Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 18th Oct 2025 - WKV
KUJILI STARTED 18.10
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 19th Oct 2025 - WKV
Gloves Off! Smriti vs Rajan Shahi, Anupamaa crew war intensifies.
BADMINTONN🏸 19.10
🏏India tour of Australia, 2025: Australia vs India, 1st ODI Perth🏏
Welcome Parth Virani
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai October 19, 2025 EDT
Why couldn't Aamir and Salman have successful marriage like Shahrukh?
Are they Ram Sita ? I am a Christian so ? tell
Does Alia Bhatt pay off Filmfare for her awards?
Is Ayushmann Khurrana overrated?
Alia and Deepika meet for Pickleball.
🎬 Khan-tastic Stories – A 90s Bollywood Writing & Graphics Contest
SRK talking about Deepika
Parineeti and Raghav blessed with a baby boy!
Thamma - Reviews And Box Office
🪔🎆Glow Forth and Prosper: Happy Diwali🎆🪔 + Game Sign-up
It's A Boy To Parineeti Chopra Raghav
13 years Student of the year
But he was confused, what was going on his mind? If he had taken her away, why did he bring her back? And why did he take her without him knowing about it? What was the point? He opened his laptop and opened the only file he had pertaining to the gang...His!!...
Next day-
Arjun had been searching for intelligence reports all night. His ringtone brought him out of his trance. He answered without bothering to look at the caller ID.
Arjun: ACP Arjun Suryakant Rawte
Other side: ACP Sameer Damsingh Rathore
Arjun looked at the display with confusion and rolled his eyes: kya hai Rathore?
Rathore(annoyed): 10 baj rahe hai!! kaha ho tum? Yaha itna important case atka pada hai aur tum...
Arjun: bhaad mein jaaye tumhara case, mera case zyaada zaroori hai. good bye!
Rathore(confused): ky...(lekin phone kat jaata hai) Bloody Hell Rawte!!! Had Hai Is Admi Ki! (muttering) pata nahi kaunse case ki baat kar raha hai?
Sakshi: Arjun kaha hai?
Rathore use glare karta hai: apne pyaare Arjun se hi puch lo!! Shree! Victim ki family ke statements firse dikhao!
Shree: ji sir
On the other hand-
Arjun apne phone side par fekta hai aur firse laptop mein ghusta hai. fir use yaad aata hai ki 10 baj gaye. Woh Riya ke kamre ki taraf dekhta hai. woh abhi tak baahar nahi aayi.
Arjun mv "ise kya hua? Kahi tabiyat kharab toh nahi? ye sochkar woh immediately uske kamre ka darwaaza kholta hai par Riya abhi bhi so rahi hai. Arjun aage jaakar uske temperature check karta hai mv "normal hai, shukar hai par ye abhi tak uthi kyun nahi? woh use uthane waala hai par fir ruk jaata hai mv "pehle kuch khaane ko le aata hun, pata nahi aakhri baar kab khaaya hai? itna sochkar woh kitchen mein chala jaata hai. lekin ghar band hone ki wajah se andar kuch nahi hai. woh watchman ko paise dekar saaman mangwa leta hai aur zaroori cheezein stock kar deta hai.
Thodi der baad woh tray mein soup lekar room mein jaata hai. Riya tab bhi neend mein hi thi. Arjun lightly uska shoulder nudge karta hai
Arjun: Riya...(no response) Riya utho...Riya?
Riya shift hokar dusri taraf muh kar deti hai. Arjun apna sar hila kar use maathe par haath ferta hai.
Arjun: Riya utho! Subah ho gayi...dekho 11 bajne waale hai...Riya!!!
Constant disturbance se Riya dheerese aankhein kholti hai.
Arjun: Riya utho ab, kuch kha lo aur mujhe tumse baat bhi karni hai
Arjun ki awaaz register karte hi Riya jhatke se seedhi hoti hai.
Riya: ha sir!
Arjun bhi uska reaction dekh kar choukta hai: relax!
Riya: woh...sorry sir...bahot neend aa rahi thi. Pata nahi kyun? (rubbing her temple) Jabse uthi hun tabse neend bahot aa rahi hai, aapko pata hai kal jab hum Goa se aa rahe the na toh main pure raaste so rahi thi aur fir...
