Aaj sach mein Chacha ne Chachi ka baat sach kar dikhaya Ullu pariwaar ke teen ullu .
Chacha Ji ne bhi kya kamaal ka Aadmi choose kiya Goli maarne ke liye .
Usko nishana lagana aata hi nahi tha .
Kabhi yahan jaata ...kabhi wahan jaata ...Kabhi neeche jaata kabhi upar jaata 😆 😆
Akhir mein khaya piya kuch nahi aur Pistol hi neeche fek di ... Fitte mooh kahin ka 😆 😆 .
Chacha ne bhi kitna help kiya uss shooter ko lekin koi fayda nahi ... Nikamma kahinka
Chalo dekhte hain ab dusra chance hai uske pass kya gul khalayega kya pata ...
Lekin sach mein kaam ka na kaaj ka dushman anaj ka yeh kahavat iss bande par fit baithta hai .