Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Is it just me or…
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
PARAYI AURAT 13.9
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Aabeer Gulaal reviews and box office
Tanya was fab today👏🏻
Anupamaa 13 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Silences Between Hearts ~ A Rumya SS ~ Chapter 4 on pg 1
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Epilogue
A week later-
ETF premises,
The day had gotten over and everyone was retiring back to their homes. Rathore's behavior towards Arjun had changed drastically. Arjun was elated and tried to give him straight answers whenever he could. Sameer too was happy. Arjun's subtle actions were giving him hope that he might be forgiven one day.
Riya wasn't exactly too excited about Sameer entering Arjun's life again but seeing Arjun happy about it, she didn't interfere between the two of them. She knew Sameer would always have a small place in Arjun's heart as he was his first friend so she didn't try to erase it. But that didn't mean she allowed Arjun to forgive him...nope! Not happening. Not happening at all!!!
Ayesha was happy for her husband and thanking God for the pointless fights getting over. The team seriously thought it was the effect of Riya's slap but only four people knew the actual reason for it. Hell, Arjun didn't even know that Riya had slapped him. Either way, the team had started functioning on a whole lot of different level altogether due to the new found mutual coordination between the bosses.
Arjun dropped Riya home: good night!
Riya: sweet dreams! (leaning on window frame) acha suniye, kal Sunday hai, breakfast?
Arjun: sure!
Riya: ghar jaa kar khaana kha lena
Arjun smiled: ha kha lunga lekin jab ghar jaunga, tab
Riya(confused): jab ghar jaunga tab matlab? Aap kaha jaa rahe hai?
Arjun: ek khabri se milna hai
Riya: oh...par zyaada late mat karna
Arjun: nahi karunga
Riya: text me when you reach home
Arjun frowned: ye toh mera dialogue hai
Riya giggled: par main toh already ghar par hun
Arjun: ha woh bhi hai...khair main chalta hun, kaam hai okay..bye!
He changed the gear and sped off without waiting to hear her answer. She didn't understand why he was in such a hurry but shrugged it off and went inside. On the other hand, Arjun hadn't gone to meet any informer. He drove to another house...Narvekar's house! and pulled up in his drive way.
Narvekar was sitting on the sofa watching news as Kinjal put Anjali to sleep in her room. The doorbell rang. Narvekar was still thinking whether to get up or let his wife go for it when Kinjal shouted from inside.
Kinjal: Amod Darwaaza Khol Dona!!
He frowned and stood up from his comfortable place to open the door. He walked to the door and opened it. His eyes widened in surprise to find Arjun standing there.
Arjun: andar aa sakta hun?
Narvekar: uh..ha
He gave him way and gestured him to the sofa. Narvekar switched off the TV and sat on the opposite end of the sofa. Kinjal too came to the living by then. She automatically calculated the guest to be an officer and decided to give them private space.
Kinjal: um..Amod, Anjali so gayi hai, agar kuch chahiye toh main kamre mein hun
Amod was about to nod when Arjun stopped her.
Arjun: nahi, mujhe aap dono se baat karni hai.
Narvekar was surprised to hear aap from him but then gathered it was for Kinjal. Kinjal glanced at Amod but he was as confused as she was. She sat on the armchair unsure of what was happening.
Amod: kaho?
Arjun: I'm pretty sure tum jaante ho par fir bhi, Riya aur main ek dusre se pyaar karte hai
Kinjal's face lit up in delight but she kept mum.
Narvekar: ha jaanta hun...
Kinjal squinted at her husband mv "pata tha? mujhe kyun nahi bataya?
Narvekar: par tum mujhe ye batane toh yaha nahi aaye?
Arjun: nahi, main yaha isliye aaya hun kyunki tum uske bhai ho, muh-bole hi sahi, lekin tum uski family ho. Main Riya se shaadi karna chahta hun.
Narvekar: toh tum meri permission maangne aaye ho?
Arjun: ha
Narvekar: aur agar main na kahu toh?
Kinjal glared at him.
Amod deliberately asked the question. He could see Arjun fall into thought as the color of his face fade away. He knew Riya would never be happy without him and that they had deeply fallen for each other but the brother inside of him didn't want to give away his sister so easily. He wanted to know how Arjun would answer.
Arjun: shaadi ho ya na ho, lekin na hi main Riya ko chod sakta hun aur na hi bhul sakta hun (getting up) anyway, thank you
Arjun turned to leave but Narvekar stopped him.
Narvekar: ruko Arjun
Arjun stopped and turned. Amod walked to him.
