Preeti- "Theek hai Shravan. Waise bhi mai khud tumhe ye baat batana chahti thi. Par Di ne mana kar diya tha..To suno.."
"Shravan mai Di ko bachpan se jaanti hoon...mai bahut choti thi jab dadu di ko ghar lekar aye the...par phir bhi mujhe yaad hai..jab di ghar ayee thi tab ekdam chup chup si rehti thi...na theek se khana khati, na kisise baat karti..bas khidki se bahar dekhti rehti..jaise kisi ka intezaar kar rahi ho...maine dadu se poocha tha ki aisa kyun hai..to dadu ne kaha tha ki unke mummy papa unki duniya the, aur jab wo unhe chodke chale gaye tab unhe jeene ka koi reason hi nahi bacha tha..unhe samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare, isliye wo chup chap hai...phir dadu di ke saath time spend karne lage...ghanto wo di se baate karte rehte, pehle pehle di jawab nahi deti thi, dadu phir bhi unase sawal poochte rehte, apni baatein batate rehte...phir dhire dhire di ne unse baat karna start kiya...phir di theek se khane lagi, dheere dheere bahar aake sabke sath baithne lagi, sabse thodi thodi baat karne lagi, phir school jana start kiya...di ko dadu ke roop me jeene ki nayi wajah mil gayee...apne andar ka dard, akelapan chupane wo school me ekdam dheet banke ghoomti...taki koi unse jyada emotional, personal baat kar hi na sake...wo mujhse kehti thi...apni image bana ke rakhni chahiye taaki sab aapse darr ke rahe, koi aapko chot pahuchane ki himmat na kare! Lekin phir unki zindagi me tum aye...aur di ko jaise jeene ki ek nayi wajah mil gayee...dadu ke alawa ek tum hi the, jisko unhone apne kareeb ane diya, apne dil ki baatein share ki...jab di aapke sath hoti thi na, ekdam khush rehti thi..andar se khush, jaise apne sare gham bhool gayee ho...lekin phir pata nahi kya hua aur tum London chale gaye...jab tum chale gaye the na, uske baad bhi di waisi hi udaas huye baithi thi...wapas unhone kisise jyada baat karna band kar diya tha...ek din mai unke kamre me gayee thi to mere samne bahut royee thi wo...phir maine unhe aapki Orkut profile dikhayi thi...aapne shayad unki request accept nahi ki thi lekin wo roj aapki profile open karke dekhti, aap kya kar rahe ho, kaha ho..Aapne jab Orkut band karke facebook khola tha tab maine di se poocha tha..kya aapne phir se Shravan ko request bheji? Kya aap wapas unki friend request accept karne ka intezaar kar rahe ho? Tab tak hum thode bade ho gaye the...baatein samajhne lage the...to Di ne kaha tha...Nahi preeti, iss baar mai nahi bhejoongi...iss baar Shravan khud bhejega, jab wo mujhse milne ayega...Request to nahi bheji, lekin roj aapke updates dekhna phir bhi chalu tha...tumhe nahi pata Shravan ki di ne tumhara kitna intezaar kiya hai...jaise roj ek ummeed laga ke baithi ho, tumhare aane ki ummeed, tumse milne ki ummeed, tum unhe apna lo ye ummeed...lekin phir tum aaye, I think cheeze waise nahi ho payi jaise di ne socha tha...isliye unhone tumse kuch nahi kaha...wo tumhare kuch kehne ka intezaar karti rahi...intezaar karti rahi ki tumhe Di ke pyaar ka, tumhare pyar ka ehsaas ho...lekin shayad phir kuch jyada hi der ho gayee...na chahte huye bhi unhe ek apne pyar ka sauda karne par majboor kiya gaya...aur apno ke liye, mere liye, Pushkar ke liye unhone chupchap apne pyar ki kurbani de di...meri aur pushkar ki shaadi hone ki condition rakhi gayee thi Shravan, ki Di tumhe bhool jaye, tumse door ho jaye...koi tha jo ye nahi chahta tha ki aap dono ke pyaar ko uski manzil mile...Di majboor thi...apni behen ki khushi ya apna pyaar...aur unhone badi behen hone ke farz ko apne dil se upar rakha...kisise bina kuch bole unhone aapse duriyaan banana shuru kiya...mujhe bhi iss baad ka andaza nahi tha...wo to Di ne jab Aditya se shadi karne ke liye haan kahi, tab mujhe dhakka laga...mai Di ke peeche unke kamre me gayee to unhe aapki photo, aap dono ka poorana saman dekhke rote huye dekha...maine baar baar poocha tab jake unhone ye sab bataya..mai chahti thi ki mai kuch karoon lekin tab tak bahut der ho gayee thi...meri-pushkar ki shadi ke liye saare mehman ane lage the aur dadu ki condition aisi nahi thi ki wo ye dhakka bardasht kar pate...isliye mujhe bhi chup rehna pada...lekin aaj, aaj jab tumhe iss baat ka ehsaas ho gaya hai ki kahin kuch galat hua hai, jab tumhe apne pyar ka ehsaas hua hai to tumhara ye jaanana bahut jaruri hai Shravan ke jabse pyar shabd ka matlab samajh aya hai...tabse Di ne tumse pyaar kiya hai...sirf tumse...tum dono ki choti choti cheeze unhone aaj tak samhalke rakhi hai, choti choti baat yaad rakhi hai...Aditya se shadi karna unki majboori thi Shhravan, tumse door jana unki majboori thi..."
Shravan is crying listening to all of this. He doesn't know what to say but he wants to know who was behind all of this. Angrily, he asks Preeti-
"Kisne majboor kiya Preeti? Kisne majboor kiya Sumo ko ye kurbani dene ke liye? Mai uss insaan ko kabhi maaf nahi karoonga..batao mujhe, kisne kiya ye? "
Preeti- "Is waqt wo important nahi hai Shravan...is waqt Di firse apni shell me chali gayee hai, depressed hai...unke jeene ki ek wajah- dadu- jinke liye wo Aditya se shadi karne ke liye haan kahi, wo unki wo wish poori nahi kar payi, aur dusri wajah- tum- jo unse naraz hai aur wo chah ke bhi uss bare me kuch nahi kar sakti...wo haar gayee hai Shravan, unhe jeene ki koi wajah nazar nahi aa rahi..iss waqt sirf tum hi ho, jo di ko iss halat se bahar nikal sakte ho...Di needs you Shravan..unke paas jao, unhe manao..."
Shravan- "Tum bilkul sahi keh rahi ho Preeti. Bilkul sahi. Lekin phir bhi, mera ye janana bahut jaroori hai ki wo kaun hai jisne Sumo ko iss mod pe lakar khada kar diya hai...kaun hai wo?"
Preeti- "Mujhe maaf karo Shravan...iss ghar ki bahu hone ke naate, wo mai tumhe nahi bata paungi...please..chodo uss baat ko..."
Shravan- "Nahi Preeti, batao mujhe...batao kaun hai wo jisne tumhari shadi ka, mere pyar ka sauda kiya?"
"Wo mai hoon Shravan. Jiska naam lene se Preeti katra rahi hai, wo mai hoon..."
To be continued...