DAASTAAN
Armaan Mallik:- Mallik naam toh suna hoga tum ne. Par main wohi nahi hu. Main toh ek gareeb insaan hu. Apni Maa ka Armaan. Jiska na koi wajood hain, na koi ehmiyat. Bas sadak pe chalne waala ek raahi. Kaanton bhari raah hain meri. Lekin mere pass do cheezien hain jo kisi ke pass nahi. Ek maa jiska pyaar ki ehmiyat aaj ke zaamane ke log ko nahi pata. Jiske pyaar ko duniya dhutkarti aati nazar aayi hain. Sapne toh maine bhi dekha hain, lekin poore hone ki ummeed nahi rakhta. Kyunki sapne poore ke liye kuch karna padta jo main kar nahi paata. Meri dadi ki khwaish thi ki main kuch karoon. Main ek chota mota employee hu Gupta Industries main. Ek maamoli naukar. Lekin mujhe isse guzara nahi hota toh mujhe ek aur naukri karti jiska sahara dene ke liye mujhe mera bhai hamesha saath hain. Jiski pehchan hain Angad Khanna.
Angad Khanna:- Khanna naam industries main bahut famous hain. Par Angad Khanna toh jooti ki dhool hain. Bachpan se leke aaj tak sab ki chaploosi ki hain. Naukar raha tha aur hamesha rahoonga. Kaanton pe chalna aasaan nahi hain par Maa ke sahare Armaan ke sahare main ne idhar tak ka safar kaat liya. Maa ke liye maine naukri Armaan ke saath karta. ek chota mota clerk hu. Lekin zindagi main dukh ke baadal jo chaaye hue hain, uss main bhi main soraj aur roshni ki ummed karta hu.
Ghar main ek behen hain jo hamari zindagi hain. Shaina. Usko hum Mallik yah Khanna nahi kehte kyunki woh bas Shaina hain, dono ki behen. Hamari choti beti hain. Usse bhi zid hain ki hum usse kaam karne de lekin hum nahi chahte ki woh kuch kaam kare. Woh toh abhi choti hain, kaatein uske nazuk pairon ko zakhmi na karde. Aur phir hamari naukri ladki kar bhi nahi sakti na. Din bhar office main kaam karna uske baad jo office ke kapde hain usse badal kar apna phata hua kurta pehen kar shaam se raat ke ek do baje tak auto chalaana. Armaan ko ek raahi milta toh kabhi mujhe. Usse le jaa kar chodna phir hamare adde par milna aur lagbhag raat ke 2 ya 3 baje ghar aana phir subah 8 baje Gupta Industries main jaana. Aap log sooch rahe hain ki hum log auto kyun chalate hain, aur kuch kaam bhi kar sakte hain aakhir pade likhe hain, lekin nahi kar sakte hum. Kyunki dadaji woh purane zammane ke auto chalate they. Mere baap ka pata nahi par meri dadi yehi chahti ki main khaandani peesha apnao. Chalo waise paisa bhi toh chahiye. Armaan ki tarah maine bhi ek sapna dekha hain, par uske poore hone ka kabhi umeed nahi ki.
Maa chahti hain ki hum dono shaadi karle lekin karega kaun. Aur phir humare oopar aur dheer sara bhoj pad jaayega. Aisa nahi ki hame tamaana nahi hain, hamari bhi khwaish hain kisi se hum dukh baante, kisi ki bahoon se apna aap ko sukoon de par aisa kaun karega. Aisa kya hain hum me jo kisi bhi ladki hame apna jeevan saathi banana chahegi.
Meri auto main 7 baje ek ladki aati hain - Kripa naam hain. Soni kudi hain. Baatein hamesha karti hain. Bas afsoos hain ki khandani raes hain. Itni bhi nahi par hain zaroor. Aur mujh jaise auto wale se shaadi kyun karegi? Ek behen hain jis se har subah ladai hoti hain aur woh Armaan ke auto main college jaati hain. Yahi dekhlo, paisa itna hain ki ek auto main jaa sakti hain par nahi ziddi hain, do auto main jaayegi. Ek Kripa hain jo kabhi kripa nahi karegi. Aur ek hain Ridhimma jo Armaan se hamesha hamesha ladti hain. Shayad yehi hamari zindagi ki ummed. Isi ummed ke diye ko jalaakar maine itni zindagi kaati. Aage dekho kaise kaat ta hu.
Aaj main Kripa ko ghar chod kar apne ghar jaa raha hu. raat ke nau baje aur Maa ne hum sab ko jaldi bulwalia.Najaane kyun. Chalo hum chalte hain. Tab tak aap Armaan se baatein kijiye.
