Chapter 12

goodkashish Thumbnail

kashish

@goodkashish

Font:
Text Size:
Theme:

Part-12

Aaj Sab log college ke canteen me bethe huye the aaj sab ka results jo aane wala tha..........Kashish aur Sujal ne is saal bhi college me top kiya hai............Kanan, Mauli aur Aman bhi pass ho jate hai.........

Aman: to kya khayal hai tumhara Sujal ab.........

Sujal: Socha hai ki papa ke saath Sanjeevani join karoon........

Mauli: that is a great plan.......

Kanan: aur Kashish tum......

Kashish: Main wapas apne ghar ja rahi hoon.........

Mauli: lekin hamari interens......

Kashish: main wahi pe Papa ke saath kar lungi.......

Sujal: kis se durr ho rahi ho.......

Kashish: kisi se bhi to nahi........main abhi aati hoon..........muje library me kuch kaam hai..........

Kashish yeh kehke chali jati hai........

Kanan: Sujal...........kashish ko bata kyun nahi dete ki tum kitna pyaar karte ho..........

Mauli: kab tak tum dono aise hi tadpoge.........bata do na use.......

Sujal: lekin woh......

Kanan: bahot pyaar karti hai tumse..........

Sujal: sach..........kya tum sach keh rahi ho.........

Jab achanak ek zor se aawaz aati hai aur pura college hill jata hai..........kyunki woh din pure Mumbai ke liye manhoos tha.........pass ke hi railway station me bomb blast hua hota hai........Sab log paglo ki tarah bhag rahe hai apne apne ghar jane ke liye.........

Aman: Chalo sujal........yaha se nikalte hai........

Mauli: Kashish.......

Aman: woh aa jayegi............hum log to nikalte hai.......

Sujal: nahi........main Kashish ke bina nahi ja sakta...........aap log nikaliye.........main Kashish ko leke aata hoon.........

Aman Kanan aur Mauli ke saath nikal jata hai aur Sujal library ki aur jata hai............
************************************************************ **********************

Sab log apni jaan bachane ke liye bhag rahe hote hai.........Kashish yeh dekhkar bahot darr jati hai.........woh ek khone me khadi hoke sab ko bhagte huye dekh rahi hoti hai jo bahot hi dari huyi hoti hai..............Jab Kashish dekhti hai ki Sujal bhid me uski taraf aa raha hai..........Sujal kashish pe bahot gussa hota hai.......

Sujal: Kashish..........tum pagal ho kya.........yaha pe sab log apni jaan bacha ke bhag rahe ho aur tum hoki is khone me khadi ho........kyun Kashish.........pata hai agar tumhe kuch ho jata to main apne aap ko kabhi maff nahi kar pata...........

Kashish: Janti thi ki tum muje lene zaroor aaoge..........

Jab Kashish apni baat khatam karti hai to Sujal dekhta hai upper se ek badi si painting Kashish ke upper girnewali hai to woh Kashish ko apni aur khichta hai..........Kashish Sujal ki baahoin me chali jati hai........Kashish apni aankhein bandh kar leti hai............Sujal kas ke Kashish ko pakad ke rakhta hai.........

Sujal: kuch nahi hoga tumhe.........main hoon na tumhare saath........

Kashish: janti hoon........jab tak tum ho muje kuch nahi ho sakta........

Sujal: chalo Kashish...........

Sujal Kashish ka haath pakad ke use apne car ki aur le jata hai...........Sujal aur Kashish dono ghar ki aur nikal jate hai.........

************************************************************ **********************

Raste me dono dekhte hai to kayi sari laashein padi huyi hoti hai..........Yaha pe Hindu Muslim ke beech jung chid gayi thi.........kashish yeh dekhke bahot ghabra jati hai.........Sujal kashish ka haath pakadta hai.......

Sujal: daro mat........kuch nahi hoga tumhe......main tumhe sahi salamat tumhare ghar pahunchaunga............suna kuch nahi hoga tumhe..........

Jab koi Sujal ke car ke seeshe me zor se paththar phekta hai............iski waje se Sujal ki car bekabu ho jati hai aur uski car jake traffic signal se takra jati hai.........Sujal Kashish ko dekhta hai jo bilkul thik hoti hai.....Kashish kuch logo ko unki aur aate huye dekhti hai.......

