Chapter 13
Part-13
Subaah ki pehli kiran Kashish ke chehre pe padti hai.........Kashish dheere se apni aankhein kholti hai.............Jab woh apne aap ko Sujal ki baahoin me dekhti hai to ekdum se ghabra jati hai...........
Kashish
(apne aap se): Yeh maine kya kar diya..........papa se diye huye vaade ko main kaise bhool sakti hoon............Main itni kamzor kaise ho sakti hoon.........main janti hoon ki pyaar ki mere zindagi me koi aimyaat nahi hai..........lekin phir bhi yeh kya ho gaya mujse.....................Muje maff kar dena Sujal per shayad main tumhare pyaar ki hakkdar nahi...........ho sake to apni Kashish ko maff kar dena.............Sujal jab apni aankhein kholta hai to Kashish ko samne Jesus ke aage prey karte huye dekhta hai............
Kashish: hey bhagwan...........main jo kar rahi hoon woh thik to nahi.........lekin main sirf itna hi mangti hoon.........Sujal khush rahe........use duniya bahr ki khushiyaan mile............
Sujal Kashish ko dekhta hi rehta hai...........
Kashish: Sujal lagta hai sab kuch thik ho gaya................hamare gharwale hamare liye pareshan ho rahe honge............kya tum muje bus stand tak chod sakte ho............
Sujal: thik hai........
Sujal aur Kashish dono Kashish ke hostel uska saman lene aate hai.........
Sujal: Kashish main tumhara yaheen pe intzaar karta hoon...........tum jake aao.......
Kashish: thik hai main abhi aati hoon........
************************************************************ *******************
Kashish apne kamre me jati hai to Mauli aur Kanan uske liye pareshan ho gaye hote hai..........
Mauli: kashish tum thik to ho na..........aur Sujal........
Kashish: main thik hoon...........
Kanan: Sujal ke saath thi tum to tumhe kaise kuch ho sakta hai..........
Kashish: main apna saman le leti hoon.........aap logo ko main kabhi bhula nahi paungi.........main aap logo se contacts karti rahungi..........
Mauli: haa kashish yeh char saal kaise bit gaye pata hi nahi chala.........aaj tum ja rahi ho........Sham ko Kanan bhi wapas Jaipur ja rahi hai apne ghar.............
Kashish: haa hamare gharwale hamara in tzaar kar rahe hai.........hume jana to hoga na........
Kanan: Kashish tumne kya socha hai......
Kashish: muje jana hi hoga..........
Kashish apna saman leke jane lagti hai jab woh darwaze ke pass aake mudti hai.........
Kashish: Kanan..........tumne sahi kaha tha ki ek Ladka aur ek Ladki kabhi dost nahi ho sakte..........haa Kanan main har gayi..............har gayi main.........tum jeet gayi...........tum sahi thi.........
Kashish roti roti waha se chali jati hai.............
************************************************************ *******************
Sujal aur kashish dono Bus stand pahunchte hai..........Sujal Kashish ka ticket lake use deta hai.........
Sujal: kashish..........yeh lo tumhari ticket.........abhi kuch waqt hai bus ko shuru hone me..........
Kashish: Sujal.......main ja rahi hoon........agar anjane me mujse koi galti ho gayi ho to muje maff kar dena.........
Sujal: nahi Kashish......galti to mujse huyi hai.............Kal raat jo hua uska matlab yeh nahi tha ki main ek dost hone ka farz pura kar raha hoon............Kashish jis din se maine tumhe dekha hai us din se leke aaj tak maine sirf aur sirf tumse pyaar kiya hai................main tumse beimtihaan pyar karta hoon..............main yeh janna chahta hoon ki kya tum bhi mujse pyaar karti ho...........kya tum bhi mere liye woh mehsoos karti ho jo main karta hoon.........
Kashish: Main tumse pyaar nahi kar sakti..........kyunki maine kisi se vaada kiya hai jo muje nibhana hoga...........aur aisa nahi hai ki main tumse pyaar nahi karti............bahot pyaar karti hoon main tumse......itna ki shayad tumhare bina rehna mere liye muskil hai............
Sujal: Kashish to problem kya hai............main tumse pyaar karta hoon tum mujse pyaar karti ho...........