Amod: main jaanta hun tum apne bas mein aanewaali har cheez karoge use khush rakhne ke liye, lekin...(threateningly)lekin agar kabhi bhi! by chance bhi! tumhari wajah se Riya ke aankh mein ek bhi aansu aaya toh main tumhe pataal se bhi dhundhkar thok dunga, Samjhe?
Arjun: uski zaroorat nahi padegi Narvekar, jis din meri wajah se Riya ki aankh mein aansu aaya samaj lena ki woh vidhwa hokar meri laash par ro rahi hai
Amod was a little surprised at the intensity of emotions which was reflecting in his eyes but smiled and extended his hand. Arjun too reciprocated. Kinjal looked at the action in disbelief.
Kinjal: tum dono rishta tay kar rahe ho ya fir koi deal?
The duo smiled on hearing her accusation as she shook her head in disbelief.
Kinjal: tum dono baitho, main kuch lekar aati hun
However Arjun stopped her: are nahi, fir kabhi, late ho raha hai mujhe ghar jaana chahiye
Kinjal(hospitably): kam se kam chai toh pee kar jao, thoda muh meetha kar lo
Arjun: thank you par abhi mujhe nikalna hai (turning to Narvekar) chalta hun
Narvekar: ab toh fir milna hi padega
Arjun: ha...option nahi hai, bye!
Arjun left leaving a smiling Amod behind. Kinjal sided upto him.
Kinjal: kya soch rahe ho?
Amod wrapped his arm around her waist: soch raha hun ki agar main time machine mein baithkar Arjun ke saath ki pehli mulakat ke din jaata aur khud se kehta ki woh aur Riya shaadi karnewaale hai toh main apna hi khoon kar deta
Kinjal(confused): what?
Amod laughed: chodo na tum woh sab...chalo sone jaate
Kinjal: lekin...
But Amod just dragged her to the bedroom not answering any more questions that she was throwing at him.
Next Morning-
Arjun drove upto Riya's house and rang the doorbell at 7 am sharp. He waited for the door to open but it didn't. Confused, he rang the bell a second time this time in succession and waited. Still the door didn't open. His forehead tensed in worry now. He continuously rang the doorbell, calling out to her.
Arjun: Riya...!!!! Riya!!!!
He started banging the door. Just as he was about to bang again, the door opened suddenly and his hand accidently hit her nose instead of the door
Riya: ouch!
Arjun(worried): shit! I'm so sorry!!
Riya(sleepy): it's okay, lagi nahi
Arjun(concerned): tum theek hona? I'm so...
Riya(straightening): I'm fine baba
Arjun looked at her, she was still in her night clothes and had clearly just woken up.
Arjun: I presume breakfast isn't ready?
Her sleep vanished as she recalled her invitation. Her eyes shot towards the clock.
Riya(whining): kya yaar? Subah ke 7 baj rahe hai...Sunday hai aaj!!! Ek din toh sone do!!!
She knowingly collapsed into his arms. He stumbled due to the sudden move but caught her soundly.
Riya(complaining): chutti ke din kaun subah 7 baje breakfast karta hai?
Arjun: umm..main?
Riya moved away from him angrily: ha dikh raha hai mujhe! Aapko na lunch par hi bulana chahiye mujhe
Arjun shot her an innocent look. She sighed and finally let him in.
Riya: andar aayiye aur baithiye, mujhe taiyaar hone mein aadha ghanta lagega tab tak...(picking up the days' paper from the doorstep) newspaper padhiye, (she thrust it into his hand) lijiye!!! Aur ha! padhne ke baad waapis neatly fold karke rakhna mujhe non-aligned papers nahi pasand, samjhe ya samjhau?!?!
And left without waiting for his reaction. Arjun shook his head in disbelief and settled on the sofa. He started reading the headlines when an idea popped into his head. He quietly tried to locate her but her room was locked. He smiled to himself and went into the kitchen.
Riya came out of her room half an hour later after having a bath and getting ready for the day. Arjun was laying dishes on the table by then. Arjun smiled when he saw her. Confused she walked to him. that's when she saw his tea, her coffee and steaming upma laid on the table.
Riya(surprised): ye sab kaise?
Arjun held her hand: boarding mein raha hun madam, khaana banana aata hai mujhe
Riya teased him: woh toh mujhe bhi pata hai, roz thodi baahar ka khaate hai honge? Main toh ye puch rahi thi ki ye talent bhi sirf mere liye baahar aata hai ya fir...
Arjun(tired): tum mujhe bina chede nahi rahi sakti? Naashta bhi nahi kiya, theek se subah toh hone do
Riya laughed and kissed his cheek: chalo theek hai, naashte ke baad aapko chedhungi!
Arjun: Riya!!!!!
Dono baatein karte hue apna naashta karte hai. Itne mein Riya ka phone bajta hai.
