
Kaash ruk pata Umar bhar!
Ye Kab Kaise Kyu Hua
sirf shayad ya kaash kahoon
kaise ehsaas ko aawaz karoon
ye bhi sach hai
wo bhi sach tha
kaise phir koi jhoot mein kyon bayan karoon
Par dino ko chalne ki aadat hai..
Isliye bitaate rehte hain sadiyon-sadiyon
Kabhi kisi ke saath to kabhi kisi ke bina
Par aaj tum saath to ghari ki suyiyaan ban kar sirf waqt hi bitega
aap ki ik bari si muskaan ke liye apne sina ka sara dard saari kashmakash bhula dunga
In aankhon ke aasman mein udti, teri baaton ki kuch patange
aur apni hateli mein teri zulphon ke maanjhe lapet kar Khoya rahoon
tere kushnuman lafzon ki barishon mein bheegta rahoon
apni saason ko..apni rooh ko tere naam se piro doon
tumhare saath beetne wale aaj kuch pal
Puri zindagi tehre rahegein mujh mein
Tumhare saath Tumhare bina..
tere khayal se khoobsurat...ye waqt
ye waqt khambaqt
tuj mein giraft ho gaya
Ehsaas zapt ho gaya
Ye kaise kab kyon hua..
Credit to the original up loaders and half of the lines are form Khoobsurat Serial !!