Tara ko kala pe itna gussa tha ki usne kala ka pair hi jala diya π Nd uske expressions aise the jaise uska bus chalta to kala ko pura jala deti. Kala ko doubt hua ki aisa to bus tara kar sakti hai. Kitne acche se janti hai kala tara ko.
Poor tara ko sanki ke room me jana pada. Tara ko apne MJ pe bharosa tha ki wo kuch galat nahi hone dega phir bhi Kitna daar gayi thi tara [:'(] Or wo sanki kumar aate hi chance marne ka irada rakhta tha π‘ Kaisi shaitaniyat jhalak rahi thi uski aankho se. Tara ke kareeb aane ki kosis kar raha tha. π‘ Tara bechari aansu bhari aankhe lekar usase request kar rahi thi ki uske sath aisa na kare. Lekin wo tara ki taraf badha ja raha tha π‘ Tara ne tang aake knife utha liya lekin uske hath kaap rahe the [:'(] Tabhi to sanki ne uska hath pakad liya. Mujhe yakeen hai uske irade uski sharafat ki wazah se nahi badle the wo knife dekh kar badle the. Sochta hoga agar aage badha to kahi tara such me chaku na maar de π
Tara andar gayi nd bechaini MJ ko ho rahi thi. Sidha pahuch gaya maa ji ke paas jhootha letter le ke. Ye vrat wala filmi idea sochne ke liye MJ ne pata nahi kitni movies dekh dali hogi π Jab tak tara andar thi MJ ki jaan atki padi thi. Isliye room ke bahar khada tha with family members. Maa ji ne jaise hi tara ko apne room me jane ko kaha sanki ke chehre ka rang hi ud gaya tha. Or MJ uski aankho me sukun utar aaya. Phir bhi use tara ki parwah thi ki OM ne use koi nuksan to nahi pahuchaya, isliye wo tara ke piche chal diya. Tara ne pakad hi liya ki MJ uske piche piche aa raha hai. Tara ne MJ ke bina kahe jaan liya ki MJ ne hi kuch kiya hoga. Aakhir MJ ke alawa uski parwah kise hogi.
Kala ka plan fail hua to wo baukhla gayi hai. Ab pata nahi kaisa plan banayegi nd abki baar wo kitna ghatiya hoga π‘
Tara jab bhi MJ ko apne sath akele time spend karne ko kehti hai, MJ bahane kyu banata hai?π Pakka darta hoga ki kahi tanhai me wo na ho jaye 'Roop tera mastana'π waise bhi MJ to hai hi over romantic. But tara bhi kuch kum nahi akeli chali gayi pool side janti thi ki MJ to piche piche aayega hi. OM ne kuch or kiya ho na ho pool side bahut romantic banwaya hai. MJ is romantic place nd mahaul me tara se door khada tha tara ko bardasht nahi hua. Usne bahane kar ke MJ ko paas bula hi liya. Or phir shuru hui unki khatti meethi baatein π³ MJ ki memory chali gayi per harkate nahi badli tabhi to jab tara use khadus bulati hai wo gussa karta hai.
Sanki ki baatein sunkar tara ko doubt hua ki Sanki janta hai wo tara hai sia nahi. Ab MJ tara mil ke pata lagayenge ki aisa kya hai jiski wazah se use tara ko sia bana ke rakhna pad raha hai.
Wo manager kal MJ ka sketch banane aaya hai. Ab tara MJ ko bachayegi us manager se