Armaan:- Mere bhai ne toh kaafi batadiya. Main bhi apne baare main kuch batana chahunga. Woh yeh hain ki hamari Maa woh kaun hain yeh nahi jaante lekin hum ussi ke paas chote they jabse hain. Woh Khanna hain yah Maalik nahi maalum.
Lekin itna zaroor jaante hain ki Maa - Geeta ki shaadi Abhimanyu se tayi ki gaye thi. Maa Rahul se pyaar karti thi. Rahul ne zid karke Maa se shaadi toh karle par shart thi key woh apna nam Juhi main badal le. Maa ne baat nahi taali. Aur Juhi ke naam se mashoor hogayi. Arse baad Papa ghar ko deer se aate aur mom ko daante agar woh kuch pooche. hamesha use apni ghar ki jooti maana. Phir ek baar kismet ne khel khela aur rahul lottry jeet gaya. Jisse usne apne sapne se buisness khola aur apni zindagi aish se guzarna chaha. Isi main usne ladkiyon ke saath ghair rishte bhi rakhe. Jis din maa ko yeh maalum hua usne ghar chod diya par usse pata chala ki woh maa banne waali. Tabhi woh apni behen Seeta jiska naam badal kar Naina tha uske ghar gayee. Dilip ki patni jo apni behen ko bahut pyaar karti thi, aur jo uske liye kuch bhi kar sakti thi apne pati ko manakar Juhi ko ghar laayi lekin Dilip ne jab dekha ki Seeta toh asal main ek khoobsurat ladki aur hoor hain usse raha nahi gaya. Mauka paate hi Maa ko kuch kaam se bahar bhijwa kar Juhi Maa ke kareeb jaane ki koshish ki. Aur isse mein unke paet jo woh saat maah ki tha phatne laga. Par Dilip ne unhe nahi choda.Woh dard se kaanp rahi thi phir bhi usse maar peet kar usko choo liya. Uske shareer ko chone ke baad dekha toh Naina khadi thi jisne apne dard ko chod kar apni behen ko aspitaal le gayi. Dilip janta tha ki Naina chup nahi rahegi toh usne usko chod diya aur bhaag gaya. Dualat se naam kama liya aur Maa Bap biwi aur bache ko chod kar chala gaya. Juhi ne do bachon ko janam diya. Par ek haalat garam ki wajeh se reh nahi paaya aur is duniya ko alvida keh gaya. Yeh dukh dekhkar Naina maa iss museebat sambhal nahi paayi aur khud bhi janam deti hi najane kaha chali gaye. Juhi maa ke oopar yeh bhoj pad gaya. Ki woh ek beta ko janam de aur phir behen ke bete ko sambhal le. Par behen 3 saal ke baad aayi aur phir se ek beti Juhi Maa ke god mein daal gayee. Aur kaha ki inhe apni bache maan. Lekin hame yeh toh Nahi pata ki jo behen gaye woh Naina hain yah Juhi. Maa ne toh apna naam Avantika bataya hain. Shayad hum main farq na ho isliye. Shaina woh choti ladi jo Maa ne lakar di.
Angad:-p Ab yeh drama band kar na. Jo hua so hua. Ab apni waali ka sooch.
Armaan:- Haan Yaar.. ridhimma Meri ridhimma jo ho nahi sakti... Ridhimma.....
Angad:- Yeh dekho usi ka naam lete lete soo gaya. Par Meri Kripa.
Angad:- (Thinkin) Bhagwaan maine tujh se kuch maanga nahi par aaj sirf yeh maangta hu ki Ridhimma aur Armaan ko ek karde chahe toh mujhe Kripa mile yah nah mile
Armaan:- (Thinkin) Mere bhai tu kab tak sahe ga. Superman nahi hain tu. Kripa tujhe milne tak Ridhimma meri nahi ho sakti.
Yeh toh thi Armaan aur Angad ki zindagi ki dasstaan. Yeh ek choti si kahani hain aur aapka khayal sunne ke baad hi hum aapko yeh batayengi ki Kripa aur Ridhimma ki dastaan. kya inke rahe mil paayenge?? Kya yeh ek doosre ke ho paayengi yah zamana inhe alag kardega??? Jaane ke liye padte rahiyaga....
I hope u like this concept. Its a real short story with a maximum 4 or 5 parts in it. Next part will be up by tomorrow or after 10 comments atleast.
With Love
Sara
SSB
Edited by aksksara - 16 years ago