Riya: ajeeb baat hai...Amod sir ko pata hai main Sunday ko itni jaldi nah uthti (call pick karke) Sir, sab theek haina?
Amod: jaag gayi?
Riya: ha, aap theek haina?
Amod: main toh theek hi hun. Agar tum jaag gayi ho toh I presume boyfriend ke saath ho?
Riya(surprised): ha par aapko kaise pata
Amod: woh wahi tumhe samjha dega...apne tareeke se okay? Bye!!!
Riya aur confuse hoti hai: lekin sir...(Par phone kat chuka hai) inko kya hua? Arjun sir? ye aisa kyun keh rahe the ki aapko mujhe kuch samjhaana hai? aur unhe kaise pata aap yaha hai?
Arjun smile karta hai: woh isliye kyunki main kal informer se nahi usse milne gaya tha
Riya shock hokar use dekhti hai: kya?! aapne mujhse jhoot bola? Aur aap unse kyun milne gaye the?
Arjun: humari shaadi tay karne
Riya: oh...(realise karke) WHAT??!!?
Arjun hasne lagta hai: itna kyun shock ho rahi ho?
Riya: aap...aapne mujhe bina bataye unse puch kar shaadi tay kar li?
Arjun: ha
Riya: dulhan main hun!!!
Arjun: ha toh sirf shaadi fix ki hai, date ya honeymoon nahi
Riya blush karti hai: sir!!!
Arjun: ab toh sir bulana chod do
Riya: aadat hai...jaate-jaate jaayegi...par aapne mujhe kyun nahi bataya?
Arjun: are shona surprise kise kehte hai?
Riya: acha? Fir toh acha hai unhone mujhe phone kiya, aapka bas chalta toh aap seedhe shaadi ke din hi kehte ki (mimicking) Riya chalo, mandap ready jaldi taiyaar ho jao
Arjun: waise idea bura nahi hai, date toh baakhi hai. main Narvekar se kehkar taiyaari kar dunga, tumhe usi din batayenge
Riya: Arjun sir!!
Woh use playfully maarne aage jaati hai lekin Arjun haskar uska haath pakad ke use apni lap mein bitha deta hai.
Arjun(spoon aage karke): are Riya kitna hyper ho rahi ho, shaanti se khaana toh kha lo
Riya disbelief mein sar hilati hai aur bite leti hai. Arjun muskura kar uske forehead par kiss karta hai.
As promised Riya naashte ke dauran use bilcul pareshaan nahi karti lekin table se uthte hi shuru ho jaati hai. aur koi topic nahi milta toh Riya use Sakshi ke naam se pareshaan karne lagti hai.
Riya: are...bichari kitni tensed hoti hai aapke liye pata hai? aur aap hai ki usse dur bhaagte rehte hai
Arjun thak kar sofa par pair straight karke settle hota hai: Riya bas na yaar, ekto mujhe woh ladki nahi pasand
Riya: wahi toh main bhi keh rahi hun na sir, woh aapko fir bhi kitna pyaar karti hai
Arjun(complaining): are koi pyaar-vyaar nahi karti woh mujhse aur karti bhi hai toh tumse zyaada nahi kar sakti hai aur main usse pyaar nahi karta, tumse pyaar karta hun!!! Ekto uska muh band nahi rehta...daant kar dekh liya , ignore karke dekh liya lekin us par toh koi asar hi nahi hai!!! upar se tum mujhe pareshaan kar rahi ho!!!
Riya uske paas baithti hai: main kaha pareshaan kar rahi hun, main toh bas keh rahi hun ki...
Arjun: Riyaaa!!!!
Riya hasne lagti hai. Arjun use apne upar kheenchta hai.
Arjun: tumhe mujhe tang karne main bahot maza aata haina?
Riya: ha...aap aise complain karte hona toh bahot cute lagte hai. kehkar uska cheek pull karke use cheek par kiss karti hai
Arjun ko apna sar patakne ka man karta hai. woh mutter karte hue dusri side face kar leta hai.
Arjun: jao yaar...tum, nahi baat karni mujhe
Riya apni hasi control karke use Peechese hug karti hai: Arjun sir...(no response) are suniye na...aap mujhse baat nahi karoge?
Arjun(stubbornly): nahi!
Riya apni eyes roll karke khud bhi let jaati hai: par mujhe toh karni hai toh aap ek kaam karo, aap baat mat karo, aap sirf meri baat suniye, okay?
Arjun irritate hokar firse use face karta hai: Riya tum...
Par woh aage bol nahi paata Riya uske ekdum kareeb hai. Riya uske gale par apne haath wrap karti hai.
Arjun(amused): kya iraada hai aapka madam?
