Ariya Saathi - Page 10

Created

Last reply

Replies

879

Views

375.6k

Users

57

Likes

3k

Frequent Posters

cuppypie121 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#91
Awsome update
Loved it
Continue soon
AnjuRish thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 6
Posted: 6 years ago
#92
I find sam a but immature in this story
Hope ayesh drives some sense into him
cuteariya thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 6 years ago
#93
i just hate arjun's so called dad & sameer for blame arjun without his fault😡
arjun's dad blame him for his mom death😡
on the other hand sameer blame arjun for not accepting naina's love how disgusting😡
i'm glad riya never judge arjun for anything just support him🤗
i really love ariya's first meeting it was so cute😃
ariya share beautiful bond & share their pain also😊
now sameer telling aisha abt naina just hope she will tell sameer he is wrong to blame arjun for not loving naina
continue plz
bloomie thumbnail
Posted: 6 years ago
#94

Originally posted by: AnjuRish

I find sam a but immature in this story

Hope ayesh drives some sense into him


yea Sameer is kinda like that
Edited by bloomie - 6 years ago
bloomie thumbnail
Posted: 6 years ago
#95
Part 5

Sameer sigh karta hai: Naina bhi humare saath college mein thi. Mere hi through woh Rawte ko jaanti thi. Woh aksar humare saath hoti thi. Mujhe pata hi nahi chala ki kab woh usse pyaar kar baithi. Mujhe is sabke baare mein pata nahi tha. ek din achanak jab main uske hostel gaya toh...

Flashback

Sameer Naina ke hostel ke baahar khada hai. Woh usse phone karta hai par Naina phone nahi utathi. Isliye woh watchman ke through hostel mein message pahunchata hai.

Sameer: are bhaisaab, ek kaam karo na please. Meri dost phone nahi utha rahi, aap reception se khabar pahuncha denge ki main uske liye wait kar raha hun

Watchman agree karta hai kyunki usne kayi baar Naina aur Sameer ko saath mein dekha hai. Woh building ke andar jaata hai. Sameer baahar wait kar raha hai. Achanak watchman waha bhaagte hue aata hai.

Watchman: Saab! Saab!!! Aapki Dost Ne Aatmahatya Kar Li Hai!!

Sameer ke pairon tale jaise zameen khisakh gayi: Naina!!!

Woh bhaagkar andar jaata hai not caring ki woh girls hostel hai. Watchman use Naina ke room tak le jaata hai. Waha ladkiyon ki bheed jama hai

Sameer: Hato!! Hato raaste se...(waha Naina zameen par leti hai, uske muh se jhaag nikal raha hai) NAINA!!!!! Naina!!! Aankhein kholo!! Aankhein kholo Naina please for god's sake!

Woh use uthakar hospital le jaata hai. Use emergency ward mein treat kiya jaata hai. Do ghante baad doctor baahar aata hai.

Sameer: doctor!! Doctor Naina kaisi hai? Woh theek toh ho jaayegi na?

Doctor: Dekhiye aap shaant ho jaayiye, chinta ki koi baat nahi hai. Unhone phenyl pee kar suicide karne ki koshish ki thi par ab woh theek hai aur khatre se baahar se hai. Hum unhe general ward mein shift kar rahe hai, fir aap unse mil sakte hai

Sameer chain ki saans leta hai: thank you so much doctor!!

Doctor smile karta hai: no problem, it's our duty!

Naina jab general ward mein shift ho jaati hai toh Sameer uske room mein jaata hai. Naina use dekhkar choukti hai. Uski aankhein nam ho jaati hai. Sameer uske paas jaa kar baithta hai.

Sameer use daant ta hai: paagal hai kya? Aisa kaun karta hai? Kitna dar gaya tha main, andaaza bhi hai tujhe? Aur aisi kaunsi baat ho gayi jo tujhe itna bada kadam uthane pada? Ek baar mujhse apna dard share nahi kar sakti thi?

Naina rone lagti hai: I'm sorry Sameer! Main...main kya karti? us waqt mujhe kuch samaj mein hi nahi aa raha tha. I'm sorry

Sameer: Par Naina hua kya?

Naina(rote hue): Arjun...

Sameer(taken aback): Arjun?

Naina: Arjun...I...I loved him aur...aur usne...

