Part-22
Kuch din bad Kashish market se wapas aa rahi thi jab woh ek Coffee shop ko dekhti hai........Kashish us coffee shop me andar jati hai..........
Kashish: One coffee with one spoon of sugar ple.............
Kashish
(apne aap se): main zindagi me bahot aage badh gayi lekin kuch yaadein hamesha ke liye meri zindagi se jud gayi........yeh wahi jagah hai jaha me Sujal ke saath aaya karti thi.......lekin aaj waqt badal gaya hai.....halat badal gaye hai.... lekin yeh jagah nahi badli........aaj bhi muje Sujal ki yaad dilati hai.......aaj Tushar ke itne kareeb hone ke bawjud bhi main Kabhi Sujal se juda nahi ho saki......shayad kisi ne sach hi kaha hai ki pehle pyaar ko bhulana itna aasan nahi............Waiter: Excuse me Mam.......aapki coffee.........
Kashish: thanks.....
usi coffee shop me dusri aur Sujal beta hua hota hai......
Sujal: One coffee with two spoon of sugar ple.....
Sujal
(apne aap se); Kashish..........jab bhi tumhari bahot yaad aati hai main is jagah chala aata hoon........kyunki bahot si yaadein judi hai is jagah se............yahi se hamari dosti ki hamare pyaar ki shuruaat huyi hai..........mama kehti hai ki hum zaroor milenge lekin mama nahi janti ki hum nadi ke do kinare hai jo saath chalte hai lekin kabhi ek nahi ho pate.........maine apne hisse ka pyaar kar liya hai lekin sirf is zindagi se ek hi shikayat hai ki tumne muje pyaar karna to shikaya lekin main pyaar nibha nahi paya..........aaj bhi Kashish muje aisa lagta hai ki main tumhare bahot kareeb hoon.....Waiter: excuse me sir.......aap ki coffee......
Sujal: thanks......
************************************************************ ****************************************
Kashish coffee pine ke bad jab us coffee shop se bahar nikalti hai to samne road pe woh charu ko kisi ladke ke saath dekhti hai........
Kashish: Charu ko aise is ladke ke saath dekhkar to aisa hi lagta hai ki woh ise pyaar karti hai.............lekin yeh Charu kaha ja rahi hai......lagta hai ghar ja rahi hai.........muje Tushar se baat karni hogi.....
Kashish apni car me bethne hi wali hoti hai jab woh ladka kisi aur ladki ke gale lag raha tha.....
Kashish: yeh ladka abhi to charu ke saath tha aur abhi........muje jakar unki baatein sunke sachchai ka pata lagana hi hoga........
Kashish us ladke aur ladki ki baatein chupke se sun rahi hoti hai.........
Ladka: Main to sirf tumse pyaar karta hoon.........yeh charu to sirf paise pane ka aasan tarika hai........paisa milne ke baad kaun main aur kaun woh Charu...........
Kashish: hey bhagwan.......yeh ladka to sirf Charu ko dhoka de raha hai......isse pehle koi anhoni ho jaye.....muje charu se baat karni hogi.......
************************************************************ ****************************************
Kashish ghar aake Charu ke kamre me aati hai.......
Charu: Bhabhi aap........kuch kaam tha.....muje bula liya hota......
Kashish: Charu..main abhi abhi market se aa rahi hoon aur raste me maine tumhe us ladke saath dekha..........kabse janti ho use......
Charu: aap mujpe jasusi kar rahi hai................woh Rishi hai........main use pyaar karti hoon aur bahot hi jald hum log Shaadi karnewale hai......
Kashish: Rishi achcha ladka nahi hai......woh sirf tumhare paise se pyaar karta hai........maine khud apne aankhoin se use kisi dusri ladki ke bahoin me dekha hai........
Charu: main kuch sunnaa nahi chahti.........main apne Rishi ko achchi tarah se janti hoon..........aap meri zindagi me jakne ki koshish na kare to achcha hai..........