Arjun: it's okay, (bed par tray rakhkar) tum pehle ye pee lo, kamzori kam ho jaayegi
Riya: nahi sir, thank you par mera bilcul bhi man nahi hai khaane ka
Arjun: man nahi hai ka kya matlab hai? khaana toh padega na?
Riya: par sir...
Arjun: par war kuch nahi (bowl aage karke) chup chap pee lo! warna mujhe zabardasti karni padegi
Riya pleading look deti hai par Arjun sternly use dekhta hai. haar kar Riya bowl lekar peene lagti hai.
Arjun: waise tum Goa ke kaunse hospital mein thi?
Riya: mujhe nahi pata, Raunak ne mujhe koi naam nahi bataya...kyun?
Arjun: kuch nahi, tum pee lo. Main kisi doctor ko bulwata hun
Riya: par sir Raunak...
Arjun: Riya main tumse keh chuka hun ki Raunak doctor nahi hai!
Riya: par sir, aapne ye bhi toh kaha tha ki hum subah baat karenge, ye sab ho kya raha hai?
Arjun: Tumhe Jaane Ki koi Zaroorat Nahi Hai! It's None Of Your Concern Ki Woh Kaun Hai Ya Kya Karta Hai!!!
Riya look at him in disbelief as Arjun stood up to leave. She kept the bowl aside and sprang out of the bed.
Riya: Arjun sir...
Suddenly, the room around her spun. Hearing her trail off Arjun turned behind only to see her on the verge of collapsing.
Arjun quickly supported her and made her sit: Riya! Kya Kar Rahi Ho Tum? Thoda Toh Khayal Rakho!!
Riya rubbed her temple: nahi main...ye toh hota rehta hai
Arjun: Hota Rehta Hai Ka Kya Matlab Hai? Tum Itni Laparwah Kaise Ho Sakti Ho?
Riya: woh...jab se uthi tab se ho raha hai (Arjun calmed a little) weakness ki wajah se, randomly chakkar aa jaate hai
Arjun: Jab Tumhe Pata Hai Toh Uthne Ki Kya Zaroorat Thi?
Riya looked at him sternly: agar haath par haath dhare baithi hoti toh na Raunak mujhe yaha lekar aata aur na hi aapke mana karne ke baad seedhiyaan chadkar aapke room mein aati!!
Arjun(confused): mere mana karna ke baad?
Riya: aapne hi kaha tha na Raunak se ki aap kisi Riya se nahi milna chahte!
Arjun: maine? mv "Raunak ne Riya se jhoot bola, iska matlab ki woh use mere paas laana hi nahi chahta tha...
Riya(anguished): Ha Aapne! Bahot Aasani Se Keh Diya Na Ki Main Kisi Riya Ko Nahi Jaanta?
Her accusation brought him out of his thoughts.
Arjun: Riya main...(sternly) Listen! I Told You. Hume Laga Ki Tum Mar Chuki Ho!!! Mujhe Kaise Pata Chalega Ki Woh Tumhari Baat Kar Raha Hai? You Were Dead For Us!
She didn't answer. Instead, just picked up the bowl again and started drinking the soup again. Arjun waited for her to say what she had wanted to when she stood up but she didn't. Sighing, he went outside and called up Ayesha.
ETF office-
The discussion of the case was stuck. Rathore was cursing Arjun mentally for leaving them in a lurch when they needed him. just then Ayesha's cell rang.
Ayesha: ha Arjun sir?
Ye sunkar baakhi sab confuse ho jaate hai.
Arjun: Ayesha kya tum kisi achi doctor ko jaanti ho? Specialist? I think cardio? I'm not sure what field this comes under?
Ayesha: main kuch samjhi nahi sir, issue kya hai?
Arjun: umm...virology?
Ayesha: virology? Aisa kaunsa doctor hota hai?
Sameer use phone speaker rakhne ka ishara karta hai.
Arjun: mujhe nahi pata Ayesha! I just need a good one! Jo is problem ko sort out kar sake!!
Rathore: Arjun tumne pee rakhi hai kya?
Arjun: ab tum kaha se aa gaye? Ayesha kaha hai?
Ayesha: main yahi hun sir
Arjun: toh fir...