Riya(mischievously): iraada? Pata nahi...aap hi boliye
Arjun use apni baahon mein leta hai: acha? Main bolu? Abhi tak toh tumhi bol rahi thi
Riya: ye bhi sahi hai.
Aur bina koi warning diye woh Arjun ko kiss karti hai...
Riya(touching his forehead with hers): I love you!
Arjun smile karta hai: I love you too
Achanak Riya ko kuch yaad aata hai toh woh uthne ki koshish karti hai par Arjun use jaane nahi deta.
Arjun: kaha jaa rahi ho?
Riya: bas 10 minute mein aayi
Arjun: 10 minute?!?! No way! (pulling her back) tum kahi nahi jaa rahi ho!
Riya firse uthne ki koshish karti hai: are, mujhe jaana hai, jaldi aa jaungi
Par Arjun use jaane nahi deta: kaha jaana hai? kyun jaana ha? koi zaroorat nahi hai kahi bhi jaane ki!
Riya: sir mujhe room mein chota sa kaam hai, abhi nipta kar aati hun
Arjun: mujhse zyaada zaroori kaunsa kaam hai?
Understanding he wouldn't let her go, she tries to use a different method and leans on him. Arjun was startled at the sudden shift.
Riya: Arjun sir...I love you na...(she kissed his cheek and he closed his eyes) aapko pata hai (subtly freeing her hand from his grip) main na...humesha (suddenly getting up and running away) bahot drama karti hun!!!
Arjun barely registered what just happened: What the... RIYA!!!!
But Riya laughed in response as she walked backwards towards her room.
Arjun glared at her: ruko to...
But before he could stand up, Riya ran into her room and locked it. Arjun fell back on the sofa grumbling and complaining.
Arjun: cheater! Aane do waapis...ache se khabar lunga!!
10 minutes passed by, Arjun was waiting impatiently for her,Cursing the clock and her room's door. Finally, the sound of the door opening fell on his ears. He turned to stand and give her a piece of his mind but the second his eyes fell on her, his brain forgot how to speak.
She stepped out draped in georgette 9 yard cloth which perfectly complicated her frame. Her bangles composed a symphony when she closed the door and shifted her long waves to one side while turning to him. The long earrings swayed as she walked towards him. A natural blush crept on her cheeks as she lowered her kohl laced eyes on seeing Arjun staring at her.
Arjun recalled he had indirectly expressed his wish to see her in a saree after coming back from school on the last day. The shock slowly wore off as his lips curved into a smile. He mentally thanked god for bringing her in his life and did exactly what he had wanted to when he saw her for the first time in the principal's office.
And before she could realise it, she was caged in his hold and sealed in a kiss! Not that she was complaining...no, she melted right into his arms and wound her hands around his neck to pull him closer.
Arjun whispered in her ear: you look beautiful
She blushed harder as she snuggled into his chest: Arjun sir?
Arjun: ha?
Riya: sing for me na
Arjun smiled:
Tu hi hakeeqat khwaab tu, dariya tu hi pyaas tu
Tu hi dil ki bekaraari tu sukun tu sukun
Jau main ab jab jis jagah pau main tujhko us jagah
Saath hoke na ho tu hai rubaru, rubaru
Tu humsafar tum humkadam tu humnawa mera - (2)
Aa tujhe inn baahon mein bhar ke aur bhi kar loon main kareeb
Tu juda ho toh age hain aata jaata har pal ajij
Is jahaan mein hai aur na hoga mujhsa koi khushnaseeb
Tune mujhko dil diya hai main hoon tere sabse kareeb
Main hi toh tee dil mein hoon, main hi saanson mein basu
Tere dil ki dhadkano mein main hi hoon, main hi hoon
Tu humsafar tum humkadam tu humnawa mera - (2)
Kab bhala ab yeh waqt gujare kuch pata chalata hi nahi
Jabse mujhko tu mila hai hosh kuch bhi apna nahi
Uff yeh teri palkein ghani si, chanv inki hai dilnashi
Ab kise dar dhup ka hai kyun ki hai yeh mujhpe bichi
Tere bina na saans loon tere bina na main jiu
Tere bina na ek pal bhi reh saku, reh saku
Tu hi hakeeqat kharab tu, dariya tu hi pyaas tu
Tu hi dil ki bekaraari tu sukun tu sukun
Tu humsafar tum humkadam tu humnawa mera - (4)
Officially The End...
Prologue Raat ka aakhri peher tha. Mumbai ki galiyon mein aksar iss waqt shanti hoti hai, lekin ek ajeeb si khamoshi uss raat hawaon mein gungun...
Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is
What will happen when Arjun and Riya works with cid team.
Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...
hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...
25