Kashish: charu.....main tumhare pyaar ke khilaf nahi hoon.......agar Rishi achcha ladka hota to main khud use tumhari shaadi karati.........lekin main tumhe yeh kadam nahi uthane sakti.......
Charu: aap itna kuch mat sochiye.......yeh aapki sehat ke liye thik nahi........aap jake apne kamre me aaram kijiye...........
Kashish: tumhe samjana mera farz tha.........lekin aage kya karna hai yeh tumhari marzi.......
Kashish roti huyi kamre se bahar nikalti hai jab Woh Tushar ko dekhti hai jisne Sab kuch sun liya tha.................Tushar Kashish ke piche uske kamre me jata hai.......
Tushar: tumne jo kiya woh thik kiya............agar main tumhari jagah hota to main bhi yahi karta........charu abhi bachi hai......use apne bhale bhure ki samaj nahi hai......woh kya karne ja rahi hai yeh use bhi pata nahi ........is waqt uski aankhoin pe woh joothe pyaar ki pati bandhi huyi hai.....
Kashish: main uska dil todna nahi chahti thi .........main to sirf sachchi bata rahi thi...........Rishi charu ki zindadi barbad kar raha hai...........hume kisi bhi hal me woh jooth ki pati uski aankh se hatani hogi.......
Tushar: tum pareshan mat ho......main khud Charu se baat karunga........ab tum yeh anshu poncho......aur muje jaldi se ek smile do.........
Kashish apne aanshu pochti hai aur Tushar ke gale lag jati hai..........
************************************************************ ****************************************
Subaah hote hi Tushar Charu ke kamre me use baat karne ke liye aata hai....
Tushar: Kashish ne muje sab bata diya hai Rishi ke bare me.........Kashish ko galat mat samjo.........woh sirf tumhari madad karna chahti hai......
Charu: Bhaiyaa agar aap mere pass Rishi se na milne ki baat lekar aaye hai to main aapki baat nahi man sakti.......main use pyaar karti hoon ........
Tushar: Charu......chup ek dum chup.........bhagwan ke liye meri baat suno.......tumhe apne bhaiyaa pe zara sa bhi yakeen ho to tum meri baat sunogi.........mere pass ek Plan hai......tumhe sirf Rishi ko phone karke batana hai ki tum use abhi milna chahti ho........aur phir use sirf itna hi batana ki tumne apna ghar chod diya hai...........phir tum apni hi aankhoin se dekhna ki kaisa hai tumhara Rishi............
Charu: aap muje mere pyaar ka imtihaan lene ke liye keh rahe hai....
Tushar:haa charu........agar tumhara pyar sachcha nikla to main khud tumse vaada karta hoon ki Main tumhari shaadi Rishi se karwaunga.........
Charu: aap keh rahe to thik hai...main abhi phone karti hoon............
Charu Rishi ko phone karke use apni college bulati hai......
Charu: Bhaiyaa aap mere saath chalenge na.....
Kashish: haa.......hum dono tumhare saath chalenge.......
************************************************************ ****************************************
Tushar, Kashish aur Charu teeno college pahunch jate hai.......
Tushar: Charu.......tum jao.....woh tumhara intzaar kar raha hai......hum log yaha se tumhe dekh rahe hai.....agar kuch bhi galat hua to hum log yahaan se tumhe dekh rahe hai.........
Charu Thik hai......
Charu Rishi ke pass jati hai..............
Rishi: kya baat hai charu......tumne muje achanak college bhulaya..........
Charu: aaj papa se mera zagda ho gaya........aur gusse me maine apna ghar chod diya.........kya tum muje shaadi karke apne ghar le jaoge.........
Rishi: aise kaise tumne muje puche bina ghar chod diya.......ab hum kya karenge paise ke bina.......