Shree: sir kya baat hai? aapki tabiyat kharab hai?
Arjun(irritated): mujhe kuch nahi hua!!
Sameer: toh fir tumhe doctor kyun chahiye?
Arjun sigh karta hai: Rathore, main tumse baad mein baat karunga! Ayesha tum kisi achi doctor ko jaanti ho?
Ayesha: ha sir ek doctor hai toh sahi, Dr. Raima Khurana. Main usse baat karke uska appointment...
Arjun: nahi Ayesha, appointment nahi. I need her to come home. Main tumhe address SMS karta hun. Use jald se jald aane ko kaho
Ayesha: par sir...
Lekin Arjun bina sune phone rakh deta hai. Ayesha confuse hokar Rathore ko dekhti hai.
Chotu: sir ye kya tha?
Rathore: pata nahi kya ho gaya hai ise subah se?
Utne mein Ayesha ke phone mein message beep hota hai.
Rathore use phone dikhane ka ishara karta hai: dikhana kaunsa address hai?
Ayesha phone paas karti hai. Rathore address dekhkar aur confuse hota hai.
Rathore mv "ye apne ghar par kabse rehne laga? woh phone waapis deta hai.
Rathore: karo jaisa kehta hai
Ayesha nod karke doctor ko phone karti hai. usse baat karke woh firse Arjun ko phone karti hai.
Arjun: ha?
Ayesha: sir woh ek ghante mein aa jaayegi
Arjun: theek hai, thanks
Ayesha(surprised): you're welcome sir
Call disconnect.
Shree: Rathore sir, aap kya soch rahe hai?
Rathore apne khayalon se baahar aata hai: Shree! Hum Rawte ke ghar jaa rahe hai
Sakshi khush hoti hai: ha chalo chalte hai, ye pakka bimar pad gaya hoga par bata nahi raha hai.
Ayesha: par sir, case?
Rathore: baad mein mv "ya toh ye khud musibat mein hai ya fir padne ki taiyaari kar raha hai.
Arjun's house-
Arjun mv "is Raunak ke dimag mein chal kya raha hai? pehle usne bina mujhe khabar pade Riya ko kidnap kiya fir use treat karke, use jhut bola. Jab Riya ne use yaha aane par majbur kiya toh use firse jhut bola ki maine use milne se mana kar diya...par agar woh nahi chahta tha ki Riya mujhse mile toh use lekar hi kyun aaya? Uska shareer bhi itna kamzor hai woh aaram se thodi zabardasti karke use wahi rakha sakta tha...iska matlab woh uske saath zabardasti nahi karna chahta tha lekin kyun? uska bharosa jeetne ke liye? Par isse use kya faayda? Chahta kya hai woh? his eyes fell on a portrait of his and Roshni's marriage hung on the wall.
He walked to it, a little lost in her smile mv "pata nahi kyun, main har baar peeche kaise reh jaata hun? Tumhe bacha nahi paaya aur Riya ko ek baar kho diya. Raunak waha baith kar apne plan ko anjaam de raha hai aur main na chahte hue bhi Riya ko hurt kar raha hun. Kaise sach batau use? woh chahe mujhe apnaya ya nahi, par is waqt agar woh chali gayi toh main kaise use safe rakhunga?
He took a deep breath and peeked inside the room. She was sitting in the centre of the bed with her knees to her chest, crying silently. He tried hard to control himself but was unable to. His feet automatically walked inside and he sat beside her.
Arjun: Riya?
Riya looked up and wiped off her tears on seeing him. She looked away and answered.
Riya: ji?
Arjun took her hands in his surprising her: I'm sorry Riya...main, main bas, main kaise samjhau tumhe ki...
Riya: kal...kal aapne hi pucha tha na ki mujhe aap par bharosa hai ya nahi?...mujhe toh hai par aapko aaj bhi nahi hai
Arjun: aisa nahi hai Riya...
