Originally posted by: kikyo
Bachpan ki koi baat yaad nahi
nahi yaad awaz koi
Lekin yaad hai bachpan mein
kehta tha koi
nahi haaro gi tab tak
haar nahi mano gi jab tak
Haath nahi uthaya kabhi
lekin aankh bhi
jukhai nahi kabhi
Ansoo bahe bahut lekin
kabhi na roi main
boli har baat
chup na rahe main kabhi
jaanti thi abhi meri awaaz
na sune ga koi
Hamesha nihathi hi sahi
lekin har roz ladi main
girker har roz
phir khud uthi main
jaanti thi k nahi
baadhaye ga haath koi
bhagi nahi uss din
paon ko aasha k par
lage thay uss din
meri jeet ko dekho
meray zakhmo ko nahi
meray shabdo ko suno
meri aawaz ko nahi
meri ankho ko dekho
jo ab tak na soe hain na roe
ab na bandhain gi payal paon ko
na jagde ki chudiya haathon ko
ab jeeton gi har roz main
har roz hare ga mujh sai koi
Bhale hi ladoon mein akeli
lekin yeh ladae sirf meri nahi
Badlini hai soach mujhe
Nahi badalna koi ek insaan mujhe
sampoorn vijay ki hai thani
bus ab nahi haaron gi tab tak
haar nahi mano gi jab tak
Yaad hai bachpan mein kehta tha koi