Tera hi Bas hona chahoon
Chapter 1
In my this Story Arjun and Sameer are dancers and so is Aysha ... Sameer Aysha Shree Liza Arshad and Nazma in one group ... Arjun Chhotu, Kitu(Chhotu's girl friend) Akash and Deepali are in one group. They all were used to a common group in the past and were gud friends but something was happened and they became enemies and got separated :) Aysha is Arjun's childhood friend.
Sakhshi's first day of college. She came with her dad. She was so damn happy today because it was her dream to study in Mumbai. She and her dad fulfil all the formalities regarding the admission. Sameer her brother also with them. After finishing all things they come out from the office.
Mr. Rathod - Sakhshi beta so you r happy now. You got admission.
Sakhshi - ji dad I m so happy ... Thank you dad. She hugged her dad.
Mr. Rathod - its ok sweetheart anything for you.
Sameer was watching all this and it was obvious from his face that he was not happy with all this. His dad was noticing that.
Mr. Rathod- Sakhshi beta tum aisa karo jao jaake Apna college dekho tab takk main Tumhare bhai se baat karta hoon.
Sakhshi - ji dad ... Main aake milti hoon aapse.
Sakhshi chali Jaati hai.
Mr. Rathod - mujhe aisa kion lag raha hai ke tum khush nahi ho Sakhshi ke Tumhare college mein admission lene se.
Sameer- aisa kuchh nahi hai dad...
Mr. Rathod - gud ... Tumhare liye gud hai ke aisa nahi hai... Kionki tum khush ho ya nahi mujhe isse koi farak nahi padta...ok.
Sameer - dad aapko aisa kion lag raha hai ke I m not happy.
Mr. Rathod- kionki tum jaante ho ke Sakhshi yahan rehegi tou tumhari Saari activities ki khabar mujhe milegi or phir tum woh nahi kar paoge jo tum ab Tak karte aaye ho...
Sameer - Matlab kya hai Aapka dad ... Matlab kya karta hoon main?
Mr. Rathod- dekho Sam main yeh achhi tarah se jaanta hoon ke tum kya karte ho yahan pe or ye tum bhi acche se jaante ho ke main kis baare mein baat kar raha hoon.
Sameer - but dad...
Mr. Rathod- maine abhi apni baat poori nahi ki... So tum yeh baat dhyan se sun lo ke agar Sakhshi se mujhe Tumhare baare mein kuchh bhi ulta seedha Pata chala tou tum samjh Lena ke woh tumhara iss college mein last day hoga... Or firr tumko Tumhari studies ke liye US jaana padega. I hope tum yeh achhe se samjh Gaye hoge.
He gave a peck on Sameer's face.
Sameer - oh tou aapne Sakhshi ki admission iss liye yahan karwai hai taaki aapko mere baare mein Saari baatein Pata chalti rahein.
Mr. Rathod - whatever.. Tumko jo samjhna hai samjh Sakte ho.
Sameer was getting irritate. But someone was listening his and his dad's convo and he was none other than Sameer's enemy Arjun Suryakant Rawte and he was so happy ke Sameer ko uske dad se daant pad rahi thi.
Arjun in his mind- oh tou ye baat hai.. Matlab Sameer ki ek Galti or woh college se out ... Wow Arjun that's sound interesting and Sameer ki behan iss college mein ... Matlab Cherry on the cake. Hmm iss baar cherry bhi meri hogi and cake bhi... Ab tum dekhna Sameer Rathod kya karta hoon main ... Tu tou giya beta. And he went from there.
Udhar Sameer ke dad Sakhshi se milke wahan se chale jaate hain.
Sameer and Sakhshi both were in the corridor.
Sameer - Sakhshi chalo main tumko tumhari class mein chhod deta hoon. Class ke baad canteen mein milte hain. Mujhe thodi der ho jayegi aane mein Lekin tum wahan pahunch jaana theek hai.
Sakhshi - ji bhai theek hai.
Sameer Sakhshi ko uski class ki taraf leke jaata hai and Arjun dono ko dekh leta hai.
Arjun thinks- oh tou yeh hai Sameer ki behan... Hmm nice. And an evil smile comes on his face.
After the class Sakhshi enters in the canteen. She was looking here and there for her brother. But suddenly she shout. Saare log Sakhshi ki taraf dekhte hain...
Sakhshi - Haye Rabb g ... Arjun !!!!! And a huge smile came on her face and she started jumping.
Arjun was so surprised and shocked that how come Sameer's sister know him.
Sakhshi came near to him she was so excited.
Sakhshi - aap Arjun ho na the famous dancer.
Arjun- ya main hi Arjun hoon... Lekin aap ...
Sakhshi Arjun ko uski baat bhi complete nahi Karne deti- main... Main hoon Sakhshi ... Sakhshi Dam Singh Rathod ... Sameer Dam Singh Rathod ki behan... Aaj hi college join kiya hai... So iss college mein aaj mera Pehla din hai... Main na aapki Bahut badi fan hoon... Maine na aapki Bahut Saari dance performances Dekhi hain...
Arjun was just looked at her ke woh kaise lagatar bole ja rahi thi or usko bolne ka mauka hi nahi de rahi thi...
Sakhshi - Arre aap aise hairan kion ho rahe ho?... Ok-2 samjh gayi aap Soch rahe hoge ke Maine aapki performances kahan Dekhi hain ... Hai na? Tou main batati hoon aapko... Maine na aapki performances YouTube pe Dekhi hain or haan Maine aapko live bhi perform karte huye dekha hai...
