raj kranti ke bahat karib aa kar fir bola mujhe inaam milega na?
Kranti ko hulchul ho rahi thi usne kaha hya hya milega, aab tum hato, aur mujhe chhuo mat mujhe pehle kuch puja ke kaam karne hai.
Raj kuch der wiase hi raha. Fir bola hya thik hai aaj jao kal se yeah sab bahana nehi chalega.
Kranti ko kuch samajh nehi aaya par itni woh samajh chuki thi ke aaj Raj kuch karne wala hai, usse sabdhan rehna parega, na jane Rajveer logo ke samne keya keh de….
Naste ke baad Kewal aur Kulbhusan ja chuke the,
R: Achha main chalta hu, Kranti you remember na?
Buaji: Keya yaad rakhna hai kake?
R: Kuch nehi bas usse mujhe kuch dena hai wohi yaad kara raha tha, chalta hu.
Chaijee: Jaldi aa jana yaad se, puttar.
Kranti kaam to kar rahi thi par yeah soch soch ke pareshan ho rahi thi ke na jane Raj keya karne wala hai.
Abhi shaam ho chuki hai, puja me abhi waqt hai, Mama, Mami, Luvli, Sanjay, Nirmal aa gaye hai. Ghar ke aur baki log bhi baithak me idhar udhar baith ke baante kar rahe the.
Tabhi
R: Chaijee kuch khane ko milega bhukh lagi hai..
C: Hya hya puttar kyun nehi, Kranti..
R: Kuch mitha khane ka dil kar raha hai.
C: Kranti… Kewal, Raj aur Sanjay ke liye khir le aa beta.
K: Jee….. Chaijee…
C: Aur baki sab se bhi puch le agar kisi ko kuch chahiye to.
K: Jee
S: Chaijee main kuch der me ata hu, paas hi me ek dost ke ghar jana hai, bas yun gaya aur yun aya.
Kranti baki sabse puch ke rasoi ki taraf chali gayi. Raj Sanjay ke saath darwaje ki taraf gaya aur aa ke woh akela khane ke table ke pass khara ho gaya, kranti sabke liye khir le kar aayi, usne bari thali jisme sari katori thi chote table pe la kar rakhi, sab wohi pe baithe the khali Raj dur khara tha khane ke table ke pass, sabko dene ke baad Kranti Raj ke paas aa kar use katori de ke jane hi lagi ki Raj ne jor se khasa aur kaha
R: Thoda pani dena please.
Kranti table ke dusri taraf gayi pani lene ke liye to usne dekha Raj ne katori muh se laga ke turant khir khatam kar di aur uske taraf aa raha hai, aur tabhi sab andhera ho gaya.
Raj ne Kranti ko pakad ke apne taraf khicha, Kranti ke hath se pani ka glass chhut gaya…
C: Keya hua..
R: Kuch nehi Chaijee mere hath se glass chhut gaya.
C: Jo jaha hai wohi pe rahe, Jagat … Jagat…. mombatti le ka aa.
B: Bijli ko bhi abhi jana tha..
(Raj aur Kranti bahat ahista baat kar rahe hai…..)
K: Rajveer chhodo…
R: Abhi kamre me kaun kaun hai…
K: Arrey tum pagal ho gaye ho keya, chhodo mujhe..
R: Abhi suna nehi chaijee ne keya kaha, jo jaha hai woha hi rahe, jaldi se bolo abhi kamre me kaun kaun hai.
K: Yeah keya behuda sawal hai, sabhi gharwale hai..
R: Hai na, to fir thik hai, apne.. nehi nehi hamare sare gharwale ke samne main kehta hu…. (thodi der chup raha, Kranti ka chehra dono hatho me le kar), I LOVE YOU Kranti, I LOVE YOU…. I want to spend my rest of the life with you. I shall always try to give you all the happiness you deserve in life but I want you to be with me always…..
(Kranti ne apni jindegi me aisa ujala bhara andhera nehi dekha tha, use Raj ki ankhe jaise saaf saaf dikhae de rahi thi aur usme jhalakti biswas bhi)
R: Aaj chup mat raho Kranti….Please
Kranti ki ankhe bhar aayi thi, use pata nehi thi is rah ki manjil keya hai par itna yakin tha yeah ek parao hai aur use aab apnana hai, use bhi khush hone ka haq hai woh aab apne dil ki awaz sunegi.
Usne apne aapko Raj ke baho me saup diya.. Raj se lipat ke khadi thi…uska sar Raj ke sine pe tha..
Raj ne fir se uska chehra apne hatho me liya, aab un dono ke chehre pe ek dusre ke garam bhari sanse par rahe the. Pehli bar pure hosh me Raj aur Kranti ne ek dusre ko apnaya… dono ke dil aur honth ek ho chuke the……
Kranti se khara nehi hua ja raha tha woh jaise Raj ke bahon me pighal rahi thi. Kuch pal baad……..
R: Khir achhha bana hai na…..
Jor se khasa aur Kranti ko halke se chhod diya. Tabhi thodi hi der me batti jal uthi. Raj sab jaha baithe the us taraf jane laga aur Kranti ko kuch waqt chahiye tha apne aap ko samhal ne ke liye woh sabki taraf pith kar ke khadi thi..
C: Achha hua bijli chali aayi…
Buaji : Arrey Kake tune kaise khir khaya pure muh pe laga hua hai…
Yeah sunte hi Raj aur Kranti dono ne apne apne muh pe hath lagaya.
R: Oh o main to pani pina hi bhul gaya…..
Kranti tab tak wohi khadi thi…. Raja aa ke pani lete hue dhire se bola aaj ke baad se main aisa khir khana hi pasand karunga aur mujhe aaj hi apna inam chahiye tumse, tumhe yaad to hai na…..
Kranti najre nehi mila pa rahi thi apne pati se, tabhi Sanjay aaya aur kaha sab thik hai…
Raj ne Sanjay ko dekh kar kaha arrey tere jaise dost honge to sab achha hi hoga….
Kranti ko andhera hone ka raz samajh aa gayi, yeah Sanjay ka kam tha, Raj ka khasna aur bijli ka ana jana aur Jagat kaka ko bhi kahi bhej diye honge….. yaani use bhi….. keya pata hai…..hai rabba….woh woha se bhagi rasoi ki taraf.
Us waqt us pal Raj aur Kranti dono ke muh me dil me aur zindagi me ek meetha ehsash chhaya hua tha. Anewala waqt dono ke liye keya lane wala tha yeah kisiko pata nehi tha par us pal ki sachhai thi yeah meetha ehsash.
===============END of my story =================
but I guess RK will always be there in our memory as Meetha Ehsash=
Wish they could have shown the relationship building between RK in the post basant panchami and party time period….. my story started just after basant panchami and at the end you could imagine just after this evening Kullu called them in the night for the party planning and RK have yet another rift started between them related to british invitees….
Thank you all for your continuous support to my so so writing….. hope everyone is doing fine & got some new couples / shows to cheer on…Hope GP back soon & we can again start our everyway beautiful journey together …. Missssssssssssssssss MRD forum…... god bless all ….take care friends…….
41