Sab kitna complicated hai!!!!
Monisha aur Saahil dono polar opposites the, fir bhi dono me pyaar hua. Shaadi ke baad in Maaya's word, "Monisha TV ke saamne magarmaccha ki tarah baith kar dhoop senkati rahi" aur Saahil ghar ki gandagi saaf karta rha aur Monisha ko jhelta rha. Laakh jhagde hue, lekin fir bhi separate hone ki naubat nahi aai aur naa hi kisi ne "actual" me aisi koshish ki.
Monisha apne har role me gadbadi karti rahi, aur uske liye Maya ne karodo baar taane mare lekin kisi ne use Gold Digger kaha aur na aisa mahsus hua. Waha Monisha har cheez me laparwah hone ke baavjud Sahil se hamesha glue ki tarah chipki rahi.
Lekin yaha... Anupamaa devi har baat me perfect hain. Monisha to BA second class hokar taane khati thi, Anupamaa college dropout (yani keval 12th pass) hokar bhi sab kuch janti hai. Business sambhal leti hain, ghar (in plural) sambhal leti hain, duniya ko bhashan bhi de deti hain. Wo sab kuch kar leti hain. Tamam tyag aur balidaan ke bavjud (aur one sided storyline ke bina bhi) wo Gold Digger (although ye sexist word hai, aur actually me illogical hai. And I don't agree with this word) nazar aati hai.
Yaani ki audience ekdam se stupid nahi hai. (Thodi to hai)
Use bhi nazar aata hai ki pati ke paise ko kharch karne ke liye "chaaku dikhakar aapko kya aapko kya" bolne ki jarurat nahi hai kisi ITV FL ko. Kyonki, law ke hisaab se pati ke paiso par patni ka haq hai to hai! Par koi rishta bura ho ya achha... audience keval tabhi ye sab pacha paati hai jab wo dono side se ho, one sided nahi!
Sahil aur Monisha, imperfect hi sahi par sahi maayno me couple the aur that's why they openly used to show their shades. But MAAN couple kabhi the hi nahi.
Anupamaa ne Anuj ko kuch samjha hi nahi. And she is still not ready to realise her mistakes.
She knowingly/unknowingly took advantage of those people who actually cared for her.
In her arrogance, she destroyed her own life. But yeah.. she can have my blessing again if she realises this and take therapy for this.
She is yet to understand the very simple thing: relationship is neither a lifelong punishment (For Shahs) nor it is a cheque book for you to sign (For Kapadias).
And lastly one more thing: Monisha had clarity, Anupama don't have that. Monisha ko pata tha ki wo kitne paani me hai. Usse kya ho payega aur kya nahi! Ek episode me usne "Sophisticated" dikhne ke liye sachmuch me kafi mehnat ki! Par yaha to Anupamaa aise timepass me sab achieve karti rahi.
6