Shakuntala ek pouranic story hai.Jisper Sankrit ke bade kabi Kalidas ji ne 'Shakuntala' namak kavya ka rachna ki. Ye Shakuntala Kavya bahot prasidh hua.One epic love story.
Bollywood stars main se koun ye charecter play kar saktey hain ?
Dushyanta - ?
Shakuntala- ?
edit-
Director - ?Jinko ye story pata nahin.Story kuch aisa hai, in short
Meneka apni navjat kanya ko Himalaya ke Malini river ke kinare chod kar Swarg lok chali gayi
(Viswamita-Maneka hi Shakuntala ke asli mata pita the per wo story dusri hai).Rishi Kanwa ek navjat sishu ko nirjan stan main pakshiyon ki pehredari main dekhkar wo unhe apne Ashram main la diye.uska naam Shakuntala rakha (As she was protected by Shakunton/birds from wild animals).Usko apni beti ki tarah palne lagey.
Hastinapur ke Samrat Dushyant bahot Rupvan aur parakrami the.shikar karne ke liye ban main ghuse.Ek hiran ko teer mara.Wo hiran bhagne laga.Uska picha karte karte ek Ashram main ja pahunche.Ashram main pahunch kar dekhe ki ek bahot sunder kanya Ghayal Hiran ki seva kar rahi hai.Pehli hi nazar main Dushyant ko unse prem ho gaya.Dushyant ney unka parichay pucha aur prem Nivedan kia.Dushyant bi vahot rupvan aur parakrami the so Shakuntala bhi mohit ho gayi.Dushyant ney unsey vivah karney ki agrah kia.Shakuntala ney kaha ki Ashram main pitaji anupastit hain unke bina vivah kaise ho.So Dushyant ney kaha ki unko rajbhavan jaldi loutna hai aur Shakuntala ko Vivah ke liye convince kardiye.Shakuntala ko bhi pyaar ho gaya tha. Dono ney ek sath kuch samay bitaye aur Dushyant apni Rajbhavan ki aur chal pade.Jane se pehle Dushyant ney ek sone ki anguthi di jisme raj gharaney ki nishani moujud thi.Aur ye vada bhi kiya ki jald hi wo apni sena bhejengey aur ek raj pratista ke anusar sahsanman unhe apne bhavan le jayengey.
Din bita gaya.Shakuntala was so much in love that she used to daydream about Dushyant.Ek din Rishi Durvasha unke Ashram gaye.Ashram main awaj di.Shakuntala Dushyant ki yaad main khoye the.Unhe kisiki awaj sunayi hi na di.Rishi Durvasha jald hi krodhit ho jate the aur isliye unse sab dartey the.Yaha per bhi unko andekha kartey hue Shakuntala ko dekhkar Durvasha ney Abhisap diya ki - Ae ladki tu jise bhi yaad kar rahi hai wo tujhe bhul jaye'' Aur wo chale gaye.Shakuntal garvbati bhi ho gayi thi aur ek putra ko janam diya.
Kuch din baad Rishi Kanwa apne beti Shakuntala ke sath Dushyant ke pass gaye.Raste main Nadi paar karte hue Shakuntala ka unguthi nadi main gir gaya.Aur ek machli us anguthi ko nigal gayi.Dushyant ney Durvasha ji ke abhisap ke karan Shakuntala ko pehchana nahin.Tab Shakuntala ko yaad aya ki apni anguthi ko wo kho chuke hain.Ab ye sambandh ko praman karne ke liye unke pass koi saboot bhi nahin raha.Dushyant ka tiraskar sunne ke baad roti hui Shakuntala Ashram lout ayi
kuch saal bit gaya
Ek machwara ke jaal main ek machli phasi jisne wo anguthi gatak li thi.Machli ki pet main sahi anguthi dekhkar machwara Raja Dushyant ke pass gaya.Anguthi ko dekhkar hi unhe sab smaran ho aya aur wo Shakuntala ko yaad karke udas ho gaye.Shakuntala ko lene ke liye Ashram chal pade.Unke putra ka naam Bharat hua.Unhi ke naam per ye desh Bharat kaha gaya aisi manyata hai.
Jaise taise story likh dali.Galti hui ho to maaf kijiyega 😲
Edited by ChotaBheem - 9 years ago
37