Canteen mein sab log Sakhshi ko hi dekh rahe the and Arjun was feeling awkward that sab log udhar hi dekh rahe the... Woh idhar udhar bhi dekh raha tha or Sakhshi ko bhi smile de raha tha...
Arjun-Achha ... Oh ...
Sakhshi - haan bilkul... Arre aap ne tou poochha hi nahi ke Maine aap ko live kahan dekha tha... Poochhiye-2 na... Hmm
Arjun in his mind keh tou aise rahi hai ke agar nahi poochhong tou batayegi nahi lekin firr fake smile ke saath-aww kahan dekha tha tumne mujhe live...
Sakhshi - India fest last year Goa mein... Main sirf or sirf aapko hi dekhne gayi thi I mean aapki performance ...firr thoda uske Orr kareeb ja ke almost uske kaan mein- aap yeh baat kisi se mat kehna bhai se tou bilkul bhi nahi ... Kionki main Sab se chhup ke gayi thi...
Arjun smiled- ok nahi kahonga ...
Itne mein Sameer came in the canteen with his friends. He saw that Sakhshi was with Arjun and was talking. Arjun also saw Sameer and he noticed that Sameer ko Achha nahi lag raha ke Sakhshi usse baat kar rahi hai...woh jaanbhoojh ke thoda uncha bolta hai so that Sameer can hear.
Arjun- Arre Sakhshi I m so glad that you are my fan. Thank you so much. You know tum sab se pehli Ladki ho jo meri itni badi fan ho kya main tumhe hug kar sakta hoon.
Sakhshi was so happy ke Arjun usko hug karna chahta hai uski kionki door ki taraf back thi and usko Pata nahi tha ke Sameer aa chuka hai... She hugged Arjun and Arjun also hugged her back but he was looking at Sameer and gave him a smirk. Sameer se ye sab bardashat nahi ho raha tha. He came there.
Sameer - Sakhshi tum yahan kya kar rahi ho...
Sakhshi was surprised ke Sameer aisa kion Bol raha hai - Arre bhai aap ne hi tou kaha tha na canteen aane ko... Class se pehle free ho gayi thi tou main aa gayi...
Sameer - hmm ok theek hai... Tum aisa karo Liza and Shree ke saath jao or college dekh lo...
Sakhshi - Lekin bhai abhi tou main Arjun se...
Sameer cut her inbetween - Maine kaha na Sakhshi abhi jao... Abhi Mujhe Arjun se koi jaroori baat karni hai...
Sakhshi bit sad- theek hai bhai... Firr Arjun se- ok Arjun hum firr mileinge.. Abhi main college dekh ke aati hoon...
Arjun gave her a smile and Sameer ko dekhte huye - haan-2 Sakhshi jaroor milte hain... Waise bhi ab tou hum ek hi college mein hain tou milna tou hoga hi na...
Sakhshi smiled - haan yeh baat bhi sahi hai... Ok tou main Jaati hoon ... Bye
Arjun ko achanak se ek idea Aata hai Sameer ko irritate Karne ke liye he called Sakhshi .
Arjun- hey Sakhshi ... Ek mint.
Sakhshi Ruk Jaati hai and Arjun ko dekhti hai...
Arjun went to the canteen counter and bought a chocolate and gave it Sakhshi.
Arjun-hey Sakhshi this is for you. Welcome to the college.
Sakhshi khush ho Jaati hai- mere liye ... Sach mein... She hugged Arjun again - thank you thank you Arjun aap Bahut achhe ho.
Sameer yeh sab dekh ke Bahut irritate ho jaata hai.woh thoda gusse se Sakhshi ko
Sameer - Sakhshi ... Jao yahan se.
Sakhshi Sameer ki aur dekhti hai and chali Jaati hai. Sameer Shree ko apne Paas bula ke uske Kaan main.
Sameer - dekh Shree Sakhshi ko mere or Arjun ke baare kuchh mat batana... Ok ...
Shree - ok. Woh chala jaata hai.
Arjun Bahut hi khush lag raha tha Sameer ko aise chida huya dekh ke usko bada Maza aa raha tha.
Sameer - dekho Arjun tum Sakhshi se door rahoge...
Arjun usko or chidaane ke liye- kya karoon Sameer Teri behan hai hi itni sss...
Sameer usko gusse se dekhta hai...
Arjun again hasta hai- Arre yaar Sweet bolne waala tha... Tu kya samjha tha...
Sameer - Arjun main tum se keh raha hoon na ke tum Sakhshi se door rahoge... Tumhari ladai mujhse hai ... Tum Sakhshi ko beech mein nahi laoge...
Arjun- Arre dude Gussa kion kar raha hai... Chill na...
Sameer - dekh main tujhe akhri baar Bol raha hoon... Meri behan se door rehna...
Arjun- haa Darr giya main tou... And he laughed- ok main door rahonga but agar Teri behan mere Paas aayegi tou main apne aap ko usse door nahi kar paonga... Ab tu apni behan ko mujhse door kar sakta hai tou kar le... Bata de apni behan ko ke Hum Aapke Hain Kaun... He started singing that song to irritate Sameer .
Sameer usko gusse se dekhta hai...
Arjun - haa poor Sameer ... Tu aisa nahi karega hai na baby... Warna Tumhare dad tumko iss college mein nahi rehne denge...Again he started singing the another song... Le jayeinge le jayeinge dilwale dulhania le jayeinge... And he went from there. Sameer was so angry.
So friends Arakshi new story's very first update ... I hope you will like it. Plz-2 comment and like karna mat bhooliyega ... Teh dil se Shukaryia karongi.
Love you all
Nicky :)
Edited by nicky13 - 11 years ago
40