Aur phir Rageshwari ka beech main bolna keh hum Rani hain aur tum kuch bhi nahi toh phir jab Gayatri nay kaha keh wo Rani nahi patni banna chahti thi yeh sunn kar Ranaji ka reaction dekhnay wala tha, aisa lag raha tha keh shaid wo wahiin samaj gay hoon keh Gayatri such main unse pyaar karti hai...!!! Hayyy Gayatri tum bhi na...Pta nahi bechaari ko har baar prove kyun karna parhta hai? Ek dafa jab usnay keh diya toh maan lo na Ranaji...Bas baat khtam, aur abh toh wo pandit bhi lay i hai, jo k hai hi eye witness abh iski baat pe bhi yaqeen nahi toh Ranaji phir toh such main aapkay dimaagh k saath solid masla hai...Ek baar yeh goli nikal jaay saara kisa hi khtam hojaay ga dard ka...!!! Main jaanti hoon aapki jaan ko khatra hai, itni asaani se goli nikaal nahi saktay, likin chances lainay main kia jaata hai, kia pta isay aapka dard kum hojaay aur aapko kuch yaad ajaay...!!! Bas...Ranaji abh aapko insaaf karna hai...Sahi ka saath daina hai...!!! Bas...!!!😳😳😳
Aur phir jab Rajmata nay Ranaji se kaha keh ek baar apnay dil ki awaaz toh suniyee na Ranaji aur beech main phir budhi bol parhi k humari bhi sunn lijiye na Ranaji, agar wo Gayatri ki dushman hain toh wo Savitri ko kareeb kyun lay kar i toh I was like "Saali budhannn, main abhi ka abhi teray sir pe tv utha k maar doon, bakwaas ideas pta nahi laati kahan se hai tu? Uff, itnaaa tezz dimaagh toh humara nahi hai, jitna tera hai...Itni fast hai tu budhiyaaa k tu ek din khud hi jallay gi apnay hi khel main dekh lainaaa...!!! Aur wo waqt door nahi...!!! Teri barbaadi ka waqt door nahi hai budhiyaaa...!!!" Aur phir jab Ranaji yehi sawal Gayatri se kartay hain toh wo hojaati hai blank aur phir Ranaji kehtay hain sevakoon ko keh wo Rajmata aur Gayatri ko kaal kothri main bunnd kardain aur phir Gayatri ka akhir tak Ranaji ka haath pakarna aur phir chorrr daina aur Ranaji ka ankhain bunnd karna dekh kar I was like "OMG!!! He loves her...!!! Aapko bhi dukh horaha hai na yeh sub karkay Ranaji? Jaanti hoon main, tab hi toh jaan booj k Gayatri ko bhej diya aapnay taakay dushman ko yeh lagay keh wo abhi bhi unhi ki side pe hain...Good work Ranaji...!!! Jahan tak Gayatri k chup rehna ki baat hai Ranaji toh wo chup isliyee thi kyunkay such kahoon toh wo thakk gai hai, saabit kar kar k tab hi toh end main bechari bas rotay hoy aur aapka naam laitay hoy chali gai...!!! I hope aap jo plan kar rahay ho wo work karay kyunkay abh Gayatri such main bahut suffer kar chuki abh bas hogaaya hai...!!!"😔😔😔
Aur budhi ka Ranaji ko kehna keh hum khush hain keh wo abhi bhi unkay saath hi hain aur Ranaji ka kehna k hum unn pe kabhi shak kar hi nahi saktay toh I was like "Jhootayyy...Shakal pe likhaaa hai itna bara bara k solid shak hogaya hai budhi pe aur keh rahay hain keh shak nahi hai...Main sub jaanti hoon Ranaji... Kab aap jhoot bol rahay ho aur kab such...Aapka face sub kuch keh daitay hai...!!! Aur Rageshwari tu zada khush na ho, ek baar budhi ka kaam hogaya na toh wo subse pehlay tumhain hi maaray gi, kyunkay tumhari usay koi zarorat nahi aur tumhain Rani bana kar usay koi faida nahi hona, tum sirf ek puppet ho uski aur kuch bhi nahi...!!! Toh zada khush na ho...!!!" 😡😡😡
Aur akhir main jab Gayatri soch rahi hoti hai keh aaj teray hotay hoy such haar gaya Maa, uska pyaar haar gaya, aur umeed ki kiran koi baaki nahi rahi tab hi Ranaji ajaatay hain aur phir Gayatri kehti hai keh abh kia laash ko dekhnay aye hain, pyaar toh marr hi chuka hai abh kia karnay aye hain aur phir Ranaji kehtay hain keh agar wo kahain keh unhain uspe yaqeen hai aur wo usay ek mauka daina chahtay hain toh wo khush hojaati hai aur kehti hai keh bas agar aap mujh pe bharoosa kartay hain na toh dunya main aisa koi kaam nahi hai jo wo nahi kar sakti aur phir unka kehna keh wo unkay pyaar pe vishwaas karna chahtay hain aur vishwaas karana aapka kaam hai aur drama khtam toh I was like "Bas Ranaji aapnay keh diya...Samjhain hogaya...Aapka itna kehna hi bahut hai...Bas Gayatri ek akhri baar apnay pyaar ka vishwaas jeetnay k liyee tumhain yeh sub karna hi hoga...Bas akhri baar...!!! Bas phir wo budhi kia aur wo Rageshwari kia...Saaliyoon ka toh phir koi chance hi nahi...!!! Ranaji nay aisa sabaq sikhana hai keh wo dono kaanp uthain gi unki saza dekhtay hi...!!! Bas abh sub theek hojaay ga...!!! Go Gayatri Go...!!!"⭐️⭐️⭐️
As far as the precap is concerned, my reaction is..."Ranaji apni Gayatri ko kabhi nahi maar saktay...Kabhi nahi"...😳😳😳
Do share your thoughts guys😳😳😳
Thank you so much🤗🤗🤗