Javed Akhtar said following: (and rupu darling started crying)
Javed Akhtar's advice on 'Haar Jeet' to Rupu darling:
Mere dil me Ruprekha ke alawa iske parents ke liye bahot ijjat paida hui hai
isleye ki sansakar jo ho te hai voh bachapan mei diye jate hai,
ya aap apne ghar mei sikhate hai
ke zindagi mei koyi fayada ya nuksaan hi nahin hai koi chiz,
koi hishab kitab hi nahin hai
kuch har jit hi nahin hai kuch aur bhi hai
aur yeh muze dukh hota hai aaj kal yeh baat bahut kum logo ko malum hai
lekin jin chand logo ko yeh baat malum hai un mei se ek ruprekha bhi hai.
Aagar isne anjane mei aisa kaam kiya hota to iteni badi baat nahin thi
isse puri tarah malum tha ke iseme iska kya nuksan hone valah hai
aur yeh ro bhi ise liye rahi thi ki ise malum tha ke mera nuksaan hua hai
lekin vo ladki jo jaanti hai fayda nuksan kya hai usne nukssan ka raasta chuna
eis liye ke yeh chhoti baat hogi ke mei apne ek dost ko dhakka dedu
acchi baat hai, shabash.
--------
Javed Akhtar's advice on 'greed' to Rupu darling:
Dekho duniya mei do chize hai, insaan ki do weeknesses hai
Ek hai greed-laalach or dusari hai fear-darr
Kal tumhare pass grid bhi ho sakti thi aur khauf bhi ho sakta tha
greed yeh ke mai apane raste se kamsekam ek kantaa kum kar du
aur khauf yeh ke kya pata ye dono vapas aa jaye to mai barbad ho jau
lekin tumne grid aur fear dono ko jita
to tum to already jit chuki ho, isese badi jit kya hogi.
--------
Javed Akhtar's advice on 'being good' to Rupu darling:
When Ruprekha asked the question:
Achhe logo ke saath akhir mei achha hota hai na?
Javed Akhtar replied:
Dekho aisa zaaruri nahin hai, hona chahiye achha
(Ruprekha "Achha")
Kabhi hota hai aur kabhi nahin bhi hota
iseliye ki zindagi mei koi baat tay nahin hai
lekin, dekho mei tumse ek baat kahunga
ke achhe hone mei kabhi kabhi nukssan bhi hai
aur bure hone mei kabhi kabhi fayada bhi hai
lekin fir bhi inssan ko achha hi rahena chaihiye
(Ruprekha "Achha")
Your comments on the comment?
======================
❤️💔
tune o jaana deewana kiya hain, (deewana kiya is kadar - 2)
chahat mein teri bhulaya jahaan ko (na dil ko kisiki khabar - 2)
rago mein mohabbat ka ehsaas jara bhar lo
ham tumpe marte hain thodisi fikar kar lo, fikar kar lo
kyon ki itna pyar tumko karte hain ham
kya jaan loge hamari sanam
kyon ki itna pyar tumko karte hain ham ❤️💔