Kashish: Kyunki maine apne papa se vaada kiya hai ki main usi ladke ke saath shaadi karungi jise woh pasand karenge............Main apne 25 saal ke ristey ko nahi tod sakti...........main itni khudgarz nahi hoon...........main bahot tanha hoon.........muje tumhare sahare ki zaroorat hai.............kya donge zindagi ke is fasle me mera saath..........Yaad rakhna ki meri shaadi kisi se bhi ho..........tum mera pehla aur aakhri pyaar rahoge..............vaada karo ki tum bhi kisi achchi si ladki ko dekh ke shaadi kar longe...........mujse bhi achchi ladki tumhe milegi...........
Kashish roti huyi bus ki aur jane lagti hai jab woh achanak bhagti huyi Sujal ke pass wapas aati hai.
Kashish: Kya aakhri bar muje gale nahi lagoge.............
Sujal Kashish ko gale lagata hai...........Kashish bahot hi roti hai Sujal ki baahoin me............
Sujal: Kashish vaada karo ki tum kabhi bhi in aankhoin me aanshu nahi aane dongi.................mere liye itna to kar sakti ho na...........
Kashish: Bhagwan pe aur apne pyaar pe bharosha karte ho............agar hamara pyaar sacha hai to woh apne aap apni manzil dhundh lega............
Kashish apni ek payal nikal ke sujal ke haath me rakhti hai..........
Kashish: Jab bhi tum ise dekhonge tumhe is ki chan chan aawaz me muje paonge.............
Sujal: Kashish mere pass tumhe dene ke liye kuch bhi nahi...........
Kashish:khali haath nahi ja rahi............ tumhara pyaar saath leke ja rahi hoon.............
Sujal: kashish vaada karo ki agle janam me tum sirf meri hogi..........vaada karo......
Kashish: agale janam me sirf tumhari dulhan banugi.........hum is janam me to nahi mil sakte lekin agale her janam me main tumhari ardhangini banugi........ab muje jana hoga.......
Sujal: kashish........ruk jao na.........
Kashish: jana to main bhi nahi chahti........lekin jana hoga......
Sujal: i love you kashish...........
Kashish: i love you too sujal.........
Kashish roti huyi jane lagti hai.........
************************************************************ *******************
Hum hain iss pal yahan, Jaane ho kal kahan (Kashish jane lagti hai)
Hum miley Na miley, Hum rahey na rahey (Jab Sujal Kashish ka dupatta pakadta hai)
Rahegi sadaa yahan, Pyar ki ye dastan (Kashish Sujal ke forehead pe kiss karti hai)
Sunenge sadaa jise,Yeh Zameen asmaan (Kashish apna dupataa leke jane lagti hai)
Rang dhal jaate hai, Din badal jaate hai (Sujal Kashish ka haath pakad leta hai)
Raatein so jati hai, Raahen kho jaati hai (Kashish ke aankhoin se aanshu behne lagte hai)
Pyar khota nahin, Pyar sota nahin (Sujal kashish ke aanshu ko hatata hai)
Pyar dhalta nahin, Haan badalta nahin (Kashish Sujal ke gale lagkar rone lagti hai.)
Hum jahan aaye hain, Meherbaan saaye hain (Sujal ka Kashish ka chehra apne haathoin me leta hai)
Hum yahaan khwaabon ke, karwaan laaye hain (Sujal aur Kashish dono ek dusre ki aankhoin me khoye huye the)
Dhadkane hain jawaan, Ga raha hain samaa (Kashish sujal ke dil pe apna haath rakhti hai)
Pighli pighli si hain, Mehki tanhaiyan (Kashish sujal ke sine se lipat jati hai)
Hum hain iss pal yahan, Jaane ho kal kahan (Sujal kashish ka haath pakad ke use bus tak le jata hai)
Hum miley Na miley, Hum rahey na rahey (Kashish Mud ke sujak ko dekhti hai aur phir bus me chadti hai)
Rahegi sadaa yahan, Pyar ki ye dastan (Kashish ne abhi bhi Sujal ka haath thama hua hai jab bus chalti hai)
Sunenge sadaa jise,Yeh Zameen asmaan (Sujal aur Kashish dono ke haath chut jate hai)
************************************************************ *******************
Aaj Kashish aur Sujal ke pyaar ka safer khatam ho gaya.........aaj jo haath ek dusre ko thamne ke liye bane the woh hamesha ke liye chut gaye........Aaj ek prem kahani adhoori reh gayi.........Aaj Sujal aur Kashish ke raste hamesha ke liye alag ho gaye.........Dono apni nayi rah per to chal dije lekin manzil ka kuch pata nahi..........pata nahi dono ki kismat kaha leke jayegi in dono ke pyaar ko.............
Your reaction
Nice
Awesome
Loved
LOL
OMG
Cry
3 Comments