Woh apne aapko control nahi kar paati aur Sameer ko hug karke rone lagti hai. Sameer use tightly hug karke support dene ki koshish karta hai lekin at the same time uski ragho mein gussa daudne lagta hai mv "Ye tumne theek nahi kiya Arjun!!! Tumhari wajah se aaj main Naina ko kho sakta tha! Main tumhe iske liye kabhi maaf nahi karunga!! Kabhi Nahi!!!

Flashback Ends

Sameer: maine Naina se kaha bhi ki hum abetment to suicide ka case kar sakte hai par usne saaf mana kar diya. Bahot tut chuki thi woh, pyaar karti thi usse aur usne (he balls his fists) uski wajah se Naina almost apni jaan ghava baithi! Use firse normal karne ke liye kitni mehnat ki uski family aur maine. Uske father ne fir use aage ki padhayi ke liye US hi bhej diya ye sochkar ki waha rahegi toh yaha ki kadvi yaadein use satana band kar degi. Chirag ke saath uski shaadi bhi arranged thi, Uncle ne jaan kar hi uske liye NRI dhundha aur bhagwan ka shukar hai ki ab woh atleast happily married hai.

Ayesha: par aisa hua kya dono ke beech? Jisne Naina ko suicide karne tak majbur kar diya?

Sameer: ye toh main bhi nahi jaanta. Dobara usse kabhi pucha nahi, uske zakhm khuredna nahi chahta tha aur Rawte se usi din naate tod diye aur waise bhi, woh kaha kuch bolne waala tha? usse puchta bhi toh baaton ko gol-gol ghuma deta.

Kuch der dono ke beech silence rehti hai. Pressure cooker ki whistle se Ayesha ka dhyaan firse khaane par jaata hai. Woh gas off karti hai.

Ayesha: aap fikar mat kijiye, I'll take care

Sameer smile karke sar hilata hai

Ayesha: ab aap baahar jayiye, main fatafat khaana bana deti hun

Sameer use hug karta hai: thank you

Ayesha: kis liye?

Sameer: mujhe samajne ke liye

Ayesha: pati hai aap mere, main nahi samjhungi toh kaun samjhega?

Dono kuch der tak waise hi rehte hai aur fir khaana kha kar so jaate hai.

Next day-

Sameer aur Arjun dono commissioner ke office meeting ke liye gaye hai. Baakhi ki team unki absence ka maza le rahi aur khub masti kar rahe hai which included dono ACP's ki burai karna.

Liza: kabhi-kabhi toh lagta hai ki jab se Arjun sir aaye hai tab se unki sangat ka asar Rathore sir par bhi ho gaya hai. Randomly khadoos ho jaate hai

Ayesha: come on Liza woh utne bhi khadoos nahi ban jaate hai bas kaam ke time thoda strict ho jaate hai

Shree: ha toh! Mrs. Rathore ke saamne Mr. Rathore ki burai nahi karte!! Ayesha tu chill maar, is Lizard ko na kabhi akal nahi aayegi

Liza aur Ayesha dono mil kar use file se maarti hai

Chotu aur Sakshi ye dekhkar haste hai.

Sakshi: par jo bhi ho, Arjun jitna bhi Hitler kyun na ho lekin (dreamily) kitna handsome hai yaar...par phuti meri kismat, aankh utha kar bhi nahi dekhta woh meri taraf yaar!!

Liza: are dekhte toh hai

Sakshi use confused look deti hai

Liza: are abhi pichle hafte hi toh dekha tha aur kaha tha (mimic karte hue) Miss Anand agar aapki bakwas khatam ho gayi ho toh raaste se hato, mujhe us admi par nazar rakhni hai

Sakshi blush karti hai. Sab hasne lagte hai. Liza hi-fi ke liye haath upar karti hai, Shree karne hi waala hai ki Liza use ignore karke Chotu ko kar deti hai. Shree muh fula kar baith jaata hai.

Ayesha: are mera pyaara Shree (haath upar karke) mujhe dede

Shree khush hokar use hi-fi karta hai: Yay!!! (woh use hug karta hai) tu hi ek meri dost hai ye Chotu ka bacha bhi dhokebaaz nikla!!

Chotu ka haath apni pony ki taraf jaata hai: kya kaha??

