Part 4
ETF hospital pahucchati hai ...
doc : she is out of danger now ... unko koi drug overdose hua he ..
liza ; lekin aisaa nahi ho sakta he ETF se nikalne se pahale mene khud check kiya tha uski body me drugs nahi the ..
. doc : lekin abhi hai ...
liza : lekin ye kaise ho sakta hai ...
gauti : ik min ... naina ne jo chocolate di thi usske baad hi tabiyaat bigadi annu ki ...
everyone shocked ...
sam : matlab tumne ussko marne ki koshish ki ?
naina ; crying ... nahi mene nahi kiyaa ... haa wo chocolate mene hi di thi lekin ... mujhe nahi pata tha ki chocolate khane ke baad annu ko aisa kuch ho jayegaa ...
sam : fir ye chocolate ?
naina : ye chocolates to annu ki drawer se leke aayi hu..use chocolates psnd hai..uske drawer hamesha chocolates se bhara rehta hai... hostel gayi thi to le aayi soccha uska mood accha ho jayegaa lekin ...crying ... sobbing ...
sam : kuch nahi hogaa usko ab wo khatare se bahar hai ...
arjun : chocolate usko tum deti ho yaa annu khudh kharid ti hai ?
naina : sabko pta hai k annu ko chocolates pasand hai...main bhi ghar se aayi to uske liye chocolates layi thi...pr ye meri wali chocolates nhi hai
Sakshi : to fir????????
Naina : wo to jaldi jaldi me annu ki drawer se lekar aayi main...
liza : naina tumhare pass abhi bhi chocolate hai ? naina : haa hai naa ... annu ne to ik hi khayi baki to hai ... ( bag se chocolate nikal kar lizaaa ko deti hai )
sam ; lizaa hume jo durg mila he wo isme jo drug he usse match karo ...
liza : right sir ...
Arjun : chotu ik kaam karo ... tum apane informer activate karo aur pata lagao ki fake lipika ka asli naam kya he koi pahchanta he kyaa usko ?
chotu : right sir ...
arjun : rathore yaha security ka itazaam karna hogaa ... sam ; right ... gauti : me yahi rahunga ...
everyone see him ...
gauti ; jab tak annu thik nahi ho jaati ... me yaha se nahi jane wala hu ... sam ...
sam : hummm ...
naina : me bhi yahi rukungi ... gauti : hummm ... sam : hum chalte he subah milenge tumse ...
ETF leave...
gauti : chalo naina ... dinner kar lo ...
naina : nahi mujhe ni khana ..
gauti : annu ki tabiyyaat thik nahi he tum nahi khaogi to bimar padh jaogi to usska khayal kon rakhega ?
naina : huh tum ho naa ...
gauti ; smiles ... okk ... to fir me tumhe bhi admit karwa dunga ...
naina : wo thik to ho jayegi naa ... meri galati ki wajah se usska ye haal huaa ...
gauti : tumhari galati nahi he ... tumhe nahi pata tha chocolate me drugs he right ... chalo chale dinner karne ...
naina : hummm... lekin annu akele ?
gauti : ya fir tum yahi ruko me kuch lata hu ...
both had dinner ... ...
ayesha : case pura palat gaya sir ...
sam : haaa ... ab humare paass 2 case he ... ik to fake lipika ke mruder ka ... annu ka ..
ayesha ; ye gautham bhi naa ajeeb hai ... usko rukane ki kya jarurat thi .. annu ne abhi usko haa nahi kaha hai ...
sakshi : pta nhi iss ladki ka chakker hi samjh nhi aata hai... murder k charges hai..aur gauti hai k iske piche apna career barbaad krne me lga hai
arjun : ab uss ladki ke baare me pata chal jaye to ye bhi pata chal jayegaa ki ... ussko kisne mara ...
sam ; uske baad ye bhi pata karana hai ... ki annu ka drug se kya connection hai ...
arjun : shree ...annu ka background pata karo koi family friend ya enemy sab kuch ...
shree ; right sir
...
