Jitne Kasme Waadey the,
Un sab ko torh k,
Kuch Rishtey Sawar k,
Kuch Rishtey Jorh k,
Chale ham aaj,
bohot dur...
Is Bedardi jahan ko chhor k...
hamare Apne Shayad humse Roothenge,
Aur shayad kai logo k dil bhi tootenge...,
Maaf Kardena,
Yaaro Humhe,
hamari Majboori hai,
UNN bin ab Aur kya jeena?
Zindagi bari benoori hai...
Kaash aaj yaha koi aesa hota,
Jinn ke hawale hum UNNHE swaup paate...
Wo tanha ho jayenge hamare bina,
Hum jaante hai...
Kaash koi hota aesa jo hamare baad unka khayal rakh sake...
Hame jana hai,
Bohot dur jana hai unse...
unhi k bhalai k liye...
Wo thorhe gussewale hai...
Logo se jhagra modh lete hai...
Kash unhe koi insabse bacha paye...
Bohot shararti hai wo,
Kaash koi unki muskaan ki hefazat kar paaye...
Unhi kulfi bohot pasand hai,
Kash unhe koi khane se toke,
Unhe zukham lagjata hai...
Kash koi har roz unke kamre gulabo ka guldasta rakh aaye,
unhe wo pasand aata hai...
ab jab hum jaa rahe,
Kaash koi unhe sambhal paaye...