Riya: toh fir kyun mujhe sachayi nahi bata rahe hai aap? (Arjun felt tongue-tied) aapko pata hai, jab mujhe pata chala ki sab mujhe chod kar chale gaye hai toh...sabse pehle aapka khayal aaya mere man mein, maine ye socha ki chahe jo ho jaaye aap kabhi bhi kisi ke saath kuch galat nahi hone denge fir chahe woh aapki koi useless subordinate (his eyes shot up) kyun na ho...isliye aapke paas aayi safayi maangne ke liye
Arjun: jis ladki ne laakhon ki jaan bachayi woh khud ko useless bol rahi hai? ye aurat ki kabiliyat kaha chali gayi?
A tear rolled down: shayad usi din mar gayi
Arjun: Riya...
Riya: sir sach-sach bataiye kya sach mein aap logon ko nahi pata tha ki main zinda hun? Ya fir sirf mere man behlaane ke liye aapne mujhse aisa kaha?
Arjun: tumse kabhi jhut kaha hai maine?
Riya: ha
Arjun(confused): what?
Riya: aapki gun khaali nahi thi...agar hoti toh criminal ke saamne Rathore sir ko awaaz nahi dete (Arjun looked at her in shock) mujhe baad mein strike hua jab...case khatam ho gaya tha
Arjun smiled: toh fir tum kaise keh sakti ho ki main tum par bharosa nahi karta? Meri jaan toh already tumhare haath mein hai
Riya stared at him and then lowered her gaze again: please aisi baatein mat kijiye, ulte meanings aate hai
Arjun entwined his fingers with hers: Riya...(hesitantly)Raunak ek...certified criminal hai
Riya(taken aback): criminal? Kaisa criminal?
Arjun: drugs and
Riya: and?
Arjun: and...tra...trafficking
Riya felt the ground beneath her sweep away: TRAFFICKING?!!?
Arjun: ha pa...
Riya(hyper): iska matlab...iska matlab woh mujhe, Woh Mujhe Bhi Bechne Waala Tha?!?!
Arjun: Ri...
Riya teared up again as she hugged herself tightly: iska matlab...woh...usne...kahi usne mere behosh hone ka faayda...
Arjun tried to calm her: Riya! relax! Kuch nahi hua tum...
Riya(crying): AAPKO KAISE PATA KUCH NAHI HUA? Aap Nahi The Waha Par!! MAIN THI!!! (holding her head) Itne time tak...main...
Arjun held her shoulders: Riya please shaant ho jao! Kuch nahi hua hai...just calm down, tum..
But she wasn't listening: woh..usne..mere...
Her head started spinning again. Worried, he shook her out of shock.
Arjun: Riya listen to me!!! (she came out of her dazes and stared at him) Kuch Nahi Hua! Aur Na Hi Main Kuch Hone Dunga!! No One Will Touch You! I Promise!
Riya broke down putting her head on his shoulder. Arjun embraced her tightly, letting her cry away her fears.
Riya mumbled: main bahot dar gayi thi...uske ghar par bhi...jab...aap mein se koi nahi tha...bas woh ajnabi...
Arjun: janta hun Riya, it's okay... ab toh main hu na tumhare paas?
Just then a few pairs of eyes reached the entrance of the room. The sight in front of them made their eyes pop out. Arjun hugging a girl?
Riya: aap mujhe chod kar nahi jaayenge na?
Arjun: nahi jaunga, kabhi nahi jaunga
Arjun slightly separated from her and cupped her face. That's when her face became visible to everyone shocking a few of them further.
Arjun: we'll sort this out okay? Sab theek ho jaayega...bharosa karti hona tum mujh par?
She nodded as he wiped her tears: aap ye jung bhi Jeetenge na?
Arjun kissed her forehead: tumhare liye jeetunga
She closed her eyes and hugged him. Arjun tightened his hold on her softly caressing her head to calm her, assuring her and himself...
⚠️ Statutory Warning ⚠️ This story is going to be an emotional rollercoaster 🎢. If you have a sensitive heart 💔, proceed with caution. There...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
Zindagi Ke Us Paar The ETF office hummed with its usual rhythm—phones ringing, keyboards clattering, files opening and shutting. But there was...
Prologue Raat ka aakhri peher tha. Mumbai ki galiyon mein aksar iss waqt shanti hoti hai, lekin ek ajeeb si khamoshi uss raat hawaon mein gungun...
Prologue The night was heavy. As if the air itself carried the weight of unspoken truths and unfinished emotions. A storm was brewing—not...
72