Charu: hum log paise ke bina reh sakte hai........humare pass pyaar hai.......hume papa ke paise ki koi zaroorat nahi......
Rishi: janta hoon ki tum mujse pyaar karti ho......lekin maine sirf aur sirf tumhare paise ke liye tumse pyaar kiya tha........tum muje dhoka nahi de sakti......
Charu
(hold him from the collar): tumne kabhi mujse pyar kiya hi nahi........tum hamesha se mere paise hi chahte the.........main tumhe nahi chodungi.....main abhi police me jake tumhari complain karti hoon.....Rishi: main tumhe kisi ke layak nahi chodunga.......tum kisi chiz ke layak hi nahi ho........
Rishi Charu ko thapad marne hi wala hota hai ki Tushar aake Rishi ka haath pakad leta hai..........
Tushar khichke Rishi ko thapad marta hai.....
Tushar: Kabhi bhi meri behen pe haath uthane ki koshish bhi mat karna..........aur apni yeh manhus sakal kabhi mat batana..........now get lost...........
Rishi waha se chala jata hai aur Tushar Kashish aur Charu ko ghar chodne aata hai.........
Tushar: is bare me mama aur papa ko kuch pata nahi chalna chahiye........is hadse ko bura sapna samaj ke bhul jaiyega..........ab ghar aa gaya hai.......tum log jao.....muje office ke liye dair ho rahi hai.........
************************************************************ ****************************************
Charu daudti huyi apne kamre me chali jati hai aur apne aapko kamre me bandh kar deti hai...............
Kashish: Charu.........dekho......darwaza kholo.......kuch bhi karne se pehle ek bar apne parivaar ke bare me sochna.........darwaza kholo.........muje tumse baat karni hai........muje andar aane do.........ple charu.....
Charu darwaza kholti hai.........
Charu: Bhabhi.........kis tarah aapko aur bhaiyaa ko apni sakal dikhaungi........maine aapko aur bhaiyaa ko kitna bhala bura kaha........muje koi hakk nahi banta jine ka...........ho sake to ise meri galti samaj ke muje maff kar dijiye...........
Kashish: maine hamesha tumhe apni behen ki tarah pala hai.........kya kabhi choti behen mafi mangti hai..........ab yeh sab bhool jao aur ek nayi zindagi ki shuruat karo...........
Charu: Bhabhi aap bahot hi achche hai......
Kashish: janti hoon........aur tum bhi bahot achchi ho..........
Raji: bhabhi jee..........aapke maayke se aapki maa ka phone hai..........
Kashish: thik hai main leti hoon..........
************************************************************ ****************************************
Kashish apne kamre me jake phone leti hai.....
Kashish: mama........kaise ho aap........ghar pe sab kaise hai.........
Nandini: sab thik hai........tu bata teri tabiyat kaisi hai........
Kashish: main bilkul thik hoon.......Tushar mera bahot khayal rakhte hai.......
Nandini: sunke achcha laga.........main kuch bhool jau usse pehle .......kal tumhari college se phone aaya tha.........koi Mr. Kohli ka.......keh rahe the ki tumhari sari Painting bik gayi hai aur tumhe jake kuch paise waha se lena hai......
Kashish: thik hai......
Nandini: usne tumhe kal subaah hi bulaya hai......
Kashish: thik hai.....main Tushar ko bata dungi.......woh muje le chalenge..........waise Papa kaise hai.......
Nandini: tumhe bahot yaad karte hai.........aaj hi keh rahe the ki kitne din huye tumse mile........soch rahe the ke agle mahine tumhare papa ke kisi dost ki beti ki shaadi hai to waha aane ka..........
Kashish: aap log zaroor aaiyega aur kuch din is bar saath rahiyega..........Mama aur Papa ko bhi achcha lagega...........
Nandini: ab main rakhti hoon........Maa ko mandir leke jana hai.........
Kashish: bye Mama......
Nandini: bye beta........apna khayal rakhna..........
324