Its written from the outlook that since the day Anandi sat in that jeep, Shiv and she were separated forever. You can fill in your own scenario for that. (poem is in Hindi)
Tumhein dekha toh laga yahi aitbaar hai
Tumhein jaana toh samjha yahi pyaar hai
Tum door ho phir bhi yaadein paas hai
Tum phir miloge, aisi ek ankahi aas hai
Socha tha ki pyaar ek baar hi hota hai
Khoya use toh phir yeh dil bhi khota hai
Par tumne sikhaya kaise dil ko kholte hai
Tumne dikhaya kaise dil ki baat bolte hai
Aaj hum saath nahi par yeh rishta khaas hai
Dil mein rehte bahut se khubsurat ehsaas hai
Toh main khush hu, jitna bhi tumhara saath mila
Bhoolungi nahi, kaise pyaar ka haath mila
Tum karte ho mujhse mohobbat, jaanti hu main
Tum rahoge humesha saath mere, maanti hu main
Phir honge saath hum, kisi aur duniya mein hi sahi
Chahe phir woh duniya mere mann mein hi kyu na ho basi