Kashish: woh log............sujal woh log idher aa rahe hai.......

Sujal: Kashish.........bahar nikalo..........bhago Kashish..........

Sujal Kashish ka haath pakad ke chupane ke liye koi jagah dhudta hai jab woh samne ek zopde ko dekhta hai..........Sujal Kashish ko us zopde me lejata hai........jaha pe ek aadmi betha hua hota hai........

Sujal: bhaisab hume kuch dair ke liye yaha rehne dijiye..........bahar dange shuru ho gaye hai........

Person: thik hai aap log yaha reh sakte hai..........jab tak yaha pe koi nahi aata.........

Kashish: bahot bahot sukhriya aapka..........

Sujal aur Kashish dono beth jate hai jab achanak koi aake zopde ko aag laga deta hai............

Kashish: Sujal yeh aag...........kuch karo na........

Sujal: chalo kashish...........hume yaha se nikalna hoga............

Sujal kashish ko leke bahar nikalta hai..........woh log chupne ke liye koi dhikana dhund rahe the jab koi Kashish pe kanch ki bottle phekta hai...........woh bottle Kashish ke kandhe pe lagti hai..........

Kashish: Sujal........

Sujal: Kashish tum thik to ho.........Kashish woh dekho...........hum log us church me jate hai waha pe zaroor koi hamari madad karega...........chalo kashish........

Sujal Kashish ko church me le jata hai..........Sujal church ka darwaza bandh kar deta hai........

Kashish: Sujal yaha pe koi nahi hai.......

Sujal: achacha hai........ab shayad hume raat yahi bitani hogi.........kal subaah tak to halat thik ho jayenge.........phir hum log sab apne apne ghar ja sakte hai...........

************************************************************ **********************

Jab Sujal dekhta hai ki Kashish ke kandhe se khoon beh raha hai aur Kashish use rokne ki koshish kar rahi hai.........

Sujal: Main kuch madad kar doon.......

Kashish: nahi........main thik hoon........

Sujal: Kashish bahot khoon beh raha hai............kya main tumhare zakhm ko dekh sakta hoon........

Kashish: koi bada zakam nahi hai.........bhagwan ka shkriya ki kanch andar nahi gaya..........sirf khoon rokne ke liye pati bandhna zaroori hai..........

Sujal: kya main pati bandh doon..........vaada karta hoon main apni aankhein bandh rakhunga.........

Sujal pati bandhne ke liye kapda dhundh raha tha jab kashish apna dupatta chir ke Sujal ko ek tukda deti hai.........Sujal Kashish ki aur aake bethta hai........Kashish kuch alag sa hi mehsoos karti hai........Sujal Kashish ke kandhe ko chune hi ja raha tha jab Kashish piche jati hai.......

Sujal: Mujpe vishwas hai.......

Kashish: khud se jyada.........

Sujal apni aankhein bandh karke Kashish ko pati bandhne lagta hai...........Sujal ki ungliyon kashish ko chute hi ek bijli khol uthi Kashish ke jism me......Kashish ki aankhein sharm se zuk jati hai...........

Kashish: Sujal......tum apni aankhein khol sakte hao..........

Sujal apne aankhein khol ke kashish ki pati bandh deta hai........

Sujal: lo yeh ho gaya..........ab tum aaram karo.....main kuch khane ko lene ja raha hoon............

Kashish Sujal ka haath pakadti hai..........

Kashish: main khane ke bigar reh sakti hoon lekin tumhe kuch ho gaya to nahi reh paungi...........tum yaha mere pass betho..........

Sujal Kashish ke pass aake bethta hai..........Kashish aur Sujal dher sari baatein karte hai...........kab Kashish ki aankh lag gayi pata hi nahi chala............Kashish Sujal ke kandhe pe sir rakhke so jati hai.........Sujal Kashish ko apni baahoin me leta hai aur uske forehead ko kiss karta hai...........Us raat Kashish aur Sujal dono ki zindagiyaan puri tarah se badal gayi............

 

goodkashish39533.8797337963

Your reaction

Nice Nice
Awesome Awesome
Loved Loved
Lol LOL
Omg OMG
cry Cry

6 Comments

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".