PART 18
" phirse kaho massi , phirse kaho na " saakshi begged
" massi " aru said
" mujhe aapke saath hi rehna hai , aap mamma jaisi ho na " she said innocently
saakshi immediately hugged her
saakshi kissed aru
" arjun , aru ne finally humse baat ki , finally sab kuch teek ho gaya , tumne suna na ?" saakshi asked
" guys , aru ne baat kiya " she repeated
" tumhaare pyaar ne finally uske saare fears ko ghira hi diya " Aisha said
anu went and hugged aru and kissed her
" di " aru said
"kya aap ab bhi yeh kahengi ki sakshi swarthy hai ?" arjun asked maya bua who was shocked
" bohut pyaar karti hai sakshi inn bacchon se , tho kya hua agar saakshi ne inn bacchon ko janam nai diya , aakhir inn bacchon ki maa who ban hi gayi , sahi kaha aapne , ek maa ki jagah koi nai le sakta , kaise lengi aap saakshi ki jagah ? kyun ki ab saakshi hi inn bacchon ki maa hai " arjun said
it angered maya bua
" agar itna pyaar karti hai saakshi apne di ki bacchiyon se tho iss job ko chodna kyun nai chahti woh ? tum isse ek maa keh rahe ho na ? ek maa apne bacchon ke liye apna sab kuch kurbaan kar deti hai , tho yeh apna ek sapna nai kurbaan kar sakti ? kaise maa hai yeh ?" maya bua asked
" dekhiye " arjun started
" chalo maan lete hain ki tum inn bachiyon ki maa ban gayi , aur apni zimmedaari acche se nibha rahi ho , par uss zimmedaari ka kya jo tum pune mein chod aayi ho , kiske bharose apne baba ko chod aayi ho haan ?" maya bua asked saakshi shocking everyone
saakshi started crying uncontrollably
" ek baat yaad rakhna saakshi , ( hum tumhaare saath hai , tumhaari maddad karenge , tum fikar mat karo ) sirf yehi sab dost bolte hai , yeh sab tho bolne waali hi baat hai , tumhaare baba ko koi apna baba kyun samjega ? tumse behtar khayal tumhaare baba ka koi aur rakh sakta hai ?" she asked
" mein bhi dekhungi , yeh ,tumhaare airegaire dost , kab tak tumhaara saath dete hain ? chalti hoon . apna aur bacchiyon ka khayal rakhna " maya bua said and was about to leave the conference room
" bua , ek min " saakshi stopped her
" mein jaanti hoon , maine aapka bharosa toda hai , mera yakeen maaniye , aapko dukh pohchana mera irrada nai tha , meri zindagi mein aapkeliye utna hi aimiyat hai jitna humesha se raha hai "
" please bua , mein aapko bhi kho nai sakti " saakshi completed
immediately maya bua hugged her " bas meri bacchii , bas , shaanth ho ja " she kept patting saakshi
" saakshi mein sirf itna chahti hoon ki tu teek rahe , bohut zimmedaari bad gayi hai tera , darr lagta hai tere liye , inn do saalon mein tune dukh ke alawa aur kuch dekha hi nai hai , mein nai chahti teri takleefein bad jaaye beta , chod de yeh job , chal pune " maya bua said
" nai bua , mein yeh job nai chod sakti , yeh mera sapna nai balki majboori hai , mein sirf in bacchiyon ki acchi maa banne ki koshish nai kar rahi hoon balki apne papa ki acchi beti banne ki bhi koshish kar rahi hoon " saakshi said
" aise kya majboori hai saakshi ?" bua asked
" mein aapko ab bata nai sakti , sahi waqt aane par bata doongi " saakshi promised
" teek hai beta , mein chalti hoon apna khayal rakhna " maya bua said and hugged saakshi
she walked towards arjun and said " kya naam bataya tumne apna ? haan arjun na ? ab bhi mein apni bacchii ko apne saath leke jaa sakti hoon , aur who mujhe diya waada kabhi nai thodegi , lekin aise lagta hai tumhaare aas paas meri bacchii sahi salaamat hai " saying so she smiled at him
she kissed both the kids , hugged saakshi and left
