Kala kamini pari ki jaan ki dhamki de ke MJ ko blackmail kar rahi hai. But Thank god cvs ne us chamchagiri track ko blackmailing track se exchange kar diya. Main ye to dekh sakti hoo ki MJ blackmail hoke kala ki baat maane per uski chamchagiri mujhse bardasht nahi hogi. Kar blackmail wo din door nahi jab MJ pari ke liye kala ke khilaf khada ho jayega. Fir karwana usase apne kaam. Khud ka banaya hathiyar jab khud pe war karta hai tab chot sabse gehri hoti hai.
MJ hafta vasuli kar raha tha per nanhi pari wo bhi samose wali gali ki bhai banegi. FC sada ka ullu hai. Use nahi pata tha kya ki meethi ki beti ka name pari tha jo pari se milne ke baad bhi MJ ke MJ hone ka proof lene ghar chal diya. MJ ne kya dhoya us ex kala ke chamche ko. Usi ki wazah se puri family maar gayi itna pitna to banta hai. Per MJ itna zalim kaise ho gaya.
Bus aaj maine itna hi dekha baki mujhe kuch dikhai nahi diya.