Episode 1
Scene 1- Ronit's residence
Two strange figures darted out from the room towards the hallway.
Girl's voice: Ronit Bhaiya, hum kahaan hain?
Ronit: Chottu hum hall pahunch gaye.
Chottu: Aapko dikha kaise, hum to bedsheet ke andar the.
Ronit: Ab chodo ye sab aur phone ke numberon par haath ghumao.
Chottu dials the numbers.
Chottu: Lag gayi'
Ronit: Papa aa gaye kya? (In a scared voice)
Chottu: Mera matlab tha ring lag gayi.
Ronit: Chottu, aise darao math. (Shivering) Maanta hoon ki hum mein paanch saal ka farak hain par papa se to dadi bhi darti hain.
Chottu: Mummy!
Ronit: Aaah! Kahaan?
Chottu: Ma hain line par.
She hands over the phone to Ronit.
Ronit: Ma aap kaisi hain?
Ma: Main to theek hoon. Papa kahi tumhe khana khilana bhoola to nahi.
Ronit: Nahi ma. Papa ke paas toh sab kuch hain.
Ma: Aur chachi?
Dadi: Voh toh bas Shaan ko dekthi hain. Bacchon ko palna aasan nahi hota.
Ma: Shaan ki tabiyat ab kaisi hain?
Dadi: Ab to kafi theek ho gaya.
Chachi: Kya chal raha hain yaha? (Calls from the second floor.)
Ronit: Chottu ki neend khul gayi aur bas sabko jaga diya.
Chottu: (Biting her teeth) Mujhe kyon phassathe ho bhaiya? (Whispers)
Then she smiles at Chottu and returns back to her room.
Morning- Ronit's residence
Ronit: Aaj interview pass kara do, please. (Prays to God)
Dadi: Tayaar ho gaya beta?
Ronit: Haan Dadi ji.
Chachi: Interview mein pass hona beta.
Ronit: Jaroor chachi ji.
Rohit steps out of the house.
Chottu: Bhaiya!
Ma ka phone aaya tha, unhonne bhi Best of Luck bola hain. Aur meri taraf se bhi Best of Luck. Then Ronit leaves the house.
Scene 2- Sanjeevani
Ronit enters the hospital and waits at the nurse station.
Dr. Muskaan and other interns assemble near the table.
Dr. Muskaan: Dr. Navneeta, General ward. Dr. Farhan, OT. Dr. Aditya, Path lab.
She turns towards Ronit.
Ronit: Main Ronit hoon. Main apne interview ke liye aaya hoon.
Dr. Muskaan: First door to the right.
Ronit: Thank you '
Dr. Muskaan: Muskaan, Dr. Muskaan.
Dr. Shubhankar: Abh mein kya karoon? Yeh Dr. Armaan bhi bade ajeeb hain. Dr. Shashank nahi aaye isliye mujhe interview lene ke liye bhej diya. Dr. Armaan ko itni bhi kya jaroori kaam thi.
Scene 3- Sanjeevani- Fire Escape
Armaan: Oye, hoye!
Riddhima: Armaan yeh tum kya kar rahe ho?
Armaan kisses her forehead.
Riddhima blushes.
She tries to run away but Armaan holds her hand.
Riddhima: Armaan, haath chodo.
Armaan: Ab toh tumhare haath hamesha ke liye thaam liya hai toh kya darna.
Riddhima: Armaan, we are on duty.
Armaan: Yeh bhi toh duty hi hai.
He pulls her towards himself. She was about to fall when Armaan catches her.
They both are lost in each others eyes.
Ronit is passing by when he sees through the door of the fire escape.
Ronit: Bilkul jaise bataya tha'
Armaan hears some noise and looks at the door.
Ronit has just moved away.
Armaan: (thinks) Aisa laga ki Riddhima ke sivaye koi aur apna bhi tha.
Riddhima: Armaan kya hua?
Armaan: Kuch nahi Riddhima bas puraane yadein taaza ho gayi.
Riddhima: Main hoon toh hogi hi.
Armaan: (thinks) Ab tumhe kaisein bataaon Riddhima ki puraane yadein taaza kaise ho gayi. Pata lagata hoon ki woh kaun hain?
Scene 4- Sanjeevani- Shubhankar's cabin
Ronit: May I come in sir?
Shubhankar: Yes please.
Ronit: Mein Ronit.
Shubhankar: Yes please. (Sweating. Literally.)