" guys , kya tum log kuch der ke liye anu aur aru ko sambhal sakte hain ?" saakshi asked
" kaisa sawaal hai saakshi ? ofcourse hum anu aur aru ko sambhalenge " shree said
sakshi was just about to leave the conference room when Aisha called out " saakshi , just remember , agar tumhe kisi bhi cheez ki jaroorat ho tho we are all there "
saakshi nodded and left arjun was seeing her only
he knew this was the time he can make her tell things
" she is a strong girl , she wont tell anything , par ab who kamzor hai , shayad kuch keh de " he thought to himself
he himself didn't know since when saakshi got attatched to him
" mein khud bhi nai jaanta tum meri kya lagti ho saakshi , mein sirf itna jaanta hoon ki tumhaari har takleef , tumhaari aankhon mein chupa hua har dard , har darr , sab mujhe takleef deti hai , shayad tumse bhi zyaada takleef deti hai , mein bas tumhe kush dekna chahta hoon " arjun thought to himself and decided to go and talk to saakshi
she was sitting in the terrace garden of ETF looking at the sky
he understood that she was begging for solace
he went and sat next to her
" tum teek ho ?" he asked her and looked at her hand
she had a photo
" wow , iss photo mein tum kitni acchi lag rahi ho ? yeh tumhaare papa hai ? meine shayad inhe kahin dekha hai " he said
she immediately snatched the photo from him
" meri birthday ka photo hai , tumhe pata hai ? baba ne , di ne aur jiju ne mujhe 20 gifts diye the , mein kitni kush thi " she said wiping her tears
he touched her head affectionately and she turned to him and he nodded his head
she hugged him and cried
" sab kuch kho diya maine "
" sab kuch barbad ho gaya "
" sab kuch chala gaya "
" sab mujhe akele tadapne chodkar chale gaye " she said in between her sobs
" saakshi tumne kaha ki tum anaat ho , par tumhaari bua ne tho ?" arjun asked and she looked at him immediately
she broke the hug and looked away
" maine sirf sawaal poocha saakshi , khodko mujhse alag karne ko nai kaha " he said
" who zinda hai , par coma mein hai , di ki kabar sunkar bhi who ute nahi " she said softly and walked towards the other end
he followed her
" mujhe laga saakshi tum mujhpar bharosa karti ho " he said
" shayad maine tumhaara utna wishwaas nai jeeta , issiliye tum mujhse bhi apna dard share karne se darr rahi ho "
" shayad mein utna trust worthy nai hoon " he said and she turned and looked at him
he walked to her and wiped her tears " trust me saakshi , halka kar lo khudko , keh do mujhe who sach jo tumhe 2 saal se chain se jeene nai de raha hai , keh do mujhe who sach jo tumne apne di se bhi chupaya hai , keh do saakshi I promise mein sab teek kardoonga "
she hugged him and cried loudly and he let her cry
he knew she needed time
" kya mein panch minute baad kahoon ?" she asked innocently
he broke the hug and looked into her eyes
" tumhaare bahon mein na mein bohut safe feel karti hoon , aise lagta hai ki jab tak mein tumhaare bahon mein hoon , mere saath kuch bhi galat nai ho sakta " she said
he hugged her back and said " shhh ... just relax saakshi , just relax ... bohut jaldh sab teek ho jayega "
" panch minute tho kya , mein panch saal bhi wait karne ke liye tayyar hoon , jab tak tum khud mujhse apna dard share nai karna chahti mein tumhe kuch nai kahoonga , but I promise mein hamesha tumhaara aur bacchon ka khayal rakhoonga " he whispered
" hmmm" she said
so guys
I hope you people liked it
anyways comment karo and let me know
41