Tumbaad amazing movie hai. Ek toh itna beautiful. Aur cinematography toh top-notch. Jab woh bachcha akele room mein jatay dadi ko (khaana dene? don't remember exactly), woh scene mein toh meri gaa$d phat gayi thi. Plus kaafi meaningful movie hai. Best part: fictional goddess ko dikhaya hai toh kisike sentiments bhi hurt nahin honge.
An Action Hero pichchar too good thi, pata nahin kyon nahin chali.
Yeh movies one time watch hain, lekin thoda recognition deserve karte:
Axone - North-East Indian migrants in Delhi ke perspective se banaya hai. Merko achha lagaa. Joh bhi migrants honge unko idea honga ki doosre culture ko alien smell bhot foul lagtay. Is movie mein us aspect ko dikhaelay.
Btw is pichchar ki heroine Randeep Hooda ki wife hai.
Lift Boy - Nice feel-good pichchar hai. Mumbai ka kaafi realistic portrayal hai.
PS:
Lage haath yeh 2 superb Marathi pichchar ko bhi insert karrau:
Killa: Simple, sweet, amazing movie.
Fandry: Sairat ke director ka earlier work. Bachpan ke perspective se ek village ke dynamics ko dikhayelay.
3