Next day ... ETF ...
sam : lizaa kuch pata chala...
liza : u right sir ... ye chocolates aur annu ka drug same hai ..
sam ; isse ik baat to pakki he ki annu ko ye drug lipika deti thi ... lekin koi annu ko marna kyo chahta hai ...
liza ; marna nahi sir ... marna hota to iss drug ka ik high dose usko khatam kar deta ...
sam ; matlab koi usko pagal karna chahata hai liza : lagta to yahi hai ...
chotu enter karta hai ...
arjun : uss ladki ka kuch pata chala ...
chotu ; sir iss ladki ke baare me pata kiya he ... ye ladki yaha ki nahi he ye to Indore ki hai ... naam he jivika varma ...
arjun ; indore ki ladki wo bhi yaha interesting very interesting ...
sam : chotu tum indore jao aur jakar pata karo ki ... ye waha kiske sath rahati thi ... aur issko koi pahacchaane wala tha kyaa ? chotu : ji sir ...
ayesha and sakshi enter ...
sam : kaha thi tum dono ab tak .
ayesha : wo hum annu se milane gaye the ...
arjun : howz she ?
sakshi : she is fine ... lekin discharge abhi nahi milegaa ..
. ayesha : sam tumhara bhai pagal ho chuka hai ...
sam ; kyo ab kya kiyaa usne ?
sakshi : wo wapas jaane ko taiyaar hi nahi he ...
sam : what ?
ayesha ; haa golden chance kho raha he wo bhi ... ik ladki ke liye ... sam: hua kyaa bataoge mujhe ?
...
Flashback ...
ayesha and sakshi Annu se milane hospital jaate hai ...
dekhate hai ..ki Annu ke bed ke pass naina baithi hai ... aur sofe par gautham ...
ayeshaa : naina kaisi hai Annu ... naina : she is fine now ... lekin doc bol rahe the ki discharge ... baad me karenge ...
Annu : thank u ayesha mam ...
ayesha : its fine thank u ki jarurat nahi hai ... ye hamara kaam hai...achacha ye btao tum chocolates khud purchase krti ho ??? agar haan...to kya koi ek shop fix hai tumhari chocolates ki...
Annu : waise to sabko pta hai k mujhe chocolates psnd hai...even meri kamjori hai chocolates...isliye koi na koi gift kr deta hai...pr jab se lipika I mean jivika mere room me shift huyi thi..wo hi chocolates laa deti thi...mujhe kharidne hi nhi deti thi...
sakshi : gatham tum raat se yahi ho ...
ayesha : tumhare promotion ka kyaa huaa ? tumhe bulaya hai naaa wahaa ?..
gauti ;haa bulaya to hai ... lekin ...
ayesha : lekin kyaa ? career barbaad krne pe kyun tule ho apna
Sakshi : itni acchi opportunity dobra nhi milegi tumhe
gauti : mene kuch decide nahi kiyaa hai ab tak ...
Ayesha : to decide karo...USA ki itni badi firm me itni jaldi permotion nhi milte hai...aur tum ho k abhi tak tumne abhi tak decide nhi kia hai...
sakshi : Ayesha is right...
gautham : mouke to aur bhi milenge ... lekin .. Annu ki jaan jayada imp hai ...
sakshi : lekin fir bhi ... tum galat kar rahe ho ... aur abhi to annu ne haa bhi nahi kaha hai ... gautham : haa yaa naa ... wo Annu ka faissla he mera nahi ... mere dil me jo thaa me bata chuka hu ... baki me kisi ko force nahi karungaa ...
Naina : tum pagal ho kya??? permotion chod k baithe ho...india me kuch nhi rakha hai... Gautham : mere liye filhal yahi sab kuch rakha hai...
Naina : dimag kharab hai tumhara...I mean annu k liye main hu...aur ETF help kr rhi hai naa... Annu : tum jao...meri help k liye bahut log hai... kuch nhi hoga mujhe...
gautham : pr main nahi rahunga...pr mujhe hona hai tumhari help k liye...isliye me kahi nahi jaa raha hu jab tak tum thik nahi ho jaati aur tumhari problem solve nahi ho jaati ...
ayesha :uufff tumhe samjhana ... bohot musshkil hai ... chodo ye sab . jab tak hum hai tum ghar jakar aa sakate ho
16