Ek baar phirse uska statement sun lo. Woh kya bolte English mein - 'Where's the lie?'. Sach kadwa hota hai aur uncomfortable lagtay - but it's the truth.
Bollywood ke bhotse movies misogynistic hain. Kiran Rao stalking ki baat karreli thi... Badri Ki Dulhaniya tak toh apanne khud dekhelaay. Rocky aur Rani mein Dharamji ka character woh stranger lady ke paas usku pyaar karne jaataay, aur yeh comedy karne liye dikhaayele. Pathan Fighter and what not mein aaj bhi sultry provocative aur seductive tarah se female body ko objectify karrele aur platter pe daalke serve karrele (not judging, just stating). And these are U/A movies btw, matlab bachche log bhi theater mein baithke item songs dekhrele.
Bollywood mein bhot scope hai. Bhot directors hain. Hirani ayenga feel good movie leke, Bhansali visual spectacle leke aayenga. Sid Anand kuchh tatti leke ayenga. Out of hundreds of Bollywood movies released every year, maximum 1 would be Vanga's.
Vanga apne aap ko Stanley Kubrick ke space mein model karrelaay. Usko broken men dikhaana hai screen pe. Apan kitna bhi gaali de, usko wahi karna hai. All (or most) of his future movies will have a male protagonist that is immoral, unethical and in general a bad human being. Kisine Clockwork Orange dekhelaay toh idea ho jaayenga what to expect from the future Vanga cinemaverse.
Gaali deke Vanga suddenly Hirani nahin banenga. So I'd recommend if you don't like Vanga's movies, just ignore him and his work. There are plenty directors and hundreds (if not thousands) of movies to enjoy out there.
Personally merko Vanga ke movies bhot mast lagte. Lekin merko Hirani, Bhansali, Vishal Bhardwaj, Sriram Raghavan etc inka work bhi achhaa lagtaay. 
PS: I enjoy Hirani's movies, yet I'll say Vanga jaisa bhi ho Hirani se better person hi honga irl 
28