Shree(dar kar): are Chota Bheem main toh mazaak kar raha hai (sweetly) tu toh mera pyaara sa dost haina? Ye...ye sab na is...Lizard ki wajah se ho raha hai!

Liza use sunane waali hai ki Sakshi interrupt karti hai.

Sakshi: are yaar! Tum dono apna jhagda chodo! Ayesha! Dekh na lunch time bhi khatam hone ko aaya hai in logon ki meeting kab khatam hogi?

Chotu: Sakshi, tujhe meeting ki chinta hai ya fir...(wink karke) tere Arjun sir ki?

Sakshi(blushing): of course Arjun ki

Shree whistle karta hai

Ayesha: shut up Shree! Dheere! Agar baahar kisi ne sun liya toh...

Shree: toh kya hoga? Na Rathore sir hai na Arjun sir kya farak padta hai?

Ayesha disbelief mein sar hilati hai: tera na kuch nahi ho sakta hai

Liza: agar ho sakta toh main bahot pehle kar chuki hoti Ayesha, he is hopeless. Ek baar laash se bhi kuch kaam ki cheez nikal sakti hai lekin is Specky se..? no ways!

Shree: oye Lizard! Tujhse behtar asset hu main samjhi?

Liza(sarcastically): yeah right...Specky!!

Shree: don't call me Specky! Lizard!!

Liza: Don't call me Lizard! Specky!!!

Teeno unhe shaant karne ki koshish karte hai.

Chotu: are baba bas abhi...kya choti-choti baaton par shuru ho jaate ho tum dono, Ayesha tu phone karna

Ayesha apna phone nikalti hai: ha abhi karti hun lekin tum log chup ho jao agar unhe pata chal gaya na ki hum timepass kar rahe hai toh dono ke aane ke baad chaar chita jalegi

Shree: chaar kaise? Hum toh paanch hai

Ayesha: main Chief ki biwi hun aur wink karti hai

Shree hasta hai: sahi hai!!!

Ayesha use chup rehne ka ishara karti hai aur fir Sameer ka number dial karna shuru karti hai. Bas call karne hi waali hai ki conference room ke darwaaze par knock hota hai. Sabki nazar darwaaze ki taraf jaati hai.

A girl in her mid-twenties wearing a formal white shirt and black jeans enters with a smile on her face. She was carrying a file in her hand.

Shree aur Chotu use dekhkar flat ho jaate hai. Unki aankhein fati ki fati rehti hai. Ayesha dono ko nudge karke behave karne ka ishara karti hai.

Girl: Hello

Ayesha(uthte hue): hello, kya madad kar sakte hai hum aapki?

Girl: woh actually mujhe ACP Arjun Rawte se milna hai.

Ye sunkar sabko jaise attack aa gaya. Koi Arjun se milne aaya? Woh bhi office mein? Woh bhi ladki? Itni khubsurat? No Chance!

Sakshi insecure ho jaati hai: Arjun se? kyun?

Girl: woh mujhe thoda kaam hai, kaha milenge woh?

Ayesha: darasal...

Sakshi: Arjun toh yaha nahi hai

Girl: oh...kaha hai?

Sakshi: bahot zaroori kaam se baahar gaya hai pata nahi aane mein kitna waqt lagega, tumhara wait karna bekar hai aur agar aa bhi gaya toh bhi woh busy rehta hai. Woh aise hi kisi se milta bhi nahi hai. Use toh sirf apne kaam se matlab hai.

Girl(amused): oh toh tum unki PA ho?

Sakshi(offended): What?!?!

Shree ki hasi nikalti hai. Sakshi use glare karti hai aur woh chup ho jaata hai.

Girl: nahi, main genuinely puch rahi hu, I mean tumhe sab kuch pata hai unke baare mein. Unka pura schedule pata hai. Ab aisi information toh ek PA ke paas hi hogi na?

Sakshi use glare karti hai. Baakhi sab apni hasi control karne ki koshish karte hai. Woh Sakshi ko bura feel nahi karwaana chahte lekin ladki ki comments ki wajah se control nahi kar paate.

Sakshi: dekho! Main Arjun ki PA nahi hun! (mutter karke) hoti toh koi problem nahi thi par woh meri taraf dekhe toh na

Girl: kya kaha aapne?

