Samer POV.
"Ayesha! Arrey ek to yar tum bhot lazy ho"
Mai ne apne 2 saala betay shaheer ko uthaya aur usay chup karaty hue kitchen mai ja pouncha.
"Bas ek minute" Ayesha tezi se feeder banany lagi par yeh dakh kar mai aur zayada irritate hogaya.
"Akhir tum yeh sab kam pehle se kyun nai kar ke rakhti ho" mai ne ghussay se bola kyun ki shaheer ki ronay ki speed tez ho rahi thi. So ayesha ne jawab diye bina shaheer ko muj se le lea aur bedroom mai usay solanay chali gae mai uske pechay pechay bedroom mai be pounch gaya aur tayari karne laga, akhir office bhe to jana tha.
"Aaesha! Meri tie?"
Mai ne uski taraf dakha usne ek dam shaheer ko choura aur cupboard ki taraf bhagi, aur ek tie nikal kar bhair rakhi.
"yeh wali nhi yar, chek wali chaye"
Mai ne usye side pe karty hue bola Ayesha ne khoon khar nazrun se meri tarf dakha aur stand pe rakhy kaprhun ke bundle se meri fav tie mujy de kar room se bhair nikal gayi.
"Ayesha!"Mai ne dress change kar ke room se usay awaz di,
"Mere shoes kahan rakh diye hain-koi cheez apni jaga pe na rahne dina tum?"
"Cupboard ki side pe dakh lein" meri naragzi ki parwa kiye bina ayesha ne kitchen se jawab dia
"Uffu!mujy ni mil rahy, akar nikal do"
"Ayesha. . .!"
mai ne gussay se usay awaz di kyun ki meri nazar time pe thi
"Mai late ho jahun ga" aubi mai kuch aur kehne he wala tha ke ayesha light ki speed se ahi aur shoes nikal kar samne rakh diye.
Mai room se bhair aya to shaheer apne toys se khel raha tha mai ne ek nazar usay dakha aur dining table pe beth gaya aur chai penay laga par agle he lamhe. . .
"yeh sugar etni zyada dal di"
"Ek to ap such much etna zyada tang karty hain, sorry mai aur bana dati hun ayesha ne chai taste karne ke bhad bola
"rehne do"mai ne gussay se chair se uthte hue bola
"MAA such kehti ki thi, banda LOVE MARRIAGE kar to leta hai, lekn jehlna azaab hota hai, aur mai to es azaab ko kafi time se jehl raha houn"
yeh kehty he mai jane laga to. . ."ayesha ne mujay bola yeh sirf ap ke liye nhi mere liye bhe kisi azaab se kum nai-samjay ap"
aur uska jawab ne mere andar aag lag di or mai office ke liye nikal gaya
sham wapsi pe mai ne MAA se ayesha ki complain ki to meri sari baten sunkar unu ne kaha
"Beta!yeh tum dunu ka personal matter hai khud apas mai hal karo jab baat out of control ho jae to mujay batana"
Yeh suntay he mai ghar se bhair aa gaya, yeh such hai ke ayesha meri pheli aur akhri mohabbat thi woh mujay kab achi lagne lagi aur kab hum dunu ek dosre ki mohabbat mai pagal ho gaye , humain pata he na chala. Mujay apni Birthday kabhi yaad nhi rahti the magar yeh maloom tha ke aaj uska Birthday hai usay shakespear pasand hy. titliyan, phool aur barish ayesha ki kamzori thay aur ayesha meri kamzori mai yeh sab janta tha.
Tab un dino mai hawaun mai udh raha tha choti choti baten celebrate karna, gantun ayesha se baten karna mujy acha lagta tha phir ek din maine MAA se ayesha ki baat ki to Maa ne ayesha ka ristha manga aur es tarah hamari baat pakki ho gaye aur phir jald shaadi.
Shaadi ke bhad hamara bhot acha time guzra aur pher shaheer ke anay ke bhad to hum duniya ke best couple thay.
Magar kuch time se mai note kar raha tha ayesha mujay jaise bhool he gayi thi, meri kahi hui baten bhool jati thi, meri gift ki hui books se shaheer khel raha hota tha.
Kafi dino se mai us Ayesha ko dhund raha houn jise mai ne chaha tha lekin subha breakfast se le kar raat dinner tak mai us ayesha ka aks dhodta raha par sab kuch badal chuka tha kyunki ayesha muj se naraz thi aur eski bhi ek waja thi.
Ayesh apni friend ki shaadi pe jana chati thi par mai ne usay mana kar dia kyuki shaheer bemar tha.
Lekin ayesha! Usay na meri fikar hai, na meri parwa, pata nai meri choice galat thi ya meri feelings sachi ni thi aur yeh bhe ho sakta hy yeh mera waham ho, jo bhi hai ayesha ko meri feelings ka ehsas karna chaye usay etni choti si baat pe mere saath ehse rude behave ni karna chaye tha, eni sochon mai khoya mai ghar tak pounch gaya aur bell pe haath rakh ke bhool gaya.
* * * * * * * * * * * * * * *
Kya hai yeh sab do minute intezar ni kar sakty thay kea...
Ayesha ne fade se colour ka dress pahna hua tha
Ayesha:chai pihen gae?
Samer:nahi...
Tumhay es buray colour ka suit ni mila pehne ke liye mai ne taunt ki us pe
Ayesha: (rudely) nahi. . .
SCROLL DOWN FOR MORE