Ronit: Toh sir interview shuru kare.
Shubhankar: Haan haan. Bas ek minute.
He takes out a handkerchief from his pocket and wipes his face.
Shubhankar: Apne papers dikhaiye.
Ronit gives the file to Shubhankar. Shubhankar opens the file and starts to read it.
Drops of water start to drip on the file.
Ronit: (with disgust) Aapko meri handkerchief chahiye.
Shubhankar: Nahi nahi. Mere paas hain na.
Shubhankar wipes his face again. But the perspiration doesn't stop.
Shubhankar: Ek minute.
He squeezes the cloth. Sweat spills on the floor.
Shubhankar: Sorry.
Ronit: Koi problem nahi. Aap toh senior doctor hain. Aapko toh poora hak hain.
Shubhankar wipes his face again and again.
Ronit hands over his handkerchief to Shubhankar.
Shubhankar: Thank you.
He wipes his face again and again and squeezes the cloth.
Shubhankar: Nurse! Thodi pani milegi?
Ronit: Nahi sir! Aap ko aur bhi paseena aaega.
Shubhankar: Aap to doctory complete kar chukein hain. Toh aap ko maloom hoga ki dehydration bhi ho sakti hain.
Evening - Shubhankar's cabin
Ronit: Sir interview continue, sorry, start kare.
Shubhankar: Ek minute.
Ronit: Nahi sar main kal aata hoon. Aapko phirse bahut saare minutes milenge. Minute kya, hour bhi milenge. Toh main kal aata hoon sir. Aur main ek handkerchief bhi laoonga.
Armaan: Uski jarrorat nahi padegi Ronit. Main tumhare interview le loonga.
Shubankar: Thank you doctor Armaan. Aapne meri jaan, nahi sweat bacha li.
Armaan: No problem doctor Shubhankar.
Armaan takes Ronit to his cabin.
He looks at the file.
Armaan: Impressive Dr. Ronit.
Ronit: Thank you Dr. Malik.
Ronit takes out a blue half-rim spectacle from his pocket and puts it on.
Armaan: Much, much better.
Riddhima: May I come in sir?
Armaan: Sure. Yeh Dr. Ronit hain, hamaare naye doctor.
Riddhima: Hello.
Ronit: Hello. Sir toh main chalta hoon, kal se duty par aa jaoonga.
Ronit leaves.
Riddhima: Armaan itni der kahaan the?
Armaan: Bas ek jaroori kaam aa gaya tha.
Riddhima: Maine kahaan kahaan nahi dhoonda.
Armaan: Main toh' hospital mein hi tha.
Riddhima: Accha, maine toh saare kamaron ko chaan maara.
Armaan: Tumne saare kamaron ko saath mein dekha kya? Jab tum ek kamare ko dekh rahi thi tab main doosre kamare mein tha, aur jab tum us kamare mein aayi toh me kisi aur mein chala gaya.
Riddhima: Kya bahaana bana rakha hai. (sarcastically)
Scene 5- Malik Residence- Dinner time
The phone rings.
Padma: Hello Riddhima beta.
Riddhima: Ji mummy.
Padma: Tumne phone kiya tha kya.
Riddhima: Voh mummy' aaj Armaan poore din hospital mein najar nahi aaya.
Padma: Toh kya hua?
Riddhima: Armaan mujhse ek pal bhi judha nahi rah sakta, aur rahi baat ghanton ki, voh toh namumkin hain.
Padma: Aisa kuch nahi hain.
Tears start flowing from her eyes.
Padma: Riddima, kyon ro rahi ho?
She cuts the phone.
Riddhima: Armaan, please mere bharose ko mat thodna.
At dinner
Armaan: What's wrong Basket?
Riddhima: Leave me alone Armaan.
Armaan: Riddhima, what's the matter, tum mujhe bata kyon nahi deti?
Riddhima: Chodo Armaan, ab mujhe iske bare mein baat nahi karna. (Crying)
Armaan: Riddhima, main tumhe itne saalon mein pehli baar is tarah dekh raha hoon.
Riddhima: Kyonki main tumhe itne saalon ke bad ghanton tak gayab dekh rahi hoon.
Armaan is shocked.
Next Episode-
http://waqtdmg.wordpress.com/dill-dosti-etc/nazar-hai-tumhare-upar/
To know waht happens on the next episode check this out
Edited by k-kool - 16 years ago
44