Sakshi: Kuch nahi! Woh free nahi hai, okay? Tum fir kabhi aana!

Girl(slightly irritated): dekho! Mera unse baat karna zaroori hai! main unse mile bagair kahi nahi jaungi! Aur waise bhi agar unhe pata chal gaya ki...

Tabhi darwaaza khulta hai aur Rathore andar aata hai.

Rathore: Team!! (ladki ko dekhkar woh surprise hota hai) yes? Aap kaun?

Ladki use respectfully greet karti hai.

Ladki(apna haath aage karke): hello, Riya Mukherjee

Sameer uska hand shake karta hai: ACP Sameer Rathore (haath chodkar) kya madad kar sakta hun main aapki?

Riya: mujhe darasal ACP...

Woh complete kare usse pehle Arjun enter karta hai. And of course woh bhi chouk jaata hai. Riya Arjun ko dekhkar relieved hoti hai.

Arjun: tum yaha?

Riya rolled her eyes: finally! aapka phone kyun band aa raha hai?

Arjun: meeting ke..

Riya: acha woh sab chodiye, mujhe aapse bahot urgent baat karni hai

Arjun: ha kaho na

Riya idhar udhar dekhti hai: private mein?

Arjun: ha chalo

Arjun use apne cabin mein le jaata hai. Is taraf conference room mein un dono ke beech ki baatein sunkar shock mein hai.

Sakshi(shocked): Arjun Kabse Normally Baatein Karne Laga?!?! Aur Woh Us Ladki Ko Kaise Jaanta Hai? Woh Ladkiyon Se Baat Bhi Karta Hai?!?!

Sameer(irritated): kaam karo sab apna!

Sakshi: par Sameer...

Sameer use glare karta hai. Sakshi chup hokar baith jaati hai.

Dusri taraf-

Arjun Riya ko apne cabin mein lekar aata hai.

Arjun: kya baat hai Riya?...

zubiya92 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#96
Awesome update
Love it
Cont soon
Thanks for pm
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 6 years ago
#97
Amazing
Continue soon
Thanks for pm
nicronyariya thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#98
Nice update...
I felt like ariya concept was very rarely seen in this update..
Hope aage Jaa kar khoob ariya scenes dekhne ko milenge...
But about which file riya wants to talk to arjun?
Is riya shifting to etf?
Cont soon
Thanx for pm
ruhi1985sheetal thumbnail
Visit Streak 750 Thumbnail Visit Streak 500 Thumbnail + 8
Posted: 6 years ago
#99
Sameer Ayesha ko naina ke baare mein batata hai per Puri baat oose bhi nahi pata and as usual jitna janta hai oosi ke behalf pe apni rai bana Lena uski purani aadat hai etifians husi mazak kar rahe hai samjun jo iffoff mein nahi hai Riya aati hai Arjun se milne aur Arjun oose itna calmly baat karta hai sab hairan hai kya yaar jab ariya conversation shuru hone wala that tabhi rok diya nice update dear eagerly waiting for nxt and thanks for pm
tr_eta thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 6 years ago
Awesome update but sameer had not even known about the whole matter and blamed arjun who does that; continue soon

Related Topics

Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

20 days ago

Ariya FF: Veiled Darkness [Update 2]

Prologue Raat ka aakhri peher tha. Mumbai ki galiyon mein aksar iss waqt shanti hoti hai, lekin ek ajeeb si khamoshi uss raat hawaon mein gungun...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: muskan760

8 years ago

The Wait (Ariya FF) Part-40 Updated (Page-73)

Hey guys I'm here with the prologue of my Ariya story, though the title hasn't been yet decided but i hope you will enjoy it. Prologue :Life is

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: Queen_Butterfly

7 months ago

Ariya in CiD recreated by queenButterfly

What will happen when Arjun and Riya works with cid team.

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: SarafWasima

6 months ago

Ariya FF: Tera Mera Rishta Purana {Part 12, P. 12}

Part 1 The ETF office had always been a place of tension, urgency, and adrenaline, but today, an unusual silence loomed over the space. The...

Expand ▼
Arjun Thumbnail

Posted by: bloomie

8 months ago

Ariya The Suspect

hey guys! Sabse pehli baat toh ye ki writing crossover stories is difficult man. Is baar kar diya, dobara nahi hoga. So before we begin, I know...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".