Khamosh palkoun se jab ansoo bikhar jate hain
Ap kya janein ap kitne yaad atay hain
abhi bhi usi mor be khare hain jahan apne kaha tha
tehro hum abhi atay hain
Zindagi hai nadan is liye chup houn
dard hai subah shaam isliye chup houn
sochta houn kah doun zamane se Gham-e-dastaan
lekin us main ayega tera naam isliye chup houn
Mere wajood main kash tu uter jaye
main dekhoun aaina aur nazar tu aye
tu ho samne aur waqt teher jaye
yeh zindagi tujhay yunhi dekhte huay guzar jaye
Apni bebasi pe aj rona aya
dosroun ko nahi maine apnoun ko azmaya
har dost ki tanhai dur ki hum ne
lekin khud ko har mor pe tanha paya
Khul k izhaar karna hamari fitrat na thi
woh samjhe hamein mohabbat na thi
dil ki baatein dil mein hi reh gayein
kabhi woh masroof thay kabhi hamein fursat na thi
not written by me
Maya
comment:
p_commentcount