hey guys , thank you very much for the likes and comments . it's really encouraging . and as it was my holidy today so i wrote the 2 chap i don't know how it come and is it of the level of your expectation or not but i tried my level best and enough of my bak - bak and here is the update
chap -2
recap : arjun's transfer to CBI Delhi
nikhil entry in place of arjun in ETF
nikhil blaming arjun for rosh's death
arjun talking with rosh's pic
###################################
arjun chair par khidki ke pass lodge mein baitha hua tha aur gehre soch mein khoya hua tha . voh unn dino ko yaad kar raha tha jab voh , sameer aur nikhil best friends tha . voh jab college mein tha undinno ko yaad kar raha tha .
flash back
voh college ka pehla din tha aur inke liye nayi life ki surwat yeh tino ameer ghar ke bache tha aur inke father's buisness tycoons par phir bhi voh nervous the kyunki voh naye the college mein aur seniors unki ragging bhi kar sakte tha . yeh tino ek dusre se anjan college mein alag time par aaye aur alag dishao mein chale gaye . arjun sabse pehle college mein aaya uske baad sammy aur phir nikhil aur voh college mein idhar udhar ghumne lage . nikhil aue sammy ek jagah mile aur dost ban gaye kyunki dono hi naye tha college mein aur voh kisi aur ko jaante bhi nahi tha . voh dono phir waha se canteen gaye aur ek khali seat par baith gaye waha unhe kuch seniors ne dekha . aur jab woh baatchit kar rahe tha tab unhe kuch seniors ne dekha aur rag karne ka plan banaya . voh unki taraf gaye
boys : hey , both of you , tum dono jaante ho hum kaun hai . aur tum log humari jagah par bathe ho . iski saza toh milegi tumhe
both nikhil and sam got scared as they both were new comers and they don't know what to do . so ,there comes arjun as there saviour
arjun : yeh tum log kya kar rhe ho ?
boy : tum hote kaun ho humse yeh puchne wale ? hum seniors hai tumhare
arjun : accha , sayad tum nahi jaante mein kaun hu ? arjun suryakant rawte naam hai mera aur iss college ke main trusty ke beta hu . agar meine tum logo ki complaint kar di toh tum sab log suspend ho jayoge toh tumhari bhalayi issi mein hai ki tum chalte bano aur inn dono ko akela chod do . sys
aise yeh tino mile the aur ek dusre ke college mein pehle dost bane the. woh humesha sath rehte tha aur dhed saari masti karte the . woh hostel mein bhi sath rehte the . aur police academy bhi sth mein join ki thi apne parents ke wish ke against . aur inn tino ki training bhi sath hui thi aur yeh tino ek dusre ke best friend ban gaye tha . voh ek dusre ko apne aap se behtar samajhte tha aur ek dusre ke dil ki baat unn ke bolne se pehle samajh jaate tha .
######### flashback ends #########
yeh sab yaad aate hi arjun ke face per ek faint smile aa gayi par roshni ka bhrami se katl usske aankho ke saamne hona aur uski maut ka zimedar arjun ko mankar nikhil aur sam ka usse dosti tod lena . yeh sab yaad aaker uske ankho se aasu aane lage
Arjun's pov
hum tino toh best friends tha na . tum dono toh mere dil ki baat mujhse pehle jaan jaate the na . phir kya hua uss din tum dono ko mera dard kyu nahi dikha . rosh ke jaane ke baad tut gaya tha buri tarah se mein sahare ki zarurt thi mujhe tum dono aur rosh ke siwa koi nahi tha mera apna kehne ke liye aur uss din meine sare apne kho diye voh bhi bas uss sik ki wajah se zinda lash ban gaya sik ko marne ke liye hi jee raha hu bas .aur log mujhe sirf sympathy dete rahe koi bhi nahi sanajh paya mere dard ko arjun ke aankho ke samne ek bahut hi beautiful ladki ka chera aaya with cute dimple smile . uss ladki ke smile ko dekhker arjun ke dil ko peace mila . voh phir sochne laga nahi ek aur thi joh rosh ke baad mujhe samajh payi
mujhe rosh ke maut ka na zimedar mana aur nahi uski maut par sympathy
dikhayi and he started remembering all the maoments spend with riya par shayad mera koi apna ho ya koi mujhe samajh paaye yeh aap chahte hi nahi ( he said looking towards god ) isliye toh usse bhi mujhse chin liya . he then remembered xora incident and riya's last word . and again fresh tears started flowing from his eyes . he don't know what he feels for her but he knew one thing voh usse apna manta tha par ab uski ki zindagi ka maksat sik se rosh ki maut ka badla lena aur uski aatma ko shanti dene ka time aa gaya aur voh kisi bhi halat mein sik ko saza dilwa kar hi rahega chahe iss ke liye usse apni jaan hi kyu na deni pade aur inn thoughts ke usske mind mein chalte hue ussne apni aankhe band ki aur usse nahi pta usse kaise neend aa gayi sayad iss liye ki sik ko saza dilwane ka uske itne salo ka intezar khatam hone wala hai
so how was it ?
and precap remains same 😊
1.4k